Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Ulema ka panel tha, ub mujay yaad nahi ke un mein se koon se thay, haan Javed Ahmad Ghamidi, Dr. Taufail Hashmi jo ke Islamic scholar and consultant Federal Shariat Court hein wo is list mein sar-e-fehrist hein.

    Aur waise bhi yaar yeh new ordinance parliment mein do tahai aksariyat se pass hua aur yeh parliment koi non-muslims ki parliment nahi he. :donno:
    maray khial main jahan tak main nay suan hy k is moamlay main to ghamdi sahab jo k khasay jadeed waqea huy hian unhoon nay bhi hukoomat ki himayat nahene ki aur apa keh rahay k wo sare fehrist thy..kaya aap k pas koi suboot hy is baat ka...?
    aur raha parliment ka sawal to main pehly bhi arz karchuka hon k hudood main tarmeem parlimaent to kaya dunia ki koi aqaat naheen karsakti..maray khial main is mozu par aap ko waseeh mutalia ki zaroorat hy ...mai hudood par aap se inshALLAH ZAROOR TAFSILI BAAT KARON GA...
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #17
      Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      Khuram miyaan yeh takreer zaroorat se ziada jazbaati ho gai he aur is mein bohat se hakaik ko aap masakh ker gaye hein.

      Jub Hadood'Ordinance mein tarmeem ki gai to MMA ne bohat ekhtalaaf kia, bohat muzahiray kiye, assembliyon se walkout kia. Lekin kia he Pakistan mein aik nazam he, Kanon paas kerne ke liye 2/3 aksariyat ka hona zaroori hota he, phir wo bill manzoori ke liye senate mein pesh hota he, phir wahan bhi debate hoti he aur phir president us kanoon ko paas kerta he...MMA walon ka mookaf kuch aur tha.

      Jahan tak baat aati he HUD ki, to mein yeh kahon ga ke PML-Q ne bhi bohat se Ulemaa se mushawarat ke baad he isay discuss kia, un ka mookaf tha ke Hud ki kuch misinterpretation ki gai he, khair let there be no more discussion.

      Jahan tak baat he Laal Masjid ke waqeyaat meiin Molana sahib England chalay gaye to mein aap ko batana chahon ga ke Jub yeh operation shuru hua to us se kuch der pehlay he jo muzakraat huay us mein Molana Taki Usmani, Aijaaz-ul-Haq aur Ch. Shujaat Hussein ke ilawa 2 ulema aur bhi thay jin ke naam mujay yaad nahi aa rahay, unhon ne govt. se negociation kerne ki kooshish ki...raat 12 bajay dialogue khatam huay aur jub Ch. Shujat sb. aur Aijaz-ul-Haq sahib raat ko sadar se meeting ker ke 2:30 bajay wapis aaye to us agreements ke contents change ker diey gaye, aur is tarah Govt. ne karwai impose ker di. MMA to hameesha se he sarapa ehtajaaj rahay aur unhon ne apni capacity ke mutabik bilkul sahi ehtajaaj kia.

      Aap itna negative mut soocha karein, jazbati kum hua karein, hakeekat-pasandana zehan banaiye...bohat kuch ghalat ho raha he politics mein, lekin itna ghalat nahi jitna aap beyaan ker rahay ho :)
      Jazbati Tehreer.............Meray Piyaray Bahi Ap es Tehreer ko apne Soch kay Mutabiq Jazbati Keh saktey Hoo Laykin Meri Yeh Tehreer Jazbat may A ker nae Likhi gai ager Jazbati Hoti to yeh Bataain Lal-Masjid Saniha per Liki Jatin Itna Arsa Guzaar Janaey Kay Bad Lik raha hoon ager ab bee jazbati hai too kia keh sakta hoon or aik bat yeh kay jab Haqaiq ko paish kia jay to wo jazbati hotey hain or jhoot ka sath diya jay to masliyat hoti hai wah baqi tafseeli jawab doon ga Insha Allah

      Comment


      • #18
        Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

        Originally posted by munda_sialkoty View Post
        For ur kind information, Shaukat aziz ke liye pehlay National Assembly mein aik seat khali kerwai gai, phir wo us seat per on for MNA banay aur phir unhoon ne Parliment se do tahaai se ziada vote le ker kaamiyaabi hasil ki...is it clear?

        jahan tak doosri bad'anwaaniyon ka taaluq he to bad'anwaan anasar moojood hein, is mein inkaari honay ki koi baat nahi...Genral Pervez Musharaf ager consitution mein change lata he to wo bhi la sakta he, lekin us ke liye us consitution ka parliment se paas hona zaroori he...LFO (Legal Framework Order) paas hua to wo bhi parliment ne paas kia...is mein tum loog blame kisay dete ho :donno:
        MARAY BHAI aap shaid mary nuqt e aytraaz ko naheen samjh saky main janta hon k shukat sahib k liye aik seat khali karwai gai aur phir wahan se un ko intikhab larwa kar parliment ka rukan banaya gaya ........
        mera aytraaz balk tanz ye tha k aik shakhas jo k abhi kisi halqay se muntakhab hi nahene hua tha us ko wazir azam pehly se namzad kiya gaya aur bad main inikhab larwakar parliment main laya gaya meri nazar se kis bhi jamhori aur parlimani riasat main koi aysai misal moujod naheen hy agar hy to aap bata dijiye mery ilam main bhi izafa hoga..?
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #19
          Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          Dekh yahan pe baat Allah ke kanoon ko change kerne ki nahi ho rahi bulke us kanoon ko misinterpretation ki baat ho rahi he.

          Allah Taalah ka her kanon insaaniyat ki baka' aur salaah ke liye he, is mein kisi ka istehsaal nahi ho sakta. Tu khud sooch ke aik larki jis ka rape hua he, wo chaar wo gawah kahan se la sakti he jo ke pois hein...ager chaar paarsa loog wahan pe moojod hein to wo rape kyoonker honay dein ge...aisay mein wo aurat jhootay ilaamzat ke mukadmay mein dhar li jati aur ulta usay lene ke dene per jatay. Is baat ki tu kia toojeeh pesh kerta he..mujay bata phir baat ko aagay berhatay hein
          teri is baat per main tafseeli jawab balk aik alag se thred laga kar serf hudood par taray sath baat karon ga jald inshALLAH...
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • #20
            Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

            Originally posted by aabi2cool View Post
            teri is baat per main tafseeli jawab balk aik alag se thred laga kar serf hudood par taray sath baat karon ga jald inshALLAH...

            Ok Aik aik ker ke separate topics start ker lo to phir us mein bohat easy ho jaye ga aik particular Mudday per behas kerna. Inshallah tumharay her thread mein regular haazri doon ga
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

              Originally posted by aabi2cool View Post
              MARAY BHAI aap shaid mary nuqt e aytraaz ko naheen samjh saky main janta hon k shukat sahib k liye aik seat khali karwai gai aur phir wahan se un ko intikhab larwa kar parliment ka rukan banaya gaya ........
              mera aytraaz balk tanz ye tha k aik shakhas jo k abhi kisi halqay se muntakhab hi nahene hua tha us ko wazir azam pehly se namzad kiya gaya aur bad main inikhab larwakar parliment main laya gaya meri nazar se kis bhi jamhori aur parlimani riasat main koi aysai misal moujod naheen hy agar hy to aap bata dijiye mery ilam main bhi izafa hoga..?
              Bazahir yeh kaam out of style lagta he...but still is mein constitution ko follow kia gaya aur wo aik wazeh aksariyat se PM bana. Go ke mein bhi is tareeka kaar ko pasand nahi kerta ke koi loogon ke vote se MNA na bana ho lekin parliment ke vote se PM ban jaye...but jo bhi, is mein legal proceedure ko follow kia gaya
              :thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                Originally posted by *Roomi* View Post
                Jazbati Tehreer.............Meray Piyaray Bahi Ap es Tehreer ko apne Soch kay Mutabiq Jazbati Keh saktey Hoo Laykin Meri Yeh Tehreer Jazbat may A ker nae Likhi gai ager Jazbati Hoti to yeh Bataain Lal-Masjid Saniha per Liki Jatin Itna Arsa Guzaar Janaey Kay Bad Lik raha hoon ager ab bee jazbati hai too kia keh sakta hoon or aik bat yeh kay jab Haqaiq ko paish kia jay to wo jazbati hotey hain or jhoot ka sath diya jay to masliyat hoti hai wah baqi tafseeli jawab doon ga Insha Allah
                Khuram Miyaan mein inshallah ub is thead mein aata rahon ga. aik aik separate point pe baat karon ga, aap bhi apna mookaf peesh keejiye ga, but plz one by one...ta ke mein bhi apnay points ko achay tareekay se justify ker sakon. Actually mere ghar mein net ki sahoolat nahi he...yahan office mein ziada problem mujay concentration ki he, lehaza i am always in hurry in office, to inshallah baat to ho gi her mudday per, lekin step by step
                :thmbup:

                Comment


                • #23
                  Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                  Originally posted by aabi2cool View Post
                  maray khial main jahan tak main nay suan hy k is moamlay main to ghamdi sahab jo k khasay jadeed waqea huy hian unhoon nay bhi hukoomat ki himayat nahene ki aur apa keh rahay k wo sare fehrist thy..kaya aap k pas koi suboot hy is baat ka...?
                  aur raha parliment ka sawal to main pehly bhi arz karchuka hon k hudood main tarmeem parlimaent to kaya dunia ki koi aqaat naheen karsakti..maray khial main is mozu par aap ko waseeh mutalia ki zaroorat hy ...mai hudood par aap se inshALLAH ZAROOR TAFSILI BAAT KARON GA...
                  Aap ne suna he dekha nahi.

                  New Hudood ordinance ke paas honay se pehlay media mein Hasoosan Geo TV ne Zara Soochiye ke naam se aik debates ki series start ki, Mufti Muneeb ur Rehman, chairman Ruet-e-Hilal Committee, MNA Maulana Abdul Malik Muttahida Majlis-e-Amal (MMA), Javed Ahmed Ghamidi Jinhein aap achi tarah se jaantay hein jo ke director hein Idara Al-Mawrid ke, and Dr Tufail Hashmi jo ke author hein Hudood Ordinance ke in ke dermeyaan Hudood ordinance mein debate hui, Ghamdi aur Dr. Tufail Hashmi ne new amendments ki favour mein debate ki thi.

                  Is ke ilawa in shakhsiyaat ne Alaf Programme he, wahan per bhi amendment ki favour mein izhaar-e-khyaal kia.

                  Aap Hudood Ordinance per jo thread lagana chahein lagaiye, mein inshallah zaroor hazir hoon ga us mein
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    chalien aik sawal aaps e kar hi layta hon k bataiye hud aur tazeer main kaya bunyadi farq hy...?
                    Tazeer Aur Hud dono sazaon ki kismein hein jo ke Islami shariyat mein beyaan ki gai hein.

                    Tazeer aik lower degree ki punishment he.

                    Jub ke Hud, jis ka matlab he boundry yeh aik Higher degree ki punishment he.

                    Hud Allah ki mukarar kerda he jis mein tabdeeli nahi ho sakti.

                    Kis juram ka trial Tazeer mein hota he aur kin ka Hud mein, is per bohat waqt chahiye...ager sirf is per behas ho gi to mein inshallah zaroor likhon ga.
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #25
                      Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                      Originally posted by aabi2cool View Post
                      aik ye k aap ki nazar main kaya lal msjid par opration hi wahid hal tha?
                      kaya koi aur rasta ikhtiar naheen kiay jaskta tha.?
                      aur ye bhi k jab opration shuru kiya gaya to us se bilkul akhiri waqat par jo muzakrata ulmah se huy thy un main tarmeem sadar house se kion ki gai..?.
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #26
                        Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Aap ne suna he dekha nahi.

                        New Hudood ordinance ke paas honay se pehlay media mein Hasoosan Geo TV ne Zara Soochiye ke naam se aik debates ki series start ki, Mufti Muneeb ur Rehman, chairman Ruet-e-Hilal Committee, MNA Maulana Abdul Malik Muttahida Majlis-e-Amal (MMA), Javed Ahmed Ghamidi Jinhein aap achi tarah se jaantay hein jo ke director hein Idara Al-Mawrid ke, and Dr Tufail Hashmi jo ke author hein Hudood Ordinance ke in ke dermeyaan Hudood ordinance mein debate hui, Ghamdi aur Dr. Tufail Hashmi ne new amendments ki favour mein debate ki thi.

                        Is ke ilawa in shakhsiyaat ne Alaf Programme he, wahan per bhi amendment ki favour mein izhaar-e-khyaal kia.

                        Aap Hudood Ordinance per jo thread lagana chahein lagaiye, mein inshallah zaroor hazir hoon ga us mein
                        hmmmmm acha aap kehtay ho to man layta hon kionk main nay wo prgramn nahene dekha...wesay jab hum hudood bill par direct guftgu kareen gay to main chahoon ga k aap ghamdi sahab ka jo bhi nuqte nazar hy us bill par ussy aap tehreeri tour par pesh kareen tak baat karnay main ziyada maza aay. aur aik request karni thi aap se wo ye ki mujhy ye roman main likhna pasand naheen agar aap ijzat daien to urdu font istimal karliye karon .....yani kaya aap nay urdu font install karli..?
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #27
                          Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                          Tazeer Aur Hud dono sazaon ki kismein hein jo ke Islami shariyat mein beyaan ki gai hein.

                          Tazeer aik lower degree ki punishment he.

                          Jub ke Hud, jis ka matlab he boundry yeh aik Higher degree ki punishment he.

                          Hud Allah ki mukarar kerda he jis mein tabdeeli nahi ho sakti.

                          Kis juram ka trial Tazeer mein hota he aur kin ka Hud mein, is per bohat waqt chahiye...ager sirf is per behas ho gi to mein inshallah zaroor likhon ga.
                          hmmm kisi had tak tonay hud ki theek tareef peesh ki hy...yaad rakhna k main nay ye sawal tujh se aik khas maqsad k tehat kiya tha aur wo maqsad tha tumahay guzishta remarks jo k hud k baray main tum nay diye thy ...aur wo darj zail hian..
                          [/QUOTE]

                          Tu khud sooch ke aik larki jis ka rape hua he, wo chaar wo gawah kahan se la sakti he jo ke pois hein...ager chaar paarsa loog wahan pe moojod hein to wo rape kyoonker honay dein ge.
                          baat ye hy my dear k hudood ALLAH ka banaya hua qanoon hain kisi insan k naheen aur nahi ye aqli aur qayasi moshgafian hain k hum in par ungli utha sakeen jab aik qanoon ALLAH aur us k rasool ki tarafs e aajay to phir hamara behasiat e muslim ye koi haq naheen k hum us par aytraaz kareen ya nuqta cheeni chahay wo kitna hi hamari aqal k khilaf ho hud jab aajay to phir bus amnna wasadqna kehna hy...k hum nay mana aur imaan lay..
                          baqi is mozu par tafseeli baat hudood walay thred main hi hogi..
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment


                          • #28
                            Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                            main nay aaps e ye sari tafseel naheen pouchi thi ye to mujh smaite taqreeban sab pakistani jantay hain aur main ye bhi manta hon k lal masjid walon ka tareeka kar theek naheen tha aur unhoon nay theek naheen kiya laikin mera sawal aap se ye tha k jo hukomat nay kiya wo theek tha...?
                            kaya koi aur rasta naheen tha yehi akhri rasta tha zara souch samjh kar jawab do is baat ka...
                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment


                            • #29
                              Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                              Originally posted by aabi2cool View Post
                              hmmmmm acha aap kehtay ho to man layta hon kionk main nay wo prgramn nahene dekha...wesay jab hum hudood bill par direct guftgu kareen gay to main chahoon ga k aap ghamdi sahab ka jo bhi nuqte nazar hy us bill par ussy aap tehreeri tour par pesh kareen tak baat karnay main ziyada maza aay. aur aik request karni thi aap se wo ye ki mujhy ye roman main likhna pasand naheen agar aap ijzat daien to urdu font istimal karliye karon .....yani kaya aap nay urdu font install karli..?
                              Yaar you are good in roman, to behtar he ke isi font se carry on ker...otherwise ager tumhein urdu mein likhna maksood he to tum JPG file bana ke attach ker, jo kuch lengthy process he...so behter yahi he ke roman mein he likha jaye. Urdu font meri side pe install nahi ho raha...aur Mozilla Fire Fox se bhi sahi font nahi dikhta...so roman behtar he.

                              Ok hudood bill per jub tu post lagaye ga to mein relevant references ke saath hazir hoo jaon ga Inshallah
                              :thmbup:

                              Comment


                              • #30
                                Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

                                Originally posted by aabi2cool View Post
                                main nay aaps e ye sari tafseel naheen pouchi thi ye to mujh smaite taqreeban sab pakistani jantay hain aur main ye bhi manta hon k lal masjid walon ka tareeka kar theek naheen tha aur unhoon nay theek naheen kiya laikin mera sawal aap se ye tha k jo hukomat nay kiya wo theek tha...?
                                kaya koi aur rasta naheen tha yehi akhri rasta tha zara souch samjh kar jawab do is baat ka...
                                Phir aik baar aik counter question karon ga...chal mujay bata is maslay ka hal kia tha?

                                Kia Laal masjid walon ko Aam moaafi de di jati ta ke wo aainda jub dil chahay ser utha ke bagawat kerte?

                                Ager koi middle way tha jo ke mutually acceptable tha wo bata de.

                                Mein maanta hoon ke Govt. ne kuch ghaltiyaan ki hein bilkul End pe, lekin Laal masjid walon ko wohi mila jo wo deserve kerte thay.

                                Tu bata ke yeh masla kese hal ho sakta tha?
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X