Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

    Phir aik baar aik counter question karon ga...chal mujay bata is maslay ka hal kia tha?
    bilkul main tujhay batata hon aur zaroor batata hon ...to sun is maslay ka wahid hal serf aur serf muzakraat thy jo k akhri waqat tak molvi rashid sahab chahaty thy...
    han bilkul wohi muzakraat jo k aaj kal musharaf sahab serf aur serf khud ko iqtadar main rakhnay kiliye aik aysai party se kararhy hain k jin ki sarbarah par mazi main khud unhoon nay muqadmaat banaway aur mazi main kai bayanaat un k khilaf diye jab yahaan is moqa par mulki mufaazd k naam par serf aiks hakhas ki hawas e iqtadar ko toul daynay kiliye ppp jaysi party se muzakraat kiye jasaktay hian to kaya lal masjid walon ka qasoor in se khuch ziyada to na tha..?
    aur to mujhy bara ye tana deta hy k main geo tv dekhon aaj tv dekhon ye prograam dekhon aur wo prograam dekhon..
    to kaya tu dekhta naheen k aaj kal kis tarah hukomat k pittho har channal par akar ye saday aam de rahy hain k nawaz shareef ko watan naheen ana chaiye kion is tarah se mulk intishaar ka shikar hojay ga aur aik baqaeda jung chir jay gi ... aur bilkul yehi moaqaf ppp walon ka bhi hy k wo kehtay hian k hum mulk marshal law se bachany kiliye aur khana jangi se bachany ki liye deal kar rahy hain kaya ye deal serf aur serf do iqtadar k bhokon ko iqtadar delanay hi k deal naheen hy... to bhi keh raha hoga k main baat ko kahan se kahan lay gaya to asal main mera nuqta ye tha k jab aik ferd e wahid k serf apny iqtadar main rehnay kiliye muzakraat ka rasta qabil e qabool hy to lal masjid walon k sath ye rasta kion naheen apnaya gaya .? aur yahan to serf ferd wahid ki zati mufad ki khatir ye sab khuch ho raha hy jab k wahan lal masjid k moamlay main boaht se be gunah awam k begumah bachon ka mufad tha....jin ko khoon ki holi khail kar hameesha ki neend sula diya gaya..
    aik insaan ka qatal pori insaniat ka qatal hy ... aur umere faroooq rza. nay farmaya tha k agar furaat k kinaray aik kuta bhi mar gaya to mujh umar se kal kiamat k roz pouch ohgi..
    aur idhar kaya hua k kitnay hi bay gunah logon ko serf aur serf uncle tam ki khushnodi kiliye halakat main jhoonk diya gaya ...yaar bacha bacha samjhta hy k hakumat nay bohat ghalat kiya laikin najanay kion teri samjh main nahene araha .dekh aik choti se gharelo misal se samjhata hon tujhy..
    agar kloi bacha bari se bari koi sangeen ghalti bhi karay to man baap ussy mar naheen daytay balk ziyada se ziyada aysi kari saza daieb gau jo waqti hogi.. hukomat bhi awam k liye man baap k mutaradif hoti hy .. aur hum nay ye tasleem kiya k lal masjid walon nay ghlati ki laikin unhoon nay kaya kay naheen kaha hukomat se moafi ka mutaliba bhi kiya laikin naheen wohi murgi ki aik tang k aap logon nay hakomat ki tit ko challangr kiya hy lehaza aap ak ajnaam mut hi hy...baat bohat lanbi hogai tary sawal ka ajwab yehi hy k kon sa zameen phut gai thi ya asmaan sar par agaya tha k wo opration itna zaroori hogaya tha .. kaya aaj hum log kashmir k masa par 80000 qurbanion k bawjood baat cheet k zariye hi us maslay ka hal talash naheen karrahy.. ab ye to bari ajeeb baat hy k apni sheh rug k hasool kiliye aik kafir k sath aap ko 60 saal hogay muzakraat karty to aap naheen thakay jab k apnay hi logon k sath serf chand mah main thak gay...?
    ummeed hy tujhy tera jawab mil gaya hoga...

    Kia Laal masjid walon ko Aam moaafi de di jati ta ke wo aainda jub dil chahay ser utha ke bagawat kerte?
    han to agar dey de jatai to konsa qiyamat aajani thi aaj kal bhi to bohat se naib zada logon ko aam moafi de jarahi hy deal k naam par muqadmaat wapis liye jarahy hain .. to lal masjid walon ka jurm koi in se khasa bara to na tha...
    Ager koi middle way tha jo ke mutually acceptable tha wo bata de.
    serf aur serf muzakraat k zariye masla ko hal karna hi middle way tha chahay us kiliye ghazi biradran ko aam moafi hi kion na dena parti kion k masla bohat se begunahon k jan bachana tha ...
    Mein maanta hoon ke Govt. ne kuch ghaltiyaan ki hein bilkul End pe, lekin Laal masjid walon ko wohi mila jo wo deserve kerte thay.
    govt se khuch galtian naheen balk akhir main jo khuch bhi hua us ki serf aur serf zemay dar hukomat hy aur kal qayamat k roz un sab begunahon ka khoon musharaf k sar par hy...
    Tu bata ke yeh masla kese hal ho sakta tha?
    muzakraat k zariye se serf aur serf....
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #32
      Re: TAJZIYA: HO,MMA,Lal-Masjid

      Originally posted by aabi2cool View Post
      bilkul main tujhay batata hon aur zaroor batata hon ...to sun is maslay ka wahid hal serf aur serf muzakraat thy jo k akhri waqat tak molvi rashid sahab chahaty thy...
      han bilkul wohi muzakraat jo k aaj kal musharaf sahab serf aur serf khud ko iqtadar main rakhnay kiliye aik aysai party se kararhy hain k jin ki sarbarah par mazi main khud unhoon nay muqadmaat banaway aur mazi main kai bayanaat un k khilaf diye jab yahaan is moqa par mulki mufaazd k naam par serf aiks hakhas ki hawas e iqtadar ko toul daynay kiliye ppp jaysi party se muzakraat kiye jasaktay hian to kaya lal masjid walon ka qasoor in se khuch ziyada to na tha..?
      aur to mujhy bara ye tana deta hy k main geo tv dekhon aaj tv dekhon ye prograam dekhon aur wo prograam dekhon..
      to kaya tu dekhta naheen k aaj kal kis tarah hukomat k pittho har channal par akar ye saday aam de rahy hain k nawaz shareef ko watan naheen ana chaiye kion is tarah se mulk intishaar ka shikar hojay ga aur aik baqaeda jung chir jay gi ... aur bilkul yehi moaqaf ppp walon ka bhi hy k wo kehtay hian k hum mulk marshal law se bachany kiliye aur khana jangi se bachany ki liye deal kar rahy hain kaya ye deal serf aur serf do iqtadar k bhokon ko iqtadar delanay hi k deal naheen hy... to bhi keh raha hoga k main baat ko kahan se kahan lay gaya to asal main mera nuqta ye tha k jab aik ferd e wahid k serf apny iqtadar main rehnay kiliye muzakraat ka rasta qabil e qabool hy to lal masjid walon k sath ye rasta kion naheen apnaya gaya .? aur yahan to serf ferd wahid ki zati mufad ki khatir ye sab khuch ho raha hy jab k wahan lal masjid k moamlay main boaht se be gunah awam k begumah bachon ka mufad tha....jin ko khoon ki holi khail kar hameesha ki neend sula diya gaya..
      aik insaan ka qatal pori insaniat ka qatal hy ... aur umere faroooq rza. nay farmaya tha k agar furaat k kinaray aik kuta bhi mar gaya to mujh umar se kal kiamat k roz pouch ohgi..
      aur idhar kaya hua k kitnay hi bay gunah logon ko serf aur serf uncle tam ki khushnodi kiliye halakat main jhoonk diya gaya ...yaar bacha bacha samjhta hy k hakumat nay bohat ghalat kiya laikin najanay kion teri samjh main nahene araha .dekh aik choti se gharelo misal se samjhata hon tujhy..
      agar kloi bacha bari se bari koi sangeen ghalti bhi karay to man baap ussy mar naheen daytay balk ziyada se ziyada aysi kari saza daieb gau jo waqti hogi.. hukomat bhi awam k liye man baap k mutaradif hoti hy .. aur hum nay ye tasleem kiya k lal masjid walon nay ghlati ki laikin unhoon nay kaya kay naheen kaha hukomat se moafi ka mutaliba bhi kiya laikin naheen wohi murgi ki aik tang k aap logon nay hakomat ki tit ko challangr kiya hy lehaza aap ak ajnaam mut hi hy...baat bohat lanbi hogai tary sawal ka ajwab yehi hy k kon sa zameen phut gai thi ya asmaan sar par agaya tha k wo opration itna zaroori hogaya tha .. kaya aaj hum log kashmir k masa par 80000 qurbanion k bawjood baat cheet k zariye hi us maslay ka hal talash naheen karrahy.. ab ye to bari ajeeb baat hy k apni sheh rug k hasool kiliye aik kafir k sath aap ko 60 saal hogay muzakraat karty to aap naheen thakay jab k apnay hi logon k sath serf chand mah main thak gay...?
      ummeed hy tujhy tera jawab mil gaya hoga...


      han to agar dey de jatai to konsa qiyamat aajani thi aaj kal bhi to bohat se naib zada logon ko aam moafi de jarahi hy deal k naam par muqadmaat wapis liye jarahy hain .. to lal masjid walon ka jurm koi in se khasa bara to na tha...


      serf aur serf muzakraat k zariye masla ko hal karna hi middle way tha chahay us kiliye ghazi biradran ko aam moafi hi kion na dena parti kion k masla bohat se begunahon k jan bachana tha ...

      govt se khuch galtian naheen balk akhir main jo khuch bhi hua us ki serf aur serf zemay dar hukomat hy aur kal qayamat k roz un sab begunahon ka khoon musharaf k sar par hy...


      muzakraat k zariye se serf aur serf....
      Abid dekh, jo baatein tu ne sahi kahin mein unhein appreciate zaroor karon ga, mein sirf apni he baat ko takviyat dene ke liye teri baat ko ghalat nahi kahon ga.

      Yeh baat bilkul sahi he ke Govt. n PPP ki deal aur Nawaz ko rooknay ke liye jo oochay huthkanday Govt. ker rahi he wo kabil-e-muzamat hein.

      Lekin you see yeh seyaasat he...syasatdaan aik doosray ki taang khainchtay chalay aaye hein aur wo aisa karein ge he.

      Laal masjid ko mein seyaasi tanazur mein nahi dekhta bulke isay Law & Order ke tanazur mein dekhta hoon. Aaj aik bagawat kerta he usay choor diya jata he, kul doosra kerta he usay choor diya jata he, to phir bagawat ka aik na khatam honay wala silsila chal perta he...yeh aik Karwa goont tha jo Govt. ko beherhaal peena he tha.

      January se June tak muzakraat he to hotay aaye, 6 months time koon si govt deti he?

      Aur aik baat aur, End pe Govt. ne keh diya ke wo kanoon ke katehray mein aaein un se kaanooni kaarwai ki jaye gi na ke fooji kaarwai...Laal masjid walon ne khud ko kanoon ke hawalay kyoon nahi kia...ager un ka mookaf sahi tha to adalat unhein insaaf deti. This is what i am wondering
      :thmbup:

      Comment

      Working...
      X