Assalam-o-alaikum dosto!
Hamaray haan jab bhi nai hakoomat aati hai,kai da'away aur wa'aday hotay hain,awam main josh-o-kharosh hota hai.Phir ahista ahista umangain mayusi main badal jati hain,hakoomat giranay ki batain hoti hain.Laikin hota yeh hai ke azmay huay log baar baar masnad-e-iqtadaar per dobara aa jatay hain aur awam ko bewaqoof bananay ka silsila shuru ho jata hai.Aaj kal bhi aisa hi shor hai,naiy elections ki tayyari hai,naiy alliances ban rahay hain.ukhar pichar shuru ho chuka hai.
Main apko da'awat de rahi hoon ke woh discuss karain ke un ke nazdeek koun iska ahal hai ke hakoomat banay aur uski koun si khusosiat hai jo apko pasand hai.Saath hi saath agar aap halaat ke paish-e-nazar(apnay nukta-e-nazar se hat kar bhi) yeh pashin goi kar sakain ke a'ainda ewan-e-iqtadar main apko koun barajman nazar aata hai to behas interesting ho jaye gi.
Khiyal rahay ke debate ki language shaista rahay,wagarna yeh debate ya discussion ki bajay larai jhagra ban jay ga aur muhazib qoumain is se guraiz karti hain.

Comment