Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Ghour talab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA: Ghour talab

    Assalam-o-alaikum dosto!
    Hamaray haan jab bhi nai hakoomat aati hai,kai da'away aur wa'aday hotay hain,awam main josh-o-kharosh hota hai.Phir ahista ahista umangain mayusi main badal jati hain,hakoomat giranay ki batain hoti hain.Laikin hota yeh hai ke azmay huay log baar baar masnad-e-iqtadaar per dobara aa jatay hain aur awam ko bewaqoof bananay ka silsila shuru ho jata hai.Aaj kal bhi aisa hi shor hai,naiy elections ki tayyari hai,naiy alliances ban rahay hain.ukhar pichar shuru ho chuka hai.
    Main apko da'awat de rahi hoon ke woh discuss karain ke un ke nazdeek koun iska ahal hai ke hakoomat banay aur uski koun si khusosiat hai jo apko pasand hai.Saath hi saath agar aap halaat ke paish-e-nazar(apnay nukta-e-nazar se hat kar bhi) yeh pashin goi kar sakain ke a'ainda ewan-e-iqtadar main apko koun barajman nazar aata hai to behas interesting ho jaye gi.

    Khiyal rahay ke debate ki language shaista rahay,wagarna yeh debate ya discussion ki bajay larai jhagra ban jay ga aur muhazib qoumain is se guraiz karti hain.
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Ghour talab

    وائے ناکامیِ متاع کارواں جاتا رہا
    کاروان کے دل سے احساسِ ضیاع جاتا رہا

    sab sy pehly baat to yeh hay k hamary ander koi ahsaas hee nahi aur shahoor hee nahi k hum aik achy insaan aur aik aisa insaan jo apna shanakhat rakhta hun bann sakain.

    Comment

    • #3
      Re: Ghour talab

      buhat acha thread ha jee...!
      main yay kehna chahoon ga kay hamra political circle bilkul convolutional circle ki tarha hai...!
      musharraf...position 1
      shokat aziz...pos 2
      baynazir....pos3...
      sheikh rasheed...pos4
      and
      nawaz sharif...pos5
      ager aik ki postion change hoti ha..to doosra uss ki positio per aa jata ha...!

      aour aap daikh saktay hain kay yay wo log hain jinhoon nay mulk ko baar baar dassa ha..!
      in halaat main meray mutabiq......
      stratgy yay honi chahiyay....
      1) kick out musharraf from govt..kissi bhi tareekay say...!
      2) establishment of pure democratic government....
      3) oj kay iktidaar main aanay waaalay chor darwaazay ko hameesha hameesha kay liay band kia jaay....!

      aaj kal elections ki tyaariyon kay silslay main sab say important one APDM(all parties democratic movement)..jo kay meray bataay huay steps main step 1 ko implement kernay kay liay buhat achi hai...!
      aour ager step one implement ho gaya ...to phir aik democratic rvolution ki zaroorat ho gi...!

      Comment

      • #4
        Re: Ghour talab

        Assalam o Alikum Zap.....:)

        u ve raised really nice question :clap:

        elections se pehly k waady to aj tak jaari hain pr logoon mai josh o kharoosh ab wo pehly jesa nahi q k ab logoon ka trust uth'ta ja raha hai.......now we know n we r affraid k tareekh jo kae baar apny ap ko duhraati rahi phir se na khud ko duhra dy.

        jahan tak ques hai k humin kesa leader chahye.....

        to sis......mere khyal mai humin ik aise leader ki zaroorat hai jo sab se pehly to apny DEEN k lye mukhlis ho.......q k DEEN k lye jo bhi mukhlis ho ga usko maloom ho ga k ik hukmiran ko kesa hona chhye or usky dil mai KHof e Khuda ho ga to yakeenan wo apny her kam se pehly awam k lye sochy ga

        2ndly ik aisa leader jo leadership ki duties ko jaany or jo leadership mai aye hi is niyyat se k usko Paki ka nizaam thiik krna hai or awam k lye kaam krny hin.

        3rdly usko khud pr confidence ho.........jo dosri countries se mashwary zaroor ly lakin amal wahi kary jo Pak k haqq mai ho na k dosri countries se darta rahy

        4rthly apni tehzeeb or culture ki hifazat kary or muashry ko burayoon se paak kary

        bus main hamesha aisa hi sketch draw krti hoon :)

        KHUSH RAHYYE
        WASALAM:salam:

        Comment

        • #5
          Re: Ghour talab

          Originally posted by Khalil View Post

          Bhai mairay isi ahsaas ko bedaar karnay kay liyay to yeh thread shuru ki hai.Ghour karain aur shaoor paida karain.:rose
          Mind Sciences

          Comment

          • #6
            Re: Ghour talab

            Originally posted by sher ali View Post

            Mufasil jawab ka shukriya,laikin abhi bhi tishnagi reh gai,Aap ne yeh to kaha ke APDM musharaf sahib ko hatanay main kamyaab ho sakta hai laikin yeh tajzia nahin kiya ke kiya yeh ittehaad mulk main haqeeqi jamhoriat lanay main bhi kamyaab ho sakta hai ya nahin,aur na hi aap ne yeh bataya ke fouj ka siasat main raasta kaisay roka ja sakta hai.
            Aap ne bohat acha tabsra kiya hai so main chahti hoon ke koi pahloo tishna mat chorain.:rose
            Mind Sciences

            Comment

            • #7
              Re: Ghour talab

              Originally posted by Shaim View Post

              Aik achay leader ki khasusiat to aap ne bata dein aur waqai bohat achi khoobian bayan ki hain laikin Pakistan main aisay fard ki nishandahi nahin ki.Zara is taraf bhi ghour karain.:rose
              Last edited by zapk; 16 August 2007, 20:19.
              Mind Sciences

              Comment

              • #8
                Re: Ghour talab

                Originally posted by zapk7 View Post
                Aik achay leader ki khasusiat to aap ne bata dein aur waqai bohat achi khoobian bayan ki hain laikin Pakistan main aisay fard ki nishandahi nahin ki.Zara is taraf bhi ghour karain.:rose

                sis main yuun kise ka naam nahi ly sakti.......ye to unky practical se hi pata chal pae ga k mere is sketch ki koi ik side bhi wo poori krty hain ya nahi........:)

                Comment

                • #9
                  Re: MUBAHISA: Ghour talab

                  walaikum salam Zap!

                  mujhey to in sab leaders mey filhaal imran khan hi acha lagta hai .... :hb:
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #10
                    Re: Ghour talab

                    Originally posted by zapk7 View Post
                    Mufasil jawab ka shukriya,laikin abhi bhi tishnagi reh gai,Aap ne yeh to kaha ke APDM musharaf sahib ko hatanay main kamyaab ho sakta hai laikin yeh tajzia nahin kiya ke kiya yeh ittehaad mulk main haqeeqi jamhoriat lanay main bhi kamyaab ho sakta hai ya nahin,aur na hi aap ne yeh bataya ke fouj ka siasat main raasta kaisay roka ja sakta hai.
                    Aap ne bohat acha tabsra kiya hai so main chahti hoon ke koi pahloo tishna mat chorain.:rose
                    aaap kay iss sawal ka jawab kay kia Apdm mulk main real democracy lanay main kaamyaab rahay ga..yay ha kay..agar general ko haanay kay baad yay real main "APDM" hi raha ..yaani unite hi raha to phir hum ummid ker saktay hain kay kuch democracy zaroor aay gi..otherwise..main pehlay arz ker chukka hoon kay APDM main bhi kaafi portion wo ha jo mulk ko khaanay walay hain..!
                    aap kay doosray question ..kay foj ka politics main way kasay band kia ja sakta hai...to iss ka jawab yeh hai kay...jab real democratic govt aay gi..aour constitutin waakay hi main practical ho ga....means kay LFO deframe ho jaay gi..aour 1973 const. dobaara woking start shoroh keray ga..!

                    Comment

                    • #11
                      Re: Ghour talab

                      Originally posted by Shaim View Post
                      sis main yuun kise ka naam nahi ly sakti.......ye to unky practical se hi pata chal pae ga k mere is sketch ki koi ik side bhi wo poori krty hain ya nahi........:)
                      Darust hai laikin main yeh chah rahi hoon ke ham logon main future ke baray main bhi sochnay ki habbit paida ho.Doosri qoumain 20,20 saal tak ki planning karti hain aur ham election ki planning bhi nahin kar sakay.Aap kieh sakti hain ke yeh shaour paida karnay ki aik choti si koshish hai.:rose
                      Mind Sciences

                      Comment

                      • #12
                        Re: MUBAHISA: Ghour talab

                        Originally posted by bloo View Post
                        walaikum salam Zap!

                        mujhey to in sab leaders mey filhaal imran khan hi acha lagta hai .... :hb:
                        Agar aap unki kuch qualities bhi present kar daitein to acha hota kiyunke hamarat samnay to unka "sita white" ka scandal hai.Isi tarah woh assembly ko bogus qarar daitay hain laikin is se resign nahin kartay taakay assembly member ki mara'at hasilo rahain.:thmbup:
                        Mind Sciences

                        Comment

                        • #13
                          Re: Ghour talab

                          Originally posted by zapk7 View Post
                          Bhai mairay isi ahsaas ko bedaar karnay kay liyay to yeh thread shuru ki hai.Ghour karain aur shaoor paida karain.:rose
                          :alhamd:hum to wakee aik bashahoor qoam hain aur janab hum ny buhat ghoor kia hy

                          Comment

                          • #14
                            Re: Ghour talab

                            Originally posted by sher ali View Post
                            aaap kay iss sawal ka jawab kay kia Apdm mulk main real democracy lanay main kaamyaab rahay ga..yay ha kay..agar general ko haanay kay baad yay real main "APDM" hi raha ..yaani unite hi raha to phir hum ummid ker saktay hain kay kuch democracy zaroor aay gi..otherwise..main pehlay arz ker chukka hoon kay APDM main bhi kaafi portion wo ha jo mulk ko khaanay walay hain..!
                            aap kay doosray question ..kay foj ka politics main way kasay band kia ja sakta hai...to iss ka jawab yeh hai kay...jab real democratic govt aay gi..aour constitutin waakay hi main practical ho ga....means kay LFO deframe ho jaay gi..aour 1973 const. dobaara woking start shoroh keray ga..!
                            Laikin yeh sab mafroozay hain na.APDM main wohi log hain jinhon ne ma'azi main jamhooriat ke naam per aamriat chalai hai.Democracy ka matlab mehaz yeh nahin hai ke is main hukmaran wardi wala nahin hota,balke it is much more.Phir lagta aisa hai APDM ya to election ke douraan ya bad main toot phoot ka shikaar ho jaye ga.Ya phir jaisay taisay karkay aik hi term guzaar sakay ga,kiyunke inka wahid agenda musharaf sahib ko hatana hai,laikin is ke baad kiya lahiya-e-amal hoga is ke baray main shaid inhon ne abhi socha hi nahin hai.:rose
                            Mind Sciences

                            Comment

                            • #15
                              Re: Ghour talab

                              Originally posted by Khalil View Post
                              :alhamd:hum to wakee aik bashahoor qoam hain aur janab hum ny buhat ghoor kia hy
                              Bari khushi ki baat hai ke hamaray haan ba'shaour log hain aur ghour-o-fikr bhi kartay hain,laikin mairay bhai tum ne ghour ka nateeja nahin bayan kiya.:rose
                              Mind Sciences

                              Comment

                              Working...
                              X