Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Ghour talab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ghour talab

    Originally posted by zapk7 View Post
    Laikin yeh sab mafroozay hain na.APDM main wohi log hain jinhon ne ma'azi main jamhooriat ke naam per aamriat chalai hai.Democracy ka matlab mehaz yeh nahin hai ke is main hukmaran wardi wala nahin hota,balke it is much more.Phir lagta aisa hai APDM ya to election ke douraan ya bad main toot phoot ka shikaar ho jaye ga.Ya phir jaisay taisay karkay aik hi term guzaar sakay ga,kiyunke inka wahid agenda musharaf sahib ko hatana hai,laikin is ke baad kiya lahiya-e-amal hoga is ke baray main shaid inhon ne abhi socha hi nahin hai.:rose
    aap nay bilkul theak kaha..kay yay mafroozay hain..but...agar daikha jaay to yahi practical ways hain jin ko hummain follow kerna ha..!
    Apdm kay baaray main abhi say aap ko bata dayta hoon kay...yay wakay hi toot jaay gi..but at present yay aik wahid aour akhri ummid ha..!aap samaj rahin hon gi..yakeenan..
    iss kay baad kay liha-amal kay kay baaray main pehlay bata chukka hoon kay ..inkalaab ki ashad zaroorat ho gi..!

    Comment

    • #17
      Re: Ghour talab

      Originally posted by zapk7 View Post
      Darust hai laikin main yeh chah rahi hoon ke ham logon main future ke baray main bhi sochnay ki habbit paida ho.Doosri qoumain 20,20 saal tak ki planning karti hain aur ham election ki planning bhi nahin kar sakay.Aap kieh sakti hain ke yeh shaour paida karnay ki aik choti si koshish hai.:rose

      :cc::cc:

      Comment

      • #18
        Re: Ghour talab

        Originally posted by sher ali View Post
        aap nay bilkul theak kaha..kay yay mafroozay hain..but...agar daikha jaay to yahi practical ways hain jin ko hummain follow kerna ha..!
        Apdm kay baaray main abhi say aap ko bata dayta hoon kay...yay wakay hi toot jaay gi..but at present yay aik wahid aour akhri ummid ha..!aap samaj rahin hon gi..yakeenan..
        iss kay baad kay liha-amal kay kay baaray main pehlay bata chukka hoon kay ..inkalaab ki ashad zaroorat ho gi..!
        Jahan tak inqilaab ki baat hai to main soch ke inqalab ki haami hoon,jab tak ham adhoc soch rakhain gay kuch nahin kar pain gay.Yehi log jo aaj Fouji hakoomat ke khilaaf aur jamhooriat ke haami hain;khud marshal law ki paidawaar hain.Aur yehi siasat daan aainda bhi fouj ko mudakhilat ki da'wat daitay rahain gay.Zaroorat is amar ki hai ke awaam apnay numaindon ka eihtisaab karain.Hamaray haan to awam ko siyasi jama'atoon key manshoor ke baray main bhi pata nahin hai,balke ziada tar logon ko yeh hi nahin maloom hoga ke manshoor kiya hota hai aur iski kiya aihmiat hai.
        Phir agar ham sirf is baat per iktifaa kar laitay hain ke musharaf govt khatam ho jaye;phir kiya hoga?pata nahin.to ham aik baar phir wohi ghalati dohraain gay jo ham baar baar kartay hain.Hamain chahiyay ke apnay numaindon se sawal karain ke unhon ne mustaqbil ki kiya planning ki hai?Yeh bohat aham sawaal hai jo waqt ki bohat bari zaroorat hai.
        Mind Sciences

        Comment

        • #19
          Re: Ghour talab

          Originally posted by Shaim View Post
          :cc::cc:
          Aapko kiya baat confuse kar rahi hai?
          Mind Sciences

          Comment

          • #20
            Re: MUBAHISA: Ghour talab

            Originally posted by zapk7 View Post
            Assalam-o-alaikum dosto!
            Hamaray haan jab bhi nai hakoomat aati hai,kai da'away aur wa'aday hotay hain,awam main josh-o-kharosh hota hai.Phir ahista ahista umangain mayusi main badal jati hain,hakoomat giranay ki batain hoti hain.Laikin hota yeh hai ke azmay huay log baar baar masnad-e-iqtadaar per dobara aa jatay hain aur awam ko bewaqoof bananay ka silsila shuru ho jata hai.Aaj kal bhi aisa hi shor hai,naiy elections ki tayyari hai,naiy alliances ban rahay hain.ukhar pichar shuru ho chuka hai.
            Main apko da'awat de rahi hoon ke woh discuss karain ke un ke nazdeek koun iska ahal hai ke hakoomat banay aur uski koun si khusosiat hai jo apko pasand hai.Saath hi saath agar aap halaat ke paish-e-nazar(apnay nukta-e-nazar se hat kar bhi) yeh pashin goi kar sakain ke a'ainda ewan-e-iqtadar main apko koun barajman nazar aata hai to behas interesting ho jaye gi.

            Khiyal rahay ke debate ki language shaista rahay,wagarna yeh debate ya discussion ki bajay larai jhagra ban jay ga aur muhazib qoumain is se guraiz karti hain.
            Almas nice topic...

            LOOP Oracle database key kisi code ki functional kharabi key baais us waqt pesh aata hai jab aik hi sawaal bar bar dohraya jaey aur uska koi hal na aaey - hamari siyasat bhi aisa hi aik loop hai. Aik functional kharabi pedah ho gaii hai aur yeh bar bar usi daggar per chalney laga hai.

            Oracle LOOP ko aik samajhdar programmer door kar sakta hai, ham apni siyasat ki tabahi ko siraf usi waqt door kar saktey jab hamarey ander taleem ka chiragh roshan ho ga. Merey nazdeek chaar ya chodah jumatein parh leney ko taleem nahin kehtey, merey nazdeek aik aisa shaoor jis mein ham apni pehchan kar sakein. Woh taleem hamein yeh sarmayadaar hasil nahin karney dein gey kyun keh jis roz taleem ka chiragh ghar ghar roshan ho geya us din in na'sooron ki man'maniyon ka ikhtitaam ho jaey ga.

            Hamarey mulk mein siyasat wohi kar sakta hai jo sarmayadar ho! Hamari qom bikaoo maal hai jo paisey key peechha apna eeman tak bech deti hai - aap ney dekh hai keh Nawaz Shareef aur Benazir ki mulaqatein hui hain, etihaad ki batein kiya kartey they magar anjaam kya huwa? Nakami - kyun? Is liyey in logon ki niyyaton mein fatoor hai. In key etihaad ki pehli shart yeh hoti hai keh Wazir-e-Aazam ka mansab HAMEIN diya jaey - jahan mufaad'prasti ko buniyaad bnaya jaey wahan etihaad nakaam ho jatey hain!

            Phir Benazir ka Musharaf sey deal honey ki khabrein aanein lagin - ya phir Benazir ko America ki asheerbad hasil honey lagi... Udher Nawaz Shareef ki PAKISTANIYAT ney josh mara aur awwam ka dukh yaad aaya. Yeh dukh unhein us waqt yaad nahin tha jab woh 2 baar 4-4 saal hakoomat mein they...

            Nawaz ka Pakistan aana mumkin nahin jab tak Musharraf hai! So let's concentrate on Benazir. Hamari awwam ki sab sey badi bad'bakhtgi yeh hai keh chaar paison key aagey ham naarey lagana shuru kar detey hain, in elections mein bhi aisa hi ho ga. Jis ki dolat ziyada hui, siyasat ka maidan usi ka ho ga.

            Main bazaat-e-Khud in luteron ko goli sey urra deney key haq mein hon, luteron mein Nawaz Khandan, Benazir Khandan aur Musharraf aatey hain. Agar mulk ko seedhi rahon per ley ker jana hai to yeh us waqt tak mumkin nahin ho sakta jab tak in luteron key khoon ki qurbani na di jaey...
            Last edited by Masood; 20 August 2007, 20:00.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #21
              Re: MUBAHISA: Ghour talab

              Originally posted by Masood View Post

              Shukriya masood bhai aapkay tafseeli tabsray ka.Aap ne darust kaha yeh sab lutairay hain aur sirf apna uloo seedha karna chahtay hain,jamhooriat se inhain koi sarokaar nahin.Yeh sirf hamaray sochnay ki baat hai ke inka raasta kaisay roka jaye?Iska behtareen hal jahalat ka khatma hai laikin woh bhi yeh log nahin karna chahtay kiyunke is se log ba shaoor ho jain gay aur phir in lutairon ko kahin ja nahin milay gi.
              Laikin kiya ham khud apnay baray main kuch nahin sochain gay?Bahasiat qoum hamara almia hai ke ham afghanistan ki muhabat main muhajireen ko apnay ander itna dakheel kar laitay hain,ke woh hamari maeshat per haathi ban ker sawar ho jatay hain,ham palestine ki muhabat main aik super power ki dushmani mool le laitay hain,ham Iran ki chahat main usay aitmi technology faraham kar ke apnay liyay museebat khareed laitay hain,laikin..............ham aaj tak khud se kabhi muhabat nahin kar paye,ham aaj tak khud se kabhi mukhlis nahin ho paye.ham aaj tak apna bhala nahin kar paye..........ham kab tak aisay rahain gay???????????????
              Mind Sciences

              Comment

              • #22
                Re: Ghour talab

                Originally posted by zapk7 View Post
                Aapko kiya baat confuse kar rahi hai?

                i was thinking k aisa kon ideal person hai :)
                or mere zehn mai koi bhi naam itna satisfactory nahi lga thatz y
                wase Imran KHan iz not a bad option

                Comment

                • #23
                  Re: MUBAHISA: Ghour talab

                  i think kay poori apdm govt main ho..tab hi dmocracy aa sakti hai..warna koi bhi aisa nai ha jo akaila ...tantanha yay kaam ker sakay

                  Comment

                  • #24
                    Re: MUBAHISA: Ghour talab

                    Originally posted by sher ali View Post
                    i think kay poori apdm govt main ho..tab hi dmocracy aa sakti hai..warna koi bhi aisa nai ha jo akaila ...tantanha yay kaam ker sakay

                    Comment

                    • #25
                      Re: MUBAHISA: Ghour talab

                      Originally posted by Shaim View Post
                      wat happened...!:lpop:

                      Comment

                      • #26

                        Hamarey haan yeh baat aam hai keh "apney liyey to har koi jeeta hai doosron key liyey jeena chahiyey" - lekin haqeeqat yeh hai keh ham apney liyey nahin jeetey, ham LOGON key liye jeeney key aadi ho chukey hain.

                        Ab dekhiye,
                        Ham log status ki bhag dorr mein phansey huwey hain, har banda apni naak doosrey sey ooncha karney ki tag-o-do mein laga huwa hai, ham jab bhi sochtey hain aisa sochtey hain keh LOG KYA KAHEIN GEY - isi tarha ham umrein guzar detey hain. Jhoota muashra, jhoota status, jhootey log!

                        Hamarey ander aik complexity hai. Ham khud ko doosron sey 'kamtar' samajhney key aadi hai, yehi wajah hai keh aaj hamarey muashrey per Indian rang jamta jaa raha hai.

                        Ham ney Pakistan ko duniya keh ghatiya'tareen mumalik ki fehrist mein laa kharra kiya hai - halankeh yeh mulk jannat ka namoona hai - agar is mulk ki tameer theek sey ki jati to kya tail, kya qudrati zakhaiir kya talent - kya nahin tha is mulk mein?

                        Mera dawa hai keh Asia mein ham Japan ki taraqi ka muqabla kar saktey hain agar hamari naslein theek ho jaein to - yeh naslein kaisey drust ho gi?

                        Baat ghoom phir ker wohi aa jati hai keh ham log apney aap sey mukhlis nahin, jab koi qom apni zaat sey mukhlis nahin hoti wohi kisi doosrey sey mukhlis nahin ho sakti! Sab sey aham zaroorat apney ehtisaab ki hai - jaisey aap ney aik alag thread lagaya hai - Khud'ehtisaabi sab sey badi nijaat hai!
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #27
                          Re: MUBAHISA: Ghour talab

                          Originally posted by sher ali View Post
                          wat happened...!:lpop:

                          apk comments pr yuun shakal banae thi :(

                          Comment

                          • #28
                            Re: MUBAHISA: Ghour talab

                            to aap nay comment kerna tha...ab phir shakal bana li...batana tha na kay kasay comments hain..!

                            Comment

                            • #29
                              Re: Ghour talab

                              Originally posted by Shaim View Post
                              i was thinking k aisa kon ideal person hai :)
                              or mere zehn mai koi bhi naam itna satisfactory nahi lga thatz y
                              wase Imran KHan iz not a bad option
                              Ideal person waqai koi nahin hai,aur ye hamara almia hai
                              Mind Sciences

                              Comment

                              • #30
                                Re: MUBAHISA: Ghour talab

                                Originally posted by sher ali View Post
                                i think kay poori apdm govt main ho..tab hi dmocracy aa sakti hai..warna koi bhi aisa nai ha jo akaila ...tantanha yay kaam ker sakay
                                Poori APDM mein koun aisa hai jo apnay matlab ki bajaye democracy ko mazboot karay ga?Koi bhi qoum se mukhlis hai?????????:pagal:
                                Mind Sciences

                                Comment

                                Working...
                                X