Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

    Originally posted by TheMask View Post
    Islam may ORGANS ki Farukhat Na-Jaiz Hai....... Doctor Brabar kay Mujrim hain es kam kay
    Ji drust kaha aap nay.:thmbup:
    Mind Sciences

    Comment

    • #17
      Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      yehh kaam ghalat haii islam kee rooh sayy bhee aoor ikhlaqiat kee rooh seyy bhee
      hamaree hakoomat koo chahiey kehh iss silsilaa main qanoon sazee honee chahieyy takah iss ghalat kaa m kaa khatmaa hoo sakay
      Ji haan SIUT(Sindh Institute of Urology and Transplantation) ki taraf say kafi arsay say yeh muhim chal rahi hai aur ab hakoomat bhi is per legislation kar rahi hai.
      Mind Sciences

      Comment

      • #18
        Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

        sub bohat aaalaaah
        Pagal may howah teray piyar main

        Comment

        • #19
          Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          [/color]

          Special ziker is liye ke na to mein aap ko naam se jaanta hoon aur aap ka nick bhi aisa he ke aap ko nick se mukhatib kerna bhi kuch ajeeb sa lagta he :)
          Aur agar main larki na hui dadi amman hui to kaisa lagay ga????

          Kuch loog majboor ho ker aur kuch loog paisay ki hawas mein organ sell ker rahay hein. You see, ke ager aik ghar mein kisi ne kidney diya he to phir us ghar aur khandaan mein aik ya do laakh rupay ke liye door lag jati he, some ppl find it an easy way to earn money. Ager Allah pe tawakal kia jaye aur apni akal ko istamaal ker ke mehnat bhi ki jaye to shayad yeh nobat na aaye.

          Yeh kidney ki trade to ho sakti he, lekin is ka aik aspect yeh bhi he ke yeh loogon ki jaan bachanay ke liye bohat zaroori bhi he...you know mere abbu England mein thay aur doctors ne kaha ke aap ke kidney fail ho rahay hein aur aap ko transplant ki zaroorat he...we had enough money to pay the donar, lekin kisi ki tissue matching nahi hui, aur barwaqt transplant na honay se mere dad ki death ho gai.

          Khair, aap ki baat bhi ghalat nahi, is trade ke peechay insaaniyat ki tazleel bhi waqee ho rahi he, aur hamein aisay loogon ko insaaf dilanay ke liye her mumkin kooshish kerni chahiye :)
          Aap kay walid kay baray main sun kar afsoos hua.
          Aap nay shaid mairi baat per ghour nahin kiya main nay saath hi yeh bhi kaha hai kay organ donation ko promote karna chahiyay.Logon ko teach karna chahiyay kay agar woh kisi ki jaan bachanay kay liyay kisi ko apna organ daitay hain jis say unhain koi nuqsaan nahin pohanchta to woh zaroor aisa karain.
          Main sirf organ trade ki mukhalif hoon,ogan donation ki wajah say to main khud zinda hoon.Main bhi kidney recipient hoon,mujhay mairay bhai nay kidney dia tha,so main healthy life guzaar rahi hoon.
          Mind Sciences

          Comment

          • #20
            Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

            Originally posted by sccorpion81 View Post
            Haan tum nay sahi kaha...us program main aik aisa jora bhi tha jo mian BV dono nay apni apni kidney dee laikin us k bawajood un k halat theek nahien hooway aur us nay yeh bhi kahan k mere 2 bete hain aur ab wo dono is tayari main hain...laikin sochnay k baat yeh hai k agar 2 kidnies day ker un k halat nahien sudhray tu kia un bachon ki kidnies day ker un k halat main sudhar aa sakta hai??????????? i do'n think so
            Ji haan yehi to problem hai kay soch nahin badal rahi logon ki.
            Mind Sciences

            Comment

            • #21
              Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

              Originally posted by sccorpion81 View Post
              kia kahien yaar ab main aur tum siwa afsos k aur ker bhi kia saktay hain...yeh kam tu hukoomat ka hai na...Hazrat Umar (R) nay kaha tha k Khuda ki Qasam agar Darya e Farat k kinare koee kuta bhi bhi piyas ya bhook say mar jatya hai tu Qyamat k din umar us ka jawab deh ho ga...

              aur aaajjjjjj????????????
              Daikhiay bhai ham har kaam kay liyay dosroon ko zimadaar tahratay hain jo masbat amal nahin hai.Society ka member honay kay natay yeh hamari bhi zimadaari hai kay jahan tak ho sakay logon ko teach karain.Impose karnay ki baat nahin kar rahi,uskay liyay govt legislation karay gi laikin jahan ham say ho sakay logon ko teach to kar saktay hain.
              Mind Sciences

              Comment

              • #22
                Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                Originally posted by ahsaas View Post
                buhat sahee kaha ap ny ..
                ye baat nahin k aise logon ka zameer inko malamat nahin kerta ....baat ye hai k aise logon k dill-o-damgh per perdy per chukye hein .aur unko lugta hai k ye unki qismat mein hai .isi liye ho raha hai ..mager woh ye bhool gaye hein k KHUDA paak aisy logon ki rasiyan khuli chor deta hai ...kia ye log bachy hein jo achai aur burai mein faraq nahin ker sakty .... aise log Qyamat k din monh chupaty phirein gy ..
                Khuda in k dillon mein raham paida kare..aur hadayat de achy kaam kerny ki
                AMEEN:dua
                Ji haan bilkul log zalim ban jatay hain aur unhain khuda bilkul bhool jata hai,woh samajhtay hain shaid un ki pakar nahin hogi.
                Mind Sciences

                Comment

                • #23
                  Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                  Originally posted by zapk7 View Post
                  Ji haan bilkul log zalim ban jatay hain aur unhain khuda bilkul bhool jata hai,woh samajhtay hain shaid un ki pakar nahin hogi.
                  lekin KHUDA kisi ko nahin bhulta..........aise log sakhat saza k musthiq hein

                  Comment

                  • #24
                    Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                    Originally posted by ahsaas View Post
                    lekin KHUDA kisi ko nahin bhulta..........aise log sakhat saza k musthiq hein
                    Darust kaha aap nay.:thmbup:
                    Mind Sciences

                    Comment

                    • #25
                      Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                      Originally posted by zapk7 View Post
                      Aur agar main larki na hui dadi amman hui to kaisa lagay ga????

                      Aap kay walid kay baray main sun kar afsoos hua.
                      Aap nay shaid mairi baat per ghour nahin kiya main nay saath hi yeh bhi kaha hai kay organ donation ko promote karna chahiyay.Logon ko teach karna chahiyay kay agar woh kisi ki jaan bachanay kay liyay kisi ko apna organ daitay hain jis say unhain koi nuqsaan nahin pohanchta to woh zaroor aisa karain.
                      Main sirf organ trade ki mukhalif hoon,ogan donation ki wajah say to main khud zinda hoon.Main bhi kidney recipient hoon,mujhay mairay bhai nay kidney dia tha,so main healthy life guzaar rahi hoon.
                      Ager aap dadi amman hui to phir bhi aap larka nahi ho saktein :)

                      Organ donation ko promote kerne se ziada behtar to yeh rahay ga ke jo la'waaras deadbodies hoti hein un se vital organs le liye jaein, ta ke jo loog zinda he wo apni quality of life se mehroom na hoon. aur yeh baat ghalat he ke aik organ donate kerne se nuksaan nahi hota...jo organ donate kerte hein un ki quality of life down ho jati he :)

                      Oh to aap kidney recipient hein...aap ke bhai to young hoon ge...meri teh-e-dil se duaa he ke Allah Taalah aap doono ko apni hifz-o-amaan mein rakhay, aur hameesha tandrust-o-tawana rakhay. You know mein bhi apna kidney operate kerwa chuka hoon, aur meri aik sister bhi apna kidney operate kerwa chuki he...aur mera aik bhai is waqt kidney ki waja he bohat buri halat mein he...hum aap ke liye duaa guu hein...aur aap bhi mere bhai ki sehat-yaabi ke liye duaa keejiye ga, hamein duaaon ki sakhat zaroorat he :)
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #26

                        Dead bodies say organ liyay ja saktay hain laikin kai organs live hoon to ziada bahter hotay hain.Kidney live donor say liya jaye to jaldi kaam shuru karta hai.
                        Yeh bilkul ghalat hai kay donor ki quality of life kam ho jati hai.Living donor say organ liyay hi sirf wo jatay hain jin say usay koi nuqsaan na pohanchay.Main un doctors kay operations ki baat nahin kar rahi jo organ trade main mulawis hain.Jo sincere doctors hain woh donor ka pura pura khiyal rakhtay hain.Donor ka mukamil checkup hota hai aur agar usay koi nuqsaan pohanchnay ka andesha ho to transplant nahin kiya jata.
                        Aap ki duaoon ka shukriya.Allah aap sab ko bhi sehat ata'a karay,aur aap aik behtar zindagi guzarain.Amen
                        Mind Sciences

                        Comment

                        • #27

                          aap is experience se guzar chuki hein, to ofcourse aap ka tajziya mere tajziye se behtar ho ga :)
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #28
                            Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            aap is experience se guzar chuki hein, to ofcourse aap ka tajziya mere tajziye se behtar ho ga :)
                            Debate main hissa lainay walay sab logon ka bohat bohat shukriya.:phool:
                            Mind Sciences

                            Comment

                            • #29
                              Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                              Originally posted by zapk7 View Post
                              Debate main hissa lainay walay sab logon ka bohat bohat shukriya.:phool:
                              aap ka bhi bohat bohat shukriya, khush rahiye...Allah aap ko sehat-yaab rakhay, salamat rakhay, shaad rakhay, aabad rakhay :phool:
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #30
                                Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                aap ka bhi bohat bohat shukriya, khush rahiye...Allah aap ko sehat-yaab rakhay, salamat rakhay, shaad rakhay, aabad rakhay :phool:
                                Duaon ka bohat shukriya.Allah ta'ala aapko bhi sehat ata'a karain.Mairi naik khuahishat aap kay saath hain.:rose
                                Mind Sciences

                                Comment

                                Working...
                                X