Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

    Satheo! Hamaray mulk main organs ki khareed-o-frokht urooj per hai jabkay kai mumalik main yeh qanoonan jurm hai.Hamaray haam muashi halat say tang log apnay organs baich daitay hain,laikin Geo News ki aik report kay mutabiq,in logon kay masail phir bhi hal nahin hotay,kiyunkay organ ki farokht say milnay wali raqm ka baishtar hissa inkay ilaj per khurch ho jata hai.
    Isi chaneel kay aik programme main transplant kay mahir Drs jama thay.Siwaye Dr Adeeb-ul-hasan Rizvi kay sab log is trade ko protect kar rahay thay.Doctors ka kahna tha kay is say donors ko 2 lakh ki raqam milti hai,jabkay donors ka kahna tha kay ziada say ziada 1 lakh milta hai,aur baaqi transplant centre walay rakh laitay hain ya agents kha jatay hain.
    Sawal yeh paida hota hai kay Doctors is trade ko protect kiyun kartay hain,kiya is main unka koi zaati faida hai?
    Sawal yeh paida hota hai kay kiya organ sale karnay kay illawa hamari qoum ko koi aur rozgaar nahin mil sakta jis say logon ko roti mil sakay?
    Zara is per sair hasil behas karain.
    Mind Sciences

  • #2
    Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

    Bhai ab kia kahein
    No Comments

    Comment

    • #3
      Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

      Originally posted by zapk7 View Post

      Jee main nay bhi yeh program daikha tha aur us k baad kafi dair tak sochta raha k kia hamare mulk main ghurbat itni ziyada ho gaee hai k insan apne jisam ki hison ko hi bechna shuroo ker day...pahle tu main yeh samjhta tha k yeh sirf wo log kerte hain jo nasha kerte hain laikin 2 din pahle 50 Min main yeh daikh ker k log bhook ki wajha say yeh sab kerte hain tu bhot afsos hoowa....aap ka pahla sawal k Dr. is trade ko protect kiun kerte hain tu aap nay daikha aur suna k 2 lakh ki raqam aik Dr. kah raha tha aur wahan oper jitne log thay un main say kisi ko bhi aik lakh say ziyada nahien mila even k aik aadmi 40000 mila tu aap hi btain k wo log is ko protect na kerain tu kia kerain....doosrayeh k hamari qom ko aur koee rozgar nahien tu yeh bhi aap nay daikha k un main say ziyada tar log jo tahy wo qarz k haton tang thay aur unhon nay apna qarz utarne k liey yeh qadam uthaya laikin aur qarz dar ho gay..aur un ko kisi nay btaya bhi nahein Drs. nay bhi nahien...Bas baat wohi hai k log unperh hain aur jo perhay likhay hain wo un ko sahi guide nahien kerte...aur is chees ka faida wo agent aur wo haram khane wale Dr. utha laite hain....Yhan tu awa ka awa hi bigra hoowa hai...banda bura kahay tu kis ko kahay
      sigpic

      Comment

      • #4

        Good topic Larki gi :thmbup:

        aap ka ishara shayad GEO ke programme 50 Minute ki taraf he...ji aap ne bilkul sahi kaha ke sirf aik doctor ke ilawa baki sabi loog is trade ko protection de rahay thay.

        lekin

        lekin on the otherhand hamein yeh bhi dekhna chahiye ke yeh aik mutually benificial association hoti he donar aur recipient ke dermeyaan aik financially benifit hasil kerta he aur jub ke doosray ki life save hoti he.

        is pe national assembly mein legislation ho rahi thi, pata nahi ke is pe kanoon saazi hui ke nahi...lekin is pe kannon saazi honi chahiye...middle man ka chaker khatam hona chahiye...donar ka complete check up aur us ke wound healing tak us ka kharch recipient ko ya govt. ke idaron ko bardasht kerna chahiye...aur donar jis paisay ke liye apna gurda sell ker raha he usay us ka moaawza bagair kisi katooti ke milna chahiye
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

          Originally posted by danicool82 View Post
          Bhai ab kia kahein
          No Comments
          Kiyun bhai! comments kiyun nahin?
          Mind Sciences

          Comment

          • #6
            Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

            Originally posted by sccorpion81 View Post

            Ji haan bhai main yehi baat chah rahi thi,jahan doctors zindagi ka beopaar karnay lagain to phir kiya karain gain?Organ transplant aik bohat mahnga ilaj hai aur usay bhi yeh doctors aam aadmi ki pohanch say door kar daitay hain.Na to yeh donor ki care kartay hain aur na hi recipient ko sahih guide kartay hain.Mairay ilm main do teen aisay cases hain jin main itna kharch kar kay bhi patients chand din say ziada survive nahin kar sakay.
            Mind Sciences

            Comment

            • #7
              Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Good topic Larki gi :thmbup:
              Larki gi? special zikr kiyun?
              aap ka ishara shayad GEO ke programme 50 Minute ki taraf he...ji aap ne bilkul sahi kaha ke sirf aik doctor ke ilawa baki sabi loog is trade ko protection de rahay thay.

              lekin

              lekin on the otherhand hamein yeh bhi dekhna chahiye ke yeh aik mutually benificial association hoti he donar aur recipient ke dermeyaan aik financially benifit hasil kerta he aur jub ke doosray ki life save hoti he.

              is pe national assembly mein legislation ho rahi thi, pata nahi ke is pe kanoon saazi hui ke nahi...lekin is pe kannon saazi honi chahiye...middle man ka chaker khatam hona chahiye...donar ka complete check up aur us ke wound healing tak us ka kharch recipient ko ya govt. ke idaron ko bardasht kerna chahiye...aur donar jis paisay ke liye apna gurda sell ker raha he usay us ka moaawza bagair kisi katooti ke milna chahiye
              Kiya yeh insaniat ki tazleel nahin hai kay woh bhook say bachnay kay liyay apnay azaa baichnay per majboor ho jai?
              Kiya kisi ki zindagi bachanay kay liyay organ donation ko promote nahin karna chahiyay?Organ trade lazmi hai kiya?
              Mind Sciences

              Comment

              • #8
                Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                Islam may ORGANS ki Farukhat Na-Jaiz Hai....... Doctor Brabar kay Mujrim hain es kam kay

                Comment

                • #9
                  Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                  yehh kaam ghalat haii islam kee rooh sayy bhee aoor ikhlaqiat kee rooh seyy bhee
                  hamaree hakoomat koo chahiey kehh iss silsilaa main qanoon sazee honee chahieyy takah iss ghalat kaa m kaa khatmaa hoo sakay
                  "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                  Comment

                  • #10
                    Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                    Originally posted by zapk7 View Post
                    Larki gi? special zikr kiyun?

                    Special ziker is liye ke na to mein aap ko naam se jaanta hoon aur aap ka nick bhi aisa he ke aap ko nick se mukhatib kerna bhi kuch ajeeb sa lagta he :)

                    Originally posted by zapk7 View Post
                    Kiya yeh insaniat ki tazleel nahin hai kay woh bhook say bachnay kay liyay apnay azaa baichnay per majboor ho jai?
                    Kiya kisi ki zindagi bachanay kay liyay organ donation ko promote nahin karna chahiyay?Organ trade lazmi hai kiya?
                    Kuch loog majboor ho ker aur kuch loog paisay ki hawas mein organ sell ker rahay hein. You see, ke ager aik ghar mein kisi ne kidney diya he to phir us ghar aur khandaan mein aik ya do laakh rupay ke liye door lag jati he, some ppl find it an easy way to earn money. Ager Allah pe tawakal kia jaye aur apni akal ko istamaal ker ke mehnat bhi ki jaye to shayad yeh nobat na aaye.

                    Yeh kidney ki trade to ho sakti he, lekin is ka aik aspect yeh bhi he ke yeh loogon ki jaan bachanay ke liye bohat zaroori bhi he...you know mere abbu England mein thay aur doctors ne kaha ke aap ke kidney fail ho rahay hein aur aap ko transplant ki zaroorat he...we had enough money to pay the donar, lekin kisi ki tissue matching nahi hui, aur barwaqt transplant na honay se mere dad ki death ho gai.

                    Khair, aap ki baat bhi ghalat nahi, is trade ke peechay insaaniyat ki tazleel bhi waqee ho rahi he, aur hamein aisay loogon ko insaaf dilanay ke liye her mumkin kooshish kerni chahiye :)
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      [/COLOR]

                      Special ziker is liye ke na to mein aap ko naam se jaanta hoon aur aap ka nick bhi aisa he ke aap ko nick se mukhatib kerna bhi kuch ajeeb sa lagta he :)

                      Kuch loog majboor ho ker aur kuch loog paisay ki hawas mein organ sell ker rahay hein. You see, ke ager aik ghar mein kisi ne kidney diya he to phir us ghar aur khandaan mein aik ya do laakh rupay ke liye door lag jati he, some ppl find it an easy way to earn money. Ager Allah pe tawakal kia jaye aur apni akal ko istamaal ker ke mehnat bhi ki jaye to shayad yeh nobat na aaye.

                      Yeh kidney ki trade to ho sakti he, lekin is ka aik aspect yeh bhi he ke yeh loogon ki jaan bachanay ke liye bohat zaroori bhi he...you know mere abbu England mein thay aur doctors ne kaha ke aap ke kidney fail ho rahay hein aur aap ko transplant ki zaroorat he...we had enough money to pay the donar, lekin kisi ki tissue matching nahi hui, aur barwaqt transplant na honay se mere dad ki death ho gai.

                      Khair, aap ki baat bhi ghalat nahi, is trade ke peechay insaaniyat ki tazleel bhi waqee ho rahi he, aur hamein aisay loogon ko insaaf dilanay ke liye her mumkin kooshish kerni chahiye :)

                      Haan tum nay sahi kaha...us program main aik aisa jora bhi tha jo mian BV dono nay apni apni kidney dee laikin us k bawajood un k halat theek nahien hooway aur us nay yeh bhi kahan k mere 2 bete hain aur ab wo dono is tayari main hain...laikin sochnay k baat yeh hai k agar 2 kidnies day ker un k halat nahien sudhray tu kia un bachon ki kidnies day ker un k halat main sudhar aa sakta hai??????????? i do'n think so
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                        Originally posted by sccorpion81 View Post
                        Haan tum nay sahi kaha...us program main aik aisa jora bhi tha jo mian BV dono nay apni apni kidney dee laikin us k bawajood un k halat theek nahien hooway aur us nay yeh bhi kahan k mere 2 bete hain aur ab wo dono is tayari main hain...laikin sochnay k baat yeh hai k agar 2 kidnies day ker un k halat nahien sudhray tu kia un bachon ki kidnies day ker un k halat main sudhar aa sakta hai??????????? i do'n think so
                        yaar us jooray ko katal kerne ko dil kerta tha, jo paisay ke liye apnay buchon ko daoo pe laganay ke liye teyaar thay :fuming:
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          yaar us jooray ko katal kerne ko dil kerta tha, jo paisay ke liye apnay buchon ko daoo pe laganay ke liye teyaar thay :fuming:
                          kia kahien yaar ab main aur tum siwa afsos k aur ker bhi kia saktay hain...yeh kam tu hukoomat ka hai na...Hazrat Umar (R) nay kaha tha k Khuda ki Qasam agar Darya e Farat k kinare koee kuta bhi bhi piyas ya bhook say mar jatya hai tu Qyamat k din umar us ka jawab deh ho ga...

                          aur aaajjjjjj????????????
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                            Originally posted by sccorpion81 View Post
                            kia kahien yaar ab main aur tum siwa afsos k aur ker bhi kia saktay hain...yeh kam tu hukoomat ka hai na...Hazrat Umar (R) nay kaha tha k Khuda ki Qasam agar Darya e Farat k kinare koee kuta bhi bhi piyas ya bhook say mar jatya hai tu Qyamat k din umar us ka jawab deh ho ga...

                            aur aaajjjjjj????????????
                            what should i say...me speechless
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: اعضا کی خرید و فروخت۔مسائل کا حل؟

                              Originally posted by sccorpion81 View Post
                              kia kahien yaar ab main aur tum siwa afsos k aur ker bhi kia saktay hain...yeh kam tu hukoomat ka hai na...Hazrat Umar (R) nay kaha tha k Khuda ki Qasam agar Darya e Farat k kinare koee kuta bhi bhi piyas ya bhook say mar jatya hai tu Qyamat k din umar us ka jawab deh ho ga...

                              aur aaajjjjjj????????????
                              buhat sahee kaha ap ny ..
                              ye baat nahin k aise logon ka zameer inko malamat nahin kerta ....baat ye hai k aise logon k dill-o-damgh per perdy per chukye hein .aur unko lugta hai k ye unki qismat mein hai .isi liye ho raha hai ..mager woh ye bhool gaye hein k KHUDA paak aisy logon ki rasiyan khuli chor deta hai ...kia ye log bachy hein jo achai aur burai mein faraq nahin ker sakty .... aise log Qyamat k din monh chupaty phirein gy ..
                              Khuda in k dillon mein raham paida kare..aur hadayat de achy kaam kerny ki
                              AMEEN:dua

                              Comment

                              Working...