Satheo! Hamaray mulk main organs ki khareed-o-frokht urooj per hai jabkay kai mumalik main yeh qanoonan jurm hai.Hamaray haam muashi halat say tang log apnay organs baich daitay hain,laikin Geo News ki aik report kay mutabiq,in logon kay masail phir bhi hal nahin hotay,kiyunkay organ ki farokht say milnay wali raqm ka baishtar hissa inkay ilaj per khurch ho jata hai.
Isi chaneel kay aik programme main transplant kay mahir Drs jama thay.Siwaye Dr Adeeb-ul-hasan Rizvi kay sab log is trade ko protect kar rahay thay.Doctors ka kahna tha kay is say donors ko 2 lakh ki raqam milti hai,jabkay donors ka kahna tha kay ziada say ziada 1 lakh milta hai,aur baaqi transplant centre walay rakh laitay hain ya agents kha jatay hain.
Sawal yeh paida hota hai kay Doctors is trade ko protect kiyun kartay hain,kiya is main unka koi zaati faida hai?
Sawal yeh paida hota hai kay kiya organ sale karnay kay illawa hamari qoum ko koi aur rozgaar nahin mil sakta jis say logon ko roti mil sakay?
Zara is per sair hasil behas karain.

Comment