assallam_u_allaaikum.
aap sab ko maloom ho ga keh hamari aik bahan nay islam kay muta
alak sawaal kia tha jo keh hamaray ulma ki taraf chala gia.
.kuch nay ulma ko qasoorwaar tehraya aur kuch nay ulma kay haq main apni ray ka izhaar kiya.aik baat yaad rahay keh aap sab yeh perh ker haqeeqat jaan jain gay.abhi sirf firqa ki haqeqat aur baad main inshaalah aap kay shakook ki haqeeqat likhoon ga.
aaj jo main chez yahan per likhnay laga hon woh un logon kay liyae hai jo islaam main firqa bandi say buhat ziada khoofzada hain.aur woh jo islam main firqa bandi ka qasoorwaar ulma ko tehratay hain.
sawaal yeh hai keh islaam main firqa bandi kaisay start hui.takeh hum firqa bandi kay qasoorwaar ko talash ker sacain.aur is chez kay liyae hum ko ''tareekh_e_islaam'' perhna ho gi.waisay too tareekh_e_islaam buhat bari hai lakin main is ka ''khullasa'' biyaan kerta hon takeh aap sab ko samajh aa jay.
islam main 3 firqay hain.
1..sunni (quraan,hadees,ishaab aur ahlay bait ko mantay hain.
2...shi'aa (quran,hadees,aur sirf ahlay bait) ko mantay hain.
3...khaarji.(quraan,hadees,aur sirf apnay ulmah) ko mantay hain.
ab sawaal yeh paida hota hai keh yeh firqay kab paida huay??
jab hazrat muhammad(pbuh) fout huay tab tak islam main koi firqa bandi nahi thi.phir islam main 2 baray ''ishaab''
doosri jang_e_azeem main khalaffat_e_usmaania kay tukray ho gay.yani angraiz ka kabza start ho gia.phir 1857 tak angraiz puray ''baray saghir'' per kabiz ho chuka tha.phir 1947 main muslims nay apna alag watan(pakistan) hasil kia.phir 1949 aa poohancha aur yahoodion nay ''phalisteen'' per qabza ker liya aur ''israel'' nay janam liya.
yeh sab batain likhnay ka maqsad sirf itna tha keh ''is puri tareekh tak islam in firqoon per raha yani ''sunni'' ''shi'aa'' aur ''khaarji'' lakin kahin bhee in firqoon ki waja say koi khoon kharaaba nahi hua.kion keh inhoon nay aiuk dosray main dakhal andaazi nahi ki.
Yani khillafat_e_abbassiya kay door(period) say lay ker israel kay qiyaam tak 3 firqay rahay .lakin phir bhee aman raha.ab sawaal yeh paida hota hai keh khoon kharaaba kab aur kion start hua.
1979 main pehla pakistani suuni shi'aa fasaad start hua.jab ''iran'' main ''khumeeni''(jo khud aik shi'aa tha) ka inkalaab aya.is inkalaab kay atay hee puri dunia main shia'aa aur sunni fasaad start ho gay.aur pakistan samait puri dunia main ''ahl_e_sunnat'' yani sunnion kay ulma ka ''murder'' start ker diya gia.yeh tha woh lamha jab ummat_e_musalma main firqabandi ki waja say khoon kharaaba aur larai start ho gai.aur aaj tak hai.
ab aap mujhay batain keh is main kahan hamaray ulma ka kasoor hai??
ab agay sunain.
jaisa keh aap ko maloom ho ga keh ummat_e_musalma ko start he say ''munnafiqeen'' aur sazishoon kay saath wasta perta raha.aur yeh aaj bhee hai.ab main jo biyaan kernay ja rha hon wohi mera asal maqsad hai.
1....ghullam ahmed perwaiz(perwaizi)
2...qadyaani
3...gohar_e_shahi
waisay too puri tareekh main buhat say fitnay rahay hain lakin woh saath saath khatam ho gay.lakin yeh jo nam main nay likhay hain woh aaj kal hamaray liyae bara fitna hain.shyd aap log in ko ''firqa'' kehtay hain.jo keh ghalat baat hai.yeh fitna hain woh kaisay yeh bhee aap ko bata daita hon
1...perwaizi fitna
yeh fitna kehta hai keh''hum hadees ko nahi mantay,muhammad(pbuh) only aik kasid thay.jinhoon nay quran hum tak poohanchaya.quraan hee sahi rah hai lakin hadees gumraahi hai(maazallah)
aur aap log jantay hain keh hadees ka hamray islam main kitna amal dakhal hai.kion kuch chezain aisi hain jo hum hades say hasil kertay hain.
2...qadiyaani
in kay baray main mukhtasir likhon ga keh yeh apna rasool(maazallah)lay aye.jo aap ko bhee poata ho ga.aur aap jantay hain keh hazrat muhammad(pbuh)hamray last nabbi hain aur un kay baad koi nahi aye ga.
3...ghohr_e_shahi
yeh kehtay hain keh ''hum mehdi hain(maazallah)''
aik baat aur yaad rakahin keh
angraiz jis ko aaj hum buhat ziada poojtay hain nay aik kam kia woh ye keh
1....bara_e_saghir main us nay ''kadiyyani aur perwaizi fitnay'' phela diyae
2....iraan aur misr(egypt) main us nay ''ghohray shahi'' ko rakh diya
3..... hijaaz_e_muqadas main us nay ''ghair mukalideen'' phela diyae.
aur yeh sab buhat bari sazish kay tehat aur aik purri planning kay tahat hua.
yani ummat_e_musalma ko sab say ziada khatra in ''fitnoon'' say hai jin main deen say door rehnay walay log beghair kuch soochay samjhay dakhil ho rahay hain.
aaj jab islaam kay khilaaf itni bari sazishain tiyaar ho rahi hain .aur aap jaisay perhay likhay aur ''tarap'' rakhnay walay jawaan ghar bhaitay hain aur apni hee ummat kay ulma per jahilana tanqeed ker rahay hain.too yeh aik baray dukh ka muqaam hai.
main nay kion aap logon ko aik thread likha tha jis ka unwaan tha ''aap ki sooch kia hai''?
aap logon nay khul ker mujh per tanqeed ki lakin main sirf yahi chahta tha keh aap log dunia kay saat saath apnay islaam ka bhee khiaal rakhain.kion keh aaj kay ulma hamaisha nahi rahain gay.kal shyd hum ko un ki jaga jana paray.ya shyd hum main say koi bara alim ban jay lakin yeh tabhi ho ga jab hum islam per tawajoh dain gay,meray behan aur bhio hum log kehtya hain keh islam deen aur dunia doonoo main kamyaabi ka nam hai too phir hum kion sirf dunia kay peechay paray hain.ager deen aur dunia donoo per apni zindagi divied ki jay too ''roz kay12 hours masjid main aur 12 hours dunyavi kamoon kay liyae nikaltay hain''lakin hum itna nahi ker sactay lakin hum thora sa bhee too nahi ker rahay.
ayae aaj hum khud say aur is ummat_e_musalma say ehad karain keh hum apas main bahas kerna aur lerna jagherna choor dain aur sirf aik jamaat ban ker jo islam kay asli ''masail'' hain yani islaam ko jin fitnoo say khatra hai un ka mukabila kernay ki koshish karain.
yaad rakhain keh angraiz aur yahood din raat hamaray piyaray islaam kay khilaaf sazishoon main masroof hain aur hum ko hee in ka muqabila kern ahai.
ager islam pheelana sirf ulma kay zimay hota too allah yeh na fermatay keh
umeed hai keh hum ab bajay bahas kernay kay apnay ulma ki taqleed karai gay na keh tanqeed.aur main kal hee inshaalah in firqoon kay dermayan faraq aur ihlay sunnat kay dermayaan jin ko aap firqay ya garoh samajhtay hain ki wazahat karoon ga asaan alfaaz main takaeh aap ko haqeeqat ka pata chal sacay.
inshaallah inshallah inshaallah.
allah hafiz.
:salam: :dua

Comment