Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

IN4MATION: firqa bandi ki haqeeqat?

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • IN4MATION: firqa bandi ki haqeeqat?

    assallam_u_allaaikum.
    aap sab ko maloom ho ga keh hamari aik bahan nay islam kay muta
    alak sawaal kia tha jo keh hamaray ulma ki taraf chala gia.
    .kuch nay ulma ko qasoorwaar tehraya aur kuch nay ulma kay haq main apni ray ka izhaar kiya.aik baat yaad rahay keh aap sab yeh perh ker haqeeqat jaan jain gay.abhi sirf firqa ki haqeqat aur baad main inshaalah aap kay shakook ki haqeeqat likhoon ga.
    aaj jo main chez yahan per likhnay laga hon woh un logon kay liyae hai jo islaam main firqa bandi say buhat ziada khoofzada hain.aur woh jo islam main firqa bandi ka qasoorwaar ulma ko tehratay hain.

    sawaal yeh hai keh islaam main firqa bandi kaisay start hui.takeh hum firqa bandi kay qasoorwaar ko talash ker sacain.aur is chez kay liyae hum ko ''tareekh_e_islaam'' perhna ho gi.waisay too tareekh_e_islaam buhat bari hai lakin main is ka ''khullasa'' biyaan kerta hon takeh aap sab ko samajh aa jay.
    islam main 3 firqay hain.
    1..sunni (quraan,hadees,ishaab aur ahlay bait ko mantay hain.
    2...shi'aa (quran,hadees,aur sirf ahlay bait) ko mantay hain.
    3...khaarji.(quraan,hadees,aur sirf apnay ulmah) ko mantay hain.
    ab sawaal yeh paida hota hai keh yeh firqay kab paida huay??
    jab hazrat muhammad(pbuh) fout huay tab tak islam main koi firqa bandi nahi thi.phir islam main 2 baray ''ishaab''

    doosri jang_e_azeem main khalaffat_e_usmaania kay tukray ho gay.yani angraiz ka kabza start ho gia.phir 1857 tak angraiz puray ''baray saghir'' per kabiz ho chuka tha.phir 1947 main muslims nay apna alag watan(pakistan) hasil kia.phir 1949 aa poohancha aur yahoodion nay ''phalisteen'' per qabza ker liya aur ''israel'' nay janam liya.
    yeh sab batain likhnay ka maqsad sirf itna tha keh ''is puri tareekh tak islam in firqoon per raha yani ''sunni'' ''shi'aa'' aur ''khaarji'' lakin kahin bhee in firqoon ki waja say koi khoon kharaaba nahi hua.kion keh inhoon nay aiuk dosray main dakhal andaazi nahi ki.
    Yani khillafat_e_abbassiya kay door(period) say lay ker israel kay qiyaam tak 3 firqay rahay .lakin phir bhee aman raha.ab sawaal yeh paida hota hai keh khoon kharaaba kab aur kion start hua.
    1979 main pehla pakistani suuni shi'aa fasaad start hua.jab ''iran'' main ''khumeeni''(jo khud aik shi'aa tha) ka inkalaab aya.is inkalaab kay atay hee puri dunia main shia'aa aur sunni fasaad start ho gay.aur pakistan samait puri dunia main ''ahl_e_sunnat'' yani sunnion kay ulma ka ''murder'' start ker diya gia.yeh tha woh lamha jab ummat_e_musalma main firqabandi ki waja say khoon kharaaba aur larai start ho gai.aur aaj tak hai.
    ab aap mujhay batain keh is main kahan hamaray ulma ka kasoor hai??
    ab agay sunain.
    jaisa keh aap ko maloom ho ga keh ummat_e_musalma ko start he say ''munnafiqeen'' aur sazishoon kay saath wasta perta raha.aur yeh aaj bhee hai.ab main jo biyaan kernay ja rha hon wohi mera asal maqsad hai.
    1....ghullam ahmed perwaiz(perwaizi)
    2...qadyaani
    3...gohar_e_shahi
    waisay too puri tareekh main buhat say fitnay rahay hain lakin woh saath saath khatam ho gay.lakin yeh jo nam main nay likhay hain woh aaj kal hamaray liyae bara fitna hain.shyd aap log in ko ''firqa'' kehtay hain.jo keh ghalat baat hai.yeh fitna hain woh kaisay yeh bhee aap ko bata daita hon
    1...perwaizi fitna
    yeh fitna kehta hai keh''hum hadees ko nahi mantay,muhammad(pbuh) only aik kasid thay.jinhoon nay quran hum tak poohanchaya.quraan hee sahi rah hai lakin hadees gumraahi hai(maazallah)
    aur aap log jantay hain keh hadees ka hamray islam main kitna amal dakhal hai.kion kuch chezain aisi hain jo hum hades say hasil kertay hain.
    2...qadiyaani
    in kay baray main mukhtasir likhon ga keh yeh apna rasool(maazallah)lay aye.jo aap ko bhee poata ho ga.aur aap jantay hain keh hazrat muhammad(pbuh)hamray last nabbi hain aur un kay baad koi nahi aye ga.
    3...ghohr_e_shahi
    yeh kehtay hain keh ''hum mehdi hain(maazallah)''
    aik baat aur yaad rakahin keh
    angraiz jis ko aaj hum buhat ziada poojtay hain nay aik kam kia woh ye keh
    1....bara_e_saghir main us nay ''kadiyyani aur perwaizi fitnay'' phela diyae
    2....iraan aur misr(egypt) main us nay ''ghohray shahi'' ko rakh diya
    3..... hijaaz_e_muqadas main us nay ''ghair mukalideen'' phela diyae.
    aur yeh sab buhat bari sazish kay tehat aur aik purri planning kay tahat hua.
    yani ummat_e_musalma ko sab say ziada khatra in ''fitnoon'' say hai jin main deen say door rehnay walay log beghair kuch soochay samjhay dakhil ho rahay hain.
    aaj jab islaam kay khilaaf itni bari sazishain tiyaar ho rahi hain .aur aap jaisay perhay likhay aur ''tarap'' rakhnay walay jawaan ghar bhaitay hain aur apni hee ummat kay ulma per jahilana tanqeed ker rahay hain.too yeh aik baray dukh ka muqaam hai.
    main nay kion aap logon ko aik thread likha tha jis ka unwaan tha ''aap ki sooch kia hai''?
    aap logon nay khul ker mujh per tanqeed ki lakin main sirf yahi chahta tha keh aap log dunia kay saat saath apnay islaam ka bhee khiaal rakhain.kion keh aaj kay ulma hamaisha nahi rahain gay.kal shyd hum ko un ki jaga jana paray.ya shyd hum main say koi bara alim ban jay lakin yeh tabhi ho ga jab hum islam per tawajoh dain gay,meray behan aur bhio hum log kehtya hain keh islam deen aur dunia doonoo main kamyaabi ka nam hai too phir hum kion sirf dunia kay peechay paray hain.ager deen aur dunia donoo per apni zindagi divied ki jay too ''roz kay12 hours masjid main aur 12 hours dunyavi kamoon kay liyae nikaltay hain''lakin hum itna nahi ker sactay lakin hum thora sa bhee too nahi ker rahay.
    ayae aaj hum khud say aur is ummat_e_musalma say ehad karain keh hum apas main bahas kerna aur lerna jagherna choor dain aur sirf aik jamaat ban ker jo islam kay asli ''masail'' hain yani islaam ko jin fitnoo say khatra hai un ka mukabila kernay ki koshish karain.
    yaad rakhain keh angraiz aur yahood din raat hamaray piyaray islaam kay khilaaf sazishoon main masroof hain aur hum ko hee in ka muqabila kern ahai.
    ager islam pheelana sirf ulma kay zimay hota too allah yeh na fermatay keh

    umeed hai keh hum ab bajay bahas kernay kay apnay ulma ki taqleed karai gay na keh tanqeed.aur main kal hee inshaalah in firqoon kay dermayan faraq aur ihlay sunnat kay dermayaan jin ko aap firqay ya garoh samajhtay hain ki wazahat karoon ga asaan alfaaz main takaeh aap ko haqeeqat ka pata chal sacay.
    inshaallah inshallah inshaallah.
    allah hafiz.
    :salam: :dua
    Fight for Khilafah
    :insha:

  • #2
    Re: firqa bandi ki haqeeqat?

    bohat umda sharing yeh umda thread hai bohat umda

    Comment

    • #3
      Re: firqa bandi ki haqeeqat?

      bhi meray khial main aap samait sab ki jo is thread ko perhay ga us ki ''adhi tention'' too waisay hee door ho gai ho gi firqa banddi kay mutalaak..balkeh meri yehi elteja hai keh aap log is ko perh ker jahan bhee jain is ka zikar zaroor lazmi karain yani logon ko aur khaas toor per aaj kay jawanoon ko is kay mutalak lazmi batain kion keh hamaray adhay jawaan becharay yahi samajhtay hain keh ''ulma un ko pata nahi kia bana daitay hain''.
      kal ka thread zaroor perhiyae ga aap log bilkul firqa banddi ko bhool jain gay oinshaallah.:salam:
      Last edited by abdulwahab; 16 February 2007, 15:34.
      Fight for Khilafah
      :insha:

      Comment

      • #4
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: firqa bandi ki haqeeqat?

          g haan aap sawalaat poochain.
          Fight for Khilafah
          :insha:

          Comment

          • #6
            Re: firqa bandi ki haqeeqat?

            balkeh ager kisi kay zehan main koi shak hai too woh bhee sawaal ker sacta hai.
            Fight for Khilafah
            :insha:

            Comment

            • #7
              Re: firqa bandi ki haqeeqat?

              Originally posted by abdulwahab View Post
              assallam_u_allaaikum.
              aap sab ko maloom ho ga keh hamari aik bahan nay islam kay muta
              alak sawaal kia tha jo keh hamaray ulma ki taraf chala gia.
              .kuch nay ulma ko qasoorwaar tehraya aur kuch nay ulma kay haq main apni ray ka izhaar kiya.aik baat yaad rahay keh aap sab yeh perh ker haqeeqat jaan jain gay.abhi sirf firqa ki haqeqat aur baad main inshaalah aap kay shakook ki haqeeqat likhoon ga.
              aaj jo main chez yahan per likhnay laga hon woh un logon kay liyae hai jo islaam main firqa bandi say buhat ziada khoofzada hain.aur woh jo islam main firqa bandi ka qasoorwaar ulma ko tehratay hain.
              walaikum salam
              thanks for your concern
              hamein apney Ulma ki bohot qadr hai leykin sath sath hamein ye baat bhi pata honi chahiye key Ulma ghalt bhi ho saktey hein

              aur wo tab jab un key points aur Islam key points clash karein

              aur ghalti hamari apni hai ....jaisey khl ney apni aik post mey kaha hai key hum ney her cheez apney Ulma pey chor di hai.....and he is v right

              hamein khud Islam ka pata hona chahiye key kya sahih hai aur kya ghalt

              Islamic understanding ka kya level hona chahiye.........is ki misaal dr. zakir naik ney bohot achi di hai

              farz karein aap ki garhi kharab hai ...aap issey theek karaney garage mey ley ker jaatey hein....ab agar wo banda aap sey ye kahey key aap ki garhi ko theek kerney key liye mujhey 1kg chawal, 1kg oil, etc ki zaroorat hai to aap kya karein gey?

              aap us ki ye baat sawal hi nahi paida hota key maan lein ...........kyoon?
              coz aap garhi theek kerna nahi jaantey magar atleast aap ko ye to ilm hai key garhi theek kerney key liye in sab cheezon ki qatai zarooat nahi hai ? right....

              issi tarhan aap Scholar nahi hein leykin atleast hamein ye to pata hona chaiye na key Islam hai kya ...........ta key agar hum kisi bhi Aalim key paas jayein apna Q ley ker to wo hamein mislead na ker sakey

              sawaal yeh hai keh islaam main firqa bandi kaisay start hui.takeh hum firqa bandi kay qasoorwaar ko talash ker sacain.aur is chez kay liyae hum ko ''tareekh_e_islaam'' perhna ho gi.waisay too tareekh_e_islaam buhat bari hai lakin main is ka ''khullasa'' biyaan kerta hon takeh aap sab ko samajh aa jay.
              islam main 3 firqay hain.
              ye line aap ki ghalt hai ....issey yun hona chahiye tha "islam mey hum ney apni marzi key firqey bana diye hien .....ya kuch aur is tarhan ka ...."

              kyun key Islam mey koi firqa nahi hai....
              1..sunni (quraan,hadees,ishaab aur ahlay bait ko mantay hain.
              2...shi'aa (quran,hadees,aur sirf ahlay bait) ko mantay hain.
              3...khaarji.(quraan,hadees,aur sirf apnay ulmah) ko mantay hain.
              ab sawaal yeh paida hota hai keh yeh firqay kab paida huay??
              jab hazrat muhammad(pbuh) fout huay tab tak islam main koi firqa bandi nahi thi.phir islam main 2 baray ''ishaab''
              yani hazrat ali (ra)aur hazrat ameer ma'aveeya(ra) kay dermayaan aik larai(jang) hui.aur yeh waqat tha jab ummat_e_musalma kay 2 hissay huay.

              is key liye jang ka lafz to nahi isteymaal kerein gey ......jang sey to zeyhan mey aata hai key koi world war type cheez ......

              to ye group sirf political difference ki waja sey baney they.......

              doosri jang_e_azeem main khalaffat_e_usmaania kay tukray ho gay.yani angraiz ka kabza start ho gia.phir 1857 tak angraiz puray ''baray saghir'' per kabiz ho chuka tha.phir 1947 main muslims nay apna alag watan(pakistan) hasil kia.phir 1949 aa poohancha aur yahoodion nay ''phalisteen'' per qabza ker liya aur ''israel'' nay janam liya.
              angraizon ney asaan tareeka isteymaal kiya

              "divide and rule"

              aur pehley in ki jang islam key khilaaf thi "war against Islam"
              aur ab

              "war within islam"

              aur wo theek thaak kamyaab ja rahey hien

              May Allah always help us n guide us to the right path AMeen

              yeh sab batain likhnay ka maqsad sirf itna tha keh ''is puri tareekh tak islam in firqoon per raha yani ''sunni'' ''shi'aa'' aur ''khaarji'' lakin kahin bhee in firqoon ki waja say koi khoon kharaaba nahi hua.kion keh inhoon nay aiuk dosray main dakhal andaazi nahi ki.
              Yani khillafat_e_abbassiya kay door(period) say lay ker israel kay qiyaam tak 3 firqay rahay .lakin phir bhee aman raha.ab sawaal yeh paida hota hai keh khoon kharaaba kab aur kion start hua.
              1979 main pehla pakistani suuni shi'aa fasaad start hua.jab ''iran'' main ''khumeeni''(jo khud aik shi'aa tha) ka inkalaab aya.is inkalaab kay atay hee puri dunia main shia'aa aur sunni fasaad start ho gay.aur pakistan samait puri dunia main ''ahl_e_sunnat'' yani sunnion kay ulma ka ''murder'' start ker diya gia.yeh tha woh lamha jab ummat_e_musalma main firqabandi ki waja say khoon kharaaba aur larai start ho gai.aur aaj tak hai.
              ab aap mujhay batain keh is main kahan hamaray ulma ka kasoor hai??
              :)
              ab agay sunain.
              jaisa keh aap ko maloom ho ga keh ummat_e_musalma ko start he say ''munnafiqeen'' aur sazishoon kay saath wasta perta raha.aur yeh aaj bhee hai.ab main jo biyaan kernay ja rha hon wohi mera asal maqsad hai.
              1....ghullam ahmed perwaiz(perwaizi)
              2...qadyaani
              3...gohar_e_shahi
              waisay too puri tareekh main buhat say fitnay rahay hain lakin woh saath saath khatam ho gay.lakin yeh jo nam main nay likhay hain woh aaj kal hamaray liyae bara fitna hain.shyd aap log in ko ''firqa'' kehtay hain.jo keh ghalat baat hai.yeh fitna hain woh kaisay yeh bhee aap ko bata daita hon
              1...perwaizi fitna
              yeh fitna kehta hai keh''hum hadees ko nahi mantay,muhammad(pbuh) only aik kasid thay.jinhoon nay quran hum tak poohanchaya.quraan hee sahi rah hai lakin hadees gumraahi hai(maazallah)
              aur aap log jantay hain keh hadees ka hamray islam main kitna amal dakhal hai.kion kuch chezain aisi hain jo hum hades say hasil kertay hain.
              2...qadiyaani
              in kay baray main mukhtasir likhon ga keh yeh apna rasool(maazallah)lay aye.jo aap ko bhee poata ho ga.aur aap jantay hain keh hazrat muhammad(pbuh)hamray last nabbi hain aur un kay baad koi nahi aye ga.
              3...ghohr_e_shahi
              yeh kehtay hain keh ''hum mehdi hain(maazallah)''
              aik baat aur yaad rakahin keh
              angraiz jis ko aaj hum buhat ziada poojtay hain nay aik kam kia woh ye keh
              1....bara_e_saghir main us nay ''kadiyyani aur perwaizi fitnay'' phela diyae
              2....iraan aur misr(egypt) main us nay ''ghohray shahi'' ko rakh diya
              3..... hijaaz_e_muqadas main us nay ''ghair mukalideen'' phela diyae.
              aur yeh sab buhat bari sazish kay tehat aur aik purri planning kay tahat hua.
              yani ummat_e_musalma ko sab say ziada khatra in ''fitnoon'' say hai jin main deen say door rehnay walay log beghair kuch soochay samjhay dakhil ho rahay hain.
              aaj jab islaam kay khilaaf itni bari sazishain tiyaar ho rahi hain .aur aap jaisay perhay likhay aur ''tarap'' rakhnay walay jawaan ghar bhaitay hain aur apni hee ummat kay ulma per jahilana tanqeed ker rahay hain.too yeh aik baray dukh ka muqaam hai.
              :)
              main nay kion aap logon ko aik thread likha tha jis ka unwaan tha ''aap ki sooch kia hai''?
              aap logon nay khul ker mujh per tanqeed ki lakin main sirf yahi chahta tha keh aap log dunia kay saat saath apnay islaam ka bhee khiaal rakhain.kion keh aaj kay ulma hamaisha nahi rahain gay.kal shyd hum ko un ki jaga jana paray.ya shyd hum main say koi bara alim ban jay lakin yeh tabhi ho ga jab hum islam per tawajoh dain gay,
              deykhein
              aap wo apna thread phir sey zara thandey damagh sey perhein
              Aap ka maqsad us thread key liye jaisey aap ney abhi kaha wo ye tha key
              "ta key aap log dunya key sath deen ka bhi sochien"

              ye bilkul theek baat hai aap ki leykin aap ka andaaz ghalt tha.........ji s tareekey sey aap ney ye bat hum tak phonchai wo tareeka ghalt tha

              i hope u understand

              meray behan aur bhio hum log kehtya hain keh islam deen aur dunia doonoo main kamyaabi ka nam hai too phir hum kion sirf dunia kay peechay paray hain.
              ager deen aur dunia donoo per apni zindagi divied ki jay too ''roz kay12 hours masjid main aur 12 hours dunyavi kamoon kay liyae nikaltay hain''lakin hum itna nahi ker sactay lakin hum thora sa bhee too nahi ker rahay.
              mey thora is baat ko clear kerna chahun gi

              Jahan tak meyrey ilm mey hai ye Hazrat Abu sadiq (r.a.) ka Qol hai key
              "Islam deen aur dunya dono mey kamyabi ka naam hia"

              is leyhaaz sey hum 24 ghantey islam key ander hein

              to phir aap 24 ghanton ko 12/12 per nahi divide ker saktey hein wo is liye key is tarhan aap deen aur dunya dono ko alag ker rahey ho jab key Islam aeysa bilkul nahi kehta hai

              12 ghantey masjid ....12 ghantey dunya............yun to aap Islam ko sirf masjid tak mehdood ker rahey ho.........nahi?

              Islam deen aur dunya dono mey yakjai ka naam hai

              "aur mey ney jin o ins ko sirf apni ibadat key liye paida kiya hai"

              ab hum lafz Ibadat ko mehdood ker deytey hein ..........hum log yahi samjtey hein na key ibadat sirf namaz 'roza hai??

              to ye ibadat ki mehdood form hai .........aap apney poorey din mey jo kuch ker rahey ho

              aap ilm hasil ker rahey ho ...........job per ho........aap key relationships......aap ka uthna.........beythna.......khana peena..........etc etc if they are acc. to Islam..........you are in Ibadah

              ayae aaj hum khud say aur is ummat_e_musalma say ehad karain keh hum apas main bahas kerna aur lerna jagherna choor dain aur sirf aik jamaat ban ker jo islam kay asli ''masail'' hain yani islaam ko jin fitnoo say khatra hai un ka mukabila kernay ki koshish karain.

              :thmbup:

              aur is key liye zaroori hai key hum sahih islam ko follow karein :insha:
              yaad rakhain keh angraiz aur yahood din raat hamaray piyaray islaam kay khilaaf sazishoon main masroof hain aur hum ko hee in ka muqabila kern ahai.
              ager islam pheelana sirf ulma kay zimay hota too allah yeh na fermatay keh

              :thmbup:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                firqa aur haqeqat.

                apnay pechlay thread main main nay ''firqa banddi ki haqeqat'' biyaan ki thi.
                ab main un firqoon main farq ko wazeh kerta hon.yaad rahay keh main yeh farq mukhtasiran likhoon ga.
                jaisa keh main nay aap ko bataya tha keh 3 firqoon main aik ''sunni'' ''shia'aa'' aur ''khaarji'' hain.

                ab asal baat hai sirf sunni aur shi'aa ki jo apas main buhat ziada lartay hain.
                1..sunni......sab say pehlay main is firqay ki haqeeqat biyaan ker don.
                ahlay_sunnat main 2 ''maktab_e_fiqer'' hain jin ko shyd aap log firqay ya groh samajhtay hain.
                1..barailvi..
                2..deooband...
                yeh doonoo maqtab_e_fiqr hain.yani madrisoon kay nam hain.aur ''barailvi'' madrissa aik jaga ''barailya'' say ta'lak rakhta hai.aur doosra yani ''deoband'' aik jaga hai us ka nam bhee ''deobad'' hai.belkeh aap sab nay pakistan ki tarekh main is madrissay ka kirdaar bhee perha ho ga.ab sawal yeh hai keh yahan per ihlay sunnat too aik jamaat hai.phir kion in main yeh 2 alag alag nam bhee hain.yani ''barailvi'' aur ''deoband''.log samajhtay hain keh yeh alag alag groh hain ihlay sunnat main.lakin galat hai yeh.ab main aap ko batata hon keh wajah kia hai.
                baray saghir main islam ''oliya kraam'' ki wajah say phela tha.aur is main kuch madrissay bhee thay jin main yeh doo bhee shamil thay.ab in madrisson kay alimoon nay jahan jahan ja ker islaam ki tableegh ki wahan wahan kay log islam kabool kernay kay baad in ki taqleed main apnay nam kay saath us madrisson ka nam bhee laganay lagay.yani ager ''barailvi madrissay'' kay alim say ager koi shaks musalman hota too woh saath likh daita keh hum barailvi hain.yani hum nay us madrissay kay alim say islaam kabool kia.aur ziada tar log samajhtay hain keh yeh doo groh hain.yeh sab aik doosray say her baat per muttafiq hain.chahay halaal ho ya haraam.in main sirf aik buhat hee chota ikhtellaf hai woh hai ''falsfah'' aik chooti see misaal daita hon keh yeh donoo ''naat'' ko mantay hain .lakin aik kehta hai keh ''naat'' main muhammad(pbuh) ko 'tu' nahi kehna aur doosra kehta hai keh ''is say koi farq nahi perta.ager daikha jay too yeh aik buhat chota ikhtelaaf hai.lakin is baat per in donoo main say kabhi bhee kisi kay dermiyyan ''larai'' nahi hui.aur na hee inhoon nay kabhi aik doosray ko kafiir kaha.aap sab samajh gay hon gay meri baat aur haqeeqat.
                yeh too thi ihlay sunnat ki haqeeqat.
                ap log apnay ird gird aik ''jamaat'' ka nam bhee suntay hon gay woh hai ''ihla_e_hadees''.
                yaad rahay keh ''ihlay hadees aur ihlay sunnat halaal aur haraam doonoo per muttafiq hain''.yani jo chez hum ko zindagi main zarori pata honi chahiyae un sab per yeh muttafiq hain.in main sirf aik chez ka ikhtelaaf hai woh hai '''hadees ki samajh''.yani yeh yani ihlay hadees walay hadees ko apnay meanings main us ka istemaal latay hain.
                in main kuch buhat hee chotay ikhtelaaf hain lakin woh kabhi bhee larai ka maojab nahi banay.
                ab main ata hon ''aimah arba'' ki janib.yani apnay 4 imaam ki janib.
                hum main say buhat ziada log yeh samajhtay hain keh ''in 4 imamoon nay apni apni ''fiqah'' biyaan ki hai.jo keh galat baat hai.aap ko yeh jaan ker buhat heerangi ho gi keh
                ''in main say 3 imaam , imaam abu_hanifa(ra) kay students thay.yani unhoon nay imaam abu_hanifa say hee fiqah kay masail samjhay.ap log jab imaam_abu_hanifa ki fiqah perhain gay too us main saath saath hee baqi 3 imamoon ki fiqah bhee likhi hai.yani jo masla hota hai us per baqi 3 imamoon ki ray bhee likhi hai aur phir jis ki baat hadees say sabit ho jay us ki maan li jati hai.
                In main jo baat aam logon ki samajh main nahi ati woh hai in sab ki hadees per aik dosray ki ray ka ihteraam.yani inhoon nay jo jo batain ahadees say sabit kin hain who bilkul sach hain lakin kabhi kisi halat main thi kabhi kisi halat main thi.lakin hum un ko ikhtelaaf nahi keh sactay . is ki misaal bhee main aap ko day daita hon.jaisa keh namaz kay dooraan qiyaam ki halat main kharay ho ker hands kahan bandna hain.yani seenay per ya pait per.is say mutalak ager ahadees say madad li jay too sabit hota hai keh hazoor muhammad(pbuh) nay her lihaaz say haat bandhay hain.aik waqat tha jab who seenay per bandhtay thay aur phir aik waqt aya jab unhoon nay pait per bandhay.lakin jis sahabi nay jis halat main daikha aur phir us kay baad yaa too jehaad per chala gia ya kahin tablegh per chala giya lakin haath wahin banday jis halat main hazoor ko daikha.is terhan mukhtalif ishaab nay mukhtalif halatoon main daikha.aur apni apni hades likhi.aur aik aur misaal jaisa keh ''sajday ki halat main dua''.3 duain hain jin per in ka ikhtelaaf tha lakin hades ki rooh say woh teenoo duain bhee sabit hain is liyae jonsi marzi perh li jay tekh hai.aur is per bhee yeh sab muttafiq hain.
                ab aap mujh ko batain keh in main kahan bara ikhtelaaf hai jahan per yeh apni hee koi fiqa nikal lain.yeh too hamari hee kharaabi hai na keh hum nay in kay dermiyaan khud hee ikhtelaaf rakha hai.

                Mera khial hai keh aap sab ko samajh aa gai ho gi.lakin ager kisi kay zehan main ager koi baat puri terhaan nahi ayi too main aik he fiqray main sab wazeh ker daita hon.

                Idher main hazoor Muhammad(pbuh) ki aik hadees likhho ga .
                Irshaad hota hai keh

                Umeed hai ab aap samajh gay hon gay.

                1..log puri terhan islaam say waqif thay.
                2...log aik doosray kay firqay main dakhal andaazi nahi kertay thay.
                Israel ka qiyaam nahi hua tha.
                Israel
                Ab main ata hon apnay asal topic ki janib.

                Lakin amaal ka daroomadar niyyatoon per hai.
                Ab sawaal yeh aa jata hai keh in doonoo main say haq per kon hai??

                Aur doosri bari

                Is hadees say hum ko yahi andaaza hota hai keh ihla_e_sunnat hi haq per hai.

                Ager kisi ki samajh main baat nahi aye too main aap ko aik baat batana chahta hon keh hum sab ko hazrat muhamad(pbuh) nay chand hadayaat dee hain yani hades ki surat main.jaisa keh(mafhoom likhoon ga)

                Aur bhee aisi buhat see ahades hain jin say pata chalta hai keh hum kis terhaan akhrat main kamyaab hon gay.meri aap say ilteja hai keh ager aap ko samajh aa gai ho too tekh werna is main pernay ki koi zaroorat nahi kion keh is main ja ker insaan bhatak sacta hai.hum ko sirf akhrat main kamyaabi say wassta hai aur woh nabi kareem(pbuh) hum ko bata diya hai.jaisda keh un ki buhat see ahadees say sabit hota hai.aur hamaray paas halaal aur haraam bhee wazeh hain jo hum ko zindagi kay liyae chahiyain.

                Jaisa keh aap sab ko maloom hai keh ab aap log mr zakir naik ko bhee sun sactay hain aur bhee buaht saroon ko lakin who kisi firqay ka biyaan nahin daitay kion keh who sirf halaal aur haraam ki baat kertay hain aur koi nahi aur yahi aman kaim rakhnay ki aik surat hai.
                Ayae aaj waddah karan keh hum kisi ki burai nahi karain balkeh sirf aur sirf apni halat sunwaar lain.
                Kiuon keh aik bazurg ka qaool hai keh

                allah hafiz

                :salam: :shh:
                Fight for Khilafah
                :insha:

                Comment

                • #9
                  Re: firqa aur haqeqat.

                  aik baat aur keh kitnay hee logon ko chahay woh sunni hain ya shi'aa hain un ko apnay firqay kay mutallak ziada balkkeh kuch bhee nahi pata.is liyae yaad rahay keh jis ka jitna ilm hai us ko utni hee pooch ho gi is liyae sirf ikhlaaq hee acha karain.
                  plz
                  Fight for Khilafah
                  :insha:

                  Comment

                  • #10
                    Fight for Khilafah
                    :insha:

                    Comment

                    • #11
                      Re: firqa aur haqeqat.

                      Originally posted by abdulwahab View Post
                      yani who ishaab ko nahi mantay.
                      Lakin amaal ka daroomadar niyyatoon per hai.
                      Ab sawaal yeh aa jata hai keh in doonoo main say haq per kon hai??
                      1. Shia As'haab ko mantay haiN...!! jo shaks khullay dil o dimagh kay sath Islam ko qabool karay woh un ki nisbat ziadah aihemiyat rakhta hai jo pedaishi muslman haiN...!! aur Nabi (s.a.w.w) ko us pur'ashob daur maiN qabool karnay walay Laiq-e-Aihteraam haiN... is leay aap ka yeh kehna ghalat hai kay Shia Hazrat Sahaba ko nahee mantay, Albat'ta itna zaror hai kay As'haab ki khilafat kay qail nahee haiN, aur kioN nahee haiN yeh aik alag behas hai, filhaal aap ki yeh ghalat fehmi door karnay ki zarorat mehsoos hoi to reply kardia...

                      2. is baray maiN ziada mazay ki baat yeh hai kay jo baat "humaiN" nahee pata woh bhi aap kay elm maiN haiN, Hazrat yeh to sara'sar bohtaan hai.. Deen ki samajh bojh Ulma say he hasil hoti hai aur yeh un ka farz hota hai kay woh "awam" tak woh sab bataiN pohnchaiN jo un kay "deen" maiN haiN, wesay meri aksar kisi say is mozo par baat hoti hai to yeh he jawab milta hai kay "tumharay ulma ko pata hai yeh baat, tum loog nahee jantay" ya phir tum shia he nahee hoo !!. is par sirf yeh he kaha ja sakta hai kay dosray ki kisi baat ko mano he nahee, agar woh kuch kahay to keh do kay aap ko nahee pata kay aap kay deen maiN yeh hai, Subhan Allah....!!

                      aur reh gai baat haq par kaun hai ??? is par behas nahee karonga, bas itna he kay sab kay pass khud ko HAQ par kehnay kay dalail mojod haiN :).
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • #12
                        Re: firqa bandi ki haqeeqat?

                        ^^Takreekh key hawaley sey mujhey thori si confusions hein jo key inshAllah khatam honi chahien

                        issi liye now i realised (hamesha deyr sey hi realise hota hai :hehe: ) key at first place mujhey tareekhi point pey reply kerna hi nahi chahiye tha....till saari cheezein mujhey khud clear na ho jayein

                        magar do consider my other points inshAllah
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: firqa aur haqeqat.

                          bhi aap beshak shi'aa hain lakin buhat acha laga keh aap nay is per koi fazool kisam ka sawaal nahi kiya.aur yahi aap kay akalmand honay ka saboot hai.
                          rahi baat yeh keh ''shi'aa ulma'' ka asal kia maokaf hai woh aap ko malom kerna chahiyae.jaisa keh aap nay kaha keh aap ki jab bhee kisi say bahas hui too us nay aap ko yahi kaha keh yeh baat aap kay ulma ko pata ho gi.
                          too meray bhi kuch na kuch too hai na keh jab bhee aap ki kisi aisay admi say baat hui jo keh shi'aa nahi tha us nay aap ko apkay ulma kay baray main yeh baat kahi.
                          bhi jaisa keh aap jantay hain keh ''tehqeeq'' kerna achi baat hai aur allah is ko pasand fermatay hain.allah fermatay hain
                          ''aye emaan waloo mujh tak poohanchanay ka waseela talash karoo.''
                          to meray bhi main aap ko tehqeq ki dawat daita hon.faisla aap nay kerna hai.
                          main yahan kuch nahi kahoon ga kion keh yahan per buhat say kam feham log hain jo is bahas main lazmi bhatak sactay hain.main apna e mail address likh raha hon aap mujh say rabita kerain.main aap ko inshaallah woh ''kitaab'' ka nam don ga jis main aap hee kay ulma nay kia kia likha hua hai.
                          sorry main yahan us kitaab ka nam nahi likh sacta.plz
                          sirf doosray perhnay waloon ka khial hai.aur jaisa keh aap nay koi galat sawaal nahi kia aap mujhay akalmand lag rahay hain aur aap yaqeenan 'sach'' ko paa lain gay.lakin shert yeh hai keh.aap ko haqeeqat pasand hona paray ga.jaisa keh aik ''empire'' hota hai match kay dooran.
                          so
                          sab_say_achi_tanhai@yahoo.com is my e mail address.im waiting.jab aap nay ana ho aap yahan per reply main jawaab likh dain.
                          Fight for Khilafah
                          :insha:

                          Comment

                          • #14
                            Re: firqa bandi ki haqeeqat?

                            meri bahan aap nay apni galti ko maan ker buhat baray ''aala zaraf'' honay ka sabot diya hai.i like it.
                            aur aik baat aur meri bahan keh yaad rahay koi aisa sawaal na poochiyae ga keh ''doosray perhnay walay kahain aur bhatak jain'' plz.yani koi falttoo type aap samajh gai hon gi.ager koi sawaal aap ko tang ker raha ho too mujhay alag say bejh dain main aap ko jawaab bhee alag say don ga.okz
                            Fight for Khilafah
                            :insha:

                            Comment

                            • #15

                              If would like to ask you anything i'll put it here inshAllah
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X