Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

    "Behtrin dost apni mehbooba ko tohfa dene ko ahmiyat nahin rakhta wo to pyar ka deewana hota hai..."

    Aaj Marketism ka zamana hai, har chiz bikao ho gayi hai, yehan tak ki Muhabbat jaisa paak rishta bhi bikta hai, Valentine Day ke naam pe issey saja kar becha jaata hai, Greeting cards, cakes, flowers and several gift items... Muhabbat ke izhaar ke liye jazbaat nahin TOHFEY ahmiyat rakhne lage hain. Muhabbat ko samajhna bhale hi mushkil ho, per iski zaroorat hamesha rahi hai, aur sab ko rahi hai, Muhabbat sab ko chahiye, har koi Muhabbat ki chahat rakhta hai, to phir Valentine Day celebrate karne se kaisa etraz, kaisa rok.

    Muhabbat ek aisa rishta hai jo har rishtey se badhkar hai, iss se dilon ka mail hota hai, Muhabbat veeraney ko gulsitan bana deta hai, ham Asian hain chahey wo Pakistani ho, Hindi ho ham baat karenge Muhabbat ki Valentine Day ke aad mein, ham unn goron ki naqal nahin kar rahey. Aur phir koi zaroori to nahin ke yeh pyar ka offer aashiq aur maashooq wali hi ho...achha dost bhi ho sakta hai.

    Yeh waho mauqa hota hai jab ham apne dil ki baat, ya umadtey jazbaat kisi ko batane ya ek dusrey se share karney ka rights dete hain, zamana badal gaya hai aur logon ko apni soch bhi badal deni chahiye.

    Jo log Valentine Day ka mukhalfat kar rahey hain to unse main yehi kahoonga ke har insaan apni izzat aur pehchan ka zimmedar khud hota hai, Valentine Day ek aisa celebration hai jab log pyar muhabbat banTey hain, jaise aur tayoharon mein baanTtey hain, youngers ke liye iss se badh kar koi tayohar nahin ho sakta kyon ke YOUNG pyar nahin karenge to koun karega. Yeh depend karta hai ke Valentine Day ko aap kis tarah celebrate kartey hain, Valentine Day ke aad mein koi ghalat fa'al na ho jaye...ye soch lena chahiye.

    Students convent english medium school mein padhtey hain, english sikhna to ghalat baat nahin, Mother Day, Women Day, Teachers Day, AIDs Day, Labor Day, Children Day, Fathers Day, sabhi to manatey hain, Angrezon ki aisi culture apnaney mein koi nuqsan nahiin to Valentine Day ka oppose kyon kartey hain. Aisi chizon ka mukhalfat karen jis se hamarey aur hamarey qaum, aur society ko nuqsan pahunchta hai.

    Gud khaye aur gulgule se parhez...

    :rose :rose

    Spy009
    Feb 14, 2006
    1440 Hr
    Last edited by Spy009; 14 February 2006, 13:42.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

  • #2
    Re: Valentine Day, Gud Khaye Aur Gulgule Se Parhez

    KHUSH RAHIYYE

    In the case of any contradiction me here always!:salam:

    Comment

    • #3
      Re: Valentine Day, Gud Khaye Aur Gulgule Se Parhez

      Originally posted by Jhumroo
      Its has become, just like Christmas, a commercial Enterprise for rich corporations to make more money and exploit the sentiments of the occasion. Its their greed that has turned these socio-religious events into a money making fiasco.

      ME HERE is RIGHT, its the immorality and evil design of the western culture that shaitaan makes it so attractive for us to resist.

      May Allah protect us all. aameen.

      Thx 4 ur support!!!
      when muslims r celebrating VALENTINES DAY with full enthusiesm they r actually fulfilling the AIM of christians 2 deviate MUSLIMS 4om their way...n also they r trying 2 cross certain xtents of their RELEGION

      Comment

      • #4
        Re: Valentine Day, Gud Khaye Aur Gulgule Se Parhez

        Assalaam o alekum,

        Well said baarish aapnien bahoot khoob aur barhiyaa andaaz mien western culture ko bayaan kiyaa jisske hum kaafi hud tak deewaanien ban chuke hain good work keep it up khush rahien :thmbup: :thmbup: :thmbup:
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment

        • #5
          Re: Valentine Day, Gud Khaye Aur Gulgule Se Parhez

          Itney bhi Valentine nahin hain ham
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment

          • #6
            CURRENT: Valentine Day or Cheaper Love

            Koi kisi ko pyar karta hai to ismey burai kaisi, rok tok kaisa,

            Valentine day ke naam pe muhabbat ka sadkon, bazaron aur galiyon mein tauheen ho raha hai

            Last edited by Spy009; 14 February 2007, 10:33.
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: Valentine Day or Cheaper Love

              well said spy :thmbup:

              issi liye ye bas fun day hota hai :hehe:

              im missing my college ....:$
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

                assalam_u_allakum.
                aaj Main Aap Ko Aik Aisay Din Yani ''valenitine Day'' Kay Baray Main Batata Hon Jisay Hamari Qoom Baray Fakhar Say Manati Hai.is Ki Haqeeqat Kia Hai.?
                ''yeh Din Essaiyyat Mazhab Kay Perokkar Saddion Say Mukhtalif Toor Tareeqon Say Manatay Aye Hain Hain.is Din Ka Nam Aik Kathulak Paadri
                ''saanit Vallentine'' Kay Nam Per Rakha Gia.
                yeh Essaiyon Ka Bara Paadri Jis Kay Nam Say Yeh Din Mansoob Hai Teesri Saddi Main Aik Charch Main Paadri Tha.yeh Aik Baray Waqay Kay Baad Mashhoor Ho Gia Tha.aur Yeh Waqia Yeh Hai
                ''jab Qaisra_e_room Kalavodais Dom Nay Soldiers Ki Merriages Per Pabandi Laga Dee Thi.aur Jin Ki Shaadian Ho Chuki Thin Un Ko Mansookh Ker Diya Gia.woh Is Liyae Keh Usay Apnay Jangi Maqasad Puray Kernay Kay Liyae Soldiers Nahi Miltay Thay.aur Us Ka Khiaal Tha Keh Yeh Soldiers Kion Keh Shaadi Shuda Hain Aur Yeh Apni Wifes Say Alag Nahi Hona Chahtay. Is Waja Say Yeh Apni Duty Sahi Nahi Day Sactay.aur Ghair Shaadi Shuda Soldiers Apni Duty Sahi Tareeqay Say Kertay Hain.
                lakin Us Eessai Paadri Yani ''sannit Vallentine Ko Yeh Baat Achi Na Lagi.us Nay Aisa Kia Keh Us King Kay Khillaf Bagawat Ker Dee.aur Logon Ki Chori Chupay Shaadian Kerwanay Laga.jab Badshah Ko Is Baat Ka Ilam Hua Tooo Us Nay Paadri Ko Apnay Paas Bulwaya Aur Us Say Is Baat Ki Wazahat Talab Ki.lakin Yeh Paadri Us Badshah Ko Mutmain Na Ker Saca.valentine Ko Arrest Ker Liya Gia Aur Phaansi Day De Gai.us Paadri Ko ''14 February 270 Ad'' Ko Phaansi Di Gai Aur Usay ''teerana'' Main Dafan Kia Gia.
                yaad Rahay Keh Rooman Log ''duottaon'' Ki Puja Kertay Thay Aur Eesaiyyat Ko Nahi Mantay Thay.
                jab ''kanstantain'' Room Ka King Bana Too Us Nay Eessaiyyat Ko Riyyasat Ka Mazhab Qarar Diya.aur Phir 496 Ad Main ''poop Gillasis'' Nay Is Paadri Ki Yaad Main Is Din Ko Aik Tehwaar Kay Toor Per Manay Ki Bunyaad Rakhi.jo Aaj ''vallintnie Day'' Kay Nam Say Manaya Jata Hai.
                baray Afsso Ki Baat Hai Keh Hum Un Kay Aik Essai Paadri Kay Nam Per Yeh Din Manatay Hain.
                kia Woh Log Bhee Hamaray Kisi Baray ''shakhsiyyat'' Kay Nam Per Koi Din Manatay Hain? Phir Hum Ko Kia Pari Hai Keh Hum Un Kay Tehwaar Celebrate Karain.?
                hum Kis Taraf Ja Rahay Hain?????????????????
                Fight for Khilafah
                :insha:

                Comment

                • #9
                  Re: IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

                  thx 4 the info bhai:)
                  KHUSH RAHYEE!
                  WASALAM!

                  Comment

                  • #10
                    Re: IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

                    Originally posted by abdulwahab View Post

                    hamein valentine day nahi manana chahiye yeh to mein manta hoon

                    lekin yaar aik baat bata ST. Valentine ne kia kaam ghalat kia...kis usay ke is jurat-mandana kadam ko sarahna jana nahi chahiye :lpop:
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: Valentine Day or Cheaper Love

                      Well Said!:clap:
                      we must bouycott valentines day

                      Comment

                      • #12
                        Re: IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        hamein valentine day nahi manana chahiye yeh to mein manta hoon

                        lekin yaar aik baat bata ST. Valentine ne kia kaam ghalat kia...kis usay ke is jurat-mandana kadam ko sarahna jana nahi chahiye :lpop:
                        lolzZ nice point bhai:D
                        waqai he did a nice job

                        Comment

                        • #13
                          Re: IN4MATION: Vallentine Day Ki Haqeqat..

                          meri nazar mein ST. Valentine ki ijat aur bhi bhar ghai he :heh:
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: CURRENT: Valentine Day or Cheaper Love

                            is ke ilawa mein ne suna he ke held kashmir aur karachi mein kul litter koot hua...tanzeemon ne couples ko dhoond dhoond ke phainti lagai :hehe: kia scene ho ga :lol
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: CURRENT: Valentine Day or Cheaper Love

                              Bohat acha likha Hai or Such lika aik baat Bohat Bheyanak hai or Buri b lakin Bohat Soch ki bat kay.....

                              14th FEB = Valintine Day n 14th NOVEMBER = Children Day ...????????

                              Kia Yeh Kafiroon kay saray Plane ka Moh Bolta Saboot nahe kay Valintine Day kay Asal Maqasid kia hain ???????

                              Comment

                              Working...
                              X