"Behtrin dost apni mehbooba ko tohfa dene ko ahmiyat nahin rakhta wo to pyar ka deewana hota hai..."
Aaj Marketism ka zamana hai, har chiz bikao ho gayi hai, yehan tak ki Muhabbat jaisa paak rishta bhi bikta hai, Valentine Day ke naam pe issey saja kar becha jaata hai, Greeting cards, cakes, flowers and several gift items... Muhabbat ke izhaar ke liye jazbaat nahin TOHFEY ahmiyat rakhne lage hain. Muhabbat ko samajhna bhale hi mushkil ho, per iski zaroorat hamesha rahi hai, aur sab ko rahi hai, Muhabbat sab ko chahiye, har koi Muhabbat ki chahat rakhta hai, to phir Valentine Day celebrate karne se kaisa etraz, kaisa rok.
Muhabbat ek aisa rishta hai jo har rishtey se badhkar hai, iss se dilon ka mail hota hai, Muhabbat veeraney ko gulsitan bana deta hai, ham Asian hain chahey wo Pakistani ho, Hindi ho ham baat karenge Muhabbat ki Valentine Day ke aad mein, ham unn goron ki naqal nahin kar rahey. Aur phir koi zaroori to nahin ke yeh pyar ka offer aashiq aur maashooq wali hi ho...achha dost bhi ho sakta hai.
Yeh waho mauqa hota hai jab ham apne dil ki baat, ya umadtey jazbaat kisi ko batane ya ek dusrey se share karney ka rights dete hain, zamana badal gaya hai aur logon ko apni soch bhi badal deni chahiye.
Jo log Valentine Day ka mukhalfat kar rahey hain to unse main yehi kahoonga ke har insaan apni izzat aur pehchan ka zimmedar khud hota hai, Valentine Day ek aisa celebration hai jab log pyar muhabbat banTey hain, jaise aur tayoharon mein baanTtey hain, youngers ke liye iss se badh kar koi tayohar nahin ho sakta kyon ke YOUNG pyar nahin karenge to koun karega. Yeh depend karta hai ke Valentine Day ko aap kis tarah celebrate kartey hain, Valentine Day ke aad mein koi ghalat fa'al na ho jaye...ye soch lena chahiye.
Students convent english medium school mein padhtey hain, english sikhna to ghalat baat nahin, Mother Day, Women Day, Teachers Day, AIDs Day, Labor Day, Children Day, Fathers Day, sabhi to manatey hain, Angrezon ki aisi culture apnaney mein koi nuqsan nahiin to Valentine Day ka oppose kyon kartey hain. Aisi chizon ka mukhalfat karen jis se hamarey aur hamarey qaum, aur society ko nuqsan pahunchta hai.
Gud khaye aur gulgule se parhez...
:rose :rose
Spy009
Feb 14, 2006
1440 Hr

Comment