Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Islam aur Ham??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Islam aur Ham??

    Originally posted by abdulwahab View Post
    MASOOD BHI AAP MUJHAY BATAIN KEH
    '' KIA HAMARAY MUASHRAY MAIN ROSHAN KHIALI KAY NAM PER YEH NAHI HO RAHA''
    MUSHARAAF KEHTA HAI KEH ROSHAN KHIALI KEH LIYAE YEH ZAROORI HAI YANI MARATHAN RACE AUR WOH BHEE MAKHLOOT''
    MUJHAY MALOOM HAI ROSHAN KHIALI KA MEAN KIA HAI.LAKIN HAMARAY HUKMARAN US ROSHAN KHIALI KO NAHI MANTAY JIS KO AAP AUR MAIN KEH RAHAY HAIN.
    ROSHAN KHIALI HAI SIRF ILAM MAIN
    NAHI MILNI KISI KO YEH ANGRAIZ KAY DERBAR MAIN.

    Main ney aap ki sari reply nahin parhi - magar main aap ko subject sey hat ker baat karney ki ijazat nahin dey sakta - yahan per Musharraaf ka koi kaam nahin woh bhi aaey to main ussey nikaal doon ga Yahan per siraf jo sawaal Yellowsky ney kiya hai us per baat karein.... aur jo roshan khiyali main ney kahi hai woh siraf ISLAM ki ROOH ko pehchaneney wali baat hai - yeh Musharraf wali nahin - so please stick to the subject.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #47
      Re: Islam aur Ham??

      Originally posted by abdulwahab View Post
      Lakin Meri Behna
      Hum Kab Akhatay Hon Gay?
      Ab :insha: isi thread mein ham US (sey murad USA nahin) tareeqey ki taraf bharein gey jis per chaltey huwey ham aik ho saktey hain....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #48
        Re: Islam aur Ham??

        Originally posted by abdulwahab View Post
        Lakin Meri Behna
        Hum Kab Akhatay Hon Gay?
        Jab hum Islam ko seekhna shuru ker dein .........us Islam ko jo key Waqai Islam hai(is pey inshAllah mey baat zaroor karun gi)

        issi liye mey ney yahan sab sey yahi sawal poocha tha key

        "agar aap sey poocha jaye key Islam kya hai to aap kya jawab do gey"

        ab aap mujhey pehley is ka jawab do gey inshAllah:thmbup:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #49
          Re: Islam aur Ham??

          Originally posted by yellowsky View Post

          Yani itni postings key baad bhi ham wohi key wohi kharrey hain :p
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #50
            Re: Islam aur Ham??

            Originally posted by yellowsky View Post
            Jab hum Islam ko seekhna shuru ker dein .........us Islam ko jo key Waqai Islam hai(is pey inshAllah mey baat zaroor karun gi)

            issi liye mey ney yahan sab sey yahi sawal poocha tha key

            "agar aap sey poocha jaye key Islam kya hai to aap kya jawab do gey"

            ab aap mujhey pehley is ka jawab do gey inshAllah:thmbup:
            ISLAM NAM HAI SIRF AUR SIRF ALLAH KO PEHCHANNA
            Fight for Khilafah
            :insha:

            Comment

            • #51
              Re: Islam aur Ham??

              Originally posted by Masood View Post
              Ab :insha: isi thread mein ham US (sey murad USA nahin) tareeqey ki taraf bharein gey jis per chaltey huwey ham aik ho saktey hain....

              WOH AAP KAHAN SAY DAIN GAY ?
              Fight for Khilafah
              :insha:

              Comment

              • #52
                Re: Islam aur Ham??

                Originally posted by abdulwahab View Post
                ISLAM NAM HAI SIRF AUR SIRF ALLAH KO PEHCHANNA
                Gustakhi muaf sir - aap ghalat kah rahey hain!!!! Islam SIRAF Allah ko pehchanena nahin!!!
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #53
                  Re: Islam aur Ham??

                  Originally posted by abdulwahab View Post
                  ISLAM NAM HAI SIRF AUR SIRF ALLAH KO PEHCHANNA
                  ahan

                  Hamien kaisey pata key hum Allah ko kaisey pehchaanein??
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #54
                    Re: Islam aur Ham??

                    Originally posted by abdulwahab View Post
                    WOH AAP KAHAN SAY DAIN GAY ?
                    Just wait - aur last time yeh warning aap ko di jaa rahi hai keh CAPTIAL wording mein na likha karein ....
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #55
                      Re: Islam aur Ham??

                      Originally posted by Masood View Post
                      Gustakhi muaf sir - aap ghalat kah rahey hain!!!! Islam SIRAF Allah ko pehchanena nahin!!!
                      hum allah ko pehchan sactay hain sirf aur sirf hazrat muhammad(pbuh) ki zindagi aur quran say.
                      aur aap kaisay keh sactay hain keh main galat hon?
                      explain plz.
                      Fight for Khilafah
                      :insha:

                      Comment

                      • #56
                        Re: Islam aur Ham??

                        Originally posted by abdulwahab View Post
                        hum allah ko pehchan sactay hain sirf aur sirf hazrat muhammad(pbuh) ki zindagi aur quran say.
                        aur aap kaisay keh sactay hain keh main galat hon?
                        explain plz.
                        Mohtaram Wahab - i think sab sey behtar yeh ho ga keh jo sawaal Yellowsky ney aap sey kiya hai, pehley aap us per roshni daalein keh Hamien kaisey pata key hum Allah ko kaisey pehchaanein?? aur yeh keh "agar aap sey poocha jaye key Islam kya hai to aap kya jawab do gey"

                        Main apni tashreeh baad mein karoon ga - pehley main aap ki soch janena chahta hoon ... so pelase go ahead
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #57
                          Re: Islam aur Ham??

                          Originally posted by Masood View Post
                          Mohtaram Wahab - i think sab sey behtar yeh ho ga keh jo sawaal Yellowsky ney aap sey kiya hai, pehley aap us per roshni daalein keh Hamien kaisey pata key hum Allah ko kaisey pehchaanein?? aur yeh keh "agar aap sey poocha jaye key Islam kya hai to aap kya jawab do gey"

                          Main apni tashreeh baad mein karoon ga - pehley main aap ki soch janena chahta hoon ... so pelase go ahead

                          masood sahib inshaallah main bhee kal hee apni tashreeh karoon ga .
                          Fight for Khilafah
                          :insha:

                          Comment

                          • #58
                            Re: Islam aur Ham??

                            Originally posted by abdulwahab View Post
                            masood sahib inshaallah main bhee kal hee apni tashreeh karoon ga .
                            :thmbup:

                            :insha:
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #59
                              Re: Islam aur Ham??

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              Itney payarey madhab key hum ney 1000 tukrey ker diye hein? Hamarey Ulma ney issey itna interpret kiya hai key hamein wo Islam jo Prophet Muhammad(s.a.w) ney seykhaya tha kaheen nazar hi nahi aata hai---Hamein ye to kaha jata hai key namaz perho ? magar ye nahi bataya jata key kyun perho? hamein ye bhi nahi bataya jata key Islam ka aghaaz sirf namaz perhney sey nahi hota hai balkey is sey pehley bhi bohot kuch kerna hota hai? Hamein bachpan mey Quran seykhaya jata hai leykin sirf Perhna? aur poori zindagi hum issey sirf perhtey rehtey hein without knowing key jo kuch hum perh rahey hein us ka matlab kya hai?
                              filhaal mey issey yaheen khatam kerti hun

                              just pause for a while and think key hum kahan kharey hein?aur ye bhi key jab aap sey ye kaha jaye key Islam kya hai to aap us ka jawab kaisey do gey?

                              Sab sy pehly to main aap ko bata don k es main Ulma Ekram ka qat'an koi bee kasoor nahi hay aur jo kasoor hay wo hum sab ka apna hay
                              kiun k hum ny sab kuch Ulma ekram per choara huwa hay.....
                              Namaz sirf Ulma parha sakta hay
                              Namaz Jinaza aalim paraha sakta hay
                              Shadi main Nikah aalam perha sakta hay
                              Ger main koi bee Rasam hu os main Khatam shareef aik Molvi ya aalim hee ker skata hay........

                              Jab hum ny sab ko Un per chora hua hy to en per Elzam kiun?
                              Hum KHudh koi kaam kiun nahi karsaty...
                              Kia aik father apni beti ka NikaH khudh nahi parha sakta ....kia wo apny father ka namz jinaza nahi parha sakta?
                              Kia osy 6 kalma nahi atey..............aur mujy yakeen hay k jo loag namaz jinaza parr rahy huty hian 100 main sy siraf 10 ko hee ata huga k kaisa adaa kerna hay..........................any way Ulma Ekram ny jitna Islam k liy kaam kia hay Hum kabi bee UN per tanked nahi kar skaty thay are Great.

                              aur bakee rahi Baat Islam kee
                              K aap ny kaha hay k Humain Jo Hazrat Muhammad SAWW Ny Islam dia hay wo to aaj nazer hee nahi araha hay....................
                              TO es k bary main yeh kehna chahoon ga k ab hum main jo Islam hay
                              wo ya to Imam Abu hanifa ka hay ya imam shafee ka ya pher Imam Jafar sadiq ka.............................(yehan per aik alag behes chirr jay gee:khi: )
                              Personaly main siraf wo islam ko manta hun Jo main ny Hazrat Muhammad SAWW k bary main suna hay ya pher wo jo mera dill manta hay...
                              Kiun k jaisa k quran main hay k Apps main tafarka main na paroo.....
                              to ager hum kisi main maslak main jain to yeh firka bandi hay jo ALLAH
                              Ny bilkul hee mana frmaya hay to pher hum Khuda k Hukam kee khilaf warzi ker rahay hain.
                              aur chalian ager hum Sunni siraf firka kee baat karain to es main bee agy aik Imam dosri kee dalil ko radd ker raha huta hay...............aur bee siraf apny zati ejtihad per................to pher hum kia karian gy? jab apny hee Imam aaps main ulj rahy hain?
                              ager hum ny es dunia man aur alam Islam main Yakta hun hay to humain
                              as Insaan rehna huga.....meri baat main zra ghoor karian
                              as insaan................pher as muslim............
                              jab tak hum aik achy insaan nahi hungy aik acha Muslim nahi hu sakty...aur ager hum Ik Insaan huker sab k bary main sochy gy to acha hee sochy gy
                              mager jab hum aik Muslim ban ker sochty hain to siraf dosry muslim k bary main hee sochty hian..................hamary diloon main bakee mazahib k liy nafrat hay...........ager hum as Insaan sochy gy to wo nafrat humain nazer nahi aye gee..inshaALLAH...

                              hamra pegham muhabbat huna chayee jaisa k hamary tamam Sofia Ekram ka tha...Tmama Insaniyat k liy muhabbat..............
                              Thanks
                              Thats all.

                              Comment

                              • #60
                                Re: Islam aur Ham??

                                Originally posted by yellowsky View Post
                                Itney payarey madhab key hum ney 1000 tukrey ker diye hein? Hamarey Ulma ney issey itna interpret kiya hai key hamein wo Islam jo Prophet Muhammad(s.a.w) ney seykhaya tha kaheen nazar hi nahi aata hai---Hamein ye to kaha jata hai key namaz perho ? magar ye nahi bataya jata key kyun perho? hamein ye bhi nahi bataya jata key Islam ka aghaaz sirf namaz perhney sey nahi hota hai balkey is sey pehley bhi bohot kuch kerna hota hai? Hamein bachpan mey Quran seykhaya jata hai leykin sirf Perhna? aur poori zindagi hum issey sirf perhtey rehtey hein without knowing key jo kuch hum perh rahey hein us ka matlab kya hai?
                                filhaal mey issey yaheen khatam kerti hun

                                just pause for a while and think key hum kahan kharey hein?aur ye bhi key jab aap sey ye kaha jaye key Islam kya hai to aap us ka jawab kaisey do gey?

                                Xenya ya jo bhi naam he tumhara...aik baat mein ne note ki wo yeh ke tum kafi sensible larki ho...PG pe sensible larkiyon ki bohat kami he...anyways comming to the topic.

                                Tum ne bilkul sahi kaha, hamein Quran perhaya jata he samjaya nahi jata, hamein yeh nahi pata ke hamra deen start kahan se hota he aur khatam kahan pe...chand din pehlay mein ne apni aik cousin ko visit kia jis ka betha hifz-e-Quran ker raha he...mujay dekh ke booli dekho aamir mere beta kitni achi talawat kerta he...usay ishara kerne ki der thi ke us ne pata nahi mujay kia kia suna diya...mein ne poocha ke kia tujay is ka terjma bhi aata he. meri cousin booli ke wo quran hifz ker raha he yeh kum he kia jo terjma bhi yaad karay...yeh to haal he hamari koom ka...taleem ki kami, aur saath mein akal ki bhi kami. Quran ke baray mein ager soocha jaye ke yeh kia he aur kyoon he, to hamein pata chalta he ke yeh Allah Taalah ka peegham he jo insaanon ke liye he...ager insaan arabic perh ke sawaab hasil karein aur asal pegham ko samajnay ki kooshish he na karein to aap khud he aisi koom ki zehni pasmandgi ka andaza laga sakti hein. Yaani jis maksad ke liye Quran baija gaya, wo maksad he pura nahi ho raha...ager sub musalman Quran ko sahi tareekay se samaj ke perh lein to mere nahi khyaal ke firka wariyat ke naam - o- nishan bhi rahay ga. Asal cheez he zehan ki pukhtgi...Andha yakeen sirf Khuda ki zaat ke kisi pe nahi kerna chahiye...her cheez ko samajna chahiye...justaju honi chahiye...loog soochna shuru ker dein...loogon mein aagahi paida ho gi...shaoor janam le ga...aur phir sabi loog Aik he Quran talay jama ho jaein ge. loogon ko shuru se he proper guidance chahiye, ta ke wo bhatkein nahi...aur yeh kaam aik aurat ker sakti he, apnay buchay ko tarbiyat de ke. lekin ager maan he un-perh na samaj ho gi to moaashra to gumrah ho ga he.
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X