Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Islam aur Ham??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: Islam aur Ham??

    Mazhab sabse achha aur sachha, but qaum sabse ganda

    1.) Aaj daarhi topi wala musalman ko Laden ki factory wala aadmi kaha jata hai...kyon

    2.) Terrorist musalaman hai, dusrey qaum kyon nahin, (jabke dusrey qaum bhi hain) kyon

    3.) Media ke nazron mein musalmano ka image daaghdaar hai kyon

    4.) Apney mu'ashray mein ameeri gharibi ka khai hai,

    5.) shadi, ya party mein kahan hai Islamic Sunna

    6.) Paise aa gaye to 4-6 shadiyan kar liye aur kahtey hain Islam mein jayez hai, (lekin 4 kis condition pe jayez hai wo nahin maaloom)

    7.) Ghair qaumo ki naqal kartey hain, birthday se lekar velentine day tak celebrate kar jaatey hain aur kahtey hain ghair qaum bura hai

    naa janey kai sawal hain agar ghaur se neutral ho kar study karen to payenge ke ham auron ke banisbat gandey qaum hain, to huwa na Islam ka image kharab...yeh burai nahin mitt sakti.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #92
      Re: Islam aur Ham??

      Burai mitegi bhi nahin...kyon ke jab Qayamat hoga tab (log kahtey hain) puri duniya mein Musalman qaum hogi

      to zahir hai musalman qaum hogi to burai hogi, corruption hoga, imaan wala banda nahiin hoga tabhi to qayamat hogi
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #93
        Re: Islam aur Ham??

        Hum 5 waqt namaz kya padh liye, thodi si Hadith, aur tafseer kya padh liye ke apne aap ko scholar, parhezgaar, aur mutaqqi samajh baithey
        Ghair qaum ham se zyadah muttaqqi aur aabid hai, rah gayi baat k unko koi tareeqa bataney wala nahin mila how to pray and whom to pray, otherwise they believe in God, and they afraid.

        Musalman to haath mein Quran sharif le kar qasam bhi kha jatey hain

        Allah bachaye
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #94
          Re: Islam aur Ham??

          Asalam alaikum Respected Members,

          Meyra aap logon sey sawal tha "agar aap sey koi poochey key Islam kya hai to aap log kya jawab do gey" :)

          aur aap sab logon ney issey itna mushkil sawal kyun liya key jawab deyney key liye muhlat chaiye thi ??
          Islam= Quran and Sunnah
          is mey mushkil kya thi ? :)

          anyways mey bas is topic ko sum up karun gi- inshAllah


          Ham ye baat jaantey hien key islam Allah ka behtareen deen hai


          "Aaj mey ney tumharey liye tumhara deen mukammal ker diya aur tum per apni neymat poori ker di aur Mey ney tumharey liye Islam ko deen pasand kiya" (Al-Maida :03)


          hum behtareen deen key maan'ney waley hein aur phir aik jaga farmaya





          hum ummat kis ki hein Muhammad (s.a.w) ki............behtareen nabi ki behtareen ummat


          aik baar Raool ALlah (s.a.w) ro parhey sahaba(r.a) key istefsaar pey Rasool ALlah (s.a.w) ney farmaya "im missing my brothers" sahaba (r.a) ney arz kiya "ya Rasool ALlah (s.a.w) we are your brothers" aur aap (s.a.w) ney farmaya " mey un logon ko miss ker raha hun jinhon ney mujhey deykha bhi nahi ho ga aur wo mujh pey Imaan rakhtey hon gey"

          ye tha un ka payaar hamarey liye---issi tarhan aap logon ko Mir'aaj ka bhi pata ho ga --jahan hamein namaz as a gift mili

          Aaj Musalmaano pey bohot ajeeb waqt hai----hum log kehtey hein "islam is a complete code of human life" but do we really mean it when we say this line?? phir hamein ye bhi pata hai key "namaz her buri baat sey raukti hai" leykin in reality kya hai? jo log namazein perhtey hein wo log burey kaam bhi ker rahey hein--hum log behtareen ummat hotey huye---behtareen deen per hotey huye ---dunya ki most opressed Qaum hein---jis ka jab ji chaha, jaisa ji chaha musalmano ko keh gaya
          kya aeysa nahi hai?

          ab ghalti kahan hai ? kya hamara deen ghalt hai ? Nahi, bilkul bhi nahi wo is liye key jo waqai followers of islam they un key liye ye sab baatein ma'ini rakhti thien aur wo in ko apni practical life mey deykhtey they mehsoos kertey they---kin baaton ko ? inhi ko

          -namaz her buri baat sey raukti hai
          -etc

          An anecdote about Hazrat Ali should better illustrate the point. Once in a battle an enemy arrow stuck in his heel. It was giving him acute pain but he would not permit the arrow being pulled out. Apprehending the onset of infection and to relieve his pain, friends went to the Prophet (S.A.W.) for advice. The latter told them to pull it out when Ali went into prostration (sijda). The instruction was followed. The arrow was extracted and Hazrat Ali continued in his supplication undisturbed. He discovered it only at the end of his prayers what had happened.
          .


          kya hum aam musalman aeysa kuch mehsoos ker saktey hein? kya hum aam musalman namaz perhtey huye itna absorb hotey hein? ya phir hum log Quran perhtey huye ye mehsoos kertey hein?

          "Allah ney behtareen bayan nazil kiya hai, aik kitaab jis ki baatein milti julti hain aur baar baar duhra'i jati hain' jis sey un logon key badan key rongthey kharey ho jatey hein jo apney Rab sey dartey hein ' phir un key badan aur un key dil Allah ki Yaad key liye naram ho jatey hein-ye Allah ki heydayat hai ----------"(Al-zumar:23)

          Now its time to pause and ponder and think where exactly is the fault?

          Today we muslims are angry---ham logon mey angreyzon key liye ghussa aur nafrat bhari hui hai --kyun? us ki aik waja ye hai key unhon ney Musalmano key hi saari Aloom hasil ker key (keep in mind the old times --Muslim scientists) aaj wo poori dunya per hakoomat ker rahey hein wo bhi her field mey------aur Musalmaan khud kahan kharey hein? aaj apney weapons bhi hum unhi logon sey khareed rahey hein jin key khilaaf hum issey isteymaal kerney key haq mey hein

          kya aeysa nahi hai?


          Ab hum musalmaan aaj ghussey mey kya ker rahey hein ?? suicide bombing...............violant protests...........kya yahi tareeka hai apni halat durust kerney ka?
          kya yahi sab kertey huye hum is baat ki ummeed rakh saktey hein key aik din Islam ki fatah ho gi?
          fatah kab aur kaisey ho sakti hai
          baqaul Iqbal


          Ab time hai key Hum Musalmaan thandey dil aur damagh sey sochein ----ta key ham aik raasta nikaalney mey kamyab hon wo rasta jis pey chal key hum waqai Musalmaan kehalwa'ein
          waisey hi Musalmaan jin key naam sey hi dushman laraz jatey they


          ab hamein waqai change hona hai----waqt key sath chalney key liye----Islam her zamaney key liye aya hai------is liye hum deen key sath chal saktey hein is daur mey bhi ------leykin issey implement kaisey kerna hai ye diff. ho ga back in 1st hijra----i really dont know how to say it but i hope that inshAllah u ppl will get my point?


          agar hum issi tarhan frustrated rahein jaisey key aaj hein aur issi tarhan apna ghussa nikaltey rahein ..........suicides ker key ...logon ko maar key apney aap ko maar key to kya ho ga? hum log kabhi kamyaab nahi ho saktey hien---haan albata ye ho sakta hai key Islam ka image kharab sey kharab tar hota ja raha hai


          ghussey mey hum koi kaam nahi ker saktey hien----------ghussey mey aik insaan sahih nahi soch sakta hai ---------jab wo sahih soch nahi sakta to sahih qadam bhi nahi leyta hai
          issi liye thora sa time nikalein -----sochein thandey damagh sey ----------key Aaj hum kahan kharey hein ------aur behtar sey behtar hum kaisey ho saktey hein-------hum behtareen ummat kaisey ban saktey hein (in reallity)
          and keep in mind

          "learn to Rule yourself if you want to Rule the world"


          Stick to Quran and Sunnah ---- get ur education coz today we need engineers , doctors , scholars, teachers ..............we need our muslims to be excelled in diff. fields


          May Allah protect us --- help us ---make easy for us-------and guide us to the straight path Ameen:rose
          Last edited by Z.; 19 February 2007, 01:33.
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #95
            Re: Islam aur Ham??

            Ab thamad me nayi aata tya talen
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment


            • #96
              Re: Islam aur Ham??

              Originally posted by Spy009 View Post
              Ab thamad me nayi aata tya talen
              -------???
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              Working...
              X