Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ARTICLE: Marathon Race

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ARTICLE: Marathin Race

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    kam az kam maiN nay hakim ko beqasoor nahee kaha....!!, mery kehnay ka maqsad yeh thaa kay insaan maiN bhi "sha'ur" hona chaheay, jab Allah nay yeh bhi farmaya hai kay "Jo nabi (s.a.w.w) daiN usay lay lo aur jis say mana kardaiN ruk jao" to ab kisi kay peechay laThi lekar bhagnay say kuch faida nahee, "Allah jis kay diloN par qufl lagaiy" yeh to suna he hoga aap nay, to jab Allah nay kuch kay diloN par qufl laga deay haiN aur unhaiN kuch samajh nahee aata to phir aap jesay un qufl zada logoN (like musharraf) say itni tawaq'oat he kioN rakhtay haiN....?? agar usay aqal hoti to woh yeh kaam karta he kioN....?? maiN, masood, khalil, aur aamir yeh he baat keh rhay haiN kay marathon honi chaheay yeh Sports hai laikin hum maiN say koi bhi makhlot marathon kay haq maiN nahee hai, aur yeh baat ab aap ko samjh leni chaheay....!!



    to goya aap nahee chahtay kay aam muslman kay pass bhi woh sha'ur aur taleem ho jo aik Aalim kay pass hay....?? kam az kam aap kay sawal say to aisa he lagta hai....!!, maiN phir woh he baat kehta hooN kay aam muslman ko bhi khud yeh sochna chaheay kay islam ki had he had hai is say aagay kuch nahee hai, agar islam maiN kisi cheez ki pabandi hai to yeh he aik mard-e-momin ki aazadi hai....!!, kam az kam maiN yeh nahee chahta kay agar kisi muhallay maiN paish imam bemar ho jaiy to wahan ba'jamat namaz bhi na ho sakay.....!!, ummid hai aap aakhri jumla samajh gaiy hongaiy...??



    agar maiN ghalat nahee to Allah nay waqai kuch logoN ko un kay haal par choR rakha hai......?? Allah nay kuch logoN ko dheel day rakhi hai.....?? Allah nay har basti maiN baRay baRay fitna'garoN ki rassi daraz kar'rakhi hai....?? man'na ya na man'na insani sawab'deed par he hai....!! chahay woh haq talash kar kay meraj paiy chahay zindgee kay mazay uRa kar jahan'num maiN dakhla lay lay....!!

    Agar aap ko ab bhi meri bataiN samajh nahee aaiN, to ma'zrat maiN aap kaysath mazeed behas nahee kar sakta, kioN kay aap meri humari batoN ko sirf mukhalfat ka chashma laga kar dekh rhay haiN, bajaiy is kay kay humari batoN par ghoor karaiN....
    MUJHY BHI AAP SE BEHAS KA KOI SHOUQ NAHEEN LEHAZA MAIN AAP KI GHARI GAI BAY JA TAWEELON MAIN SE KISI KA BHI JAWAB NAHEEN DON GA SHUKRIA...:rose :lpop:
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • Re: ARTICLE: Marathin Race

      Originally posted by aabi2cool View Post
      masood bhai ghussa mat kijiye khud aap bhi apni adaaon par zara ghour kijiye..

      aap ka ye jumla aur is ka ma,qabal ar ma, bad dono sarfraz qamar sahib ki taqreer ki wajha bany hain.....:wk

      Un sahib ney jo comment diyey hain woh meri baat ko NA'SAMAJHNEY ka nateeja hai. Agar aap ko meri baat ki samajh aai hai to aap mujhey btaein keh main ney is thread mein ya is forum per koi aik aisi post ki ho jis sey yeh sabit hota ho keh main PAKISTANI aur MAGHRIBI muashrey ko aik samajhta hoon??? Ya main us roshan khiyali key haq mein hoon jo Musharraf implement kar raha hai aur jis sey log nafrat apna farz-e-awleen samajh kar kartey hain???

      Main jis roshan'khiyali key haq mein hoon us per :insha: baad mein likhoon ga keh mera point of view kya hai ....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: ARTICLE: Marathon Race

        Meyra khayal hai aap dono fareeqeyn AIK hi baat ko do mukhtalif tareekey sey ker rahey ho??
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • Re: ARTICLE: Marathin Race

          Originally posted by munda_sialkoty View Post
          meri jaan murgi ke anday pehlay achi tarah sooch le ke magrib mein buraiyaan kia kia hein aur achaiyaan kia kia hein...buraiyoon ko choor ke un ki achaiyon ko follow karo...yeh waqt lakeer peetnay ka nahi...jo maazi mein hun ne taraki ki us ka aaj se koi leena dena nahi...aaj musalmaan pasmanda kyoon he, hamein yeh soochna he...aik lehaaz se dekha jaye to magrib walay hum se ziada akal mand bhi hein, ziada khush haal bhi hein, ziada technical bhi hein...lehaza un se inspiration bhi li jaa sakti he :lpop:
          loo jeee karr loo gallll waheee murghee kee eikk Tangg bhaiii west kee taqleed karnee hee kernee haiii aree babaaa main nee kabb kahaa haii kehh achaaii kee taqleed naa karoo achaaaii kee zaroor karoo magar hamaraa shanadar mazee bhee hamain yaad honaa chahieyy jabb yehh west muslims kee taqleed kerrtaa thaa .......
          agarr hamm apnee aap koo right kerr lain to hamain kisee kee bhee taqlleed kee zaroorat naheee :hathora
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • Re: ARTICLE: Marathin Race

            Originally posted by Masood View Post
            Un sahib ney jo comment diyey hain woh meri baat ko NA'SAMAJHNEY ka nateeja hai. Agar aap ko meri baat ki samajh aai hai to aap mujhey btaein keh main ney is thread mein ya is forum per koi aik aisi post ki ho jis sey yeh sabit hota ho keh main PAKISTANI aur MAGHRIBI muashrey ko aik samajhta hoon??? Ya main us roshan khiyali key haq mein hoon jo Musharraf implement kar raha hai aur jis sey log nafrat apna farz-e-awleen samajh kar kartey hain???

            Main jis roshan'khiyali key haq mein hoon us per :insha: baad mein likhoon ga keh mera point of view kya hai ....
            najanayy aap konsee roshankhialee kee baat kerr rahee hainnn joo hamaree samjh see bahirr haiiiiii jo aap present ker rahee hain
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment


            • Re: ARTICLE: Marathin Race

              Originally posted by sarfraz_qamar View Post
              loo jeee karr loo gallll waheee murghee kee eikk Tangg bhaiii west kee taqleed karnee hee kernee haiii aree babaaa main nee kabb kahaa haii kehh achaaii kee taqleed naa karoo achaaaii kee zaroor karoo magar hamaraa shanadar mazee bhee hamain yaad honaa chahieyy jabb yehh west muslims kee taqleed kerrtaa thaa .......
              agarr hamm apnee aap koo right kerr lain to hamain kisee kee bhee taqlleed kee zaroorat naheee :hathora
              waise yeh hammer kis khushi mein maar rahay ho miyaan :mm:

              lets come to the point...hum loog akser apnay aap ko magrib se compare kerte hein...lekin kabi yeh nahi soochtay ke un ki taraqi ka raaz kia he? kia waja he ke wo aaj puri dunia ko apni muthi mein kiye huay hein...ager hum mazi mein behtar thay aur aaj wo behtar hein to is ka matlab he ke hamaray maazi se unhoon ne sabak seekha hum ne nahi...comparison kerne mein kuch kabahatein bhi hein, jis mein sub se bari yeh ke hum inspiration lene ki bajay sense of jelousy develop ker lete hein...aap magrib ki takleed ki baat kerte ho to mera nahi khyaal ke islami dairakaar ke ander reh ke magrib ki takleed mein koi burai he...wo hunar mund loog hein...ager hum apnay huner-mund honay ko magrib ki takleed kehtay hein to hamein magrib ki takleed zaroor kerni chahiye.

              Ager magrib ki takleed aap kisi aur sense mein keh rahay hein to apna mookaf peesh keejiye...then i will respond you accordingly :)
              :thmbup:

              Comment


              • Re: ARTICLE: Marathon Race

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Madiha kanwal

                hum loogon ko jagah jagah ja ke roonay ki aadat per gai he...marathan aik healthy activity he, it has nothing to do with Laashein, purana waqt and so on...hum lakeer ko kub tak peet'tay rahein ge...jub ke puri duniya aagay berh rahi he..

                Islami iktdaar ka lehaaz rakha jaye to mein is race ke haq mein hoon...hamein apnay zehnon ko beemaar nahi kerna, zang nahi lagana...bulke duniya ke saath aagay berhna he...hope you get me
                Assalam o Alikum Bhai!:)

                well ISLAMI IKTIDAAR ka khyal rakhna matlab.........gals k liye ye nahi hona chahye n boys k liye hoona chahye?
                ya ager gals k lye ho to media coverage na ho?

                plz thoora xplain karin taky main apna opinion doon:blush:

                Comment


                • Re: ARTICLE: Marathon Race

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                  agar koi faisla hogaya ho to batado, takay maiN Ijazat day dooN :wk

                  :blush:

                  Comment


                  • Re: ARTICLE: Marathin Race

                    Originally posted by Khalil View Post
                    ap ny jo kaha tha k logon ka zyhan aisa huta hay wo burai kee taraf chaly jaty hain to fir aap apny ap ko un logon main kiun shamil nahi karna chahti.

                    i love my presidend mushraf.

                    lolzZ....:D
                    Bhai maine apko kaha k HUM MUSLIMS KA IMAAN BUHAT KAMZOOR HAI Q K JIS ENVIROMENT MAIN AB HUM REHTE HAIN US MAIN BURAE ZIADA LEVEL PER HAI OR ACCHAI KAM LEVEL PER OR AS U KNOW K IBLEES KISE WAQT BHI HUMIN AKEELA NAHI CHORTA OR HUM NAFS K GHULAAM LOG HAIN......TO MAINE MAJORITY KI BAAT KI THI OR MAIN KHUD KO IS QABIL NAHI SAMAJHTI K MAJORITY SE BAHIR RAKHOON MAIN BHI ISE CATEGORY MAIN HOON

                    PER AGER MUJHE MARATHON MAIN PARTICIPATE KERNE KO KAHA JAE TO MAIN NAHI JAAON GI Q K MUJHE YE CHEEZ PERSONALLY NAHI PASAND PER BUHAT SE LOG ISKO SAHEE SAMAJHTE HAIN TO WO TO JAIN GE NA.......

                    ab or kiya kahoon?:blush: :p

                    but i hate musharraf uncle:lpop: :blush:

                    Comment


                    • Re: ARTICLE: Marathin Race

                      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                      yaa u r saying 100 persent right taht ywhh roshan khialee aahistaa aahistaa midis kee through hamaree zahnoon main inject kia giaa haii jiss kee reasult mian aaj hamian iss situation ko face kernaa parr rahaa haii
                      jiss kee reasult main aaj hamaree chand friends iss roshankhialee koo pasand aorr isssee hamaraa culture kehh rahee hainn jabkehh aisaa balikol bhee nahee haiii ...............
                      our culture is copmlete different from west aorrr iss koo samjhanay aorr iss perr amal kernee kee zarrorat haiii....
                      ji bilkul....
                      to ap marathon k bary mai kiya kahin ge?
                      honi chahye k nahi?

                      Comment


                      • Re: ARTICLE: Marathon Race

                        Originally posted by Me Here View Post
                        Assalam o Alikum Bhai!:)

                        well ISLAMI IKTIDAAR ka khyal rakhna matlab.........gals k liye ye nahi hona chahye n boys k liye hoona chahye?
                        ya ager gals k lye ho to media coverage na ho?

                        plz thoora xplain karin taky main apna opinion doon:blush:
                        Wa Alaikum Aslam Behna :salam:

                        Actually Marathan aik healthy activity he...there is no problem if marathan is arranged separately for both men and women...lekin bila waja isay critisize bhi kerna munasib nahi...aik cheez ko zehan mein rakhna chahiye...ke healthy activities ko kuch positive sense mein lena chahiye...aur encourage kerna chahiye
                        :thmbup:

                        Comment


                        • Re: ARTICLE: Marathon Race

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Wa Alaikum Aslam Behna :salam:

                          Actually Marathan aik healthy activity he...there is no problem if marathan is arranged separately for both men and women...lekin bila waja isay critisize bhi kerna munasib nahi...aik cheez ko zehan mein rakhna chahiye...ke healthy activities ko kuch positive sense mein lena chahiye...aur encourage kerna chahiye

                          yup if separetly arranged n no media coverage must b given to women during race q k zahir hai wo sports dress pehn ker hi race mai participate ker payin gi:)
                          n........i m also in favour to encourage healthy activity which must not b crossing the limits!:lpop:

                          Comment


                          • Re: ARTICLE: Marathon Race

                            Originally posted by Me Here View Post
                            yup if separetly arranged n no media coverage must b given to women during race q k zahir hai wo sports dress pehn ker hi race mai participate ker payin gi:)
                            n........i m also in favour to encourage healthy activity which must not b crossing the limits!:lpop:
                            Lekin aisi aurat ko jis ka jism uncovered ho usay eligible nahi hona chahiye marathan ke liye...halka phulka dress like trouser and upper (made of parachute) allow hona chahiye...shorts ki ijazat nahi honi chahiye...ager wo fully covered hon to media coverage se bhi kuch khaas faraq nahi perta :)
                            :thmbup:

                            Comment


                            • Re: ARTICLE: Marathon Race

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Lekin aisi aurat ko jis ka jism uncovered ho usay eligible nahi hona chahiye marathan ke liye...halka phulka dress like trouser and upper (made of parachute) allow hona chahiye...shorts ki ijazat nahi honi chahiye...ager wo fully covered hon to media coverage se bhi kuch khaas faraq nahi perta :)
                              upper n trouser per bhi aitiraaz ho sakta hai ager media coverage hoi coz not allowed in ISLAM:)

                              Comment


                              • Re: ARTICLE: Marathon Race

                                Originally posted by Me Here View Post
                                upper n trouser per bhi aitiraaz ho sakta hai ager media coverage hoi coz not allowed in ISLAM:)
                                The trouser should be puffy not skin tight...kinda jogging suit...aur media coverage koi zaroori to nahi...making the things simple we can avoid a lot of hassels :)
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X