Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ARTICLE: Marathon Race

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: ARTICLE: Marathon Race

    Assallam_u_allaikum.
    Sab Say Pehlay Too Buhat Buhat Sorryyyyyyyyy Mujhay Buhat Zaroori Kam Tha Main Koi Comment Nahi Day Saca.
    Aur Meri Ghair Mojodgi Main ''abid Bhi,me Here,aur Sab Say Berh Ker Gul Behna Nay Acha Muqabila Kia ''roshan Khialon'' Ka
    Sab Kuch Too Aap Sab Ko Pata Chal Gia Hai Lakin Main Bhee Aik Baat Kehna Chahoon Ga Keh
    ''kisi Bhee Qoom Ka Twhzeebo Tamaddan Us Qoom Say Hota Hai Aur Koi Bhee Qoom Apna Tehzeebo Tamaddan Apnay Mazhab Say Nikalti Hai.kion Keh Qoom Mazhab Say Hoti Hai.'''
    Hum Muslims Hain Aur Hum Aik Qoom Hain Aur Hamara Mazhab Islam Hai.yani Hum Islam Ki Qoom Hain Aur Hamara Tehzeebo Tamaddan Bhee Mukhtalaif Hai.''
    Fight for Khilafah
    :insha:

    Comment

    • #77
      Re: ARTICLE: Marathon Race

      Originally posted by abdulwahab View Post

      agreeed:salam:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment

      • #78

        :salam: :salam: :salam: :salam: :salam: :salam:
        agree................

        lakin roshan khiyali ka tahna na dia kerian...............................

        aik din aap bee sochy gy es per

        Comment

        • #79
          Re: ARTICLE: Marathon Race

          Originally posted by Khalil View Post
          To kia marathon huni chayee k Nahi...................come to End.
          mery khiyal sy huni chayee mager makhloot nahi..................

          meri taraf sy End hay........................:mm:
          agar makhloot nahien tu phir aap ko roshan khyal kon kahay ga
          sigpic

          Comment

          • #80
            Re: ARTICLE: Marathon Race

            Madiha kanwal

            hum loogon ko jagah jagah ja ke roonay ki aadat per gai he...marathan aik healthy activity he, it has nothing to do with Laashein, purana waqt and so on...hum lakeer ko kub tak peet'tay rahein ge...jub ke puri duniya aagay berh rahi he..

            Islami iktdaar ka lehaaz rakha jaye to mein is race ke haq mein hoon...hamein apnay zehnon ko beemaar nahi kerna, zang nahi lagana...bulke duniya ke saath aagay berhna he...hope you get me
            :thmbup:

            Comment

            • #81
              Re: ARTICLE: Marathon Race

              Originally posted by munda_sialkoty View Post

              Jab bhi koi naii invention hoti hai to ussey rokney waley bohat hotey hain aur iski sab sey badi wajah unki mehdood soch hoti hai. (Parhney mein aata hai keh jab Islamabad ko bsaya jaa raha tha to us waqt bhi logon ney mukhalfat ki thi keh jungle kaat ker shehar bsaya jaa raha hai - woh shehar Pakistan ka wahid shehar hai jo kisi mukamil nizaam key tehat bsaya geya tha aur aaj woh duniya key haseen tareen capitals mein shumar kiya jata hai). Zaroorat is amar ki keh jo kaam kiya jaey ussey aik munazzam tareeqey sey kiya jaey - hamarey mulk mein koi kaam tanzeem key tehat nahin hota. Na hakoomatein karti hain aur na awwam - Islam ko ham ney har muamley mein 'mis-use' karna shuru kar diya hai - Marathon ko aik munazzam tareeqey sey munazzam soch sey munaqad karwaya jaey to it's huge presentation for our country - aur issey yahan tak limited nahin rehna chahiye - mazeed aagey bharna chahiye. (Lekin phir kahoon ga: aik soch key tehat kaam kiya jaey hi to achha hota hai).
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #82
                Re: ARTICLE: Marathon Race

                agar koi faisla hogaya ho to batado, takay maiN Ijazat day dooN :wk
                That's Enough...!!

                Comment

                • #83
                  Re: ARTICLE: Marathon Race

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Madiha kanwal

                  hum loogon ko jagah jagah ja ke roonay ki aadat per gai he...marathan aik healthy activity he, it has nothing to do with Laashein, purana waqt and so on...hum lakeer ko kub tak peet'tay rahein ge...jub ke puri duniya aagay berh rahi he..

                  Islami iktdaar ka lehaaz rakha jaye to mein is race ke haq mein hoon...hamein apnay zehnon ko beemaar nahi kerna, zang nahi lagana...bulke duniya ke saath aagay berhna he...hope you get me
                  To kia kehna chah raha hay k Makhloot merathon huni chayee>?

                  Comment

                  • #84
                    Re: ARTICLE: Marathon Race

                    Originally posted by Khalil View Post
                    To kia kehna chah raha hay k Makhloot merathon huni chayee>?
                    :tasali: Usney yeh bhi kaha hai keh ISLAMI IQTIDAAR KO MALHOOZ-E-KHATIR rakha jaey - ab kya yeh baat clear nahin keh woh is baat key haq mein nahin??????
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #85
                      Re: ARTICLE: Marathin Race

                      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                      janab sab see pehlaee baat ti yehh haii kehh harr kisee ko god nee aqal dee haii aor wohh iss kaa use rightly bhee karr saktaa haii aor wrong diraction main bhee aor jahan tak moqa provide kernee kaa talq haii haaa aap kee iss baat see main agree kartaa hoo agar moqa hee naa provide naa kia jayee to shayad inn buraionn see bachaa jaa saktaa haii.............
                      abb sawall yehee uthtaa haii kehh jabb koii hamain iss kismm kaa moqaa provide kertaa haii to hamm uss main barh charh ker kuuunn participate kertee hain agar ham participation naa karain to shayad aaindaa aisaaa naa hoo iss tarah inn moqaa provide karnee waloon see ziadaa ham khood iss buraiii kee phalanayy kee zimaa darr hainnn agr hamm inn ghalt kamoon kee khilaf rightly awaz uthain gee nahee to aissaa hotaa hee rahee gaaaaaaaa.......
                      aorrr iss marathon main agar pk kee khawateen barh charh ker participate naakartee to shayad hee aaindaa hakoomat marathone karwanee kaa soochteee ...
                      yehh participation show kertee hai kehh hamm sabbb hee asal main zimaa darr hain naa kehh president yaa koii aorrrrrrrrrrrrrr

                      bhai ap ye dekhiye k aj ka MUSLIM kahan stand ker raha hai?
                      Marathon Race ko side per kariin........iski taraf humin buhat dair baad laya gaya hai.....sabse pehle to ahista ahista media ko xpose kiya gaya......be-hayaai ko aam kiya gaya step by step jese bachoon ko ABC sikhae jaati hai........phir ja ker ROSHAN KHYALI ka banner uthaya gaya......taky koi bhi ghalat kaam kerrte waqt ye mat soche k ye ghalat hai wo ye soche k ye ROSHAN KHYALI hai............ap soochain hum bewaqoof logon ki psychi ko nourish kiya gaya hai roshan khyali se....rite?

                      ab ain marathon ki taraf.......
                      main ye nahi kehti k women ka kasoor nahi hai........bilkul hai per dekhin base kisne provide ki..........
                      hamara qasoor hai individual level per or musharraf ka qasoor hai collective level per ab ap khud hi sochin k konsa qasoor bara hai or konsa choota.....

                      BURAI PHALAE GAE HAI IK PLANNED TAREEQE SE...........OR KISNE PHELAI YE APK SAAMNE HAI

                      Comment

                      • #86
                        Re: ARTICLE: Marathon Race

                        Originally posted by Masood View Post
                        :tasali: Usney yeh bhi kaha hai keh ISLAMI IQTIDAAR KO MALHOOZ-E-KHATIR rakha jaey - ab kya yeh baat clear nahin keh woh is baat key haq mein nahin??????
                        to pher es ny yehan reply ker k konsa teer maar lia hay...

                        acha aap batain k wo malhoz khater kia kia huni chayee?

                        Comment

                        • #87
                          Re: ARTICLE: Marathin Race

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                          Baji maiN nay jo kaha hai us par ghoor to karaiN :blush:, maiN yeh nahee keh raha kay marathon achi cheez hai maiN yeh keh rhaa hoon kay isay HUM he rook saktay haiN aur humaray roknay maiN aur mushi uncle kay roknay maiN baRa farq hai...!! agar hum sab ach'chay bach'chay ban jaiN to mushi uncle kay ailan ka koi faida nahee reh jata woh becharay kehtay he reh jaiN gaiy aao bhai aao race lagao laikin jab hum sab apni apni jagah faisla karlaiN gaiy to yaqinan koi nahee jaiy ga, isay roknay kayleay humaray zehen tabdil honay zarori haiN warna koi faida nahee :lpop:

                          ok:)
                          sabki rae kab ik c hoi hai bhai?
                          her kise ki sooch ik dosre se alag hai
                          sochain musharraf uncle k support kerne waly kabhi hamara saath nahi denge......
                          or buhat farq hi hamare sochne main or musharraf uncle k sochne main.......hum implement nahi ker sakte coz of lack of unity......or musharraf uncle buhat araaam se implement ker sakte hain.........
                          ye alag baat hai wo implement kerte bhi hain per apne matlab ki cheezin hamare matlab ki nahi:lpop:

                          Comment

                          • #88
                            Re: ARTICLE: Marathin Race

                            Originally posted by Khalil View Post
                            jo main ny sawal pocha tha os ka jawab dain

                            main hissa nahi loon gi q k main is cheez ko bura samajhti hoon or meri or musharraf uncle ki soch mai zameen asman ka farq hai per kuch log aise bhi hain jo ROSHAN KHYALI ko apni shaan samajhte hain or musharraf uncle ki tarah west se impressed hain to jab unko chance milta hai to unhe phir koi rok nahi sakta........that is wat i wanna say
                            any objection?:)

                            Comment

                            • #89
                              Re: ARTICLE: Marathin Race

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                              Khalil say is leay itefaq karta hoon kay agar mushi uncle hum par koi qanon lago kartay haiN to us ko man'na ya na man'na humaray opar hai , agar marathon ghalat hai to is ka faisla bhi humaiN he karna chaheay, humaray mulk maiN kitnay he aisay achay qanoon haiN jinhaiN hum nahee mantay ?? kioN nahee mantay is leay kay humara dil nahee chahta aisi pabnadi ko qabool karnay ka.... aur agar aik burai ki ijazat day di gai hai aur hum us maiN pur'zaur hissa laytay haiN to yaqinan yeh hum sab ki zehni bemari hai aur kuch nahee...!! Al-Qissa Mukhtaser LogoN maiN khud Qowat-e-Faisla hona chaheay, kisi kay kuch kehnay say kuch nahee hota.... aur agar hota hai to woh waqti hota hai daimi nahee... :rose
                              aap k is kud sakhta usool ki roshni main kaya main aap se ye pouchny ki jasarat karsakta hon k agar bakool aap k awam ka khud hi kisi burai ko rad kardena koi ahmiyat rakhta ho aur us ahmiyat k peeshe nazar aap k usool ko apna liya jay to phir islaam main jo hudood aien hain aur islami fiqah main jo taziraat ka taswur hy un sab ka lagu karna kaya mehz baykar na hoga..?
                              kionk aap k usool ki roshni main to phir khaliq e kaynaat ko chahiye tha(moazALLAH)k koi had nazil hi na karta balk gunah k kamon ka karna na karna serf logon ki sawab deed par chor diya jata k khud hi theek hojaien gy aik din sary k sary.....?
                              Last edited by aabi2cool; 8 February 2007, 19:33.
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              • #90
                                Re: ARTICLE: Marathin Race

                                Originally posted by aabi2cool View Post
                                aap k is kud sakhta usool ki roshni main kaya main aap se ye pouchny ki jasarat karsakta hon k agar bakool aap k awam ka khud hi kisi burai ko rad kardena koi ahmiyat rakhta ho aur us ahmiyat k peeshe nazar aap k usool ko apna liya jay to phir islaam main jo hudood aien hain aur islami fiqah main jo taziraat ka taswur hy un sab ka lagu karna kaya mehz baykar na hoga..?
                                kionk aap k usool ki roshni main to phir khaliq e kaynaat ko chahiye tha(moazALLAH)k koi had nazil hi na karta balk gunah k kamon ka karna na karna serf logon ki sawab deed par chor diya jata k khud hi theek hojaien gy aik din sary k sary.....?
                                ABID BHI
                                TENTION NAHI.HAQEEQAT HAQEQAT HEE HAI.
                                JO ROSHAN KHIAL HAIN WOH ILM SAY DOR HAIN
                                Fight for Khilafah
                                :insha:

                                Comment

                                Working...
                                X