Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ARTICLE: Marathon Race

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: ARTICLE: Marathon Race

    Originally posted by Khalil View Post
    to es sy sabit huwa k Human are basically Evil....................
    tum phir mozu se hut gay...?:slap:
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #62
      Re: ARTICLE: Marathin Race

      Originally posted by Me Here View Post
      WELCOME 2 This Section:):)
      kese hain bhai?

      just wanna say 1 thing..........jab ik cheez ka open chance ho yani jab moqy provide kiye jain to behakna bilkul mushkil nahi.....wo bhi us Muslim ka jiska Imaaan buhat kamzor hai.......

      our so called President is providing us easy n open chances to go 2wards the evil tasks.....
      so thiz iz the reason!

      KHUSH RAHYYE
      WASALAM:salam:
      janab sab see pehlaee baat ti yehh haii kehh harr kisee ko god nee aqal dee haii aor wohh iss kaa use rightly bhee karr saktaa haii aor wrong diraction main bhee aor jahan tak moqa provide kernee kaa talq haii haaa aap kee iss baat see main agree kartaa hoo agar moqa hee naa provide naa kia jayee to shayad inn buraionn see bachaa jaa saktaa haii.............
      abb sawall yehee uthtaa haii kehh jabb koii hamain iss kismm kaa moqaa provide kertaa haii to hamm uss main barh charh ker kuuunn participate kertee hain agar ham participation naa karain to shayad aaindaa aisaaa naa hoo iss tarah inn moqaa provide karnee waloon see ziadaa ham khood iss buraiii kee phalanayy kee zimaa darr hainnn agr hamm inn ghalt kamoon kee khilaf rightly awaz uthain gee nahee to aissaa hotaa hee rahee gaaaaaaaa.......
      aorrr iss marathon main agar pk kee khawateen barh charh ker participate naakartee to shayad hee aaindaa hakoomat marathone karwanee kaa soochteee ...
      yehh participation show kertee hai kehh hamm sabbb hee asal main zimaa darr hain naa kehh president yaa koii aorrrrrrrrrrrrrr
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment


      • #63
        Re: ARTICLE: Marathin Race

        Originally posted by Masood View Post
        Marathon duniya keh beesiyon mumalik mein hoti hai - agar Pakistan mein jaa ker woh koi AUR rukh ikthiyaar kar leti hai to yeh Pakistan aur uskey kartey dharton ki aqal ka qasoor hai - warna yeh aik international activity hai jo hamarey mulk key liye bohat aham hai - magar jaisey hamarey mulk mein AAZADI ko torr morr ker rakh diya geya hai isi tarha har shay ko liya jata hai. Phir main sochta hoon is mulk ka kya baney ga?
        salam masood sahib
        manaa kehh marathone duniaa kee bessionn countries main hotee haii magar unn mulkoon aor pakistan ke culture main zameen o asman kaa farq hayyyyyyy
        pakistan islam kee naam per banaa aor hamaraa eastern culture bhee itnee azzadee nahee detaa kahh saree aam aoort koo sarkoon parr dorayaaa jayyyyyy Namm Nihad Roshan Khialee kee naam per thats why i disagree u ...
        and those who favour marathone unn kee lieyy main itnaa kahoon gaa kehh iss Namm Nihadd roshan Khialeee aorr West kee andheee taqleed main itnaa aageyy matt barhhhoo kehhh chand sallon baad hamaree apnee tehzeeb kaa naamonishan iss mulk see khatam hoo jayyyyyy...
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • #64
          Re: ARTICLE: Marathon Race

          Originally posted by Gul-e-Lala View Post
          humain aik baat samjh nahi aati k jab ham log kisi baat per discussion kerte hain tou aik taraf ko he kyun jate hain. yani haq mein ya mukhalif. kiya esa nahi ho sakta k haqeeqat pasandi say tajziya kiya jaye bagher jazbati huwey?
          baherhal burae kisi shay mein shayed itni nahi hoti jitni uss ko deal kerney k treeqey mein hoti hai. es baat say ikhtlaf nahi k marathon aik sports event hai aur es k ineqad ko ussi tarah lena chahye jesa k ham baqi sports ki letey hain. lakin hamra zati khyal hai k kisi bhi naye trend ko introduce kerwaney say pehley homework kerna zaroori hai k es ki implementation ki kon si form feasible ho gi. ham aik muslim society hain uss k sath he ham aik esatern muaashra bhi hain tou kiya es mein makhloot marathon feasible hai. last year jab es behas ka aghaz hua tha tou hamarey President sahib ney kaha tha k main kisi larki ko shorts pehn'ne sey manaa nahi karon ga k ye shakhsi azadi ka daur hai. I mean how come head of a muslim society can give such an unreasonable statement.bhot sarey logon ko shayed ye maloom nahi ho k marathon isnt new in Pakistan..cross country ya simple marathon ki form mein ye aik arsey say different institutions mein ho rahi hai. kaum ka aitraz hai makhloot marathon per. ya ager auraton k liye alag ineqad karaya jata hai tou kis rule book mein likha hai k uss k liye costumes woh honey chahyen jo europe mein pehney jatey hain. Iran ki example lijiye jahan women are active but keeping within their social, moral and religious limits.
          now kehna ye k ye leaders ka nahi logon ka masla hai woh kyun participate kerte hain is totally ridiculous. ye leaders hote hain jo rasta mutayen kerte hain k public ko kis taraf le ker jana hai. esa nahi hota tou insaniyat ko rasta dikhaney k liye Peghamber na utarey jate. kehney ka maqsad ye hai k kisi kaum ki ijtamae soch mein tabdeeli k zamadar leaders hote hain.
          kisi nay kaha k zimadari unn larkiyun per hai jo participate kerti hain. baja kaha unn per tou zimadari ati he hai lakin kiya un per zimadari nahi aati jinhon nay aik burae ko apney paon phelaney ka moqa diya? ager esa hai tou jab koi bucha ghalat kaam kerta hai tou ye kyun kaha jata hai k es mein maan baap ka kasoor bhi hai..es liye k ye maan baap ka farz hai k woh buchey ko sahi tarah guide karen esi tarah ye leaders ka farz hai k woh kaumi mafad ko samney rakhen na k zati khayalat ko lagoo karen. ager kisi kaum ki kamyabi ka credit leaders ko milta hai tou kisi ghalat kaam ki surat mein ye kyun kaha jata hai k ye public ka kasoor hai.

          ham sirf itna kahen gey k naam nihad moderation ko follow mat karye. koi bhi nai value adopt kerne say pehley uss k consequences per nazer rakhye aur dekhye k ye hamare mahool say mail khati hain ya nahi. Marathon itself isnt wrong but the way our govt has conducted this event is the worst one and it's gonna affect our moral, social and religious values in the long run.
          u r saying 100 persent right and i agree u bcz i also think
          marathon is not wrong but the way of govt is wrong
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • #65
            Re: ARTICLE: Marathin Race

            Originally posted by sarfraz_qamar View Post
            salam masood sahib
            manaa kehh marathone duniaa kee bessionn countries main hotee haii magar unn mulkoon aor pakistan ke culture main zameen o asman kaa farq hayyyyyyy
            pakistan islam kee naam per banaa aor hamaraa eastern culture bhee itnee azzadee nahee detaa kahh saree aam aoort koo sarkoon parr dorayaaa jayyyyyy Namm Nihad Roshan Khialee kee naam per thats why i disagree u ...
            and those who favour marathone unn kee lieyy main itnaa kahoon gaa kehh iss Namm Nihadd roshan Khialeee aorr West kee andheee taqleed main itnaa aageyy matt barhhhoo kehhh chand sallon baad hamaree apnee tehzeeb kaa naamonishan iss mulk see khatam hoo jayyyyyy...
            Sarfaraz sahib sab sey pehley baat ko samajhney ki koshish kijiye phir ussey comment kijiye....

            Aur main is baat ko maneney sey inkaar karta hoon keh hamarey muashrey mein aur maghrib key muashrey mein farq hai - balkeh hamara muashra maghrib sey do haath aagey hai jahan per la'qanooiyat ka andhera chhaya huwa hai. Maghrib ki to main baat hi nahin karta. Aap siraf apney muashrey key garebaan mein jhaank ker dekhiyey - wahan per hazaron pewand lagey huwey hain aur har pewand sey buraiyaan chhalakti hui nazar aati hain (ab is sey murad yeh nahin keh achhaiyan nahin - woh jo 1000 mein koi 10-12 achhaiyan hain unki badolat hamara muashraa saans ley raha hai).
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #66
              Re: Marathin Race

              Originally posted by sccorpion81 View Post
              aap aik moqa day ker daikh lain kitnay niklain gay...main apni ya ap ki baat nahien ker raha...main Gen baat ker raha hoon aap ko pata hai k panchon unglian brabar nahien hotien aur her aik insan ki soch bhi aik jaisi nahien hoti

              main aap ko moka daita hun aur dekhna chahta hun ap kee zehniyat k aap kia post kerty hian

              yehan personaly baat karian genrel na baat kerian
              Insaan apny Nose k aagy kisi ka kuch nahi ker sakta siraf apni baat karian...

              Comment


              • #67
                Re: ARTICLE: Marathon Race

                Originally posted by aabi2cool View Post
                totlly agreed with u gul ji:salam: :rose aap nay to baat hi muka de... aur aap ki ye guftgu mozu k har pehlo ka ahita kiye huy thi ab mery khila main kisi ko mazeed khuch naheen kehna chaiye agar wo aqal rakhty hon to...nay great work:rose
                thankooo
                "All I have learned from Life is that I know nothing."




                Comment


                • #68
                  Re: ARTICLE: Marathon Race

                  Originally posted by sccorpion81 View Post
                  :clap: :clap: :clap: Very Very Very nice is say aagay is topic per kuch kahna fazool hai :salam:
                  Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                  u r saying 100 persent right and i agree u bcz i also think
                  marathon is not wrong but the way of govt is wrong
                  lots of thanks
                  "All I have learned from Life is that I know nothing."




                  Comment


                  • #69
                    Re: ARTICLE: Marathin Race

                    Originally posted by Masood View Post
                    Sarfaraz sahib sab sey pehley baat ko samajhney ki koshish kijiye phir ussey comment kijiye....

                    Aur main is baat ko maneney sey inkaar karta hoon keh hamarey muashrey mein aur maghrib key muashrey mein farq hai - balkeh hamara muashra maghrib sey do haath aagey hai jahan per la'qanooiyat ka andhera chhaya huwa hai. Maghrib ki to main baat hi nahin karta. Aap siraf apney muashrey key garebaan mein jhaank ker dekhiyey - wahan per hazaron pewand lagey huwey hain aur har pewand sey buraiyaan chhalakti hui nazar aati hain (ab is sey murad yeh nahin keh achhaiyan nahin - woh jo 1000 mein koi 10-12 achhaiyan hain unki badolat hamara muashraa saans ley raha hai).
                    aap ka kehna baja lakin ager ham basic values ki baat karen tou mashriq ia far better than maghrib. ye aur baat hai k aaj k muashraa unn values ko taqreeban bhula chuka hai aur yehi tou hamara almiya hai. again blame society ko nahi logon ko jata hai jo muaashra banate hain. aur ye jo kuch bhi hai doosron ki andhadhund taqleed ki waja sey hai. baherhaal ye hamara personal view point hai. :)
                    "All I have learned from Life is that I know nothing."




                    Comment


                    • #70
                      Re: ARTICLE: Marathin Race

                      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                      aap ka kehna baja lakin ager ham basic values ki baat karen tou mashriq ia far better than maghrib. ye aur baat hai k aaj k muashraa unn values ko taqreeban bhula chuka hai aur yehi tou hamara almiya hai. again blame society ko nahi logon ko jata hai jo muaashra banate hain. aur ye jo kuch bhi hai doosron ki andhadhund taqleed ki waja sey hai. baherhaal ye hamara personal view point hai. :)
                      Society insaano sey banti hai aur societies waqt key saath saath badalti rehti hain. Jaisey jaisey insaano key shaoor mein taghayyur aaya, society ney aik nai karwat li. To YEHI to woh buniyadi ILZAM hai jo hamarey logon per jata hai keh ham log (general speakin) buraiyon ko jaldi qabool kartey hain, achhaiyon ki nisbat - aaj Pakistani muashrey mein koi aisi buraii hai jo nazar nahin aati? Sab mojood hain. Mujhey aaj tak is baat ki samajh nahin aai keh ham apna muwazna MAGHRIB sey KYUN kartey hain?? Jab keh har bandah janta hai keh hamara culture hamari soch hamari values sab kuchh maghrib sey different hain to phir muwazna kaisa? Sach yeh hai keh hamari values nazaa ki halat mein hain, aur bohat jald dam torrney wali hain. Hamari aankhon per ghaflaton key pardey parr chukey hain aur un andheron mein ham bhataktey phir rahey hain.... Ham apna muwazna maghrib sey karney per majboor ho chukey hain keh ham ney apna ANA majrooh kar di hai...
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #71
                        Re: ARTICLE: Marathon Race

                        To kia marathon huni chayee k Nahi...................come to End.
                        mery khiyal sy huni chayee mager makhloot nahi..................

                        meri taraf sy End hay........................:mm:

                        Comment


                        • #72
                          Re: ARTICLE: Marathin Race

                          Originally posted by Masood View Post
                          Society insaano sey banti hai aur societies waqt key saath saath badalti rehti hain. Jaisey jaisey insaano key shaoor mein taghayyur aaya, society ney aik nai karwat li. To YEHI to woh buniyadi ILZAM hai jo hamarey logon per jata hai keh ham log (general speakin) buraiyon ko jaldi qabool kartey hain, achhaiyon ki nisbat - aaj Pakistani muashrey mein koi aisi buraii hai jo nazar nahin aati? Sab mojood hain. Mujhey aaj tak is baat ki samajh nahin aai keh ham apna muwazna MAGHRIB sey KYUN kartey hain?? Jab keh har bandah janta hai keh hamara culture hamari soch hamari values sab kuchh maghrib sey different hain to phir muwazna kaisa? Sach yeh hai keh hamari values nazaa ki halat mein hain, aur bohat jald dam torrney wali hain. Hamari aankhon per ghaflaton key pardey parr chukey hain aur un andheron mein ham bhataktey phir rahey hain.... Ham apna muwazna maghrib sey karney per majboor ho chukey hain keh ham ney apna ANA majrooh kar di hai...
                          well hamara nahi khyal k yahan koi Tuqabil ya comparison ho raha hai. apni society ki baat kerte huwe west ka hawala unn logon k liye hota hai jo andha dhundh taqleed ker rahe hain west ki aur zahir hai woh taqleed achi nahi bulkey buri baton ki ho rahi hai.aur ye sarey hawaley sirf apney logon ko realise karaney k liye diye jate hain k apna culture mat bhoolo.
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."




                          Comment


                          • #73
                            Re: ARTICLE: Marathon Race

                            so wats the conclusion
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #74
                              Re: ARTICLE: Marathin Race

                              Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                              well hamara nahi khyal k yahan koi Tuqabil ya comparison ho raha hai. apni society ki baat kerte huwe west ka hawala unn logon k liye hota hai jo andha dhundh taqleed ker rahe hain west ki aur zahir hai woh taqleed achi nahi bulkey buri baton ki ho rahi hai.aur ye sarey hawaley sirf apney logon ko realise karaney k liye diye jate hain k apna culture mat bhoolo.
                              aap nee balikol right likhaa haii hamm maghrab kee andhaa dhund taqlleed main apnaa culture apnee aqdar kooo nazar andaz kartee jaa rahee hainn najaneyy iss andhhee taqlleeed kaa anjam kia hoo gaaa ........
                              joo loog maghrib kee culture ko ideal kehtee hainn unhain shayad malloom nahee keh yehh sab kuch door kee dhool suhaneyy walee baat hee..west main aaj kahndanee nizamm aaj buree tarah see toot phoot kaa shikar haii .....her 3 shadee ka anjam talaq per hotaa haii to kahin borhoon kee lieyy old homes hain to kahiin per iss roshankhilee kee naam per wohh kaam kieyy jaa rahay hain jinhayy dekh ker shayad shetan bhee sharmaa jayee........
                              hamaraa 2 yaa 3 persent upper class tabqaa joo maghrib ke taqlleed per fakher kartaa hain yehhh sabb maghrabee culture un 2 yaa 3 persent logoon kaa to culure hoo saktaa haii saree pakistanion kaa naheee............
                              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                              Comment


                              • #75
                                Re: ARTICLE: Marathon Race

                                Originally posted by yellowsky View Post
                                so wats the conclusion
                                withmy point of view conclusion yehh niklta haii kehh yehh joo roshan khialee kee naam per Marathones waghaira kaa iniqad kia jaa rahaa haii this is not our culture aor hamaraa mazahab islam bhee inn khrafat kee ijazat nahee detaa
                                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                                Comment

                                Working...
                                X