Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Ehtejaaj~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Ehtejaaj~*~

    :d
    Attached Files

  • #2
    Re: ~*~Ehtejaaj~*~

    bhook hartaal
    kisi say seedhay moun baat na karna
    kahi bahir na ana jana


    yeh hain meray blackmail karnay kay tareekay :eye:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: ~*~Ehtejaaj~*~

      Muun Phula kar Betha jana aur kissi say baat na karna [-(
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: ~*~Ehtejaaj~*~

        Mera urdu kamzor hai, please batayenge ke "Ehtejaaj" ka kya matlab hai.


        Kya kisi ke against oppose karne ko ehtejaaj kahte hain.
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #5
          Re: ~*~Ehtejaaj~*~

          Originally posted by Aanchal

          bhook hartaal
          kisi say seedhay moun baat na karna
          kahi bahir na ana jana


          yeh hain meray blackmail karnay kay tareekay :eye:
          Aapka blackmailing idea bahut khatarnaak hai...:wink
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #6
            Re: ~*~Ehtejaaj~*~

            Originally posted by Aanchal
            bhook hartaal
            kisi say seedhay moun baat na karna
            kahi bahir na ana jana


            yeh hain meray blackmail karnay kay tareekay :eye:
            ye to mere ehtjaj se milta julta he ;) :D

            Comment


            • #7
              Re: ~*~Ehtejaaj~*~

              Originally posted by ~khawahish~
              Muun Phula kar Betha jana aur kissi say baat na karna [-(
              haan gud ye bhi bara acha tareeka hota he,me ne kai dafa azmaya he

              Comment


              • #8
                Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                Originally posted by Spy009
                Mera urdu kamzor hai, please batayenge ke "Ehtejaaj" ka kya matlab hai.


                Kya kisi ke against oppose karne ko ehtejaaj kahte hain.
                ehtjaj means Protest karna

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                  Originally posted by shy
                  ehtjaj means Protest karna
                  Phir munh phula ke baith jana yeh kis tarah ka protest hai...baat na karna...khana na khana...kya Ehtejaaj issi tarah hota hai.
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                    Originally posted by Spy009
                    Phir munh phula ke baith jana yeh kis tarah ka protest hai...baat na karna...khana na khana...kya Ehtejaaj issi tarah hota hai.
                    haan bache to ese hi protest karte hen na jab un ki zid poori na ho,ya rone lagte hen.apna apna tareeka hota he or wohi to me ne sab se poocha he ke apne bachpan me kese protest kart the,aap bhi bataen kese karte the?

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                      Originally posted by shy
                      haan bache to ese hi protest karte hen na jab un ki zid poori na ho,ya rone lagte hen.apna apna tareeka hota he or wohi to me ne sab se poocha he ke apne bachpan me kese protest kart the,aap bhi bataen kese karte the?
                      Maine ehtejaaj kabhi nahin kiya...zidd karne ya protest karne se koi chiz mil jaati to karta...mila hi nahin to ehtejaaj karna sikha hi nahin, this is plus point I learn in my life.
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                        Originally posted by Spy009
                        Maine ehtejaaj kabhi nahin kiya...zidd karne ya protest karne se koi chiz mil jaati to karta...mila hi nahin to ehtejaaj karna sikha hi nahin, this is plus point I learn in my life.
                        haan bare ho kar yakinan ye baat ham seekh jate hen lekin bachpan me to sabhi karte hen,kia aap ne wakai bachpan me bhi kabhi ehtjaj nahi kia, :eek: tab to aap bohat hi ache bache hon ge :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                          Mein ne bachpan mei kabhi kabhi Zid ki hi nahi, aur na ki kisi baat per koi ehtejaaj ..... kiu ke zaroorat hi nahi pari...Mere papa humesha mere bina kahey hi her chiz ka khayal rakhtey they, aur aaj bhi bas kehney ki dayr hoti hai aur papa jani poori ker detey hain.

                          Haan mama se kabhi kabhi zid ho jati hai thori buhut ..... ous mei main kisi ko kuch nahi kehti bas chup rehti hoon ..... to meri khamoshi ke aagey mama haar jati hain :D
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                            Originally posted by shy
                            haan bare ho kar yakinan ye baat ham seekh jate hen lekin bachpan me to sabhi karte hen,kia aap ne wakai bachpan me bhi kabhi ehtjaj nahi kia, :eek: tab to aap bohat hi ache bache hon ge :)
                            kis se ehtejaaj karta...aur phir zidd kis chiz ke liye...?
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~*~Ehtejaaj~*~

                              Originally posted by Spy009
                              kis se ehtejaaj karta...aur phir zidd kis chiz ke liye...?
                              ghar waloun say or kis say ..ammi abbu say .
                              aksar aisa hota haai koi cheez chaye hoti haai ghar walye baat nahi maan rehaye hotay to apni baat manwanay key leye ham ehtejaj to kar saktay hain na :D
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X