Asalam-o-alikum,
Ab chaltay hain Flash kay sab say zarori sabaq ki tarah Animation, jee han Flash ki jaan.
Pehlay aik baat ki tarah aap sab ki tawageh chahonga. Sab say pehlay aap tools ki madad say Pakistan ka flag bana lein, yeh meinnay banaya hai
Ab aap saray elements ko flag par rakh dein move tool ki madad say, iss tarah
Ab agar aap sari chezon ko wapas hata dein to kia ho ga, well wapas green box aana chahiyay naa, lekin aesa nahi ho ga
Kyon nahi hua aesay iss liay kyon keh jab bhi aap Flash par koi cheez draw karain aur dosri koi cheez uss par rakh dein aur agar dosri cheez ko wahan say remove karain to jo hissa pehli cheez par overlap ho raha ho ga woh hissa bhi remove ho jiay ga, iss ka hal, aap saray objects ko group kar dein.
Kis tarah, iss tarah aap pehlay chand ko select karain uper menu say Modify > Group select karain, ab aap ka chand group ho chuka hai, ab agar aap uss ko kisi bhi object par rahk kar remove karein to uss object par koi asar nahi ho ga
Comment