Assalamo allaikum
Information key is muashrey mein aik buniyadi technology data communication ya data ki tarseel hai. Data Communication key zariyey hi yeh baat mumkin ho sakti hai keh data resources computer systems key mabain kaisey share kiyey jaein.
Aik computer per jo maloomat likhi jaey, woh bghair kisi ta'kheer key duniya bhar key computer tak kaisey puhnchaii jaey...
Data communication aur khaas taur per NET (ya NETWORK) ney pichhley 25 saalon sey bohat tezi sey taraqi ki hai..
Pichley 25-30 salon mein jahan bohat taraqi hui hai un mein:
Yahan main is section mein koshish karoon ga keh un baton per behas karoon jinki badolat hamein network ko samajhney aur ussey istimaal karney ka ilm haasil ho ga...
Main ney is section ko Roman Urdu mein likhney ki zaroorat is liyey mehsoos ki keh 1) aik to merey paas bohat kam waqt hai keh main InPage mein likhoon 2) Data Communication mein bohat sari tarakeeb English mein hain, aur main nahin samajhta keh hamein unhein tabdeel karna chahiyey, lehaza main apney mazameen mein Urdu aur English mix kar key likhoon ga...
Agar aap ko kahin kuchh samajh na aaey to please do feel free to ask me
Masood
Copenhagen, 15-01.2010

- Local Area Network (LAN) tashkeel paya aur iski raftar mein 100 gunah izafa huwa
- Wide Area Network (WAN) ki raftaar 1000 gunah barhi
- Internet ney duniya bhar mein aik bohat zabardast kamyabi haasil ki hai aur aksar logon key liyey aik zaroorat ban gaii hai
- Duniya bhar key computer aik doosrey sey communicate karney ki salahiyat rakhtey hain, beshak, unkey operating system aur technologies mein bohat farq hai
- Video aur Audio communication ney taraqi ki

Comment