Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pesh Lafz

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pesh Lafz

    Assalamo allaikum

    Information key is muashrey mein aik buniyadi technology data communication ya data ki tarseel hai. Data Communication key zariyey hi yeh baat mumkin ho sakti hai keh data resources computer systems key mabain kaisey share kiyey jaein.

    Aik computer per jo maloomat likhi jaey, woh bghair kisi ta'kheer key duniya bhar key computer tak kaisey puhnchaii jaey...

    Data communication aur khaas taur per NET (ya NETWORK) ney pichhley 25 saalon sey bohat tezi sey taraqi ki hai..

    Pichley 25-30 salon mein jahan bohat taraqi hui hai un mein:
    • Local Area Network (LAN) tashkeel paya aur iski raftar mein 100 gunah izafa huwa
    • Wide Area Network (WAN) ki raftaar 1000 gunah barhi
    • Internet ney duniya bhar mein aik bohat zabardast kamyabi haasil ki hai aur aksar logon key liyey aik zaroorat ban gaii hai
    • Duniya bhar key computer aik doosrey sey communicate karney ki salahiyat rakhtey hain, beshak, unkey operating system aur technologies mein bohat farq hai
    • Video aur Audio communication ney taraqi ki
    In sab baton ki wajah sey jadeed technology per aur sey aur zimmedari aaney lagi keh kaisey woh is bharti hui traffic ko handle kar sakey..

    Yahan main is section mein koshish karoon ga keh un baton per behas karoon jinki badolat hamein network ko samajhney aur ussey istimaal karney ka ilm haasil ho ga...

    Main ney is section ko Roman Urdu mein likhney ki zaroorat is liyey mehsoos ki keh 1) aik to merey paas bohat kam waqt hai keh main InPage mein likhoon 2) Data Communication mein bohat sari tarakeeb English mein hain, aur main nahin samajhta keh hamein unhein tabdeel karna chahiyey, lehaza main apney mazameen mein Urdu aur English mix kar key likhoon ga...

    Agar aap ko kahin kuchh samajh na aaey to please do feel free to ask me

    Masood
    Copenhagen, 15-01.2010
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Pesh Lafz

    Thanks Brother

    Comment


    • #3
      Re: Pesh Lafz

      Walikum Salam :)

      Bohut acha or unique Step hai :)

      Really awesome and Looking Shining :thmbup:

      Keep it Up.... :rose

      Comment


      • #4
        Re: Pesh Lafz

        great informations
        [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

        See you Real Face in here 372-shed

        Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

        Comment


        • #5
          Re: Pesh Lafz

          Bohat acha silsala shuru kia hay bhai aap ne, just keep it up
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: Pesh Lafz

            Boht Khob.
            :star1:

            Comment


            • #7
              Re: Pesh Lafz

              Buth he umda silsila hai..........buth kuch nai seekhney ko milley ga
              I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

              Comment


              • #8
                Re: Pesh Lafz

                W.Salam
                buht acha silsala hai ... mujhy to zaror issy buht kuch sekhni ko miligi.. thankz
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #9
                  Re: Pesh Lafz

                  Walaikum Assalaam

                  Bohat hi achi information dee hay aap nay, aap ka bohat bohat shukriya :)

                  Khush rahyeh

                  Fi Amaan ALLAH
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Pesh Lafz

                    Dear.

                    your information is very good. I like it.

                    Comment


                    • #11
                      Re: Pesh Lafz

                      Assalam o Alaikum.

                      yar hyderabad me koi networking job ho to btao.

                      Comment

                      Working...
                      X