:salam:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~lehsan~
Collapse
X
-
Re: ~lehsan~
Originally posted by Jhumrookisii bhii cheez ke iste'maal meN ai'tedaal baratnaa bahot zaroorii hai. uscheez ke fawaaid ke bajaaye nuqsaanaat ho jaate haiN agar unkaa zaroorat se ziyaada iste'maal kiyaa jaaye to.
PRECAUTIONARY NOTE:
mere ek azeez haiN jo lehsun kaa inhiiN fawaayid ke madd e nazar bahot iste'maal karte the. ek baar vo India gaye to vahaN unkii tabii'yat bahot Kharaab ho gii...fauran Canada vaapis aaye aur phir pataa chalaa k unkii aaNtoN kii lining meN abrasions [scratches] aa gaye haiN [capillaries bursted as a result] aur internal bleeding ho gaii.
unko bahot takleef huii...6 mahine tak bahot halka phulkaa khaanaa khaanaa paRaa in order to heal the damages to the inside lining of the intestines. 6 mahine tak soup aur ,oong kii daal kii paanii jaisii patlii khhichRii khaanii paRii.
isii taraH mere bhai saaHib laung kaa bahot iste'maal kiyaa karte the...cigarette chhoRii to chhoTi ilaa'ichii aur laung khaane lage...achaanak unkii bahot tabii'at Kharaab ho gaii...unkaa ulcer burst ho gayaa thaa...jaan ke laale paR gaye the...magar barwaqt tibbi imdaad mil gaii aur Allah ne chuNkii unkii qazaa nahiiN likkhi thii lihaaza alHamdolillah vo Theek ho gaye.
bas aitedaal zaroorii hai...shukria paRhne kaa. :rosesigpic
Comment
Comment