Moaziz Qare'een!
meray ustaaz-e-mohtaram, "Neend meiN Chalti Hawa" aur "Dozakh meiN Pehli Barish" ke Khaliq janaab-e-"Najm-ul-Asghar Shahia" 20 Feb. 2010 ko multan meiN rehlat farma gae,
marhoom ko aglay roz 21 Feb. 2010 ko qabristan Lakkar Mandi, Multan meiN sapurd-e-khaak kar dia gia,
Shahia marhoom ki umr 65 baras thee. Najam ul Asghar Shahia apnay munfarid lab-o-lehjay aur khaaS taur par Nazm ke hawaale se mulk bhar meiN numaayaN muqaam rakhtay thay,
Najm-ul-Asghar Shahia aik darwaish Sift insaan thay,
aap ahbaab se marhoom ke liyay doa-e-maghfirat ki darkhast hae.
un ki donooN kkutab Raqim-ul-haroof (Ameen Asim) ne shaya keeiN.
Wassalam
Ameen Asim

Comment