Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Urdu Section

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Urdu Section

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Mujay 2, 3 ke naam to bataiye ta ke me ko v pata chalay :D:
    Kioon larwana hai kia? Pehlay hi unko meray khilaaf kar dain gay. Aap agar ankhain khol kar ghor dhagon ki heading parhain to aap ko kafi ghaltiaan nazar aain gi. Jin ko urdu ati hai unko ghalti forun nazar ya samajh aa jati hai. Jub koi forum hi urdu main ho aur us pay ghaltion hon dhagon k title main to yay baat mujhay bohat takleef ponhchati hai k urdu k forum ko kum uz kum Urdu ki ghaltion say mubarrra hona chahyay takay urdu sahi jannay walon ko bura na lagay aur uski ahmiaat main kami na aay aur yay kaam admins ka hai.

    Waisay bhi mujhay koi bhi cheez aaik baar daikhnay main us k keeray I mean ghaltiaan pahlay ya forun nazar aa jatateen hain. Aur such bolnay main na main koi aar mahsoos karti hoon aur na darti hoon so kah deti hoon.

    Bohat si thread aisi hain jin k title main mistake hain. Aur haan main naam pay ya Peghami pay itna ghor naheen karti so batanay say qasir hoon. Aur abhi itni familiaar bhi naheen hoon kisi say.

    Ghaltiaan daikhti hoon aur nishandahi karti hoon is say mujhay koi saro kar naheen k kon kar raha hai kia kar raha hai is liaay k meri koi un say zati dushmani naheen par main unki bhalai k liaay mohabbat main unki correction chahti hoon.

    I know wo forums jo Urdu k naam pay pathan ya punjabi banatain hain zahir hai un ki urdu main ghalti ho sakti hain to jinko ati ho unko chahyay k ghaltiaan ko durust karwa dain.

    Aik forum kay main title aur section main ghaltiaan daikhi hain main jo urdu ka forum banaya hai aur pathanon ka forum hai. Wahan unhon nain budtamizi ki aur mujhay ban kia per main bhi register ho gai. Now soch rahi hoon unki bari ghaltion ki nishandahi karoon per dil chun k mara bura ho gia hai wahan k admins ki bay imani pay so dil naheen chahta.

    Originally posted by SherAli View Post
    urdu net par seekhne ke bajaaye mere Khayaal se kisi ustaad se kisi chool meN seekheN :)

    net par to aam taur se mujhe urdu kii TaaNg har jagah TooTtii nazar aatii hai. angrezii kaa is qadar Ghalba ho gayaa hai k ab na urdu aatii hai aur na angrezi goyaa dhobi kaa kutaa na ghar kaa na ghaaT kaa.
    Baja farmaya aap nain. Per agar net pay apnay paighamion ko free main urdu seekhnay ko mil jaay to kia muzaiqa hai jaisay is forum pay English Punjabi aur pashto sikhaya jata hai.

    Apnay paighami expert hon APNI QAUMI ZUBAN main apnay forum kay through to kia yay achcha na ho administration k laay bhi aur phaighamion k laay bhi.

    Ho sakta hai koi urdu seekhnay ki wajah say bhi paighami member bun jaay.

    Jaisay main hadees k search main is site pay ponhchi aur bohat hi achcha laga site to register kar lia khud ko. Waisay mujhay jaldi cheezain pasand naheen ati.

    Bhai meray net pay urdu ki taang wo hi tortay hain jin ki apni madri zuban urdu naheen hoti jaisay hindu, Punjabi, Pathan, Balochi, Sindhi Waghaira Waghaira.

    Aksariaat accent ki wajah say aur baaz dafa na jannay ki wajah say.

    Aksariat forums pay buchchon ya teenagers jo non urdu speaking family say talluq rakhtay hain aur bahar rahanay walay baaz urdu speaking kay buchchay bhi urdu itni na jannay ki wajah say ghalat likh rahain hotain hain aur bol rahain hotain ho. So main samajhti hoon main kioon na unko seekha doon. Becharay baray shauq say boltay hain aur bolnay ki koshish kartay hain.

    Is tarha mujhay apni ghaltion ko bhi shahi karnay aur seekhnay ka bhi mauqa milay ga aur meri urdu bhi zinda rahay gi jo mujhay lugta hai itna use na honay ki wajah say ahista ahista marti ja rahi hai.

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Admin sahib, ub aap is zaman mein zaroor kuch keejiye ga, ta ke hum bhi dekhein ke MG ki baat aap ko kis had tak kabil'e'amal lagi :thmbup:
    Unhain lagi hai tub hi to baat ki hai. TSK TSK jalnay ki zaroorat naheen. Mera khiaal hai main nain kaheen apnay baray main kaha hai k main jhoot naheen bolti.

    Apni zimmadari bhi poori tundahi say nibhati hoon. Such ko aanch naheen. Abhi kuch kahnay kay bajaay daikhain agay agay hota hai kia.

    [QUOTE=MSA;838603][quote=Admin;837990]Mujhey is baat ki kabhi samajh nahin aaii keh agar hamarey zehan mein koi constructive jawab nahin hota to ham be'wajah lafz'mari kyun kartey hain????????

    i am sorry agur app ko bura laga...
    but mein ne apne ta'en constructive bat hi ki thi...mujhay yeh bilkul aisa laga k app urdu ki ehmiat ko ujagur kurne k lie seminar kur rahe hein aur medium of communication English ho....to is lie aisa keh dia...

    kher leave it :)
    thanks:)

    Main to bura naheen mana bhai aap ki baat ka. Haan albatta aap ki tasubbiat ka pata chal gia.

    Agar aap zara sa dimagh use kartay to itnay baray daway aur mazaq uranay say pehlay forum k naam aur first page ki sari sections ko parh laytay to aap ko pata chalta ziadatar batain urdu aur English main hain aur sub aksar baatain bhi urdu main hi kartay hain.

    1 Day Insha Allah Urdu aur English net ka conversation ka zaria ho ga aur ya big joke apni zahni ikhtira say naheen bana rahi tajarbay say daikh rahi hoon Hindi filmon k zariaay na sirf uryaniaat tarweej paa rahi hai balkay urdu bhi bohat taizi say non urdu speaking bol rahain hain aur seekh rahain hain.

    Mujhay jub aap ki baat ka bura naheen laga to Admin kioon bura manain gay.

    Albatta ki post parh kar main Admin ki taraf say mayoos zaroor ho gai thi halan k aisa naheen hona chahyay tha.

    Admi ka munh achcha naheen ho to baat kum uz kum achchi karay. mazaq.
    Subhan Allah

    Comment


    • #17
      Re: Urdu Section

      Agar admin ijazat dain aur wo sub gauranty dain k ghaltion ki nishandahi pay koi us pay nazar naheen hoga to saboot post kar doon gi I mean ghaltion ki dhair laga doon gi.
      Subhan Allah

      Comment


      • #18
        Re: Urdu Section

        Agar admin bura naheen manain to main page ki kuch ghaltiaan paish karoon.

        Yay ghaltian mujhay lugteen hain per choonkay mujhay sahi lufz ka pata hai so ghalat spelling daikh kar bhi sahi samajh loon gi. Laikin wo nai pod jo itna urdu naheen jantay wo ghalat hi parhain gay choonkay mera wasta raha hai is liaay samajh sakti hoon.

        Bohat hi mazrat k saath. Pegham ko nai pod pe gham (pi gham) parhay gi jinko itni sahi naheen ati hai jubkay PAIGHAM is tarha likha jaay to sub sahi lufz parhain gay. Chahain unko urdu ati ho ya na ati ho.

        Doosray main page pay shoraa (Shora ghalat hai) likha gia hai jubkay sahi lufz shoara hai.

        Baqia baad main. Abhi 1000 post naheen huway is liaay administration say punga lenay ka shauq naheen.
        Subhan Allah

        Comment


        • #19
          Re: Urdu Section

          Ghaltiaan aur bhi hain main page pay narazgi kay baghair khulay dil say (I didn't mean open heart surgery) to aur bhi main page ki ghaltian dikha doon gi. Filhal itna kafi hai.

          Kisi ki dil azari howi hai to mazrat k saath. Sahi kar lain gay to aap ki site pay logon ko ghaltiaan naheen nazar aain gi. Mujhay to koi na award ya asnad milain ga aur na naam baqi rahay ga. Mera koi faida naheen.

          Mera sirf itna kaam hai k jub site urdu main bani hai to urdu ki itni tazeem to ho k us ki tangain na tori jain Tassub ki wajah say.
          Subhan Allah

          Comment


          • #20
            Re: Urdu Section

            sab se pahle to zaroorii hai k urdu ko roman script emN likhne ke qawaaid se soo-shinaasii honii chahaiye. is site par hii kia taqreeban har site par aksariyat bahot Ghalat tareeqe se likhtii hai. paRhne emn dushwaarii to hotii hii hotii hai magar aksar alfaaz ke ma'nii kuchh se kuchh ho jaate haiN. mere Khayaals e to sab se pahle har kisi ko bahtar tareeqe se urdu ko roman rasm-ul-Khat meN likhna sikhaanaa chaahiye. shukria

            Fall view from inside my car
            near my work place :)

            Comment


            • #21
              Re: Urdu Section

              Originally posted by SherAli View Post
              sab se pahle to zaroorii hai k urdu ko roman script emN likhne ke qawaaid se soo-shinaasii honii chahaiye. is site par hii kia taqreeban har site par aksariyat bahot Ghalat tareeqe se likhtii hai. paRhne emn dushwaarii to hotii hii hotii hai magar aksar alfaaz ke ma'nii kuchh se kuchh ho jaate haiN. mere Khayaals e to sab se pahle har kisi ko bahtar tareeqe se urdu ko roman rasm-ul-Khat meN likhna sikhaanaa chaahiye. shukria
              Exactly to min likhti hoon na koshish kar k meray alfaaz her kisi ko samajh aa jatain hain kia likha hai. Sahi kah rahi hoon ya ghalat?

              Agar aap ko achchi urdu aur Egnlish ki pronounciaton achchi ati hai letters ki to koi masala naheen aur na seekhnay ki zaroorat hai aap khud bakhud sahi likhain gay.

              Indians pegham likhtain hain jub k jub k paigham is tarha likhna chahyay. Mujhay to masla naheen hoga laikin jo buchchay english k parhay huway hain wo issay p gham parhain gay to batain wo kia samjh sakain gay paigham ko ya mutlub ko is tarh unko yaad rakhnay main bhi muskil ho ga.

              Meray bhanjay bhanji meray alfaaz aram say samajh jatay hain per jub wo net per ai ki jagha e ka jahan istamal hota hai unko ajeeb tarha say parhtain hain jis par na sirf mujhay bohat hansi ati hai balkay mazaq uranay ka bhi aik zariya bun jata hai.

              Kabhi kabhar to hum mushkil alfaaz main jawab day kar mazay laitay hain jub wo samajh naheen patay aur kahtain hain mutlub batain.

              Young logon ko is tarha ki ghalat letters k istamal wali urdu parhnay main bohat diqqat hoti aur ukta kar chor detain hain. So kioon na sikha dia jaay jo bohat asan hai seekhna aur sikhana dono.

              bewafa ko parhtay hain b wafa jub k baywafa ko her koi sahi parh lain gay.
              Subhan Allah

              Comment


              • #22
                Re: Urdu Section

                Khushamdeed aur Elanaat main.

                E lanaat parhain gay lanaat say lanat samjah saktain hain jinko pata naheen.

                Ailanaat is tarha hona chahyay.
                Subhan Allah

                Comment


                • #23
                  Re: Urdu Section

                  Asalam O alaikum ..

                  MG Sahiba

                  Mein nay kafi lambi behas deykhi ......

                  Jo MashaAlalh kafi achi trah jati DIkhaai dee Mujhay

                  Mein nay abhi last posts aap ki dekheiN ...

                  Pegham..............
                  Pegham hee likha jata hai ...

                  Roman mein .....!

                  EhsaaN ....ElaaN Bhi Ho skata hai ...

                  KioN k yeh Roman Language hai

                  aap URDU TEXT ka Muqabala ....ROMAN URDU se nahi kar saktay ...
                  yeh Tu aap manein gee !
                  Jesa k ..Indian Urdu K Roman Spellings Alag se heiN ...

                  Pakistani's Ki Urdu K Roman Spellings aik dum Mukhtalif hein
                  Loag jiss tarah Boaltey hein
                  Ossi Tarah se likhtay hein .....

                  Haan agar URDU TEXT mein ....Ghalati ho Tu wo sikhaai ja sakti

                  Roman URDU tu sirf Sab ki aasaani k liyay hai k sab ko sab kuch
                  samajh Aa-jaa-ay .....,,bass Aur issi tarah se Net per urdu Use ho rahi hai

                  Yeh Sirf Pegham ka prob nahi ...Sabhi Urdu Websites per aisa hee Ho raha hai ..!


                  Aur Mera Nahi khiyal k Kisi B Pegham K user Ko ....

                  yehan ki Roman (urdu) Style samjh nahi aati !!


                  Nai POAD ..... ki baat tu janab :)

                  Nai POAD KO TU URDU isi andaaz ki aati hai ....

                  WO URDU LUGHAT ki zubaan nahi samjh saktay janab!

                  Comment


                  • #24
                    Re: Urdu Section

                    Originally posted by MorningGlory View Post
                    Ghaltiaan aur bhi hain main page pay narazgi kay baghair khulay dil say (I didn't mean open heart surgery) to aur bhi main page ki ghaltian dikha doon gi. Filhal itna kafi hai.

                    Kisi ki dil azari howi hai to mazrat k saath. Sahi kar lain gay to aap ki site pay logon ko ghaltiaan naheen nazar aain gi. Mujhay to koi na award ya asnad milain ga aur na naam baqi rahay ga. Mera koi faida naheen.

                    Mera sirf itna kaam hai k jub site urdu main bani hai to urdu ki itni tazeemTassub to ho k us ki tangain na tori jain ki wajah say.
                    hmm :)

                    Urdu Ki TangeiN ....Buhat Mazboot hein Janab :)
                    Wo koi b nahi To.D Sakta ab deykhein Kai Sites per URDU ka laf
                    TURR ( Break) likha jata hai ...Kahin ...to.D likha jata hai ....
                    Makes No difference .....!

                    anyway ....

                    Aap nay Khuley dil se Jo ...Baat likhii..
                    Jinn GhaltiyuN ki Nishandahi ki ..acha laga.....
                    Magar yeh deykehin ....Mein nay kuch Indicate karnay
                    ki jasaarat ki hai ....Mujhe Omeed hai ...Iss ko aap
                    Bhi Masbat Andaz mein lein Gee!!!!!!!!!

                    Aazari mein Mein DO alif Bolay jaatay hein ..... دل آزاری
                    Kion K ...iss ka Pehla harf Alif Mudd hai.....
                    So aap nay Oss lafz ko azari likha .....jo k ازاری
                    ho giya na ....jo k Urdu mein hai nahi shayd !

                    magar hamein samjh aa giya kion k ....hum sirf aik lafz nahi parhtay..
                    Hum Puraa Jumlah Parh k baat samjhtay hein ..! issi tarh se

                    تعظیم تعصب

                    yeh alfaz ain rakhtay hein ..jo k
                    roman mein ...ta`azeem ...aur Ta`asub ...likhey jaa-ein tu sahi hein .. magar hamein wo b samjh aa gay kion k..!
                    Roman mein iss aNdaaz ki koi qed nahi ....!

                    معذرت خواہ ہوں اگر میری بات آپ کی دل آزاری کا سبب بنی ۔۔۔۔۔
                    مگر ایک بات تو روزَ روشن کی طرح کلئیر ہے ۔۔۔۔کہ
                    ہمیں کم از کم پیغام پر ۔۔۔ اردو زُبان کو لے کر ۔۔۔کوئی تعصب دکھائی نہیں دیتا۔
                    جانے آپ کو ایسا کیوں لگا؟

                    بہر حال ۔۔۔۔رومن انداز کی کوئی لغت نہیں اس لیئے ۔۔۔۔۔وہ کوئی ۔۔۔پُختہ زُبان نہیں ۔۔۔
                    اس لیئے اس پر کوئی پابندی بھی نہیں ۔۔۔

                    بات ہے صرف کُھلے دل و دماغ کی ۔۔۔۔
                    نہ کہ جوک آف دی ڈے ۔۔۔یا جوک آف دی منتھ لکھنے کی

                    ہمیں سب کام تعمیری انداز میں کرنا ہے ۔۔۔۔
                    اُ س کے لیئے کسی خاص ۔۔۔بات کو نشانہ بنانے کی چنداں ضرورت نہیں ۔۔۔


                    خوش رہیئے ۔۔۔۔۔

                    :)



                    Comment


                    • #25
                      Re: Urdu Section

                      Originally posted by SherAli View Post
                      sab se pahle to zaroorii hai k urdu ko roman script emN likhne ke qawaaid se soo-shinaasii honii chahaiye. is site par hii kia taqreeban har site par aksariyat bahot Ghalat tareeqe se likhtii hai. paRhne emn dushwaarii to hotii hii hotii hai magar aksar alfaaz ke ma'nii kuchh se kuchh ho jaate haiN. mere Khayaals e to sab se pahle har kisi ko bahtar tareeqe se urdu ko roman rasm-ul-Khat meN likhna sikhaanaa chaahiye. shukria
                      Sherali sahib

                      Roman Rasmul khat hai kiya ??:)

                      yeh tu baat dijay pehlay ...!

                      PaiRR .....(Darakht... Tree ) Ko Pe.D likha jata hai...
                      issi tarah ...

                      Mo.D ...Turn..... MoRR iss tarh b likha jata hai ...

                      Mein..MeiN ...Me.N iss tarah se likah jata hai...

                      Iss mein se yeh samjhna k Mein...Yani I ...Ya MeiN ...( In...)
                      Koan sa hai

                      tu iss ka aNdaaza ....Jumlah paRhnay WalouN ko aa jata hai ....!

                      Comment


                      • #26
                        Re: Urdu Section

                        Mashallah innay seyaanay seyaanay loog lagay huay hein, saadi te aithay koi loor e nai :blush:
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Urdu Section

                          Kabhi bhi koi bhi zuban us waqt tak drustgi sey likhi ya parhi nahin jaa sakti jab tak uska koi state ki janib sey standard mutayyan na kiya jaey. Urdu ko romanize karney ka pehla qadam Ayyub Khan ney uthaya tha, magar hamarey mulk mein mojood "parhey likhey" unkey khilaf ho gaey aur unhein Angrozon ka ghulam kah ker dhutkaar diya geya - Ayyub Khan ney yeh khiyaal hi chhorr diya!

                          Urdu ko roman mein likhney ka koi bhi standard kahin bhi mojood nahin - aik taweel muddat tak hamarey mulk mein Urdu ko Nasakh rasm-ul-khat mein likha jata tha. Nastleeq ko arooj ghalban 80 key ashrey mein mila hai.

                          Is mein qatan koi shak nahin keh yeh aik tehreek hai jo shuru ki jaa sakti hai, beshak Pegham per hi aaghaz ho - ya phir Pegham hi ki had tak ham issey standardise kar saktey hain - magar iskey liyey mukhtalif zehno ka aik baat per mutfiq honey - kuchh apnaney kuchh chhorrney ki tameez hona shart hai! Har kaam mumkin hai, magar kya ham mein naii shay apnaney ka sha'oor hai?
                          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                          Comment


                          • #28
                            Re: Urdu Section

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Mashallah innay seyaanay seyaanay loog lagay huay hein, saadi te aithay koi loor e nai :blush:
                            KioN Janaab aap apnay aap ko ...
                            SiyaanouN se alag kioN kar rahay hein :)

                            hum tu aap ko kafi samjdaar samjhtay hein ...(umm Thay :mm:)

                            Comment


                            • #29
                              Re: Urdu Section

                              Originally posted by Admin View Post
                              Kabhi bhi koi bhi zuban us waqt tak drustgi sey likhi ya parhi nahin jaa sakti jab tak uska koi state ki janib sey standard mutayyan na kiya jaey. Urdu ko romanize karney ka pehla qadam Ayyub Khan ney uthaya tha, magar hamarey mulk mein mojood "parhey likhey" unkey khilaf ho gaey aur unhein Angrozon ka ghulam kah ker dhutkaar diya geya - Ayyub Khan ney yeh khiyaal hi chhorr diya!

                              Urdu ko roman mein likhney ka koi bhi standard kahin bhi mojood nahin - aik taweel muddat tak hamarey mulk mein Urdu ko Nasakh rasm-ul-khat mein likha jata tha. Nastleeq ko arooj ghalban 80 key ashrey mein mila hai.

                              Is mein qatan koi shak nahin keh yeh aik tehreek hai jo shuru ki jaa sakti hai, beshak Pegham per hi aaghaz ho - ya phir Pegham hi ki had tak ham issey standardise kar saktey hain - magar iskey liyey mukhtalif zehno ka aik baat per mutfiq honey - kuchh apnaney kuchh chhorrney ki tameez hona shart hai! Har kaam mumkin hai, magar kya ham mein naii shay apnaney ka sha'oor hai?
                              :alhamd: aap K paas kafi Maloomat hein Roman language k baray mein ..
                              Baat aap ki b sahi hai ...K koi New cheez ko apnaanay ka hosla :)
                              Waqi Buhat hiimat ki baat hai .....

                              actually har koi yeh samjhta hai k ***MEIN THEEK KEH RAH HOON***
                              jab tak hum mein se bahir nahi aatay..hum bakri ki tarah se **mein mein**
                              Karna nahi chorein gay ...hum kabhi bhi ...THEEK nahi ho saktay ...

                              Baat wahi k ...Kuch Tum pass aao ..kuch hum paas aaein ....!:eye:
                              Yunhi dooriyaaan ..372-shock..khatam ho sakti hein na ..!!

                              Comment


                              • #30
                                Re: Urdu Section

                                Originally posted by Gul View Post
                                KioN Janaab aap apnay aap ko ...
                                SiyaanouN se alag kioN kar rahay hein :)

                                hum tu aap ko kafi samjdaar samjhtay hein ...(umm Thay :mm:)
                                Kaanon ko haath lagaiye, hum to saadhaaran se loog hein ji :(
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X