Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Urdu Section

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Urdu Section

    Originally posted by Admin View Post
    Kabhi bhi koi bhi zuban us waqt tak drustgi sey likhi ya parhi nahin jaa sakti jab tak uska koi state ki janib sey standard mutayyan na kiya jaey. Urdu ko romanize karney ka pehla qadam Ayyub Khan ney uthaya tha, magar hamarey mulk mein mojood "parhey likhey" unkey khilaf ho gaey aur unhein Angrozon ka ghulam kah ker dhutkaar diya geya - Ayyub Khan ney yeh khiyaal hi chhorr diya!

    Urdu ko roman mein likhney ka koi bhi standard kahin bhi mojood nahin - aik taweel muddat tak hamarey mulk mein Urdu ko Nasakh rasm-ul-khat mein likha jata tha. Nastleeq ko arooj ghalban 80 key ashrey mein mila hai.

    Is mein qatan koi shak nahin keh yeh aik tehreek hai jo shuru ki jaa sakti hai, beshak Pegham per hi aaghaz ho - ya phir Pegham hi ki had tak ham issey standardise kar saktey hain - magar iskey liyey mukhtalif zehno ka aik baat per mutfiq honey - kuchh apnaney kuchh chhorrney ki tameez hona shart hai! Har kaam mumkin hai, magar kya ham mein naii shay apnaney ka sha'oor hai?

    WOW Admin tussi tay dil khush kitta si. Bilkul wohi kaha jo main soch rahi thi. Bilkul hum paigham ko ibtadaia bana saktay hain. Ibtida bahar haal kisi k nain hi karni hoti hai to paigham aur hum sub paighami mil kar kioon naheen.

    Koi aik achcha kam ziada achcha ya bahtareen tub hi ho sakta hai jub bohat say dimagh mil jaain.

    Aap ki to kafi maloomat hain aur Ayub khan ki baat to main janti bhi naheen theen so knowledge main izafa huwa. Darasal jo baat aik nai kisi ko samajh ati hai zaroori naheen us waqt sub ko samajh aa jaay. Us waqt logon ko yay pata bhi naheen ho ga k aik aisa bhi waqt aay ga jub loag roman english main net pay likh rahay hon gay. Ub tuk to sub say asan tareen hai roman urdu ka use net pay.

    Masha Allah Admin aap kafi samajhdar hain aur bohat samajhdari ki baat kartay hain aur main aap k is undaaz say bohat impress huwi.

    Main yay bhi achchi tarha janti hoon koi kaam shuru kia jata hai naya to us k mukhalfeen ziada aur himayati kum hotain hain laikin mujhay is say farq naheen parta.

    Kioon na admin hum hi (peghami) is ko shuru karain mil kar. Haan kisi ko dheet naheen bunna chahyay aur na hi ana ki khatir apni baat pay arna chahyay to is tarha masla asani say hal ho sakta hai.

    Jahan tuk ghaltion ki baat hai to main nain site pay na sirf roman main ghalti daikhi hai balkay Urdu rasmul khat main bhi ghaltian daikheen hain dara k maray nishandahi naheen karti k koi naraz na ho jaay agar aap ijazat dain to taseeh kar dia karoon. Koi mujh say naraz na ho bus main itna chahti hoon.

    Apnay paighami jo bohat achchi shairi kartay hain aur cards bhi urdu main banatain hain per ghaltion ki wajah say sara maza kirkira ho jata hai.

    Main chahti hoon apnay paighami Urdu main perfect ho jain kum uz kum jitna mujhay ata hai wo main sahi karwa doon. Aap ki ijazat ho to main start kar doon.
    Subhan Allah

    Comment


    • #32
      Re: Urdu Section

      Originally posted by Gul View Post
      :alhamd: aap K paas kafi Maloomat hein Roman language k baray mein ..
      Baat aap ki b sahi hai ...K koi New cheez ko apnaanay ka hosla :)
      Waqi Buhat hiimat ki baat hai .....

      actually har koi yeh samjhta hai k ***MEIN THEEK KEH RAH HOON***
      jab tak hum mein se bahir nahi aatay..hum bakri ki tarah se **mein mein**
      Karna nahi chorein gay ...hum kabhi bhi ...THEEK nahi ho saktay ...

      Baat wahi k ...Kuch Tum pass aao ..kuch hum paas aaein ....!:eye:
      Yunhi dooriyaaan ..372-shock..khatam ho sakti hein na ..!!


      Sis sirf khud ko sahi samajhnain say naheen hota balkay jo sahi hota hai wo su b ko nazar ata hai. Jaisay farq saaf zahir hai ki tarha. Baat yay hai k jo ghalat ho wo maan bhi laay. Ghalat ho aur manmani karta rahay to wo sub ko nazar ata hai. Aap ki likhai main jo ghalti ho gi ya meri likhai main sub ko nazar aay ga. Ub meri ghalti ho aur na manoon to yay mera ahmaq pun hoga is liaay k sub ko to meri ghalti nazar aay gi main dheet bani rahoon to kia farq parta hai.
      Albatta dheet banay rehnay say mera apna nuqsaan hai k main sahi cheez seekh naheen paoon gi aur ghalti meray kaam main ho gi jub tuk us waqt tuk loagon ko ghalti nazar aay gi. Ub loag us ki nishandahi karain ya na karain un ko farq naheen parta laikin agar aap k kaam main ghalti hai to loagon ko aap ka kaam pasand naheen aay ga.
      Subhan Allah

      Comment


      • #33
        Re: Urdu Section

        Originally posted by MorningGlory View Post
        Sis sirf khud ko sahi samajhnain say naheen hota balkay jo sahi hota hai wo su b ko nazar ata hai. Jaisay farq saaf zahir hai ki tarha. Baat yay hai k jo ghalat ho wo maan bhi laay. Ghalat ho aur manmani karta rahay to wo sub ko nazar ata hai. Aap ki likhai main jo ghalti ho gi ya meri likhai main sub ko nazar aay ga. Ub meri ghalti ho aur na manoon to yay mera ahmaq pun hoga is liaay k sub ko to meri ghalti nazar aay gi main dheet bani rahoon to kia farq parta hai.
        Albatta dheet banay rehnay say mera apna nuqsaan hai k main sahi cheez seekh naheen paoon gi aur ghalti meray kaam main ho gi jub tuk us waqt tuk loagon ko ghalti nazar aay gi. Ub loag us ki nishandahi karain ya na karain un ko farq naheen parta laikin agar aap k kaam main ghalti hai to loagon ko aap ka kaam pasand naheen aay ga.

        Jee Bilkul Sahi Farmayaa ...

        Laikin Ghalati WO sahi ho sakti hai Na dear!
        Jiss ko hum khud apni ghalati maan LeiN ...

        Nahi tu Progress Rukk gaii na ...

        Wahi k.....Khud ko sahi samajhnaa ...............aur Khud ko ghalat samjh k sahi
        Karna mein buhat Farq hai ....! :)

        Baat hai Samajh kii..........:)

        Comment


        • #34
          Re: Urdu Section

          Originally posted by Gul View Post
          Asalam O alaikum ..

          MG Sahiba

          Mein nay kafi lambi behas deykhi ......

          Jo MashaAlalh kafi achi trah jati DIkhaai dee Mujhay

          Mein nay abhi last posts aap ki dekheiN ...

          Pegham..............
          Pegham hee likha jata hai ...

          Roman mein .....!

          EhsaaN ....ElaaN Bhi Ho skata hai ...

          KioN k yeh Roman Language hai

          aap URDU TEXT ka Muqabala ....ROMAN URDU se nahi kar saktay ...
          yeh Tu aap manein gee !
          Jesa k ..Indian Urdu K Roman Spellings Alag se heiN ...

          Pakistani's Ki Urdu K Roman Spellings aik dum Mukhtalif hein
          Loag jiss tarah Boaltey hein
          Ossi Tarah se likhtay hein ....
          .

          Haan agar URDU TEXT mein ....Ghalati ho Tu wo sikhaai ja sakti

          Roman URDU tu sirf Sab ki aasaani k liyay hai k sab ko sab kuch
          samajh Aa-jaa-ay .....,,bass Aur issi tarah se Net per urdu Use ho rahi hai

          Yeh Sirf Pegham ka prob nahi ...Sabhi Urdu Websites per aisa hee Ho raha hai ..!



          Aur Mera Nahi khiyal k Kisi B Pegham K user Ko ....

          yehan ki Roman (urdu) Style samjh nahi aati !!


          Nai POAD ..... ki baat tu janab :)

          Nai POAD KO TU URDU isi andaaz ki aati hai ....

          WO URDU LUGHAT ki zubaan nahi samjh saktay janab!

          Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatahu

          Sahiba pay feeling proud.

          Sis Pegham hi likha jata hai Roman main jiska aap dawa kar rahi hain koi pakka usool naheen to dawa to ho hi naheen sakta. Yahan per aap hutdharmi kar rahi hai.

          Likhnain ko aap jaisay bhi likh lain ghalat ya sahi jaisay masla to parhnay walon k liaay hai.

          Main nain parhtay daikha hai jub main volunteer kar rahi thi school k buchchon ko computer seekhanay k wo Kisi letter k saath e laga ho to ussay bilkul us letter ki tarha parhtay hain misal

          pe = p wo issay pay ya pai naheen parhtay.
          be = b
          se = c
          de = d

          Choon k roman main letters english k hota hai to koi word buchchay ussay english ki tarha hi parhtay hain.

          be wo be english ki tarha parhtay hain.
          jub kay english main wo RAY ko ray parhtay hain to
          pe ko pai kaisay parh lain gay.

          Baharhal jis nain bhi pai ki jagah pe use kia hai ghalat kia hai is say sub ghalat parhain gay. Koi manay na manaay main to tajurbay pay bol rahi hoon. Kisi ki hut dharmi say manu koi farq nain painda sis.

          Jin ko spelling ghalta ati hai wo hamaysha ghalat hi likhtay hain sahi samajh kar. Laikin un ka na janna ya na manna ussay sahi naheen kar deta.


          Elaan naheen ho sakta. Ailaan ho sakta hai kisi bhi soorat. Her jagah aap balak hut ki tarha hut dharmi dikha rahi hain. Ghalat ko ghalat manna chahyay.

          Urdu main zair zabar aur paish say mutlub change ho jata hai.

          Urdu ka sahi word Ailaan hai. Elaan naheen Elaan koi word naheen hai. AGain there is no rule for hut dharmi.

          Main kisi ka muqabla kisi say naheen kar rahi. Main to sirf sahi aur ghalat bata rahi hoon. Yani roman urdu main sahi tareeqa e likhai bata rahi hoon.

          Hinduon ya hindi roman urdu say kia lenay unki to hazaron main ghaltiaan nikal kar dikha doon. Hans hans kar bura haal ho jaay ga. Filhal apnay topic pay rehtay hain is ko kisi aur waqt k liaay rakh chorain.

          Aap agar jung akhbar par bhi daikhain wo wo bhi paigham likhtay hain. pegham naheen. Khud daikh lain aur Jang ka roman urdu main nain unko naheen jazweez kia tha aur na hi main nain unko salah mashwara dia tha.

          Red kiaay gaay aap k alfaz main aap nain hutdharmi k ilawa yay ki hai aap nain sub say baat zabardast.

          Bilkul baja farmaya jo lahja jis madri language ka hota hai wo bilkul usi lehjay say doosri zuban boltay hain jo doosri zuban ka bera gharak karna hota hai. Is liaay k aap jis lehjay say bolti hain apna wo lehja zabardasti doosray language pay naheen thoons sakti wo phir kuch aur hi bun jata hai.

          Her zuban ka apna lahja hota hai jub us ko ussi lahja say bola jata hai to uski sheerni aur khoobsoorti baqi rehti hai. Kioon sahi kaha ya ghalat?

          Ub aik ungraiz jis lehjay main urdu bolay ga wo to mazhaka khaiz lagay ga na. Aap yay baat manti hain ya naheen. Aap Canada main reh rahi hain to kafi tajarba ho ga k jis tarha wo hamara naam tor maror kar detay hain kia wo hamain achcha lugta hai? Naheen hargiz naheen. Jub wo muslim ko molem kahtay hain Quran ko koran kahtay hain waghaira waghaira.

          Son non urdu speaking aur non madri zuban urdu walay jub urdu ko ussi tarha boltay hain jo lehja unki madri zuban ka hota hai to wo urdu ki ussi lamhay taang tor detay hain. Yay unko naheen samajh ati aur na hi lugta ho gay balkay pata bhi naheen chalta hoga laikin urdu speaking ko pata chal jata hai tang buri tarha toot rahi hai.

          Red huway aap kay apnay jumlay main aap ki ghalti ki nishandahi karti hoon ummeed hai dil par naheen lain gi aur hut dharmi bhi naheen dikhain gi.

          Aap nain likha OSSI. Ossi kia word hai aap yaqeenun punjabi hain. Punjabi Ussi ko Ossi likhtay aur kahtay hain. Main baa asani aap ki ghalti is liaay nikaal sakti hoon meri aik aunty bhi Punjabi hain jub main 10 say 12 saal ki thi jub unko unki ghaltiaan bataya karti thi unko samajh bhi naheen ati thi (wo kahti theen) kon kon say "LUFUZ (Punjabi kahtay hain. meri aunty kahti theen)" (Lufz) Sahi urdu main kahtay hain wo ghalat bolti hain.

          Now did you know why you are dikhaing HUT DHARMI. You might be a tassubi.

          Aap OSSI bolain gi na aap ko ghalat lagay ga aur na bura per mujhay ghalat lagay ga kay urdu main OSSI koi word naheen. Ya to Ussi hai ya Issi donon words main farq agaya sirf paish aur zair ki wajah say.

          Mujhay maloom hai aap abhi bhi hut dharmi dikhain gi. Aur aap k saath denay walay bohat yahan milain gay kioon kay wo aap k hum zuban hon gay so unko koi farq naheen lagay ga aap ORDU ki tang torain ya na torain. Main choonkay ORDU MEDIUM hoon is liaay mujhay parh kar koft ho gi.

          Isi tarha punjabi school ko sakool kahtay hain. Jub kay sahi word iskook hai.

          Shayad ub aap apni hutdharmi say baaz ajaain ya aur mazeed ghaltian dikhain aap k red kiaay alfz k prove main. K jis lehjay main wo baat karta hai usi lehjay main likhay ga.

          Aik jagah kisi punjabi nain OMMID LIKHA THA jub ka sahi word Ummeed hai. OMMID koi word naheen hota.

          Mara choon ka kai tarha say punjabion say wasta raha hai so main samajh sakti hoon k agar wo Ommid kah ya likh rahain hain to mublub (hinduon ka OM aur mid naheen hai) balkay matlab Ummeed hai. Per non punjabi will get confussed what that word is. Wo dictionary main bhi dhondhain gay to naheen milay ga lufz ommid unko.


          Ji bilkul urdu text ki ghalti main to sikhana asan hai per aap jaisa koi hut dharm huwa to wo bhi naheen manay ga. Kahain to aap ki site ki urdu ki ghaltiaan bhi dikha doon.


          Dosray red kiaay aap k jumlay main aap apnay hi baat ki nafi kar rahi hain. Yay hi to main sub ko samjhanay ki koshish kar rahi hoon jo ya to na samjhi ki bina pay ya phir tassub ki bina pay sub samajhnay say qasir hain.

          Roman urdu ko saaf saada aur asan bananay ki hi main baat kar rahi hoon jis say sub ko asani ho na k k sirf jannay walon ko.

          Agar aur siton per ghalti ho rahi hai to yay is baat ka amr naheen kay sub wohi ghalti dhuratain jain. Jo ghalti kar rahain hain jaan boojh kar naheen balkay la ilmi main ya non urdu zuban ki wajah say.

          Zaroori to naheen gadhon ki tarha hum bhi gadhon ki ghaltion ki taqleed aankh bund kar k kartay chalay chain. Kioon na hum pehla qadam uthain ibtida ka sahi rastay ki taraf sub mil kar bajaay hut dharmi karnay k. Sub mil kar kaam bahtareen kar saktay hain agar ACHCHI KI NEEAT SAY BAYLOOS HO KAR KARAIN TO. Warna hut dharmi dikhanay walay logon ki wajah say aik group behtareen kaam naheen kar sakta.

          Yay to aap ka apna khiaal hai k samajh ati hai sub ko aur zaroori naheen aap ka khiaal sahi bhi ho ghalat bhi to ho sakta hai. Jub pata hi naheen ho ga to samjhain gay kia khak pata ho to samajh sakain gay.

          Jaisay saray Punjabi OMMID ko hi sahi samjhain gay. Jub uhain pata lagay ga ka OMMID ghalt hai koi urdu (Ordu) ka word naheen Balkay UMMEED ko is tarha likha ja raha hai to ghalat samjhain gay aur kahain gay.


          Purple kiaay aap k jumla to sirf aap ka apna zaati dawa hai janab jo sirf hut dharmi k siwa kuch naheen. LOL

          JO JIS TARHA BOLTAY HAIN WO "OSSI" TARAHA ROMAN "ORDU" LIKHTAY HAIN AUR YAYHI "ORDU" KA ALMIA HAI.
          Subhan Allah

          Comment


          • #35
            Re: Urdu Section

            :)

            Comment


            • #36
              Re: Urdu Section

              Baharhal jis nain bhi pai ki jagah pe use kia hai ghalat kia hai is say sub ghalat parhain gay.
              Koi manay na manaay main to tajurbay pay bol rahi hoon. Kisi ki hut dharmi say manu koi farq nain painda sis
              .
              :)

              Comment


              • #37
                Re: Urdu Section

                Baharhal jis nain bhi pai ki jagah pe use kia hai ghalat kia hai is say sub ghalat parhain gay. Koi manay na manaay main to tajurbay pay bol rahi hoon. Kisi ki hut dharmi say manu koi farq nain painda sis.
                Waqi sahi kaha ....kisi ki Hutt DharMii se kisi ko farq PaRR B nahi sakta

                :) aap tu urdu se Punjabi mein aa gaeiN ..Wah ..:)

                Comment


                • #38
                  Re: Urdu Section

                  Originally posted by Gul View Post


                  hmm :)http://www.pegham.com/images/editor/color.gif

                  Urdu Ki TangeiN ....Buhat Mazboot hein Janab :)
                  Wo koi b nahi To.D Sakta ab deykhein Kai Sites per URDU ka laf
                  TURR ( Break) likha jata hai ...Kahin ...to.D likha jata hai ....
                  Makes No difference .....!

                  anyway ....

                  Aap nay Khuley dil se Jo ...Baat likhii..
                  Jinn GhaltiyuN ki Nishandahi ki ..acha laga.....
                  Magar yeh deykehin ....Mein nay kuch Indicate karnay
                  ki jasaarat ki hai ....Mujhe Omeed hai ...Iss ko aap
                  Bhi Masbat Andaz mein lein Gee!!!!!!!!!

                  Aazari mein Mein DO alif Bolay jaatay hein ..... دل آزاری
                  Kion K ...iss ka Pehla harf Alif Mudd hai.....
                  So aap nay Oss lafz ko azari likha .....jo k ازاری
                  ho giya na ....jo k Urdu mein hai nahi shayd !

                  magar hamein samjh aa giya kion k ....hum sirf aik lafz nahi parhtay..
                  Hum Puraa Jumlah Parh k baat samjhtay hein ..! issi tarh se

                  تعظیم تعصب

                  yeh alfaz ain rakhtay hein ..jo k
                  roman mein ...ta`azeem ...aur Ta`asub ...likhey jaa-ein tu sahi hein .. magar hamein wo b samjh aa gay kion k..!
                  Roman mein iss aNdaaz ki koi qed nahi ....!

                  معذرت خواہ ہوں اگر میری بات آپ کی دل آزاری کا سبب بنی ۔۔۔۔۔
                  مگر ایک بات تو روزَ روشن کی طرح کلئیر ہے ۔۔۔۔کہ
                  ہمیں کم از کم پیغام پر ۔۔۔ اردو زُبان کو لے کر ۔۔۔کوئی تعصب دکھائی نہیں دیتا۔

                  [/SIZE] جانے آپ کو ایسا کیوں لگا؟

                  بہر حال ۔۔۔۔رومن انداز کی کوئی لغت نہیں اس لیئے ۔۔۔۔۔وہ کوئی ۔۔۔پُختہ زُبان نہیں ۔۔۔
                  اس لیئے اس پر کوئی پابندی بھی نہیں ۔۔۔

                  بات ہے صرف کُھلے دل و دماغ کی ۔۔۔۔
                  نہ کہ جوک آف دی ڈے ۔۔۔یا جوک آف دی منتھ لکھنے کی

                  ہمیں سب کام تعمیری انداز میں کرنا ہے ۔۔۔۔
                  اُ س کے لیئے کسی خاص ۔۔۔بات کو نشانہ بنانے کی چنداں ضرورت نہیں ۔۔۔


                  خوش رہیئے ۔۔۔۔۔

                  :)




                  Urdu ki mazboot tangain bhi loag bari asani say tortay hain. Khair wo aap ko samajh naheen aay ga is liaay k aap ki madri zuban urdu naheen so aap agar urdu ki tangain torain bhi to shikayat naheen ki ja sakti haan albatta BATAYA zaroor ja sakta hai agay aap SEEKHAIN K Na SEEKHAIN YAY AAP PAY MUNHASHIR HAI. Seekh lain gi to aap ka faida k ghaltion say mubarra likhain gi aur naheen seekhain gi to mera koi nuqsaan naheen albatta aap ki ghaltian daikh kar mujhay koft aur takleef zaroor ho gi.


                  Toar ko toar' is tarha likha ja sakta hai laikin TURR naheen likha ja sakta k turrrr ki tarha parha jaay ga aur to.d (tod) bhi ghalat lugta hai. Exactly jahan par hum naheen likh saktay uss kay liaay to rule waza kia ja sakta hai. Yes It makes lots of Difference. Aap manain ya na manain kaisay misal paish karti hoon


                  Padh (par'h indians likhtay hain) Ub hum pakistani issay kia parhtay hain wo aap ko bhi maloom ho ga SO YES IT MAKES LOTS OF DIFFERENCE.

                  D ka use Daal ki jagah kar saktay hain to R'aay ki jagah use karnay say lufz hi badal jaay ga.

                  Gid mid
                  Gir'gir'ana Ko Gidgidana naheen likh saktay is liaay k R'aay aur Daal ka farq aa jaay ga. YES IT MAKES LOTS OF DIFFERENCE.

                  Yay hi to bahtareen suggestion di hai SHERALI bhai nain jo aik bahtareen suggestion hai. SHERALI bhai ki taraf say yani is tarha k maslon ko hal kia ja sakta hai.

                  Jahan tuk azar ki meri nishandhi karnay ki baat hai to main nain aap ki tamaam ghaltion ko red kar dia hai ab aap khud daikh lain kis ki mistake ziada hain. Aap nain to dil pay lay liaa.

                  Azari likhnay main meri mistake ya baytawajjahi ho sakti hai per jub baat kisi site k main page pay Elaan likha jaay to wo bohat bari mistake hai. Naheen aik zara si ghalti to her insaan kar sakta hai yay koi bari baat naheen laikin aik post main ghaltion ki bharmaar to mulahiza farmaain.

                  Dil aazari (daikhain main aap ki tarha hut dharm naheen k apni ghalti na manoon) to meri kia khaak hogi jub kay main janti hoon k urdu kay saath tamaam non urdu bohat hi tassub baratay hain so unki baton say (ADAM BOO ADAM BOO, TASSUB) hota hai so mujhay hargiz bura naheen lugta BALKAY BOHAT HI HASI ATI HAI.

                  Aap ka urdu ka red kia jumla aik SUFAID jhoot hai. Wo is tarha k aap nain urdu main yay site to banai is main urdu ka jabaja istamal to ho raha hai per seekhanay k liaay sirf punjabi, saraiki, pushto aur english ko chuna gia aur urdu ko chor' dia gia Jo tassub ki nishani hai. Jub k urdu PAKISTAN ki qaumi zuban hai.

                  Bayshak Roman urdu ki koi lughat naheen laikin sahi likh kar us ki pabandi karna koi burai bhi naheen. Ghalat likh kar na manna aur us ko sahi na kar k hut dharmi dikhana bhi sahi naheen.

                  Joke of the day aur month jis nain likha tha yay aap nain ussay likhna tha na k mujhay. Main nain to sirf unki bund ankhain aur unka unkay undaz main jawab dia tha. Aap ki yay baat mujhay bohat buri lagi jis ki shuruaat jis nain ki thi aap nain ussay bolna chahyay tha khair wo pehal karnay wala punjabi aur aap punjabi so wo ghalat bhi karay to sahi. Bayimaan loag hotay hain aisay. Aap ki yay bayimani mujhay hargiz pasand naheen aii. Khair dunia bhari pari hai aap jaison say.

                  Apnay akhri jumlay main aap nain wo hi kaha jo khud Puri post main jis k baraks kia hai. K meri ghaltiaan nikalnay baith gaeen aur tameeri koi kaam naheen kia LOL.



                  Tangein naheen Tangain

                  Buhat naheen bohat

                  Khuley naheen Khulay

                  dekehin naheen daikhain

                  Jasaarat naheen jisarat

                  Omeed naheen Ummeed

                  lein naheen Lain

                  Gee naheen gi

                  Harf naheen hurf

                  Oss naheen Us

                  Mein naheen main

                  shayd naheen shayad

                  hamein naheen hamain

                  Jumlah naheen Jumla

                  se naheen say

                  gay naheen gaay

                  qed naheen qaid

                  aNdaaz naheen Undaaz

                  Apni nazar sani karain. LOL

                  Main aap ki baat naheen kar rahi aap to masha Allah kafi talented hain sub parh likh aur samajh leti hain per main to OSS ki baat kar rahi hoon JOSS (JIS) ko aap ki tarha maharat naheen hai urdu parhnay ya likhnay main takay wo US KO OSS NA LIKHAY UMMEED KO OMMEED NA LIKHAY.

                  Bura na manaiyay ga MOJH (mujh) main zara main main bakri ki tarha karnay ki bohat adat hai khaas tor say OSS waqt jub baat ORDU (URDU) KI HO.

                  BOHAT KHUSH RAHIAAY AUR TASSUB KO APNAY PAAS PHATAKNAY NA DIJAAY AUR BAYIMANI KI BATON SAY PARHAIZ KIJAAY AUR ORDU KI APNI GHALTION KO DURUST KAR LIJAAY.

                  LOL
                  Subhan Allah

                  Comment


                  • #39
                    Re: Urdu Section

                    Dekehin !! Sahiba...!:)
                    Hum ko Buhat hansi aati hai

                    is liyay ki ...
                    Jo aap keh rahi hain Ta`asub ...ya ...What Ever ....!

                    Wo khud aap k aNdaaz se jhalk raha hai ...!

                    Chalein manay leytay hein aap Urdu Daan hein ..

                    and Bila shak O shubah aap buhatOun se achi urdu JanTi hein..

                    Go a head dont use Roman Type ...!

                    Write In URDU ...!!!!!!!!!!!!!!

                    Kam az kam Ahle Zubaan Honay ka haqq ada akijay ...

                    Mujhay aap k kisi aNdaaz per koi Eteraaz nahi ...

                    MeiN ...Nay aap K jo alfaaz ki nishandehi ki :) ....
                    Buhat Munasib andaaz mein ki...!

                    behar Haal Aap ....Tu Dil per ley betheiN :)
                    Jab hum kuch sikhanay ki baat kartay hein Na .......

                    Tu sab se baRi cheez ..... Hikmat Aur Daanaii hai ....!
                    Hamein Hikmat se kaam lena chahiyay na k ...
                    umm...............! cahlein janay deiN....

                    Aap URDU sikhana shoro karein ....!

                    I will B the first student of urs ,....!
                    But Shart wahi URDU ki hai

                    Roman ki har giz nahi.....!:thmbup:

                    Comment


                    • #40
                      Re: Urdu Section

                      aNdaaz naheen Undaaz

                      Apni nazar sani karain. LOL

                      Main aap ki baat naheen kar rahi aap to masha Allah kafi talented hain sub parh likh aur samajh leti hain per main to OSS ki baat kar rahi hoon JOSS (JIS) ko aap ki tarha maharat naheen hai urdu parhnay ya likhnay main takay wo US KO OSS NA LIKHAY UMMEED KO OMMEED NA LIKHAY.

                      Bura na manaiyay ga MOJH (mujh) main zara main main bakri ki tarha karnay ki bohat adat hai khaas tor say OSS waqt jub baat ORDU (URDU) KI HO.

                      BOHAT KHUSH RAHIAAY AUR TASSUB KO APNAY PAAS PHATAKNAY NA DIJAAY AUR BAYIMANI KI BATON SAY PARHAIZ KIJAAY AUR ORDU KI APNI GHALTION KO DURUST KAR LIJAAY.


                      LOL
                      mera khiyal hai Quote karna hee kaafi hai :).!

                      :)

                      Comment


                      • #41
                        Re: Urdu Section

                        Mujhey Omeed hai k aap hamein Urdu Ko URDU mein sikhaney ka koi Enyezaam kar rahi Hain ..inshaAllah!

                        kioN k ab tu hamein seekhna hai jee :) ......URDU :)...............(Roman nahi..)

                        Comment


                        • #42
                          Re: Urdu Section

                          Originally posted by MorningGlory View Post

                          BOHAT KHUSH RAHIAAY AUR TASSUB KO APNAY PAAS PHATAKNAY NA DIJAAY AUR BAYIMANI KI BATON SAY PARHAIZ KIJAAY AUR ORDU KI APNI GHALTION KO DURUST KAR LIJAAY.

                          LOL

                          Aap B dheyr saar Khush khush rehnay ki koshish kijay ..:)

                          Allah Hum sab ko ....Hiknat aur daanaai se baat ko kehnay ..parakhnay
                          aur ...Samjhnay ki ..Tofeeq aataa farma-ay ameen sum ameen !:jazak:

                          Comment


                          • #43
                            Re: Urdu Section

                            Originally posted by gul View Post
                            aap B Dheyr Saar Khush Khush Rehnay Ki Koshish Kijay ..:)

                            Allah Hum Sab Ko ....hiknat Aur Daanaai Se Baat Ko Kehnay ..parakhnay
                            Aur ...samjhnay Ki ..tofeeq Aataa Farma-ay Ameen Sum Ameen !:jazak:
                            حکمت و دانائی

                            Comment


                            • #44
                              Re: Urdu Section

                              Ahoo aap bari ba hikmat o Dana hai soch rahi hoon main aap ki hikmaat o danai say mustafeed ho loon. LOL

                              Jub jawab bun na paray to hikmat o danai bari kaam ati hai. LOL
                              Last edited by MorningGlory; 2 October 2008, 05:02.
                              Subhan Allah

                              Comment


                              • #45
                                Re: Urdu Section

                                Hats off to both MG and GUL :hehe:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X