Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~
aslamo alykum bhai , aap k khiyalat perhy per kar main is nateejy per pohncha hon k aap khud abhi zehni tour per intishaar ka shikaar hain aap ko khud bhi naheen pata aap kaya kehna charahy hain kabhi aap kehty hain k mazar shirk hy kabhi aap kehty k zalazaly k moqa per mazarat ko terjeeh naheen deni chaiye thi akhir aap ko masla kiya hy?main to samjhny se qasir hon?mery bhai yahaan kisi ny kisi ko terjeeh naheen de bus aik simple post thi k jo log ALLAH k wali ho jaty hain ALLAH un ko apni qudrat se her museebat se mehfooz rakhta hy .bus itni se baat thi.likin aap ny iss per ajeeb tareeqy se radyamal zahir kiya aik terf to aap ALLAH ki toheed ki baat karty hain aur dosri taraf aap ny mazarat ki banawat ko ALLAH ki qudrat se ziyada ahmiyat de de ?aap k kehny k mutabik ALLAH ny un mazarat ko mehfooz naheen rakha balky un ki construction hi aysi thi k wo na giry ?mujhy afsoos hy bhai k ALLAH ki qudrat k muqably main insani aqal aur taqat se bani hui amarat ko aap ny terjeeh de dee. hum kehty hain k ALLAH ny apny waliyon ko mehfooz rakha jab k aap kehty hain k mazar isliye naheen giry kiuon k un ki banawat hi aysi thi .mery bhai ab main aap ko batana chata hon k zalzala chay kitna hi kum shidat se aye agar ALLAH ka hukum ho to serf mazarat gir sakty thy. aur agar wo aysa chata k serf mazarat gir jain baqi imlaaq ko nuqsan na pohnchy to aysa bhi ho sakta tha .aur is main koi shuk naheen likin us ny aysa chaha hi naheen mery bhai .kiuonk AGAR ALLAH CHAHY TO MAZBOOT SE MAZBOOT IMARAT GIR JAY AUR KAMZOOR TAREEN IMARAT KO KOI NUQSAN NA POHNCHY YE HY ALLAH KI QUDRAT WO JO CHAY KARSAKTA HY,likin aap ko iss baat ki samjh naheen aarahi baqi jo aap ny ye kaha hy k main ny jis kitab ka hawala diya hy wo kisi qabar poujny waly ki hogai to mouzALLAH bhai aik terf to aap mujh ko deen ki samjh rakhny wala man rahy hain aur dosri terf aap ye ajeeb baat kerrahy hain mery bhia koi muslman aaj kal qabar ki pouja naheen karta aur kisi aam muslman k bary main aysi badgumani naheen rakhni chaiye kuja k aik alme deen ki kitab ko aap qabar persti kitarf nisbat deen main ALLAH KI PANAH MANGTA HON AYSY ZULMY AZEEM SE.baqi agar main ny sab batoon ka jawab diya to post bohat hi lanbhi ho jay gi w.slaam aabi
Originally posted by Spy009
Comment