Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

    SOURC
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

  • #2
    Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

    :masha aabi buhut sabaq-aamoz article share kiya hai :jazak:
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

      Aabi aap ne mazarat ka zalzala mein bachey rahne ka jis tarah se likha hai uss taraf readers ko shirk ki taraf mayal karta hai, jo insaan mitt gaya qabar ka peond ho gaya, haddiyan bhi nahin bachi uss jagah jo imarat hai uski koi ahmiyat nahin, aur sabse badi chiz ke dafan kiye huwe qabron pe to garey aur bricks ke emarat (mazar) hi nahin honi chahiye.

      Wo mazarat zalazala mein bach gaya uski ek wajah hai ke mazar ke imarat aam gharon ke tarah roof wale nahin hote, wo chhota sandooq numa aur zamin se sata hota hai, to girega kaise...

      Ye koi karamat wali baat nahin aur iss tarah ki baatein likh kar musalmano ko gumrah na karen.
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment

      • #4
        Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

        NICE

        CHIPKOOOOOOOOOOOO

        Comment

        • #5
          Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

          My Dear Abid Brother,
          This is ur great post.
          Thanks

          Comment

          • #6
            Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

            Great Post.
            Allah Ka "walli". Jo Rub-ul-alameen Ka Dost Ban Jain Zalzalah Kia Pori Kaniyat Un Ka Ahtram Karti Hai.
            Kuin Ka Woh, "hazoor Say Ishq Or Allah Ke Bandghi Ky Zariay "walli Ka Mukam" Hasil Kar Laitay Hain.

            Comment

            • #7
              Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

              Originally posted by Spy009
              Aabi aap ne mazarat ka zalzala mein bachey rahne ka jis tarah se likha hai uss taraf readers ko shirk ki taraf mayal karta hai, jo insaan mitt gaya qabar ka peond ho gaya, haddiyan bhi nahin bachi uss jagah jo imarat hai uski koi ahmiyat nahin, aur sabse badi chiz ke dafan kiye huwe qabron pe to garey aur bricks ke emarat (mazar) hi nahin honi chahiye.

              Wo mazarat zalazala mein bach gaya uski ek wajah hai ke mazar ke imarat aam gharon ke tarah roof wale nahin hote, wo chhota sandooq numa aur zamin se sata hota hai, to girega kaise...

              Ye koi karamat wali baat nahin aur iss tarah ki baatein likh kar musalmano ko gumrah na karen.
              janab un main Olia ALLAH thy ....es liy mazarat nahi toty....
              or es main gumra huny ka kia jawaz hay....???
              Allah ager chayee to World Trade center ko chand second main mita sakta hay....
              ......................................
              jo insaan mitt gaya qabar ka peond ho gaya, haddiyan bhi nahin bachi uss jagah jo imarat hai uski koi ahmiyat nahin
              kia khobsurat baat kee hay aap ny....
              mera nahi khiyal k aap kee baat per koi etfak kery...

              Comment

              • #8
                Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                Originally posted by Spy009
                Aabi aap ne mazarat ka zalzala mein bachey rahne ka jis tarah se likha hai uss taraf readers ko shirk ki taraf mayal karta hai, jo insaan mitt gaya qabar ka peond ho gaya, haddiyan bhi nahin bachi uss jagah jo imarat hai uski koi ahmiyat nahin, aur sabse badi chiz ke dafan kiye huwe qabron pe to garey aur bricks ke emarat (mazar) hi nahin honi chahiye.

                Wo mazarat zalazala mein bach gaya uski ek wajah hai ke mazar ke imarat aam gharon ke tarah roof wale nahin hote, wo chhota sandooq numa aur zamin se sata hota hai, to girega kaise...

                Ye koi karamat wali baat nahin aur iss tarah ki baatein likh kar musalmano ko gumrah na karen.
                payary bhai sapy aslamo alykum, pehli baat to ye hy bhai k ye mazmoon main ny khud naheen likha balky share kiya hy link bhi main ny sath main diya hy.baqi rahai aap ki ye baat k iss kisam ki tehreer logon ko shirak ki taraf mayel karti hy to bhai pata naheen aap ny aysa kiuon socha?mery bhai shirk kisi amal ka naam naheen balky aqeedy ka naam hy kisi qabar per jana shirk naheen hy?qabar waly ki ibadat karna shirk hy usy ALLAH ki zaat aur sifaat main baraber janna ur manna shirak hy.na k mazaraat per jana shirk hy?baqi rahi ye baat k mazaraat banana hi naheen chaiye to arz hy k ye masla fiqhi point of view se bilkul ulmah k dermiyan mukhtalif hy jo bannay k qayel hain wo dalil k tour per AAP asw ke rozy ko peesh karty hain aur jo naheen qayel wo kehty hain k AAP asw ka roza khas hy us se ye dalil naheen pakre jasakti.
                baqi rahi aap ki ye baat k mazaraat ki banawat khas kisam ki hoti hy is liye wo naheen giry to mery bhai aap ki ye souch serf souch ki had tak he theek hy warna sadaqat ka iss main koi pehlo naheen kiuyon k jab ALLAH ka hukam ho to phir mazboot se mazboot tower bhi gir jaty hain serf halky se ishary se likin ye ALLAH ka hukum hi tha k aik jaga aik hi shidat se zalzala aya kuch imarat gir gaeen aur khuch ALLAH k hukum se saheeh slamat raheen.jaysy aap ne dekha hoga kai log kitny dinon bad zalzaly k malby se saheeh salamat nikal aay ye sab ALLAH K HUKUM SE HUA ?baqi raha aap ka ye taswour k jo muslaman ALLAH kpiyary fout ho jaty hain wo mer ker matti main mil jaty hain to ye taswour bazaty khud gair islami hy balky jamhoor ummat k aqeedy k khilaf hy.ye alehda se aik mozu hy iss per inshALLAH AIK NAYA THRED LAGAON GA baqi ALLAH se dua hy k wo hum sab ko haq ko manny ki aur us par amal karny ki tafeeq de aameeen ...w/slaam aabi
                Last edited by aabi2cool; 1 February 2006, 13:46.
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment

                • #9
                  Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                  Originally posted by Last Knight
                  janab un main Olia ALLAH thy ....es liy mazarat nahi toty....
                  or es main gumra huny ka kia jawaz hay....???
                  Allah ager chayee to World Trade center ko chand second main mita sakta hay....
                  ......................................

                  kia khobsurat baat kee hay aap ny....
                  mera nahi khiyal k aap kee baat per koi etfak kery...
                  Assalam Alaikum Khalil Bhai

                  Allah ke ijazat ke baghair ek patta bhi nahin hilta...ham sab jaantey hain iss baat ko, baat ho rahi hai mazar aur mazarat ki
                  Main mazar aur mazarat ke haq mein nahin hoon, Marney ke baad agar mazar ki ahmiyat aur haqeeqat hoti hai to duniya ka sabse bada Madina sharif...(nauzbillah, aisa munha se NA bulwaye)...aap log samajh jayein, Auliya hota hai iss bat ko maanta hoon, lekin marney ke baad koi chamatkari dikhaye aur yeh soch kar mazar banana, mazar ki taarif karna goya ke wo log un HIndus logon ke ham barabar hain jo darakhton aur nadiyon ko pujtey hain. Aur waise bhi dekha gaya hai k auliya wahi hotey hain jinki saari zindagi oghar pana mein guzarta hai, kabhi namaz bhi nahin padha ho, na kabhi masjid mein dakhil huwa. Namaz ke baghair koi neki qabool nahiin hoti, Rasool Allah SAW ki aankhon ki thandak namaz hai. Auliya se muhabbat rakhney wale logon Allah ka sachha nek banda aur wali auliya kabhi nahin kahega ke mare marney ke baad meri qabar pe imarat banao ya salana jalse munaqed karo....

                  marney ke baad koi auliya nahin, koi haqeeqat nahin...aap log Quran Sharif ka Surah Baqra ka tafseel padhen.

                  Allah ham sab musalamano ko nek raah pe chalney ki taufeeq ata farmaye.
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                    Originally posted by aabi2cool
                    payary bhai sapy aslamo alykum, pehli baat to ye hy bhai k ye mazmoon main ny khud naheen likha balky share kiya hy link bhi main ny sath main diya hy.baqi rahai aap ki ye baat k iss kisam ki tehreer logon ko shirak ki taraf mayel karti hy to bhai pata naheen aap ny aysa kiuon socha?mery bhai shirk kisi amal ka naam naheen balky aqeedy ka naam hy kisi qabar per jana shirk naheen hy?qabar waly ki ibadat karna shirk hy usy ALLAH ki zaat aur sifaat main baraber janna ur manna shirak hy.na k mazaraat per jana shirk hy?baqi rahi ye baat k mazaraat banana hi naheen chaiye to arz hy k ye masla fiqhi point of view se bilkul ulmah k dermiyan mukhtalif hy jo bannay k qayel hain wo dalil k tour per AAP asw ke rozy ko peesh karty hain aur jo naheen qayel wo kehty hain k AAP asw ka roza khas hy us se ye dalil naheen pakre jasakti.
                    baqi rahi aap ki ye baat k mazaraat ki banawat khas kisam ki hoti hy is liye wo naheen giry to mery bhai aap ki ye souch serf souch ki had tak he theek hy warna sadaqat ka iss main koi pehlo naheen kiuyon k jab ALLAH ka hukam ho to phir mazboot se mazboot tower bhi gir jaty hain serf halky se ishary se likin ye ALLAH ka hukum hi tha k aik jaga aik hi shidat se zalzala aya kuch imarat gir gaeen aur khuch ALLAH k hukum se saheeh slamat raheen.jaysy aap ne dekha hoga kai log kitny dinon bad zalzaly k malby se saheeh salamat nikal aay ye sab ALLAH K HUKUM SE HUA ?baqi raha aap ka ye taswour k jo muslaman ALLAH kpiyary fout ho jaty hain wo mer ker matti main mil jaty hain to ye taswour bazaty khud gair islami hy balky jamhoor ummat k aqeedy k khilaf hy.ye alehda se aik mozu hy iss per inshALLAH AIK NAYA THRED LAGAON GA baqi ALLAH se dua hy k wo hum sab ko haq ko manny ki aur us par amal karny ki tafeeq de aameeen ...w/slaam aabi
                    Janab Abid sahab (Abid: Ibadat karney wala, kitna achha naam hai aap ka)
                    Janab aap ne jis andaz se tahreer ko chaspan kiya chahey wo kisi link se liya gaya ho ya aap ne tehreer kiya ho...baat mazar pe jaati hai,

                    aap ke tehreer is tarah ka hai aur phir deegar members ne bhi aap ke likhey articles pe wah wah kiya hai...janab jo log barson pehle mar gaye, unka mazar nahin gira uss pe aap khoosh ho rahey hain, Allah ke marzi ke baghair ek patta nahin hilta, mazar bach gaya to kya...itna khush honey ki kya baat...jo log zinda marr rahey hain, jaisa ke Zalzala mein huwa 100000 se zayad log halak huwe unke baarey mein koi fikhr nahin, kitney log beemar hain, kitney log beghar ho gaye and still they have been suffering, uske baarey mein kuchh nahin aur mazar...
                    Definetly mazar ki banawat aam gharon se chhota hota hai, (matlab jo gira ho kya girega), to ismey koun si baat ho gayi, qudrat ki shaan yeh hai ke zalzala ke debris se 60-60 dino ke baad bhi log zinda nikley...yeh huwi naa Allah swt ki shaan...na ki mazar ke nahin girney ka.

                    Qabron pe mazar iss liye nahin banani chahiye ke ek faut huwe shaksh ke qabar ke uper agar muqbara bana diya jaye aur issi tarah sab pe bana diya jaye...to dafan karney ke liye jagah nahin milegi, Qayamat ke roz ek ek qabron saat saat bahar aayenge.
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                      Main Madina Sharif visit kiya aur jab bhi gaya to Janatte Baqi zaroor gaya jahan per Aap Rasool SAW ki sharik hayat ki qabren hain...lekin sirf nishaniya baqi hain, koi maqbara nahin, uss janatte baqi mein kitney sahabaon ke qabar hain...jo zamin se barabar ho gaya hai, thoda thoda mitti utha kar uncha kar diya hai pehchan ke liye, Islam mein mazar ki ijazat hota to wahan banta na...lekin jaise hi aap janatte baqi mein dakhil honge, wahan 3 badey badey board milega, jisme urdu, farsi and english mein yeh baat likha huwa milega "Qabaristan ki zayarat iss liye karni chahiye take apna maut yaad aye, ke bahut jald ham bhi aap logon se aa milenge."
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                        Originally posted by Spy009
                        Assalam Alaikum Khalil Bhai

                        Allah ke ijazat ke baghair ek patta bhi nahin hilta...ham sab jaantey hain iss baat ko, baat ho rahi hai mazar aur mazarat ki
                        Main mazar aur mazarat ke haq mein nahin hoon, Marney ke baad agar mazar ki ahmiyat aur haqeeqat hoti hai to duniya ka sabse bada Madina sharif...(nauzbillah, aisa munha se NA bulwaye)...aap log samajh jayein, Auliya hota hai iss bat ko maanta hoon, lekin marney ke baad koi chamatkari dikhaye aur yeh soch kar mazar banana, mazar ki taarif karna goya ke wo log un HIndus logon ke ham barabar hain jo darakhton aur nadiyon ko pujtey hain. Aur waise bhi dekha gaya hai k auliya wahi hotey hain jinki saari zindagi oghar pana mein guzarta hai, kabhi namaz bhi nahin padha ho, na kabhi masjid mein dakhil huwa. Namaz ke baghair koi neki qabool nahiin hoti, Rasool Allah SAW ki aankhon ki thandak namaz hai. Auliya se muhabbat rakhney wale logon Allah ka sachha nek banda aur wali auliya kabhi nahin kahega ke mare marney ke baad meri qabar pe imarat banao ya salana jalse munaqed karo....

                        marney ke baad koi auliya nahin, koi haqeeqat nahin...aap log Quran Sharif ka Surah Baqra ka tafseel padhen.

                        Allah ham sab musalamano ko nek raah pe chalney ki taufeeq ata farmaye.
                        aap kee bhai aabid hee theek jawab dain gy
                        shaid main koi sakhat elfaz bool jaoon...

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                          Originally posted by Spy009
                          Janab Abid sahab (Abid: Ibadat karney wala, kitna achha naam hai aap ka)
                          Janab aap ne jis andaz se tahreer ko chaspan kiya chahey wo kisi link se liya gaya ho ya aap ne tehreer kiya ho...baat mazar pe jaati hai,

                          aap ke tehreer is tarah ka hai aur phir deegar members ne bhi aap ke likhey articles pe wah wah kiya hai...janab jo log barson pehle mar gaye, unka mazar nahin gira uss pe aap khoosh ho rahey hain, Allah ke marzi ke baghair ek patta nahin hilta, mazar bach gaya to kya...itna khush honey ki kya baat...jo log zinda marr rahey hain, jaisa ke Zalzala mein huwa 100000 se zayad log halak huwe unke baarey mein koi fikhr nahin, kitney log beemar hain, kitney log beghar ho gaye and still they have been suffering, uske baarey mein kuchh nahin aur mazar...
                          Definetly mazar ki banawat aam gharon se chhota hota hai, (matlab jo gira ho kya girega), to ismey koun si baat ho gayi, qudrat ki shaan yeh hai ke zalzala ke debris se 60-60 dino ke baad bhi log zinda nikley...yeh huwi naa Allah swt ki shaan...na ki mazar ke nahin girney ka.

                          Qabron pe mazar iss liye nahin banani chahiye ke ek faut huwe shaksh ke qabar ke uper agar muqbara bana diya jaye aur issi tarah sab pe bana diya jaye...to dafan karney ke liye jagah nahin milegi, Qayamat ke roz ek ek qabron saat saat bahar aayenge.
                          payary bhai aslamo alykum, aap ny meri post k andaz per aytraaz kiya hy,likin lagta hy aap ny mera ye jawab poura naheen para?mery bhia us post k lagany ka maqsad ye tha k logon ko pata chal jay k jo log apni sari zindgi ALLAH aur RASOOL asw ki itaat main guzarty hain ,ALLAH un ko kitni ahmiyat dety hy .aur ye bhi maqsad tha k ham log bhi un jaysy ban jaien aur apni zindgiyon ko un ki tarha shariat k tabeh kar deen,aur mery bhai agar main ny ye post lagai hy k ALLAH ny apny waliyon k mazarat ko mehfooz rakha to is se ye hargiz matlaib naheen k hamary dil main un logon kiliye koi dard naheen jo k is badtareen zalzaly ki nazar hogay .mery bhai ye to aap ny ajeeb tarha ka aytraaz kar diya hy hum per ,ye to wohi baat ho gai jo log zalzaly main buch jain agar wo shukrany naymat k tour per koi khushi kareen to aap kehdeen gy k in ko zalzaly main fout hojany walon ka koi gum naheen mery bhia ye zindgi hy iss main dukh sukh sath sath chalty hain.
                          baqi jo neechy dosri post main aap ny jantul baqeeh ka zikar kiya hy to aap ki itlah kiliye arz hy k wahan per najdi hukomat ny jo zulam kiye hain aap zara wo tareekh bhi perleen k kis terha unhoon ny sahaba kiraam k mazaraat ko zulman dhaya aur buldoz kiya iss ki tafseel kiliye dekheen kitab tareekh e najdo hijaz ka mutalia kareen baqi raha aap ka ye aqli aytraz k mazar naheen banany chaiye kiuon k qabroon ki liye jaga kum per jay gi to bhai mazar serf oliya ALLAH k banay jaty hain jo k tadaad main bohat kam log hoty hain aam insanon k mazar naheen banay jaty. baqi main pehly bhi arz kerchuka hon k ye masla ulmah main mukhtalif hy ,main inshallah is per aik new thred lagaon ga.w/slaam aabi
                          Last edited by aabi2cool; 2 February 2006, 13:57.
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #14

                            Abeeb Sahab Assalam Alaikum

                            Bhai aap ke post se hame bilkul eitraz nahin hai, aap ne jitne bhi post Islamic section mein lagaye waqai jaankari wali hai, appreciated....but guzashta aap ne jo yeh post lagayi "Mazar" ko aap ne aaj ke logon jo zalzala se muttasir hain dard se karah rahey hain se zyadah mazar ko tarjeeh di...jo sarasar ghalat hai, mazar kar wajood kahan se aaya, mazar kyon bana, Allah swt ek khaliq o ma'abood hai to mazar ki takhleeq kyon, agar maangne ke liye to phir puri kayenat ka malik Allah hai wo mazar wala bhi ussi ke andar mein hai, aur phir sabse badi chiz insan "Ashraf ul makhlooqat" hai to phir maangna kis baat ka aur mazar kyon, Janab Abid bhai moujuda daur mein jo insaano (musalamano) pe bit rahi uss ki fikhr karni chahiye naa ke mare huwe ke liye.

                            baqi jo neechy dosri post main aap ny jantul baqeeh ka zikar kiya hy to aap ki itlah kiliye arz hy k wahan per najdi hukomat ny jo zulam kiye hain aap zara wo tareekh bhi perleen k kis terha unhoon ny sahaba kiraam k mazaraat ko zulman dhaya aur buldoz kiya iss ki tafseel kiliye dekheen kitab tareekh e najdo hijaz ka mutalia kareen baqi raha aap ka ye aqli aytraz k mazar naheen banany chaiye kiuon k qabroon ki liye jaga kum per jay gi to bhai mazar serf oliya ALLAH k banay jaty hain jo k tadaad main bohat kam log hoty hain aam insanon k mazar naheen banay jaty. baqi main pehly bhi arz kerchuka hon k ye masla ulmah main mukhtalif hy ,main inshallah is per aik new thred lagaon ga.w/slaam aabi
                            Janab kisi bhi sahaba karam ka Saudi Arab mein mazar nahin bana, agar bana to ussey dha diya gaya issi liye ke wo shirk naa karney lage...just opposite...yehi baat to aap ne apney mazmoon mein likhi hai. Mojuda hukumat Islamic hai. Aur waise bhi aap muta'ala ke liye jiss jiss kutb ka hawala denge...yaqinan un kutb ka takhleeq kaar Qabar Pujne wala hi hoga, Allah bachaye waisi kitabon ke muta'ala karney se.

                            Allah jisey chahta hai usey Elm deta hai, har baat ka jawab Qur'an meiin hai agar ham meaning aur tafseelat padh kar samajh len.
                            Aur janab aap ke mazmoon ke khilaf main kabhi nahin raha waqei aap Islamic baaton ke jaankar hain aur achhi qalamkar bhi hian, aap ke articles kafi sarahne layaq hai, main aap se koi bahas nahin karna chahta...baat ghalat thi maine uska jawab diya, aur koi zor zabardasti nahin.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~!~zalzala Aur Mazaraat~!~

                              Assalaam o alaikum
                              Pehlay b arz ki hay spy saab k Saudi Arab ka koi kaam hamaray liay hujjat nahi hay! bayshumar kharaabiaan haiN. wahaaN 20 20 shaadiaaN karnay ka riwaj hay aur wo aaj b iss pay qaaem haiN. agar aap unn mazaraat ko shaheed karnay k baaray maiN b kuch jantay hotay to aap ka b meray wala reaction hona tha. acha yai batayaiN k hazrat amna RAU ka mazar sakrak e kareem Sallallahi alahe wasalam k zamanay maiN maujood tha unhoN nay nahi shaheed kia. bilkul nahi kia. aur after 2001 wahaaN k saudi hukmaraanoN nay mazar pay buldozer pher dia. to aap kis say muttafiqq hoNgae. hazoor nabi e kareem sallallaho alaihe wasalam say ya saudi hukmaraanoN say.
                              agar aap nay saaeeN sahaili sarkar ka mazaar nahi daikha to iss maiN kisi ka koi qasoor nahi. aur aap nay agar uss mazar pay aayai huay aik banday k taasuraat nahi sunay to bhi kisi ka qasoor nahi hay! saaeen sahaili sakar koi sandooq numa mazaar nahi hay poori building hay uss pay chhatt b hay wahaaN masjid b hay aur khaana khilanay ka intezaam b hay aur aik do bandoN ko nahi aap ki soch say zyada log khana khatay haiN.. to shayed ab aap ki samajh maiN yai baat aa gaee ho gi. laikin,spy saab! iss say pehlay b aap ko aik post " MAZARAAT KI HAQEEQAT" main jawab dia ja chuka hay! aur kaafi tafseel say dia jaa chuka hay.
                              agar wo baat aap nay samjhnay say inkaar kar dia hay to maafi k saath ab bhi koi hawala aap k liay qaabil e qabool nahi ho ga.
                              Agar marr k mitti maiN milnay wali baat hoti to aap kya samajhtay haiN k syyedinaa siddiq e akbar R.A.U sarkar k roza e mubarak maiN dafn honay k liay sarkar say ijazat maangtay??? wo b after wisaal e sarkar sallallaho alaihe wasalam aur Hazrat umar R.A.U hazrat Aisha R.A.U say jagah k maamlay maiN baat kartay, q k wo hujra e mubarak hazrat aisha R.A.U ka thaa,iss liay ijazat zaroori thi.
                              agar wahaaN miTTi thi "jaisa k aap nay farmaya hay" to mazkoora dono hazraat e sahaba e jaleel k iss fe'l ko aap kya gardaantay haiN??
                              Wasalaam
                              Raza Baykamal
                              Last edited by baykamal; 3 February 2006, 04:28.

                              kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                              Comment

                              Working...
                              X