Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Some Questions ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~ Some Questions ~

    Originally posted by khurram_shaikh
    Assalaam o alekum,




    aur meri naaani ko to khaanien ke siwaa kuch nazer hi nahin aataa sirf khaanaa khaanaa aur khanaaa :embarasse
    han ab maroo sab nazar is boorhi nani kay kahanay ko
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #17
      Re: ~ Some Questions ~

      Originally posted by Aanchal
      assalamalikum
      good questions larki :phool:
      1-nahi zaida to nahi sootay ...bas ebadat or pher aftaari or sehri ki tayaari ....
      2-mery ghar main koi choota bacha nahi hai ...:)
      3-is baar sari namazaian :alhamd: waqat pay parhi hain or Quran bhi rooz parhti houn ...
      4-hmm sehri main koi sa bhi salan , with paratha or chaai....or aftaar main pakooray , samoosay , chart , vimto sharbat or custard waghera waghera..:lpop:
      5-han buhat farak ata hai ..is mah zaida ebadat hoti hai ..
      6- ji aksar ramzaan hi main eid ki shopping hoti hai ...:D:
      7-mostly din ko or aksar raat ko bhi jatay hain ...
      8-usi waqat khati houn ..azaan kay bad ..pher namaz parhti houn..
      9-same hi rehta hai ...is baar doobara check karoun gee..:wk
      10- main nay 11 saal ki omar main reakha tha or khud reakha tha ...or kafi husla afzaai ki the ghar waloun nay mere bari bahadur bachi hai :D to or baray shook say reakhti the heheh
      nice Answers Aanchal :rose
      Umm han aap zaroor check ker ky phir hum sab ko batana bhe :p

      Comment


      • #18
        Re: ~ Some Questions ~

        Originally posted by Spy009
        1.) Sona to hota hai lekin kam, Ibadat, taraweeh mein ramzan guzarta hai, but Quran sharif kam padh paata hoon

        2.) Main apney mulk se baahar rahta hoon, iss liye yehan koi chhota bachha nahin, chhota bachha main hi hoon

        3.) Jee haan saari namazen waqt se adaa karta hoon, Fajr ki namaz kabhi kabhi....

        4.) Iftaar mein taley huwe pakodey, samosey, fruits, juice, laban, chana chhola etc etc but iftaar khajoor se kholta hoon, Sehri mein 200 ml doodh, agar saath mein ek paratha mil gaya to kha liya warna sirf doodh se kaam chala leta hoon, neend se uthkar khaney mein bahut kharab lagta hai

        5.) Duty hour change ho jaata hai, din kabhi so leta hoon, aur raat ko thodi der tak jaagta hoon, yehi changes hain daily routine mein

        6.) Eid ki kharidari pehle karta tha...ab 2-3 saal se nahin kar raha hoon, jo marzi jis waqt chahey le liya koi khas waqt nahin

        7.) Jab mulk mein tha to raat taraweeh ke baad aksar market jaya karta, kharidaari ke liye bhi aur dekhney ke liye bhi

        8.) Iftaar ke baad halka phoolka kuch leta hoon, phir taraweeh khatm honey ke ek ghantey ke baad khana khata hoon

        9.) Wazan to kabhi tola nahi, mere khyal mein 1-2 kilo kam hota hai,

        10.) Pehla roza kis umar mein...very nice question Komal, pehla roza kab rakha tha mujhey yaad nahin...zehan mein flash back daudata hoon to kam az kam 7 saal ka raha hoga jab pehla roza rakha tha apni marzi se
        Umm nice answers Spy :rose Thankx ..
        7 saal main..umm good ..:D:
        vesy mostly bachy apni khushi sy he roza rakhty hain na ..:)

        Comment


        • #19
          Re: ~ Some Questions ~

          Originally posted by Saima Shaheen
          Main aa gayi answers lai ker :)

          1 - Buhut se kaam ker kay , office bhi hota hai, aur ibadat bhi soney ka waqt milta hai bas weekends per.

          2 - Humarey ghar main meri choti sis hai jo abhi 10 sal ki nahi huwa, wo almost kayi baar roza rakh chuki hai wo bhi ous ke special roza hai " Chirri roza" ous ke mutabiq wo dopahar ke 12 bajey roza khol leti hai.

          3 - Namaz Alhamdullilah sab parhti hoon, zohar ka time kabhi kabhi late ho jata hai, kabhi qaza bhi office timing ki waja se ........ Quran bhi parhti hoon kabhi kabhi reh jata hai to weekend per zada waqt parh leti hoon.

          4 - Sehri main parathey ke sath salan kaam khati hoon, dahi ek cup roz khati hoon, aur tea bas. Iftari main sab mazey ki chizein cream caramel, tryfil, juice, cheeze samosas zada pasand hain :D

          5 - Haan farq aata hai, office ke ilawa ghar ki routine main bhi, dopahar ke khaney ki tention nahi hoti, iftari ki tayari ka bhi maza aata hai. Aur raat ko taraweeh aur nafal parhney ka bhi.

          6 - Meri kuch zada shopping nahi hoti, haan meri sis ramzan aatey sath hi sir khaney lagti hain, zada shopping ramzan main hi hoti hai.

          7 - Late evening between 9:00 pm to 11:30 pm, casue ous waqt insan ek to sarey kaam namaz wagaira se bhi farigh ho jata hai doosra traffic aur crowd nahi rehta. Aur ramzan main yaha bazar almost late night shopping chalti rehti hai.

          8 - Iftari ke foran baad khana nahi khaya jata, bas tea....... namaz ke baad bhook mehsoos ho to khana khati hoon werna fruits yaan juice.

          9 - Koi zada farq nahi perta.

          10 - Pehli baar kuch theikh se yaad nahi shayed 12 yaan 13 ki age main rakha tha wo bhi shoq se rakha tha.
          umm Nice Answers :phool:
          Haan bachoo ko kitna shooq hota hai na roza rakhny ka ...:D: jesy apki sister ka bata rahe hain aap .churi roza ..:D

          Comment


          • #20
            Re: ~ Some Questions ~

            Originally posted by Masood
            Baaqi key jawab baad mein aaein ge :salam: air sehri mein dahi is liye khata hoon keh - ji matlata hai :lol :lol :lol (agar koi bhi salan khaoun to seeney mein jalan feel hoti hai)
            Baqi answers kab tak poh'chay gay :p..Rasty main hain kiya wo :wink

            Comment


            • #21
              Re: ~ Some Questions ~

              Originally posted by khurram_shaikh
              Assalaam o alekum,




              aur meri naaani ko to khaanien ke siwaa kuch nazer hi nahin aataa sirf khaanaa khaanaa aur khanaaa :embarasse
              Khurram bahi aap k answers kaha hain?
              nazar hii nahe a rahy mujhy ;) :p

              Comment


              • #22
                Re: ~ Some Questions ~

                mai ny to diay he nahe thy ab tak answers..ab mai aa gae answers lay ker :D:


                1)ziada ter ibadaat main he guzarta ha..sony ka time to bohat kam milta ha ramzan main..

                2)Nahe ..koe chota bacha nahe hai siwa'ay mery :wink

                3)haan sare namazain waqt sy ada kerte hon aur Quran shareef bhe zaroor parhte hon

                4) um mera dil to (icecream khany ko chahta hai ;) ) But vesy main roti k sath jelly ya jam..salan nahe khaya jata mujh sy sehre main :embarasse Aur aftare main mujhy sab sy zada pasand fruit chaat lagte hai aur vesy samosy pakory roll kuch bhe ..:D:

                5)Haan bohat zada farq ata hai..zada ter time ibadat main guzarta ha aur perhae bohat kam ho pate hai ..kuch perhny ka dil he nahe chahta hai ..:( aur taraveeh perhny mujhy bohat acha lagta hai..
                aur mai sehre k baad he sote hon..

                6)Umm mujhy shopping kerny jany ka bilkul shooq nahe hai.so mamma pappa jaty hain ramzan main he..kabhe kabhe mai sath chali jate hon ..(jab pappa wapsi main icecream khilay ka promice ker lain tab ;))

                7)Mostly raat ko taraveeh perhny ky baad he..

                8)Umm khana to aftare k baad nahe khaya jata.to namaz & taraveeh perhny k baad he khaty hain ..

                9)Kuch faraq nahe perta..utna ka utna he rehta hai ..

                10)Um mai ny 3rd class main the jab mai jab rakha tha pehla roza .8 years ki hon ge mai shayad..aur mai aaj tak nahe bhole vo din..pata hai kesy rakha thaa..:eye:
                Aise k mai sehre main us din uth gae the .mamma pappa k sath sehre kere.phir school chali gae aur school sy jab mai ae to mamma kahe gae hoe the phir mai so gae..aser k time jab mai uthe to mama mujhy kuch khilany lage..to mai ny shoor machaya bohat k mera to roza hai ..mama ny kaha aise nahe rakhto roza aur zabardaste kerny lage to phir mai roony lage aur pappa sy kahaa ..to phir pappa ny kaha ab thora sa he time to reh giya hai aftare main..aur phir emergency main dhair sare cheezain lay ker ay pappa aur is tarah 1st roza rakha tha mai ny Phir us k 2/3 baad aik roza aur rakha tha jab sab ko bulaya thaa .aur sab ny bohat hosla afzaee kere the ..us din to rozy sy zadaa is bat k khuse the k sab ay hoay hain aur piara sa dress pahanny ki .. :D:

                Comment


                • #23
                  Re: ~ Some Questions ~

                  Originally posted by aik_lerki
                  6)Umm mujhy shopping kerny jany ka bilkul shooq nahe hai.so mamma pappa jaty hain ramzan main he..kabhe kabhe mai sath chali jate hon ..(jab pappa wapsi main icecream khilay ka promice ker lain tab ;)
                  Badi achhi aadat hai aise aala tareen quality bahut kam logon mein (Yani ladkiyon mein) paya jata hai.
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment

                  Working...
                  X