..
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~ Some Questions ~
Collapse
X
-
Re: ~ Some Questions ~
assalamalikum
good questions larki :phool:
1-nahi zaida to nahi sootay ...bas ebadat or pher aftaari or sehri ki tayaari ....
2-mery ghar main koi choota bacha nahi hai ...:)
3-is baar sari namazaian :alhamd: waqat pay parhi hain or Quran bhi rooz parhti houn ...
4-hmm sehri main koi sa bhi salan , with paratha or chaai....or aftaar main pakooray , samoosay , chart , vimto sharbat or custard waghera waghera..:lpop:
5-han buhat farak ata hai ..is mah zaida ebadat hoti hai ..
6- ji aksar ramzaan hi main eid ki shopping hoti hai ...:D:
7-mostly din ko or aksar raat ko bhi jatay hain ...
8-usi waqat khati houn ..azaan kay bad ..pher namaz parhti houn..
9-same hi rehta hai ...is baar doobara check karoun gee..:wk
10- main nay 11 saal ki omar main reakha tha or khud reakha tha ...or kafi husla afzaai ki the ghar waloun nay mere bari bahadur bachi hai :D to or baray shook say reakhti the heheh
-
Re: ~ Some Questions ~
1.) Sona to hota hai lekin kam, Ibadat, taraweeh mein ramzan guzarta hai, but Quran sharif kam padh paata hoon
2.) Main apney mulk se baahar rahta hoon, iss liye yehan koi chhota bachha nahin, chhota bachha main hi hoon
3.) Jee haan saari namazen waqt se adaa karta hoon, Fajr ki namaz kabhi kabhi....
4.) Iftaar mein taley huwe pakodey, samosey, fruits, juice, laban, chana chhola etc etc but iftaar khajoor se kholta hoon, Sehri mein 200 ml doodh, agar saath mein ek paratha mil gaya to kha liya warna sirf doodh se kaam chala leta hoon, neend se uthkar khaney mein bahut kharab lagta hai
5.) Duty hour change ho jaata hai, din kabhi so leta hoon, aur raat ko thodi der tak jaagta hoon, yehi changes hain daily routine mein
6.) Eid ki kharidari pehle karta tha...ab 2-3 saal se nahin kar raha hoon, jo marzi jis waqt chahey le liya koi khas waqt nahin
7.) Jab mulk mein tha to raat taraweeh ke baad aksar market jaya karta, kharidaari ke liye bhi aur dekhney ke liye bhi
8.) Iftaar ke baad halka phoolka kuch leta hoon, phir taraweeh khatm honey ke ek ghantey ke baad khana khata hoon
9.) Wazan to kabhi tola nahi, mere khyal mein 1-2 kilo kam hota hai,
10.) Pehla roza kis umar mein...very nice question Komal, pehla roza kab rakha tha mujhey yaad nahin...zehan mein flash back daudata hoon to kam az kam 7 saal ka raha hoga jab pehla roza rakha tha apni marzi se
Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Main aa gayi answers lai ker :)
1 - Buhut se kaam ker kay , office bhi hota hai, aur ibadat bhi soney ka waqt milta hai bas weekends per.
2 - Humarey ghar main meri choti sis hai jo abhi 10 sal ki nahi huwa, wo almost kayi baar roza rakh chuki hai wo bhi ous ke special roza hai " Chirri roza" ous ke mutabiq wo dopahar ke 12 bajey roza khol leti hai.
3 - Namaz Alhamdullilah sab parhti hoon, zohar ka time kabhi kabhi late ho jata hai, kabhi qaza bhi office timing ki waja se ........ Quran bhi parhti hoon kabhi kabhi reh jata hai to weekend per zada waqt parh leti hoon.
4 - Sehri main parathey ke sath salan kaam khati hoon, dahi ek cup roz khati hoon, aur tea bas. Iftari main sab mazey ki chizein cream caramel, tryfil, juice, cheeze samosas zada pasand hain :D
5 - Haan farq aata hai, office ke ilawa ghar ki routine main bhi, dopahar ke khaney ki tention nahi hoti, iftari ki tayari ka bhi maza aata hai. Aur raat ko taraweeh aur nafal parhney ka bhi.
6 - Meri kuch zada shopping nahi hoti, haan meri sis ramzan aatey sath hi sir khaney lagti hain, zada shopping ramzan main hi hoti hai.
7 - Late evening between 9:00 pm to 11:30 pm, casue ous waqt insan ek to sarey kaam namaz wagaira se bhi farigh ho jata hai doosra traffic aur crowd nahi rehta. Aur ramzan main yaha bazar almost late night shopping chalti rehti hai.
8 - Iftari ke foran baad khana nahi khaya jata, bas tea....... namaz ke baad bhook mehsoos ho to khana khati hoon werna fruits yaan juice.
9 - Koi zada farq nahi perta.
10 - Pehli baar kuch theikh se yaad nahi shayed 12 yaan 13 ki age main rakha tha wo bhi shoq se rakha tha.
sigpic
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Saima Shaheen
2 - Humarey ghar main meri choti sis hai jo abhi 10 sal ki nahi huwa, wo almost kayi baar roza rakh chuki hai wo bhi ous ke special roza hai " Chirri roza" ous ke mutabiq wo dopahar ke 12 bajey roza khol leti hai.
Ek baar ek bachhey se maine poochha tha "roza rakhe" usney YES mein jawab diya aur kaha roza school bag mein rakha...
sun kar main :lol rah gaya
to aise hotey hain bachheyKhandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Spy009Bachchey maasoom hotey hain...bachhon ka roza aksar aisa hi hota hai 12 baje tak apna roza khol leta hai,
Ek baar ek bachhey se maine poochha tha "roza rakhe" usney YES mein jawab diya aur kaha roza school bag mein rakha...
sun kar main :lol rah gaya
to aise hotey hain bachhey
Haan sahi kaha, wo apni masoomiyat main apni duniya main rehtey hain :)sigpic
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Aanchalassalamalikum
good questions larki :phool:
2-mery ghar main koi choota bacha nahi hai ...:)
4-hmm sehri main koi sa bhi salan , with paratha or chaai....or aftaar main pakooray , samoosay , chart , vimto sharbat or custard waghera waghera..:lpop:
10- main nay 11 saal ki omar main reakha tha or khud reakha tha ...or kafi husla afzaai ki the ghar waloun nay mere bari bahadur bachi hai :D to or baray shook say reakhti the heheh
Kya baat hai aap ki aftari ki - is maah key baad to aap aanchal sey rizaee ho jati ho gi :lol :lol
Very good very nice - to aap ko do teen saal ho gaey hain rozey rakhtey huwey :Dtumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Saima ShaheenMain aa gayi answers lai ker :)
1 - Buhut se kaam ker kay , office bhi hota hai, aur ibadat bhi soney ka waqt milta hai bas weekends per.
2 - Humarey ghar main meri choti sis hai jo abhi 10 sal ki nahi huwa, wo almost kayi baar roza rakh chuki hai wo bhi ous ke special roza hai " Chirri roza" ous ke mutabiq wo dopahar ke 12 bajey roza khol leti hai.
3 - Namaz Alhamdullilah sab parhti hoon, zohar ka time kabhi kabhi late ho jata hai, kabhi qaza bhi office timing ki waja se ........ Quran bhi parhti hoon kabhi kabhi reh jata hai to weekend per zada waqt parh leti hoon.
4 - Sehri main parathey ke sath salan kaam khati hoon, dahi ek cup roz khati hoon, aur tea bas. Iftari main sab mazey ki chizein cream caramel, tryfil, juice, cheeze samosas zada pasand hain :D
5 - Haan farq aata hai, office ke ilawa ghar ki routine main bhi, dopahar ke khaney ki tention nahi hoti, iftari ki tayari ka bhi maza aata hai. Aur raat ko taraweeh aur nafal parhney ka bhi.
6 - Meri kuch zada shopping nahi hoti, haan meri sis ramzan aatey sath hi sir khaney lagti hain, zada shopping ramzan main hi hoti hai.
7 - Late evening between 9:00 pm to 11:30 pm, casue ous waqt insan ek to sarey kaam namaz wagaira se bhi farigh ho jata hai doosra traffic aur crowd nahi rehta. Aur ramzan main yaha bazar almost late night shopping chalti rehti hai.
8 - Iftari ke foran baad khana nahi khaya jata, bas tea....... namaz ke baad bhook mehsoos ho to khana khati hoon werna fruits yaan juice.
9 - Koi zada farq nahi perta.
10 - Pehli baar kuch theikh se yaad nahi shayed 12 yaan 13 ki age main rakha tha wo bhi shoq se rakha tha.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Spy0094.) Iftaar mein taley huwe pakodey, samosey, fruits, juice, laban, chana chhola etc etc but iftaar khajoor se kholta hoon, Sehri mein 200 ml doodh, agar saath mein ek paratha mil gaya to kha liya warna sirf doodh se kaam chala leta hoon, neend se uthkar khaney mein bahut kharab lagta hai
tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by MasoodMashaAllah aap ki aadat bohat achhi hain ramzan key hawaley sey. Ibadaat ka bohat hi achha laga parh ker. Aik achhi larki ki tarbiyyat aisi hi honi chahiye. Sehri per to main bhi roti key saath dehi hi khata hoon aur aik cup tea :D:
sehti main dahi aap kiu khatey hain waja btaoo??? :D
Aur baqi ke jawab kahan hain :mm:sigpic
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Saima ShaheenThnx .......
sehti main dahi aap kiu khatey hain waja btaoo??? :D
Aur baqi ke jawab kahan hain :mm:tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Assalaam o alekum,
Originally posted by Aanchal2-mery ghar main koi choota bacha nahi hai ...
:a stick: :a stick: :hathora :hathora
8-usi waqat khati houn ..azaan kay bad ..pher namaz parhti houn..
aur meri naaani ko to khaanien ke siwaa kuch nazer hi nahin aataa sirf khaanaa khaanaa aur khanaaa :embarasse:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
1)Soker nahi guzarti routine kay kaam hoty rhaty hain:)
2)Meri do cozns hain 8 saal ki twins unhaon nay pphala rroza rakha phaly baar:rose
3)jee alhumdulilallah namazy puri pherti hun aur zada tar time per hi pherti hun aur Quran Pak bhi daily phartti hun
4)Shari may aur aftari may wohi khana passand hay jo amm routine may kuch special nahi
5)thora bohat perta hay pherhai may farak perta hay
6)may kerti hi nahi shopping:) ager ami wagara jaye bazar to wo hi lay attin hain:)
7)ager kabhi jayo bhi to dopaher say phaly jayo gi
8)khana hi kahay jata hay aftari per:)
9)koi khass farak nahi perta
10)umer to yaad nahi kafi chooti thee aur apni merzi say rakha :)
Comment
-
Re: ~ Some Questions ~
Originally posted by Masoodpakka yaqin hai na koi nahin - chalein achha huwa keh aap bhi barri ho gaeei hain -
mujh say chootay hain ghar main ab pehla rooza jo reakh rehaye hain woh koi nahi :a stick: :pagal:
Kya baat hai aap ki aftari ki - is maah key baad to aap aanchal sey rizaee ho jati ho gi :lol :lol
Comment
Comment