Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Aik Sawal*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • *Aik Sawal*

    Assalaam-0-Alaikom:rose

    main nay aksar perha hai keh apnay aap ko mita daina hi asal kamyabi hai ya jitnay bhi oliya ikraam hain ...un kay bary mein kaha jata hai keh apni zaat ki nafi kartay hain tu ALLAH TALAA ka irfan hasil hota hai ...apni zaat ko fana kardainay karkay ALLAH TALAA ki zaat kay israr mein gum honay ka naam ma-arfat hai....
    phir dosri taraf izzat-e-nafs ka buht zyada khayal rakhnay ki bhi talqeen ki jati hai.....
    in donooN baton meinkis tarah say tawazon rakha ja sakta hai....
    shayed main apni baat ko buht achay tareeqay say explain nahin kar paai hoon...lakin umeed hai keh aap samajh jain gay....

    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: *Aik Sawal*

    mitta de apni hasti ko gar tu martaba chahe:donno:

    Comment

    • #3
      Re: *Aik Sawal*

      Originally posted by wareesha View Post
      mitta de apni hasti ko gar tu martaba chahe:donno:

      yehi main pochna chahti hoon...yeh baat kiun kehi jati hai aur saath hi self respect bhi buht important hai.....
      buht zyada aajzi bhi nahin show karni chahiye.......
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • #4
        Re: *Aik Sawal*

        Asslam O Alykom
        Quran O Sunnah Say Hamain Jo Baat Milti Hay Wo Yeh Hay K Allah Ki Ibadt Ke Jaayay.aur Aus Ka Qrb Haasil Kia Jaayay.laykin Yeh Baat K Allah Ki Hasti Main Gum Honay Ki Khawahish Rakhna Aur Iss Neyat Say Ibadt Krna K Main Bhi Allah Ki Zaat Main Fna Ho Jaaon Kahen Bhi Naheen Milta....agar Kisi Bahi Ya Behn Ko Aur Kuch Ilm Ho To Wo Zaror Bayay...jzak Allah.
        W Slam
        Mugheera

        Comment

        • #5
          Re: *Aik Sawal*

          Mugheera sis yeh baat main nay perhi thi ..is liye yahan likh di....khair....yeh koi aayat nahin lihaza ghalat bhi ho sakti hai...lakin aik baat tu hum nay kai martaba perhi hai...keh ALLAH TALA apnay muqarrib bandoN ki aankh ban jata hai jis say woh dekhain..aur kaan ban jata hai jis say woh sunain...
          aisay loagooN ko her jaga/ her shay mein sirf ALLAH TALA ka noor nazar ata hai........unhain her cheez mein ALLAH TALAA ka jalwa nazar ata hai ...WALLAH AALAM
          Last edited by *Rida*; 28 February 2007, 08:11.
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment

          • #6
            Re: *Aik Sawal*

            asslam o alykom
            Ahadith main aata hay, ALLAH frmatay hain k banda meri ibadt krtay krtay mugh say itna qareeb ho jaata hay k main aus ki aankh bn jaata hon jiss say wo daykhta hay,aus ka kaan bn jaata hon jis say wo sunta hay......phir jo wo dua krta hay main ausay qabool kr layta hon.
            is hadith k aakhri hissay main he wazahat hay k iss ka matlab yeh naheen k ALLAH aur bnday ki zaat aik ho jaati hay ,bl k yeh matlab hay k aus k aamaal ALLAH k ahkaam k itnay pa bnd ho jaatay hain k jo ALLAH ke chahat hay wo wohi krta hay aur jis kaam ka aus nay hukm dia hay wohi aus say srzd hota hay.....iss ki ta,eed hadith k aakhri hissay hoti hay k<phir jo dua wo krta hay main ausay qabool krta hon>.....yani bnday aur ALLAH ki wo pehlay se halat aur nisbt ab bhi waysay he qaim rehti hay. sirf tashbeeh de gaye hay banday ki frman bardari ko ALLAH k aus ka kaan ya aankh bn jaanay say....
            aur waysay bhi QURAN kehta hay k< aus jaysa koi naheen ho sakta><surah al,shurah>.to phir aus main halool koi kyon kr kr sakta hay jb aus jaysa koi hay he naheen aur na ho sakta hay.
            ALLAH aml ki tofeeq ata frmaaen.
            w slam
            mugheera

            Comment

            • #7
              Re: *Aik Sawal*

              Originally posted by mugheera View Post

              oh dear sis......maira aisa hergiz matlab nahin (MA-AZALLAH)...aisa nahin kaha...... main nay zaat aik honay ki baat nahin ki (NAOZOBILLAH)...very sorry agar mairi kisi baat say aap ko aisa laga......warna hergiz matlab yeh nahin tabhi main nay shro mein hi kaha tha keh shayed main baat sahih say samjha na sakooN...
              balkay maira asal sawal kahin peechay hi reh gaya.....
              jaisay keh Wareesha sis nay kaha "mita day apni hasti ko agar kuch martaba chahay"....main sirf is baat ki haqeeqat janna chahti hoon....
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment

              • #8
                Re: *Aik Sawal*

                Asslam O Alykom
                Pehli Baat Yeh K Main Sis Naheen Bro Hon.
                Dosri Baat Yeh K Meri Murad Hurgiz Yeh Naheen Thi K Aap Ko Iss Aqeeday Ka Qail Sabit Kia Jayay....
                Laykin Iss Quotation Ya Iss Jaysay Dosray Aqwal Issi Tarf Lay Jaatay Hain Insaan Ko...aur Aus K Baaray Main Baat Kr Chuka Hon..
                ..k Quran O Sunnah K Bil Kul Opposite Idology Hay..
                W Slam
                Mugheera

                Comment

                • #9

                  sorry ......mugheera bhai....
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment

                  • #10
                    Re: *Aik Sawal*

                    rida and mugheera

                    mujay dukh hota he aaj kul ke loogon ki mentality ko dekhtay huay ke wo islam ko kitna ghalat interpret kerte hein.

                    Aik baat yaad rakhiye sirf Allah ki ibadat he sub kuch nahi...Allah Taalah ne is ke ilawa bhi bohat se kaam insaan ke zumay lagaye hein, jin mein waldein ke hakook, hakook-ul-ibad, hakook-e-zoojiyat wagaira wagaira.

                    Hazoor (SA) ne farmaya ke tum loog itni ibadat na karo ke aap hakook-e-zoojiyat ada na ker sako.

                    Hazoor (SA) ki zindagi hamaray liye aik namoona he, unhon ne duniya se elehdgi ekhteyaar nahi ki, unhon ne ibadat aur apni nijji-o-moaashrti zindagi mein aik tawazan kaim rakha...aik aitdaal tha...unhon ne mazdoori bhi ki, bakriyoon ko bhi charaya, tajarat bhi ki...loogon ki madad bhi ki.

                    Aik insaan jo ke apnay aap ko goosha nasheen ker leta he, aur sirf ibadat he kerta rehta he, wo doosray hakook kese ada kar sakta he...us ki zaat se kisi ko kia faida pohanchta he...i think koi bhi nahi...Islam mein behtar insaan usi ko karaar diya gaya he jo apnay doosray bhaiyoon ki madad karay, husan-e-salook se pesh aaye, aur baki faraiz bakhoobi anjaam de...aur yeh sub tub hi mumkin he jun insaan ke ander aitdaal aaye ga...hope you get me. Be practicle in your thinking and approach...musalman practicle honay ka naam he, na ke hud-haraamon ki tarah aik jaga paray rehnay ka naam he :)
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: *Aik Sawal*

                      Main is plateform per pehli bar kuch likh raha hoon aur umeed kerta hoon key aap ko ziada nahin to kisi had tak satisfy kerney ki koshish karoon ga. AAp ney theek hai key key apni zaat ki nafi and self respect dono mein say kis ko ahmiyat di jay. Jab hum Islam key hawalay say baat kertey hain ma'arfat ki to is mein self respect ko consider nahin kertey yani self respect apni jaga lekin Khuda ki zaat aur us kay irfan / israr yeh dosri baat hai. Main aalin fazil to nahin hoon lekin itna janta hoon key self respect ko aap dunia dari mein to rakh saktey hain lekin Allah ki taraf ruju kerney key baad aap ki her cheez Allah Tallah ki hifazat mein chali jati hai aur ho sakta hai key jaisay aap self respect ka naam day rahey hoon wohi cheez aap ki kamyabi mein rukawat ban rahi ho. Aap ney Oliya Ikraam ki baat ki hai to aap mUjh say behtar janti hain key un logoon ney Allah ka naam sub say pehley rakha aur baqi cheezain baad mein. Aap ko yeh bhi yaad rakhna chahiyeh key Allah Tallah apney naik bandoon ka Imtihan leta hai aur phir sari khudai un hi naik looon key samney jhuk jati hai.
                      Soryy, if you feel some thing which is not according to you.
                      Your's well wisher
                      Iftikhar Babar

                      Comment

                      • #12
                        Re: *Aik Sawal*

                        dear munda , yaar mein pehli baar is plateform say baat ker raha hoon asal mein aap ki rudad "GTG" perhi thi to soocha aap say baat ker li jay mein bhi is waqat online hoon agar aap mujhey apna id send ker dain to main aap say chat bhi ker liya karoon ga ok.

                        Your's Well wisher
                        Iftikhar Babar

                        Comment

                        • #13
                          Re: *Aik Sawal*

                          here it is pakiguy_1978@yahoo.com

                          aap add ker lein, inshallah jald baat ho jaye gi :)
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: *Aik Sawal*

                            Originally posted by IftikharBabar View Post
                            Main is plateform per pehli bar kuch likh raha hoon aur umeed kerta hoon key aap ko ziada nahin to kisi had tak satisfy kerney ki koshish karoon ga. AAp ney theek hai key key apni zaat ki nafi and self respect dono mein say kis ko ahmiyat di jay. Jab hum Islam key hawalay say baat kertey hain ma'arfat ki to is mein self respect ko consider nahin kertey yani self respect apni jaga lekin Khuda ki zaat aur us kay irfan / israr yeh dosri baat hai. Main aalin fazil to nahin hoon lekin itna janta hoon key self respect ko aap dunia dari mein to rakh saktey hain lekin Allah ki taraf ruju kerney key baad aap ki her cheez Allah Tallah ki hifazat mein chali jati hai aur ho sakta hai key jaisay aap self respect ka naam day rahey hoon wohi cheez aap ki kamyabi mein rukawat ban rahi ho. Aap ney Oliya Ikraam ki baat ki hai to aap mUjh say behtar janti hain key un logoon ney Allah ka naam sub say pehley rakha aur baqi cheezain baad mein. Aap ko yeh bhi yaad rakhna chahiyeh key Allah Tallah apney naik bandoon ka Imtihan leta hai aur phir sari khudai un hi naik looon key samney jhuk jati hai.
                            Soryy, if you feel some thing which is not according to you.
                            Your's well wisher
                            Iftikhar Babar

                            buht shukriya bhai ...aap kafi had tak mairi baat samjhay bhi hain aur us ka answer bhi diya....lakin main ehmiyat dainay ki baat nahin kar rahi balkay taqazun ki baat kar rahi hoon...is kay bawajoad aap nay acha jawab diya hai....donooN ko explain kar kay...:)
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment

                            • #15
                              Re: *Aik Sawal*

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              rida and mugheera

                              mujay dukh hota he aaj kul ke loogon ki mentality ko dekhtay huay ke wo islam ko kitna ghalat interpret kerte hein.

                              Aik baat yaad rakhiye sirf Allah ki ibadat he sub kuch nahi...Allah Taalah ne is ke ilawa bhi bohat se kaam insaan ke zumay lagaye hein, jin mein waldein ke hakook, hakook-ul-ibad, hakook-e-zoojiyat wagaira wagaira.

                              Hazoor (SA) ne farmaya ke tum loog itni ibadat na karo ke aap hakook-e-zoojiyat ada na ker sako.

                              Hazoor (SA) ki zindagi hamaray liye aik namoona he, unhon ne duniya se elehdgi ekhteyaar nahi ki, unhon ne ibadat aur apni nijji-o-moaashrti zindagi mein aik tawazan kaim rakha...aik aitdaal tha...unhon ne mazdoori bhi ki, bakriyoon ko bhi charaya, tajarat bhi ki...loogon ki madad bhi ki.

                              Aik insaan jo ke apnay aap ko goosha nasheen ker leta he, aur sirf ibadat he kerta rehta he, wo doosray hakook kese ada kar sakta he...us ki zaat se kisi ko kia faida pohanchta he...i think koi bhi nahi...Islam mein behtar insaan usi ko karaar diya gaya he jo apnay doosray bhaiyoon ki madad karay, husan-e-salook se pesh aaye, aur baki faraiz bakhoobi anjaam de...aur yeh sub tub hi mumkin he jun insaan ke ander aitdaal aaye ga...hope you get me. Be practicle in your thinking and approach...musalman practicle honay ka naam he, na ke hud-haraamon ki tarah aik jaga paray rehnay ka naam he :)
                              yaqeenan HAZRAT MUHAMMAD SAW ki zindgi humaray liye behtreen misal hai....lakin main nay gosha nasheeni ki baat ki hi nahin....aap nay mairi baat samjhay na us kay according answer diya hai......
                              gosha nasheeni ki baat main bhi nahin manti ...agar Auliya ikraam ki baat karain tu unhoon nay bhi dunya ko tark nahin kia tha....apni apni jaga sab nay apni zimme dariyaaN ahsan tareeqay say anjaam di hain.....main nay majzoob loagooN ki bhi baat nahin ki hai....jinhain dunya aur deen tu kia apni bhi khabar nahin hoti...
                              main nay akhbar-e-jahan mein perha tha....qayamat kay roz her insaan kay hawalay say 3 register hongay...aik shirk say related hoga...shirk kay baray mein hum jantay hain ALLAH TALAA jis ka chahay jitnay chahay gunah maaf kar day ga lakin shirk maaf nahin karay ga (ALLAH TALAA humain her tarah kay shirk say bachaye)...dosra hoga huqooq ALLAH kay baray mein...woh gunah bhi ALLAH TALAA apni rehmat ki wos-at say maaf kar day ga....teesra register hoga hoqqooq ibaad kay hawalay say ...hoqqoq ibaad mein kotahai ALLAH TALAA us waqt tak maaf nahin karay ga jab tak woh shakhs na maaf kar day jis kay saath zyadti hoi....
                              isi liye mujhay bhi yeh maloom hai keh hoqoq ibaad ki hoqoq ALLAh say zyada ehmiyat hai....isi liye shirk kay baad kisi ki dil azari sab say bara gunah qarar diay gaya hai.......
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment

                              Working...
                              X