Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

    Shy !

    waise yeh thread Islamic section mein post to honi chahiye, main samajhta hoon ke shayad aapne wahan post is liye nahin ki ke Islamic section pe bahut kam log jaate hain, aur shaayad itni jawabat bhi wahan nahi pahunchte.

    btw very nice thread Shy, thanx for sharing.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment

    • #17
      Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

      thanxx spy009 or bilkul is thread ko me ne yahan is leay post kia he ke zeada se zeada dost parh saken,zeada reply nahi chaey sab ka parh kar is bare soch lena hi bohat he :)

      Comment

      • #18
        Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

        Originally posted by shy
        han burg me ne ye thread is leay yahan post kia tha kiun ke islam section me log jate hi kam kam hen na to socha yahan zeada log ate hen to sab parh saken :)
        mey samjhti hun shy leykin hum yun kertey hein key Islam sec. mey aeysey articles rakhtey hein ta key Members convince hon wahan jaaney key liye inshAllah
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #19
          Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

          Assalaam o alekum,

          :jazak: shy bahot hi achchi baatien aapnien share ki humse waaqaee aaj humaari namaaz aisi hi hai ke humaare munh per maar di jaati hoogi jahan tak meri sooch hai aisa isliye hai ke humaare diloon se khauf e khuda mit gayaa hai humnien iss duniyaa ko hi sab kuch samajh liyaa hai Allaah hum sabko aql dein aur humien namaaz dil se perhnien aur samajhnien ki taufeeq ataa karien ameen summa ameen khush rahien
          :tang: RISK IS MY BUSINESS

          DANGER IS MY GAME

          DONT PLAY WITH ME
          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

          Comment

          • #20
            Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

            :jazak: Shy .......

            Aap ne buhut achi batein kahin, sach hai ke namaz tab tak qabool nahi hoti jab tak poorey khazoo-o-khashoun se na parhi jayeh, humein namaz parhtey waqt yeh baat Dil mei rakhni chahiye, k is ka asal maqsad kya hai , ager wahi poora na ho to mehaz dekhawey k liyeh namaz parhney aur zamen sesar takraney se kya faida. Khuda hum sab ko her kaam sahi tareeqey se keren ki taufeeq dai, Ameen.
            sigpic

            Comment

            • #21
              Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

              Originally posted by Spy009
              Janab ghar ki fikr to har logon ko hoti hai, har koi paisa kamana chahta hai, har koi apni family ko khush rakhna chahta aur saari chizen jab milti hain to usse sukun milta hai, lekin namaz ke liye ham sochenge kab...log kahte hain jab sukun mil jaye to bilkul concentrate ho kar namaz padhenge.
              Concentration kabhi nahin milta, jab aadat banegi tabhi to concentration milega. Ama'al to tabhi hai jab ham pareshan haal mein bhi Allah swt ko yaad karenge
              Aap ney drust farmaya keh aadat baney gi to concentration bhi milley gi. Lekin mera tajarbah thora sa mukhtalif hai. Jo kaam routine sey kiya jaey us mein concentration nahin chahiye hoti balkey woh routine key mutabiq bghair 100% concentration key bhi kiyey jatey hain. Chunkeh woh routine key kaam hotey hain is liye woh insaan ki aadat mein shamil hotey hai. Iski aik misaal yeh hai keh main jab keyboard per type karta hoon to kabhi nahin dekha keh kis key per meri ungli parrey gi chunkeh mujhey aadat hai aur mujey ilam hai keh kon si key kahan hai isliye main bghair tawajoh key type karta chala jata hoon. Haan mera shaoor mujhey btata hai keh type saheeh hai keh ghalat woh bhi aik aadat hai keh yahan per ghalti hui. Is mein meri concentration kam aur aadat ziyadah hai. Isi tarha kaam hain, kaam bhi routine key hon ge to unhein karney key liye concentration ki zaroorat nahin hoti.

              Jabkeh namaz aik aala wasaf hai, issey ROUTINE hi to nahin samjhana chahiye. Jasiey hi issey routine samajh kar ada kiya jaey ga is ka asal maqsad fot ho jaey ga.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #22
                Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                Hmm nice Sharing... shy jee.....

                Comment

                • #23
                  Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                  Originally posted by barg.e.gul
                  mey samjhti hun shy leykin hum yun kertey hein key Islam sec. mey aeysey articles rakhtey hein ta key Members convince hon wahan jaaney key liye inshAllah
                  theek he burg jesa aap munasib samjho :)

                  Comment

                  • #24
                    Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                    Originally posted by khurram_shaikh
                    Assalaam o alekum,

                    :jazak: shy bahot hi achchi baatien aapnien share ki humse waaqaee aaj humaari namaaz aisi hi hai ke humaare munh per maar di jaati hoogi jahan tak meri sooch hai aisa isliye hai ke humaare diloon se khauf e khuda mit gayaa hai humnien iss duniyaa ko hi sab kuch samajh liyaa hai Allaah hum sabko aql dein aur humien namaaz dil se perhnien aur samajhnien ki taufeeq ataa karien ameen summa ameen khush rahien
                    ameen or shukria :)

                    Comment

                    • #25
                      Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                      Originally posted by Saima Shaheen
                      :jazak: Shy .......

                      Aap ne buhut achi batein kahin, sach hai ke namaz tab tak qabool nahi hoti jab tak poorey khazoo-o-khashoun se na parhi jayeh, humein namaz parhtey waqt yeh baat Dil mei rakhni chahiye, k is ka asal maqsad kya hai , ager wahi poora na ho to mehaz dekhawey k liyeh namaz parhney aur zamen sesar takraney se kya faida. Khuda hum sab ko her kaam sahi tareeqey se keren ki taufeeq dai, Ameen.
                      ameen or shukria :)

                      Comment

                      • #26
                        Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                        Originally posted by Abdullahthegreat
                        Hmm nice Sharing... shy jee.....
                        thanxx Abdullah :)

                        Comment

                        • #27
                          Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                          Originally posted by Masood
                          Aap ney drust farmaya keh aadat baney gi to concentration bhi milley gi. Lekin mera tajarbah thora sa mukhtalif hai. Jo kaam routine sey kiya jaey us mein concentration nahin chahiye hoti balkey woh routine key mutabiq bghair 100% concentration key bhi kiyey jatey hain. Chunkeh woh routine key kaam hotey hain is liye woh insaan ki aadat mein shamil hotey hai. Iski aik misaal yeh hai keh main jab keyboard per type karta hoon to kabhi nahin dekha keh kis key per meri ungli parrey gi chunkeh mujhey aadat hai aur mujey ilam hai keh kon si key kahan hai isliye main bghair tawajoh key type karta chala jata hoon. Haan mera shaoor mujhey btata hai keh type saheeh hai keh ghalat woh bhi aik aadat hai keh yahan per ghalti hui. Is mein meri concentration kam aur aadat ziyadah hai. Isi tarha kaam hain, kaam bhi routine key hon ge to unhein karney key liye concentration ki zaroorat nahin hoti.

                          Jabkeh namaz aik aala wasaf hai, issey ROUTINE hi to nahin samjhana chahiye. Jasiey hi issey routine samajh kar ada kiya jaey ga is ka asal maqsad fot ho jaey ga.
                          Masood Sb. Asslam Alaikum

                          I can go longer discussion over concentration and habituation. filhaal yeh kahna chahta hoon ke Allah swt ne insaan ko elm do tarah se nawaza hai 1. zaahri, 2. baatini.
                          Baatini elm insaan ko fayeda pahunchata hai, zaahiri elm insaan ko siwaye "hujjat aur excuse" ke kuchh nahin hota. Aaj ki hamari zindgi kal se behter hai, jab cinema concentration mein dekh sakte hain, gaane concentration mein sun skate hain, ghazlon ko concetration mein yaad kar sakte hain, jo ki aadat nahin hai to phir 24 ghante mein 5 x 5 = 25 minute uss haqeeqi malik ke liye concentration kyon nahin de sakte. 100 saal ki bhi agar zindgi mil jaye to bhi insaan dunyaawi zindgi mein laga rahta hai, bete betiyon, grandchild ke liye, wo jab aakhri umr mein concentration lana chahega, to unki habit hi obstacle hoga. Jis ne hame yeh zindgi di, yeh ohda diya, paisa, maal aur itni saari ne'amaten unko yaad karne ke liye agar concentration nahin diya to within a second wo waapis le lega Tsunami ki tarah.
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment

                          • #28

                            Yehi baat to main bhi kehta hoon keh baqi har kaam mein ham concentrate ho saktey hain to namaz ko hamein mehaz routine samajh kar nahin parhna chahiey balkey issey bhi full concentration deni chahiye. Aur yehi concentration sab sey aham hasiyyat rakhti hai. :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #29
                              Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                              Bilkul sahe baat kahi hai ap nay shy:rose

                              waqii kabhe kabhe jaldi main hum aise namazin parhty hain aur kabhe hamara dehan kahe aur hota hai ..

                              but hamy koshish zaroor kerne chaye ky full concentration sy khushu & khuzo ky sath namazain perhain

                              Comment

                              Working...
                              X