Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

    :)
    Attached Files

  • #2
    Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

    bohat acha likha hai bass yah kehna chahon ga ke jab Namaz parhte waq sirf yeh hona chahye ke Insaan Allah taala ki bargah main khara hai aur us se dara hua hai aur bara hi ajiz hay yeh baat zahiri tor par nahi dili tor par bhi honi chahye :)
    Allah

    Comment

    • #3
      Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

      :) kya kaho'n Shy Sab sahi kaha tum nay :) Allah hamain Namaz Sahi tareeqay say Ada karney ki tufeeq ata farmaye Ameen :rose
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment

      • #4
        Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

        Originally posted by YAARAM
        bohat acha likha hai bass yah kehna chahon ga ke jab Namaz parhte waq sirf yeh hona chahye ke Insaan Allah taala ki bargah main khara hai aur us se dara hua hai aur bara hi ajiz hay yeh baat zahiri tor par nahi dili tor par bhi honi chahye :)
        haan g bilkul sahi kaha ager esa sochen to ham apni tawajo namaz me rakh sakte hen :)

        Comment

        • #5
          Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

          Originally posted by ~khawahish~
          :) kya kaho'n Shy Sab sahi kaha tum nay :) Allah hamain Namaz Sahi tareeqay say Ada karney ki tufeeq ata farmaye Ameen :rose
          ameen

          Comment

          • #6
            Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

            Shy aap sey meri purani dosti hai. Aap jaanti hain keh meri sochein kya rahi hain. Main bilkul aisi namazon hi key to khilaaf raha hoon keh insaan apna sar din-raat mein 5 baar sajdey mein rakh dey magar apna dil aik baar bhi na jhukaey aur woh bhi us Khaaliq-e-Haqeeqi key samney jo dilo key bhed tak jaan leta hai. Aisi namazon ka kya faedah jis mein aap apney maathon per mehraab to bnaa lein magar dilon key ander ghubaar rahey? Hajj peh Hajj karo aur ALHAAJ kehlwao magar kartoot kafiron sey bhi burey hon?

            Meri soch hamesha hi sey yeh rahi hai keh namaz parho to apni soch fiker khiyaal dil dimagh balkey jism key aik aik rezey ko Allah Tala key hazoor uski ghulami mein jhuka do. Aur phir apney emalon sey bhi yehi zahir karo keh tum ney uski bandgi kar li hai.

            Namaz siraf aik FARZ samajh kar parhney walon sey mujhey sakht ikhtilaaf hai.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

              Originally posted by Masood

              g bilkul sahi namaz wohi jo dil se ada ki jaey or aap ke khiyalat bhi me janti hun,lekin hamen 7 saal ki umer se namaz parhne ka kaha gya he to 7 saal me koi bhi dil se nahi parhta ho ga.shiru me adat dali jati he,fer insan ki jab adat pukhta ho jaey to namaz par mehnat kar ke use sajain or sawanaren,khubsurat bnaein,pehle aap ka badan adi ho ga tabhi to dil ki namaz tak pohanchen ge na?to kisi bhi tarah ho kabhi namaz qaza na karen,baki namaz parhni ki tofeeq or dil wali namaz ki tofeeq bhi Allah ki taraf se he.khush rahen :)

              Comment

              • #8
                Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                Shy jahan per bhi aik bohat bada masla hai jissey na siraf sarkari sattah per balkey mazhabi aur taleemi satah par bhi isko sochna ho ga. Merey nazdeek ham apney bachon ki tarbiyyat ghalat andaz mein shuru kartey hain.

                1) Aik ghar jis mein waldein khud be-namazi hon woh to apney aulad sey kuchh bhi expect na karein. Agar unki aulad apney taein kuchh parhti hai to theek hai.

                2) Aik ghar jis mein waldein namazi to hain magar unhein agar khud maloom nahin keh namam KYUN parnhi chahiye (unhein siraf itna pattah ho keh namaz parhna hukum hai, Allah ka bhi, aur waldein ka bhi phir unkey waldein ka bhi). Aisey mein woh apney aulad ko namaaz ki rooh sey waqfiyyat nahin dila saktey keh agar bachha poochh bethey keh ham namaz kyun aur kis liye parhtey hain to waldein btaney key qabil nahin hotey.

                Yehi haal aaj kal key maulvis ka hai jo jummey key din badey badey waaz to jhartey hain magar unhein in ratti tataee taqreeron key siwa kuchh nahin aata. To aisey mein mazhab ki asal rooh fot ho jati hai.

                Namazein siraf jannat hasil karney key liye nahin parhni chahiye. Balkey aulad ko btana chahiye keh namaz Allah Tala ki zaat-e-be-himtaan ka qurb hasil karney key liye hai, woh qurn jo har jannati ko bhi nahin mil sakta. Usko hasil karney key liye namaz ka uski asal rooh key saath ada karna pehla qadam hai. Magar iskey liye buzurgon ka amal zaroori hai tabhi yeh aik silsaley ki manind hamari naslon mein dakhil ho ga.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                  g sahi kaha aap ne :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                    Asalam alaikum shy,
                    sab sey pehley shy aap apney islam realted articles jo itney payyarey hotey hein wo Islam sec. mey post kiya karein ta key wo wala sec. bhi hamara nikhra nikhra lagey :rose
                    ------
                    shukriya shy, aur aap sab ka bhi shukriya jo itni payyari replies ki hein.

                    Masood bro. aik baat poochni hai jab aap keh rahey hein key

                    Namaz siraf aik FARZ samajh kar parhney walon sey mujhey sakht ikhtilaaf hai.
                    jab hum namaz farz samjh ker perhtey hein to kya is mey saari baatein nahi aa jatien??
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #11
                      Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                      Originally posted by barg.e.gul
                      jab hum namaz farz samjh ker perhtey hein to kya is mey saari baatein nahi aa jatien??
                      Gul:
                      Dekhein behna, farz ko samajhney ka bhi aik tareeqah hai, aik asloob hai. Ab main job karta. Rozana subha uth kar office jaata hoon, sara din wahan kaam karta hoon afternoon mein ghar aa jata hoon. Meri family ka mujh per HAQ hai keh main unkey liye kamaoun. Lekin apney is mansab ko main agar siraf apna FARZ samajh key karoon ga jismein aik BANISH hai merey liye keh yeh kaam mujhey har haal mein karna hai (keh mera farz hai) to is mein na mujhey woh lazzat milley ga na meri family ko woh sakoon milley ga aur na hi main apna kaam saheeh niyyat sey kar paoun ga.

                      Iskey bar-aks agar main apney isi FARZ ko dil joee sey karoon keh yeh farz to hai magar is mein mujhey sakoon milta hai keh main apni family key liye waseela bana huwa hoon. Merey collegues mera boss mujh sey khush hai keh masood is a very hardworking aur jo kam karta hai DIL SEY karta hai, to kaee aik log khush hon ge.

                      Isi tarha Namaz hai. Agar ham issey mehaz apney upper aik bandish (jo still aik farz hai) samajh kar poora karein ge to na hamein is namaz mein sakoon milley ga na Allah ki bandgi ho sakey gi aur na woh hamari is namaz sey khush ho ga. Zaroorat is baat ki hai keh hamein is FARZ ki asliyat sey waqif hona chahiye keh Allah ham sey kaisey khush ho sakta hai. Phir jab ham is farz ko poora karein ge to hamein bhi sakoon milley ga, aur Allah bhi pasand karein ge. Hope I'll able to explain :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                        ^Alhumdulillah ab bilkul wa'zeh hai

                        bohot shukriya:rose
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                          Originally posted by barg.e.gul
                          Asalam alaikum shy,
                          sab sey pehley shy aap apney islam realted articles jo itney payyarey hotey hein wo Islam sec. mey post kiya karein ta key wo wala sec. bhi hamara nikhra nikhra lagey :rose
                          ---
                          han burg me ne ye thread is leay yahan post kia tha kiun ke islam section me log jate hi kam kam hen na to socha yahan zeada log ate hen to sab parh saken :)

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                            Shy...aapke qalam ki rawaani ka kya kahna hamesha ki tarah lajawab.

                            Hamari namaz saHi ho jaye aur Allah swt ke paas qabool ho jaye, yehi hamara ama'al hoga jise ham le kar jayenge

                            1.) Awwal ke hame namaz ba jamaet masjid mein padhni chahiye, masjid nahin mila to ghar mein, daftar mein ya saath mein jitne log hain mil kar jamaet banayen. (Aurtein bhi apni jamaet bana sakti hain). jamaeit mein padhne se mann idhar udhar nahin bhatakta.

                            2.) Dusri yeh ke 5 waqt ke namaz mein ek waqt aisa zaroor hota hoga jisme hame 10-20 minute ka waqt milta hoga. Hamari roz ki zindgi mein 24 ghante hote hain, har ghante se sirf aadha minute nikalen, 24 ghante mein aadha minute = 12 yeh waqt taalim mein den, maslan "Fazael e Amaal" padhen, ya sune, yeh taalim pabandi se rozana honi chahiye.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~*~Aao Mil Kar Sochen~*~

                              Originally posted by Masood
                              Gul:

                              Iskey bar-aks agar main apney isi FARZ ko dil joee sey karoon keh yeh farz to hai magar is mein mujhey sakoon milta hai keh main apni family key liye waseela bana huwa hoon. Merey collegues mera boss mujh sey khush hai keh masood is a very hardworking aur jo kam karta hai DIL SEY karta hai, to kaee aik log khush hon ge.

                              Isi tarha Namaz hai. Agar ham issey mehaz apney upper aik bandish (jo still aik farz hai) samajh kar poora karein ge to na hamein is namaz mein sakoon milley ga na Allah ki bandgi ho sakey gi aur na woh hamari is namaz sey khush ho ga. Zaroorat is baat ki hai keh hamein is FARZ ki asliyat sey waqif hona chahiye keh Allah ham sey kaisey khush ho sakta hai. Phir jab ham is farz ko poora karein ge to hamein bhi sakoon milley ga, aur Allah bhi pasand karein ge. Hope I'll able to explain :)
                              Janab ghar ki fikr to har logon ko hoti hai, har koi paisa kamana chahta hai, har koi apni family ko khush rakhna chahta aur saari chizen jab milti hain to usse sukun milta hai, lekin namaz ke liye ham sochenge kab...log kahte hain jab sukun mil jaye to bilkul concentrate ho kar namaz padhenge.
                              Concentration kabhi nahin milta, jab aadat banegi tabhi to concentration milega. Ama'al to tabhi hai jab ham pareshan haal mein bhi Allah swt ko yaad karenge
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X