Asalam alaikum,
Kabhi jab hum koi kitab perhtey hein, ya kisi lecture dauran, ya phir rah chaltey huye, ya kisi sey baat kertey huye,
hamein aeysi baat maloom ho jati hai jo hum apni zindagi mey add ker leytey hein ya phir jis sey hum ney kuch seekha hota hai
yahan aap ney aeysi hi choti choti baatein hum sey share kerni hein inshAllah
------
Aik dafa Muhammad(s.a.w) sahaba (r.a) key sath they jab aap ney farmaya "abhi jo shakhs ander(enter) aye ga wo jannati hai" isi tarhan teen martaba hua-
Umar bin AbdulAziz ney jab deykha key teeno baar aik hi sahabi ander dakhil hotey hein,Inhon ney socha key mujhey ye baat maloom kerni chahiye key kaun sa aeysa Amal ye sahabi kertey hein jis ki bina per Muhammad(s.a.w) ney aeysa farmaya
Umar bin AbdulAziz in sahabi key ghar gaye aur in sey kaha key meyri apney walid key sath kuch kasheedgi ho gai hai leyhaza mey aap key ghar qayaam kerna chahta hun ....Inhein ijazat mil gai...
Teen din Umar bin AbdulAziz in sahabi key ghar rahey leykin inhon ney kuch naya Amal jo wo kertey hon nahi note kiya ....wo sirf apney Farayiz ada kertey ...
Teesrey din jab Umar bin AbdulAziz in key ghar sey ruksat honey lagey to inhien asal baat bata di key wo kis liye in key ghar tehrey they aur ye bhi key Muhammad(s.a.w) ney in key baarey aeysa farmaya hai aur poocha key aap ghaur karein key wo kaun sa aeysa Amal hai jo aap kertey hein....
Un sahabi ney arz kiya key her Raat ko soney sey pehley mey sab ko Ma'f ker deyta hun
.... deykhein is tarhan jab ye sahabi subha uthey hein to in key dil mey kisi key liye bhi kuch bura nahi hota .....

Comment