Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

choti si baat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • choti si baat

    Asalam alaikum,
    Kabhi jab hum koi kitab perhtey hein, ya kisi lecture dauran, ya phir rah chaltey huye, ya kisi sey baat kertey huye,
    hamein aeysi baat maloom ho jati hai jo hum apni zindagi mey add ker leytey hein ya phir jis sey hum ney kuch seekha hota hai
    yahan aap ney aeysi hi choti choti baatein hum sey share kerni hein inshAllah
    ------

    Aik dafa Muhammad(s.a.w) sahaba (r.a) key sath they jab aap ney farmaya "abhi jo shakhs ander(enter) aye ga wo jannati hai" isi tarhan teen martaba hua-
    Umar bin AbdulAziz ney jab deykha key teeno baar aik hi sahabi ander dakhil hotey hein,Inhon ney socha key mujhey ye baat maloom kerni chahiye key kaun sa aeysa Amal ye sahabi kertey hein jis ki bina per Muhammad(s.a.w) ney aeysa farmaya
    Umar bin AbdulAziz in sahabi key ghar gaye aur in sey kaha key meyri apney walid key sath kuch kasheedgi ho gai hai leyhaza mey aap key ghar qayaam kerna chahta hun ....Inhein ijazat mil gai...
    Teen din Umar bin AbdulAziz in sahabi key ghar rahey leykin inhon ney kuch naya Amal jo wo kertey hon nahi note kiya ....wo sirf apney Farayiz ada kertey ...
    Teesrey din jab Umar bin AbdulAziz in key ghar sey ruksat honey lagey to inhien asal baat bata di key wo kis liye in key ghar tehrey they aur ye bhi key Muhammad(s.a.w) ney in key baarey aeysa farmaya hai aur poocha key aap ghaur karein key wo kaun sa aeysa Amal hai jo aap kertey hein....
    Un sahabi ney arz kiya key her Raat ko soney sey pehley mey sab ko Ma'f ker deyta hun
    .... deykhein is tarhan jab ye sahabi subha uthey hein to in key dil mey kisi key liye bhi kuch bura nahi hota .....
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: choti si baat

    Akhri seerhi per hum tab tak nahi phonch saktey jab tak pehli serhi per qadam na rakha ho
    isi tarhan Islam bhi tadreej key sath nazil hua is ko apnaya bhi isi tarhan ja sakta hai inshAllah
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: choti si baat

      Jazak Allah Gul, aap ne waqae aik chota sa amal kitnay barray ajar ka moojab hey, Allah Pak hum sub ko seedhay aur sachay rastay par qayem rakhay, Ameen

      Comment


      • #4
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: choti si baat

          Originally posted by barg.e.gul
          Asalam alaikum,
          Kabhi jab hum koi kitab perhtey hein, ya kisi lecture dauran, ya phir rah chaltey huye, ya kisi sey baat kertey huye,
          hamein aeysi baat maloom ho jati hai jo hum apni zindagi mey add ker leytey hein ya phir jis sey hum ney kuch seekha hota hai
          yahan aap ney aeysi hi choti choti baatein hum sey share kerni hein inshAllah
          ------

          Aik dafa Muhammad(s.a.w) sahaba (r.a) key sath they jab aap ney farmaya "abhi jo shakhs ander(enter) aye ga wo jannati hai" isi tarhan teen martaba hua-
          Umar bin AbdulAziz ney jab deykha key teeno baar aik hi sahabi ander dakhil hotey hein,Inhon ney socha key mujhey ye baat maloom kerni chahiye key kaun sa aeysa Amal ye sahabi kertey hein jis ki bina per Muhammad(s.a.w) ney aeysa farmaya
          Umar bin AbdulAziz in sahabi key ghar gaye aur in sey kaha key meyri apney walid key sath kuch kasheedgi ho gai hai leyhaza mey aap key ghar qayaam kerna chahta hun ....Inhein ijazat mil gai...
          Teen din Umar bin AbdulAziz in sahabi key ghar rahey leykin inhon ney kuch naya Amal jo wo kertey hon nahi note kiya ....wo sirf apney Farayiz ada kertey ...
          Teesrey din jab Umar bin AbdulAziz in key ghar sey ruksat honey lagey to inhien asal baat bata di key wo kis liye in key ghar tehrey they aur ye bhi key Muhammad(s.a.w) ney in key baarey aeysa farmaya hai aur poocha key aap ghaur karein key wo kaun sa aeysa Amal hai jo aap kertey hein....
          Un sahabi ney arz kiya key her Raat ko soney sey pehley mey sab ko Ma'f ker deyta hun
          .... deykhein is tarhan jab ye sahabi subha uthey hein to in key dil mey kisi key liye bhi kuch bura nahi hota .....
          :phool: wow kia khobsurat baat aap ny likhi hay ALLAh aap ko es ka ajar dy aamen:rose
          nice post:::
          Last edited by ; 17 September 2005, 05:32. Reason: signature

          Comment


          • #6
            Re: choti si baat

            shukran Muskan :) (khush raho jahan raho:rose ) and khl :thmbup:

            Aaj ki choti si baat:


            -Waleyden ko muskura ker deykhna bhi sadqa mey shumar hota hai
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: choti si baat

              Walaikom Assalam
              :jazak:
              :rose
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: choti si baat

                :rose :jazak:

                Comment


                • #9
                  Re: choti si baat

                  :jazak: :masha

                  Comment


                  • #10
                    Re: choti si baat

                    bohat hi achi post hai.Allah hum sab ko ye amal apnane ki tufeeq De(ameen)
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: choti si baat

                      its wonderful i am imprised aap ka bohat shukriya that u increase my knowledge plz kewp it up

                      Comment


                      • #12
                        Re: choti si baat

                        wonderful

                        I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


                        Comment


                        • #13
                          Re: choti si baat

                          nice

                          Comment


                          • #14
                            Re: choti si baat

                            bohat hi kamaal ki baat share ki hai aap ne.
                            kaam jitna chota aur mamuli dikhta hai karney mein utna nahi hai because sometimes koi hamara dil itna dukha deta hai ke hum ussey muaf kerney ke baarey mein sochtey hi nahi hai.
                            Allah se dua hai ke woh hum sab ke dil se kadurto ko dur kar dey aur iman ki shama se ussey munawar kar dey .Ameen
                            :rose Refreshing_breeze :rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: choti si baat

                              ^inshAllah

                              Comment

                              Working...
                              X