Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pakistan Kis nay Banaya???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Pakistan Kis nay Banaya???

    Oho
    ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
    372-haha372-haha372-haha

    Comment


    • #32
      Re: Pakistan Kis nay Banaya???

      Originally posted by Masood View Post
      Ji janab sab sey pehley to ham sab Pakistaniyon ko khaas tor per aur Hind key musalmano ko aam tor per yeh baat zehan'naseen kar leni chahiye keh Pakistan ki buniyad 1947 mein hi nahin rakhi gaii thi balkeh jab sab sey pehla musalman (Muhammad Bin Qasim) Sind mein dakhil huwa tha, usi din sey parr chuki thi!!! So Pakistan ki tareekh utni hi purani hai jitni Hind mein Musalmano ki.

      Ab aatey hain us hissey ki janib jo angrezon ki nisbat sey hai. 31. December 1600 ko London mein aik company ka qayam pazeer huwa jissey East India Company (ya John company) kaha geya. Uska maqsas India mein trade Unit ka qayam tha. 1617 mein mughal empire ney is company ko East India mein tajarat ki ijazat di. Us waqt Hind beshumar chhoti badi riyaston mein batta huwa tha. Sab sey badi saltnat Mughlon ki thi. Angrezon ney jab Hind mein qudrat key har husn ki tafseel bhanpi to yahan per qabza jamaney ka socha. Aur is key liye pehley hindoun ko aur phir Zameer farosh musalmano ko apney saath mila ker Musalman Hukmrano key khilaf jang karwana shuru kar di - Hind mein bechaini phailti gaii aur aakhir 1757 mein Jang-e-Plassey hui jis mein musalmano ko khatarnak had tak shakist aur East India Company aik military power ban gaii. Hotey hotey angrezon ki hakoomat sarey Hind per chha gaii magar West India mein Tipu Sultan ney aik muddat tak inhein door rakha, Tipu ki maddad key liye Franseesi aaey they - magar Tipu ki shahadat key baad Franseesiyon ko Angrezon ney Hind sey nikal diya.

      Uskey baad 1800 key ashron mein aik baar sikhon ney angrezon key khilaf sar uthaya magar nakami hui, phir 1857 ki jang-e-Aazadi mein shakist ney musalmano ko mukamil tor per khatam kar key rakh diya aur angrezon ney bhanp liya keh agar Hind per sakoon sey hakoomat karni hai to musalmano ko har lehaz sey har taraqi karney waley shoabey sey door rakha jaey - taleem, tajarat, hunnar-o- fun - algharz musalmano ko har shay sey mehroomi honey lagi.

      1857 ki jang-e-aazadi ki shakist key baad angrez raj ney musalmano per har sitam tora, schools mein arabic, farsi aur deeni taleem band kar di gaii.

      Hinduoun ko tarjeeh di janey lagi.

      Magar phir bhi jab jab aazadi ki aag bharki musalmano ki janib hi sey bharrkaii gaii. Sir Syed Ahmed Khan aur doosrey rehnumaoun ney jaan liya tha keh bghair taleem key hamari nijaat mushkil hai. 1875 mein phir woh Azeem Tareen rehnumaa pedah huwa jo aagey chal ker Quaid-e-Azam key roop mein samney aaya. Musalmano mein hamesha hi sey aazadi ki khalish raha karti thi.

      30 december 1906 ko muslim league ka qayam wajood mein aaya jiska maqsad tha keh India mein musalmano key haqooq ka tahafuz kiya jaey.

      iskey baad shayid hi koi aisa saal guzra ho ga jahan per aazadi ki chhupi hui chingari din badin phailti na rahi. Magar shuru shuru mein muslim leaders aazadi key haq mein nahin they balkey India ko aik federal constituation key tehat dekheney key khawahaan they jahan per har qomiyat ko uska haq miley. Lekin angrezon aur hinduoun ki barhti hui "own-interest" ney bilaakhir musalmano ka yeh khawab bhi torr diya aur March 23 1940 ko jalsa-e-Lahore mein musalmano ney aik seperate HOMELAND key qayam ka mutalbah kar diya. Iskey baad kisi aik muslim leader ney peechey murr ker na dekha aur Pakistan key qayam key liye din raat kaam shuru kar diya.

      Naqsha key mutabiq Hindostan ka har woh soobah jahan Musalmano ki aksariyat thi, woh Pakistan ka hissah banta tha, yun Pujnab, Sind, Balochistan, NWFP west mein aur Bengal aur doosrey soobey east mein Pakistan ko tashkeel detey they. Juna'Gadh aur Munadir aaj tak Pakistan ki riyasat hai magar uska yun kah lijiye hindustand ka qabza hai. Aik tareekhi naqsha key mutabie Hyderabad, Daccan bhi Pakistan ka hissah tha aur ussey aazadi key aik do roz baad jabran Hindustand mein shamil kar liya geya. Kashmir mein musalmano ki aksariyat thi, aur 20 july 1947 tak woh bhi Pakistan ka hissah tha, magar angrezon ney hindoun key saath chal chaltey huwey Kashmir key raja jo hindu tha, ussey raazi kar liya keh Kashmir Hindostan ka hisah baney.

      Taqseem-e-Hind insaani tareekh mein aik siyah baab hai. Is lehaz sey keh Pakistan key hissah mein riyasat ka jitna asasa aata tha, woh nahin mila, na woh fauji quwwat mili jo pakistan ka haq thi, sab kuchh hindustan mein rok liya ga. Isi tarha "jaidaad" ka jo hissah pakistan key haq mein aata tha woh bhi rok liya geya.

      Yeh woh daur tha jab tentions apney arooj per thi, qatal-o-gharat, loot maar, aur androoni khalafshaar apney arooj per tha. Pakistan ka qayam honey baad Muslim rehnumaoun ney aagey bharney ka socha aur Pakistan ko aik misaali Islami riyasat bnaney per apni soch sarf karna shuru kar di aur taqseem ki jo jo na'insaafi hui, ussey usi per chhor dena hi behtari samjhi.

      Pakistan per sab sey pehli jang 1948 mein hi musalat ho gaii jab Kashmir mein khoonrezi hui aur wahan key logon ney Pakistan ko aawaz di, Quaid-e-Azam ney apni tooti phooti fauj Kashmir mein dakhal kar di aur kuchh hissah jissey aaj ham aazad kashmir key naam sey jantey hain, aazad karwa liya. Phir UN ney woh jang band karwa di.

      Phir Quaide-e-Azam ki wafat key baad woh misali Pakistan ki dhachiyaan bakherna shuru ho gain, jab zameer farosh luteron ki bhar'maar hona shuru ho gaii.... rest as they - is hisotry!
      Assalamualikum ,
      :clap::clap::clap::clap::clap::clap::clap::clap:
      magar eik baat mein aapne thorasa farq kar diya hain . aap ko in sab bataon ka ilm hai yeh jaan kar acha laga .

      Comment

      Working...
      X