Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pakistan Kis nay Banaya???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pakistan Kis nay Banaya???

    Piaray dousto kia khayal hay ,,Pakistan or Hindustan ko kis nay banaya.
    1.Muslmanon nay?2Hindwoan nay?3 Angraizon nay??
    As for as I know...Muslmanon ki tahreek Aazadi ..Jo compleet Hidustan kay per Muslim Hakoomat kay liay thi,,,ko Micro kerkay Angrizon nay Pakistan Muslims kay Hawalay ker dia hor ..Baqi Hissay ko Hindwon ko day dia..Isliay aisa lagta hay jis Pakistan ki tahreek chalee thi usko Micro kerdia gaya or Angraizon say deray howay or Angraizon say Effected Muslims nay isay hi Qabool kerkay apnay nikah man lay lia..waran aap sub ghour kero ko jub Angraizon nay 1857 main Qabza kia tha tu us waqat kia Muslim Govt sirf 4 provinces per thi..take care and Zara sochiay....

  • #2
    Re: Pakistan Kis nay Banaya???

    Originally posted by Altafhussain View Post

    hmmmm Sochney wali to bohat sari batein hain magar sab sey pehli baat to yeh keh ham aap ko Pegham per khush aamdeed kehtey hain. Doosri baat yeh keh bhai ji aap ney to tareekh ko kaafi ghalat kar diya hai :). Khair jawab dein gey aap ko thora wait kijiye...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Pakistan Kis nay Banaya???

      Ji janab sab sey pehley to ham sab Pakistaniyon ko khaas tor per aur Hind key musalmano ko aam tor per yeh baat zehan'naseen kar leni chahiye keh Pakistan ki buniyad 1947 mein hi nahin rakhi gaii thi balkeh jab sab sey pehla musalman (Muhammad Bin Qasim) Sind mein dakhil huwa tha, usi din sey parr chuki thi!!! So Pakistan ki tareekh utni hi purani hai jitni Hind mein Musalmano ki.

      Ab aatey hain us hissey ki janib jo angrezon ki nisbat sey hai. 31. December 1600 ko London mein aik company ka qayam pazeer huwa jissey East India Company (ya John company) kaha geya. Uska maqsas India mein trade Unit ka qayam tha. 1617 mein mughal empire ney is company ko East India mein tajarat ki ijazat di. Us waqt Hind beshumar chhoti badi riyaston mein batta huwa tha. Sab sey badi saltnat Mughlon ki thi. Angrezon ney jab Hind mein qudrat key har husn ki tafseel bhanpi to yahan per qabza jamaney ka socha. Aur is key liye pehley hindoun ko aur phir Zameer farosh musalmano ko apney saath mila ker Musalman Hukmrano key khilaf jang karwana shuru kar di - Hind mein bechaini phailti gaii aur aakhir 1757 mein Jang-e-Plassey hui jis mein musalmano ko khatarnak had tak shakist aur East India Company aik military power ban gaii. Hotey hotey angrezon ki hakoomat sarey Hind per chha gaii magar West India mein Tipu Sultan ney aik muddat tak inhein door rakha, Tipu ki maddad key liye Franseesi aaey they - magar Tipu ki shahadat key baad Franseesiyon ko Angrezon ney Hind sey nikal diya.

      Uskey baad 1800 key ashron mein aik baar sikhon ney angrezon key khilaf sar uthaya magar nakami hui, phir 1857 ki jang-e-Aazadi mein shakist ney musalmano ko mukamil tor per khatam kar key rakh diya aur angrezon ney bhanp liya keh agar Hind per sakoon sey hakoomat karni hai to musalmano ko har lehaz sey har taraqi karney waley shoabey sey door rakha jaey - taleem, tajarat, hunnar-o- fun - algharz musalmano ko har shay sey mehroomi honey lagi.

      1857 ki jang-e-aazadi ki shakist key baad angrez raj ney musalmano per har sitam tora, schools mein arabic, farsi aur deeni taleem band kar di gaii.

      Hinduoun ko tarjeeh di janey lagi.

      Magar phir bhi jab jab aazadi ki aag bharki musalmano ki janib hi sey bharrkaii gaii. Sir Syed Ahmed Khan aur doosrey rehnumaoun ney jaan liya tha keh bghair taleem key hamari nijaat mushkil hai. 1875 mein phir woh Azeem Tareen rehnumaa pedah huwa jo aagey chal ker Quaid-e-Azam key roop mein samney aaya. Musalmano mein hamesha hi sey aazadi ki khalish raha karti thi.

      30 december 1906 ko muslim league ka qayam wajood mein aaya jiska maqsad tha keh India mein musalmano key haqooq ka tahafuz kiya jaey.

      iskey baad shayid hi koi aisa saal guzra ho ga jahan per aazadi ki chhupi hui chingari din badin phailti na rahi. Magar shuru shuru mein muslim leaders aazadi key haq mein nahin they balkey India ko aik federal constituation key tehat dekheney key khawahaan they jahan per har qomiyat ko uska haq miley. Lekin angrezon aur hinduoun ki barhti hui "own-interest" ney bilaakhir musalmano ka yeh khawab bhi torr diya aur March 23 1940 ko jalsa-e-Lahore mein musalmano ney aik seperate HOMELAND key qayam ka mutalbah kar diya. Iskey baad kisi aik muslim leader ney peechey murr ker na dekha aur Pakistan key qayam key liye din raat kaam shuru kar diya.

      Naqsha key mutabiq Hindostan ka har woh soobah jahan Musalmano ki aksariyat thi, woh Pakistan ka hissah banta tha, yun Pujnab, Sind, Balochistan, NWFP west mein aur Bengal aur doosrey soobey east mein Pakistan ko tashkeel detey they. Juna'Gadh aur Munadir aaj tak Pakistan ki riyasat hai magar uska yun kah lijiye hindustand ka qabza hai. Aik tareekhi naqsha key mutabie Hyderabad, Daccan bhi Pakistan ka hissah tha aur ussey aazadi key aik do roz baad jabran Hindustand mein shamil kar liya geya. Kashmir mein musalmano ki aksariyat thi, aur 20 july 1947 tak woh bhi Pakistan ka hissah tha, magar angrezon ney hindoun key saath chal chaltey huwey Kashmir key raja jo hindu tha, ussey raazi kar liya keh Kashmir Hindostan ka hisah baney.

      Taqseem-e-Hind insaani tareekh mein aik siyah baab hai. Is lehaz sey keh Pakistan key hissah mein riyasat ka jitna asasa aata tha, woh nahin mila, na woh fauji quwwat mili jo pakistan ka haq thi, sab kuchh hindustan mein rok liya ga. Isi tarha "jaidaad" ka jo hissah pakistan key haq mein aata tha woh bhi rok liya geya.

      Yeh woh daur tha jab tentions apney arooj per thi, qatal-o-gharat, loot maar, aur androoni khalafshaar apney arooj per tha. Pakistan ka qayam honey baad Muslim rehnumaoun ney aagey bharney ka socha aur Pakistan ko aik misaali Islami riyasat bnaney per apni soch sarf karna shuru kar di aur taqseem ki jo jo na'insaafi hui, ussey usi per chhor dena hi behtari samjhi.

      Pakistan per sab sey pehli jang 1948 mein hi musalat ho gaii jab Kashmir mein khoonrezi hui aur wahan key logon ney Pakistan ko aawaz di, Quaid-e-Azam ney apni tooti phooti fauj Kashmir mein dakhal kar di aur kuchh hissah jissey aaj ham aazad kashmir key naam sey jantey hain, aazad karwa liya. Phir UN ney woh jang band karwa di.

      Phir Quaide-e-Azam ki wafat key baad woh misali Pakistan ki dhachiyaan bakherna shuru ho gain, jab zameer farosh luteron ki bhar'maar hona shuru ho gaii.... rest as they - is hisotry!
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: Pakistan Kis nay Banaya???

        ^ bravo! bro.
        mukhtassaran leykin bohot zaberdast :thmbup:

        Originally posted by Altafhussain View Post
        Piaray dousto kia khayal hay ,,Pakistan or Hindustan ko kis nay banaya.
        1.Muslmanon nay?2Hindwoan nay?3 Angraizon nay??
        As for as I know...Muslmanon ki tahreek Aazadi ..Jo compleet Hidustan kay per Muslim Hakoomat kay liay thi,,,ko Micro kerkay Angrizon nay Pakistan Muslims kay Hawalay ker dia hor ..Baqi Hissay ko Hindwon ko day dia..Isliay aisa lagta hay jis Pakistan ki tahreek chalee thi usko Micro kerdia gaya or Angraizon say deray howay or Angraizon say Effected Muslims nay isay hi Qabool kerkay apnay nikah man lay lia..waran aap sub ghour kero ko jub Angraizon nay 1857 main Qabza kia tha tu us waqat kia Muslim Govt sirf 4 provinces per thi..take care and Zara sochiay....

        1- Tehreekey azaadi ka poorey subcontinent per raaj kerney sey koi taaluk nahi tha

        2-1857 ki jang angraizon key khilaaf larhi gai thi jo key aik mushtarka jang thi ...ye alag baat hai key jang ki naakami ki soorat mey consequences sirf musalmaano ko face kerna parhey

        3-go through Masood bro.'s post aur phir bhi kuch nahi clear to you are more than welcome to Q ....:thmbup:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Pakistan Kis nay Banaya???

          Salam ,Aap sub douston nay apni jagah acha likha khoob likha.Magar maray matlab ko kuch thora sa galat lay gai.Mara kahnay ka matlab yai hai k jis tarah Hindu shroo say Akhand Bharat ka nara lagatay hain isi tarah Hamaray asal Mujhadeen Akhad pakistan ka nara laga ker jihad ker rahay hain.ab raha dermian kay Roshan khayal log jo ab bhi hain pahlay bhi thay..In hi Roshan khayal logon nay Akhand pakistan ki tahreek ko Micro kerdia angraizon kay sath mil ker.Ab zara souchiay k main Pakistan ki tareekh kay kis rukh say baat ker raha hon.Zaroorat hay in Nam mihad Roshan khayal logon ka rasta roknay ki jo k her Aazadi jaisee namat ko bhi micro kerkay qabool kertay hain .yai Roshan khayal log abhi bhi is pakistan ko mazeed micro kernay kay chukker main hain..Qoum perstii kay jaraseem phailanay main in Roshan khayal logon ko khoob hath hay.Zara souchiay .k kon log Akhand pakistan chahtay hain or kon log micro pakistan chahty hain.

          Comment

          • #6

            walaikum salam

            to exactly aap kya chah rahey hein ??
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: Pakistan Kis nay Banaya???

              Originally posted by barg.e.gul View Post
              walaikum salam

              to exactly aap kya chah rahey hein ??
              Yehi samajh to mujhey bhi nahin aa rahi keh aakhir chah kya rahey hain :donno:
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                Main itna wazah likh chuka hon k hairat hay aap abhi sumjhay bhinahee .aray bhai main chah raha hon k ..Pakistan mazeed Micro na hu.Jitna bacha hay wo Qaim rahay.agr yai Roshan khayal aisay hi UUU turn plolicies creat kertay rahay rahay >>>????Zara souchiay...Pakistani Qoum ki zahni tarbiat ki zaroorat hay taa k wo Roshan khayal ka naara laganay walay jo haqeeqat main Andhairay khayal walay hain ko pahchan sakian..or main MMA jaisay Molvion ka bhi Himaiati nahee hon main tu bus Pakistan ko aisay Hathon main daikhna chahta hon jo is Islamic way say chala sakay..Na k english way say Usa way sya..Pakistan ka matal kia ...Laa Ilah Illalah ,,,

                Comment

                • #9

                  yeh ajeeb nahra hay..........................mery khiyal main yeh nhi huna chayee..

                  Comment

                  • #10
                    Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                    Han theek kaha aapnay .kafron kay liay tu ajeeb nara hay.or kafron kay pairokar Roshan khayal logon kay liay bhi ajeeb nara hay.

                    Comment

                    • #11
                      Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                      Originally posted by Altafhussain View Post
                      Han theek kaha aapnay .kafron kay liay tu ajeeb nara hay.or kafron kay pairokar Roshan khayal logon kay liay bhi ajeeb nara hay.
                      My dear yeh nahra pakistan ka nahi hay...........................
                      balky mery khiyal sy yeh buhat hee ghalt hay....

                      "" Koi nahi ebadat k Siway ALLAH ky "" kia yeh pakistan ka matlab hay..???

                      Comment

                      • #12
                        Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                        Jahan tak meyra khayal hai ye Naara is liye lagaya gaya tha key "Pakistan sirf Islam key naam per hassil kerna hai" yani key aik aeysi jaga jahan sab azaadi key sath Islam ko follow karein
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                          Originally posted by Altafhussain View Post
                          Main itna wazah likh chuka hon k hairat hay aap abhi sumjhay bhinahee .aray bhai main chah raha hon k ..Pakistan mazeed Micro na hu.Jitna bacha hay wo Qaim rahay.agr yai Roshan khayal aisay hi UUU turn plolicies creat kertay rahay rahay >>>????Zara souchiay...Pakistani Qoum ki zahni tarbiat ki zaroorat hay taa k wo Roshan khayal ka naara laganay walay jo haqeeqat main Andhairay khayal walay hain ko pahchan sakian..or main MMA jaisay Molvion ka bhi Himaiati nahee hon main tu bus Pakistan ko aisay Hathon main daikhna chahta hon jo is Islamic way say chala sakay..Na k english way say Usa way sya..Pakistan ka matal kia ...Laa Ilah Illalah ,,,
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #14
                            Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                            Chalo dafa kero is topic ko.Sub ko pata hay Pakistan kis nay or kion banaya tha.Kuch log chahtay thay k is mulk main Islamic system aazadi kay sath nafiz kerain gain.Kuch ka khayal tha k Aazadi kay sath Islam per amal kerain gain.or kuch ka khayl tha k aazadi kay sath Islam ki shakal ko bigarain gain.shroo say lay ker ab tuk teesri qism kay log ghalib hain.

                            Comment

                            • #15
                              Re: Pakistan Kis nay Banaya???

                              humain aab es ka Hal sochna chayee.......................
                              na key aab purani batian kreni chayee..
                              hum apny abaao ajdaad kee kiy huy ghalt kaamoon kee saza bughat rahy hain
                              hum ny jo aab kerna hay wo aglee nasal ko mily ga....
                              ab dekhna yeh hay k hum kia kerty haIn...
                              kia hum koi qurbaani dy saktian hain?

                              Comment

                              Working...
                              X