Re: .....sitaare raqs karte the
Bohat hi khoobsurat andaaz-e-bayan.. mujhay afsoos iss baat kay pehlay kiyon nahin paRha magar khushi iss baat ki kay itna aaala mayar-e-shaaeri paRhnay say miss nahin hua, shukriya wasi anjum ka kay unn kay peechay peechay main nay bhi iss ghazal jo kay nazm ki si sourat hay ko open kar kay paRh lia..
kia tareef karoon iss ki, sab pehlay hi itna kuch keh chukay hain.... main nay iss tehreer ko baar baar paRha aur sochta raha kay kaun sa shaair haasil-e-ghazal hosakta hay, sabhi shair bohat hi umda magar woh shaair jo waqayi dil kay taroon ko cho gaya aur zindagi dainay ka pegham day gaya woh hay
Khasaaray Kay Sabhi Souday Kiye Thay Umr Bhar Hum Nay
Magar Yon Hee Muqaddar Per Humesha Naam Dhrtay Thay
Kitni sachayi hay aap kay qalaam main bilkhusoos iss shair main kay insaan ghalitian khudh hi karta hau aur aakhir main qismat ya muqaddar ko uss ka zimaydaar theraata hay, humari haalaat humari hi achayi aur burayi ka nateeja hain, bas aap jaisay acha dil aur achi soch honi chayeh usay samajhnay aur samjhaanay kay liye...
Isi tarhan apni khoosburat tehreer say humain nawaztay rahay, bohat kuch souchnay aur samajhnay ka mouqa milta hay.
Khush rahyeh :)

Comment