[ATTACH]51930[/ATTACH]
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~Khawab mein bhi kaisay sajata raha~
Collapse
X
-
Re: ~Khawab mein bhi kaisay sajata raha~
salam wasi jee ..aapki ghazal dekh kar apni likhi ek puraani ghazal yaad aa gayi jiska ek sher kuch yuN tha.. :)
kitne naadaan the jo samajh na sake
khwaab ki neev pe ghar banaate rahe!
aapki ghazal yun to achchi hai jazbaat ke hisaab se magar technically zara kamzor hai..agar aap isi ghazal ko behr mein likhein to ghazal parhne ka mazaa dobaala ho jaayega kyonki phir ek rhythm aa jaayega kalaam mein..jaise ki maine aapka doosra sher kuch yuN likha hai ke behr mein aa jaaye..
muR ke dekhaa na usne kabhii bhii mujhe
phir bhi aawaaz usko lagaata raha
ya aap apne pehle sher ke doosra misra dekhiye...
'mann hi mann meiN use bulaata raha'
sirf ek lafz se woh behr mein aa raha hai aur aap khud parhke dekhein..
'mann hi mann meiN use maiN bulaata raha'
dono misron ko to farq mehsoos hoga ke edited version mein rawaani aa gayi hai aur zabaan pe atak nahi raha hai ek bhi lafz parhte hue..
thori bahut changes se ghazal bahut hi khoobsurat aur rawaaN behr mein aa sakti hai ..koshish kar ke dekhein...
faa-i-lun,faa-i-lun,faa-i-lun,faa-i-lun
mann-hi-mann,meiN-u-se,maiN-bu-laa,taa-ra-haa
ummeed hai aapko meri koi baat buri nahi lagi hogi... chunki shayri section ki mod bani hun isliye himmat karke ye sab likha hai..ummeed hai bura nahi maanenge :) aap mein waqaii salahiyat hai likhne ki to kyon aur aur acche se likha jaaye haina... so ijazat :salam:
zor-e-qalam aur ziyaada :rose
Comment
-
Re: ~Khawab mein bhi kaisay sajata raha~
Originally posted by shummu View Postsalam wasi jee ..aapki ghazal dekh kar apni likhi ek puraani ghazal yaad aa gayi jiska ek sher kuch yuN tha.. :)
kitne naadaan the jo samajh na sake
khwaab ki neev pe ghar banaate rahe!
aapki ghazal yun to achchi hai jazbaat ke hisaab se magar technically zara kamzor hai..agar aap isi ghazal ko behr mein likhein to ghazal parhne ka mazaa dobaala ho jaayega kyonki phir ek rhythm aa jaayega kalaam mein..jaise ki maine aapka doosra sher kuch yuN likha hai ke behr mein aa jaaye..
muR ke dekhaa na usne kabhii bhii mujhe
phir bhi aawaaz usko lagaata raha
ya aap apne pehle sher ke doosra misra dekhiye...
'mann hi mann meiN use bulaata raha'
sirf ek lafz se woh behr mein aa raha hai aur aap khud parhke dekhein..
'mann hi mann meiN use maiN bulaata raha'
dono misron ko to farq mehsoos hoga ke edited version mein rawaani aa gayi hai aur zabaan pe atak nahi raha hai ek bhi lafz parhte hue..
thori bahut changes se ghazal bahut hi khoobsurat aur rawaaN behr mein aa sakti hai ..koshish kar ke dekhein...
faa-i-lun,faa-i-lun,faa-i-lun,faa-i-lun
mann-hi-mann,meiN-u-se,maiN-bu-laa,taa-ra-haa
ummeed hai aapko meri koi baat buri nahi lagi hogi... chunki shayri section ki mod bani hun isliye himmat karke ye sab likha hai..ummeed hai bura nahi maanenge :) aap mein waqaii salahiyat hai likhne ki to kyon aur aur acche se likha jaaye haina... so ijazat :salam:
zor-e-qalam aur ziyaada :rose
Insha Allah ki hidayat per amal karoongasigpic
Comment
Comment