Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

saath beete hue din raat bahut yaad aaye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

    hi dear buhat hi zabardast sharing
    ki aapne aur its a nice feeling when anyone know someone like her creation

    Comment


    • #17
      Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

      boghat hi khubsurat kalaam he aapka:masha ji
      keep it up:clap:

      Comment


      • #18
        Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

        Khulta kisi py kion mery dil ka muamla
        Shehro ky intekhab ny ruswa keya mujay


        bohat hi kuch sir ji nice bohat hi peyari hai aap ki ghazal nice keep it up

        Comment


        • #19
          Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

          Originally posted by shummu View Post
          Salaam aaj main apni woh ghazal share karungi jo maine shuru shuru mein likhi thi aur bade dil se likhi thi aur mujhe bahut azeez hai...ummeed hai aapko achchi lagegi :rose

          saath beete hue din raat bahut yaad aaye
          hijr meN vasl ke lamhaat bahut yaad aaye

          bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
          yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

          dil meN jaage the tujhe dekh ke jo pahlii baar
          vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

          tum ko ab yaad rahii ho ki nahiiN, kyaa maaluum!
          mujh ko to pahlii mulaaqaat bahut yaad aaye

          jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
          apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye

          jin meN ham un se hameshaa ko judaa ho baiThe
          phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye

          Shumaila


          attaching urdu version also...
          zaberdast ...............aap ki takhleeq buhat umda hai .....dill mein uterny wali ...:rose

          Comment


          • #20
            Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

            wah
            shumaila ji
            tusi tu cha gaye ho
            bohot hi khobsorat ghazal bohot pasand aaie
            thanks 4 sharing
            regards
            uzma

            Comment


            • #21
              Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

              Originally posted by sajjad4anjaly View Post
              hi dear buhat hi zabardast sharing
              ki aapne aur its a nice feeling when anyone know someone like her creation
              thank u so much..ek do roz pehle hi india se wapis aayi to aap sab ke replies dekhe to reply karna laazmi thehra so shukriya adaa karne aa gayi..shukriya :) :rose

              Comment


              • #22
                Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                Originally posted by wareesha View Post
                boghat hi khubsurat kalaam he aapka:masha ji
                keep it up:clap:
                tah-e-dil s shukriya wareesa jee :rose

                Comment


                • #23
                  Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                  Originally posted by phototech81 View Post
                  Khulta kisi py kion mery dil ka muamla
                  Shehro ky intekhab ny ruswa keya mujay

                  bohat hi kuch sir ji nice bohat hi peyari hai aap ki ghazal nice keep it up
                  shukriya bahut bahut magar main sir jee nahi madam jee hoon:wk

                  Comment


                  • #24
                    Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                    Originally posted by ahsaas View Post
                    zaberdast ...............aap ki takhleeq buhat umda hai .....dill mein uterny wali ...:rose
                    dili shukriya...mere aur bhi kalaam yahan maujood hain..un pe bhi zaroor nazar-e-karam farmaaiyega :)

                    Comment


                    • #25
                      Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                      Originally posted by gazal_uzma View Post
                      wah
                      shumaila ji
                      tusi tu cha gaye ho
                      bohot hi khobsorat ghazal bohot pasand aaie
                      thanks 4 sharing
                      regards
                      uzma
                      thanx dear uzma....:) ek arse baad aap se humkalaam hote hue behad khushi ho rahi hai...aap ne meri is puraani ghazal ko bhi pasand farmaaya jaankar khushi hui...inshaAllah baat cheet hoti rahegi mukhtalif forums par...take care...:rose

                      Comment


                      • #26
                        Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                        Originally posted by shummu View Post
                        Salaam aaj main apni woh ghazal share karungi jo maine shuru shuru mein likhi thi aur bade dil se likhi thi aur mujhe bahut azeez hai...ummeed hai aapko achchi lagegi :rose

                        saath beete hue din raat bahut yaad aaye
                        hijr meN vasl ke lamhaat bahut yaad aaye

                        bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
                        yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

                        dil meN jaage the tujhe dekh ke jo pahlii baar
                        vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

                        tum ko ab yaad rahii ho ki nahiiN, kyaa maaluum!
                        mujh ko to pahlii mulaaqaat bahut yaad aaye

                        jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
                        apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye

                        jin meN ham un se hameshaa ko judaa ho baiThe
                        phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye
                        Shumaila

                        attaching urdu version also...
                        Shumaila Sahiba mashaAllah bohat achi ghazal kehi hay aap nain jazbaat ki bohat dilkash andaaz main terjumani ki hay.

                        3 misroN maiN kuch wazan ka ferq mehsus ho reha hay agar bura nah manaiN to zera dekh lijiay ga

                        4th sher ka dusra misra

                        5th sher ka pehla misra

                        aakhri sher ka dusra misra

                        regards
                        Sohail Malik

                        Comment


                        • #27
                          Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                          Adaab sohail jee aap ka behad shukriya jo aapne mere kalaam ko na sirf sahara balki uspe tanqeedi nazar bhi daali..asl mein ye kalaam bahut hi puraana hai..us waqt bhi wazn seekh hi rahi thi aur naam ko bhi sahi wazn pe istimaal nahi karti thi...magar baaqi misron mein kya GaRbaRi hai aur kahan hai zara nishaandehi farmaa dein to inaayat hogi..kyonki mujhe to misre theek lage..shukriya! :)

                          Comment


                          • #28
                            Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                            Shumaila Sahiba

                            Apnay ashaar ko aap behter samajhti haiN aur maiN bhi koi fun ka ustad nahiN keh dawa keruN.


                            aap kay zer e behs misray apni nacheez termeem kay saath likh diay haiN maqsad sirf un jaghon ki nishandehi kerna hay jahaN mujhay misroN maiN rukawat dikhai di ab aap is ko apni nazer say dekhaiN aur agar aap ko bhi aisa mehsus ho to apni fikr kay mutabiq termeem ker lijiay.



                            tum ko ab yaad rahii ho ki nahiiN, kyaa maaluum!
                            mujhay pahlii woh mulaaqaat bahut yaad aaye

                            jab bhi shahnaayi ki awaaz suni kanoN ne
                            mujhay meNhdii se rache haath bahut yaad aaye


                            khair andesh

                            Sohail Malik

                            Comment


                            • #29
                              Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                              gr8..

                              maza aya perh k..
                              nice

                              Comment


                              • #30
                                Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                                thank u thank u :)

                                Comment

                                Working...
                                X