Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

saath beete hue din raat bahut yaad aaye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • saath beete hue din raat bahut yaad aaye

    Salaam aaj main apni woh ghazal share karungi jo maine shuru shuru mein likhi thi aur bade dil se likhi thi aur mujhe bahut azeez hai...ummeed hai aapko achchi lagegi :rose

    saath beete hue din raat bahut yaad aaye
    hijr meN vasl ke lamhaat bahut yaad aaye

    bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
    yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

    dil meN jaage the tujhe dekh ke jo pahlii baar
    vo machalte huve jazbaat bahut yaad aaye

    tum ko ab yaad rahii ho ki nahiiN, kyaa maaluum!
    mujh ko to pahlii mulaaqaat bahut yaad aaye

    jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
    apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye

    jin meN ham un se hameshaa ko judaa ho baiThe
    phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye
    Shumaila

    attaching urdu version also...
    Attached Files

  • #2
    Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

    Ary wow kia baat hay G aap kee b really nice and great main ny shaid aap kee 1st hee pari hay really intersting...

    bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
    yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye

    Comment


    • #3
      Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

      hamesha ki terha zaberdast sharing. aur yaqinan yah bhi app nay khud hi likhi hain...
      ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

      Comment


      • #4
        Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

        Originally posted by Last Knight
        Ary wow kia baat hay G aap kee b really nice and great main ny shaid aap kee 1st hee pari hay really intersting...

        bhoolna chaheiN to har baat bhuladeiN laikin
        yaad aaye hai to har baat bahut yaad aaye



        Bahut bahut nawaazish LK jee...nahi jee isse pehle bhi aapne meri ek ghazal jo maine apni aawaaz mein bheji thi uspe bhi comments diye the..yaad aaya :)

        Thanx a bunch :rose

        Comment


        • #5
          Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

          Originally posted by D@y W@lk3r
          hamesha ki terha zaberdast sharing. aur yaqinan yah bhi app nay khud hi likhi hain...


          Thanx a lot DW..jee bilkul...humne hi likhi hai..........shukriya pasand farmaane ka :salam:

          Comment


          • #6
            Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

            jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
            apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye

            Yeh sher bohat pasand aaya aur poori ghazal bohat umdah likhi hay :)
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

              Originally posted by Yaaram
              jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
              apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye
              Yeh sher bohat pasand aaya aur poori ghazal bohat umdah likhi hay :)
              ye hi to woh sher hai jo is ghazal ki jaan hai aur aur central idea hai ....isi pe poori ghazal based hai..yaaram jee mujhe khushi hui aap ko is sher ke saath poori ghazal bhi pasand aaya..hausla afzaayi farmaane ka bahut bahut shukriya :rose

              shumaila

              Comment


              • #8
                Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                Assalaam o alekum,

                shummu rani tumhaari yeh ghazal ek baar phir perhnien ko mili waqaee bahoot hi gehri baatien chupi huee hain is ghazal bahoot khooob likhaa hai tumnien mujhe yeh ashaar behud pasand aaye

                jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
                apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye

                jin meN ham un se hameshaa ko judaa ho baiThe
                phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye

                dili daaad qabool karo aur khoob achchi achchi aur pyaari pyaari ghazlien humse share kerti raho :thmbup: :rose :rose
                :tang: RISK IS MY BUSINESS

                DANGER IS MY GAME

                DONT PLAY WITH ME
                BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                Comment


                • #9
                  Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                  Assalaam o alaikum
                  aaj kal makhan(maska) bohat sasta hua wa hay. hamm nay to kaha k aap best poestess ho pegham ki to baat khatam. laikin aap yahaaN baasi ghazals post karti ho. pegham ko pehla number q nahi daiti haiN aap. hamaiN yahaaN 1st yaani sabb say pehlay posted shayeri chahiyai hai aap ki. yai na ho k kaheen daikha daikha sa maloom ho. samjheeN aap
                  itni samajhdaar to haiN aap.
                  ALLAH hafiz

                  kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                  Comment


                  • #10
                    Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                    Originally posted by khurram_shaikh
                    Assalaam o alekum,


                    shummu rani tumhaari yeh ghazal ek baar phir perhnien ko mili waqaee bahoot hi gehri baatien chupi huee hain is ghazal bahoot khooob likhaa hai tumnien mujhe yeh ashaar behud pasand aaye


                    jab bhi shahnaayi ki awaaz suni maiN ne
                    apne meNhdii se rache haath bahut yaad aaye


                    jin meN ham un se hameshaa ko judaa ho baiThe
                    phir 'shumaila' wahi halaat bahut yaad aaye


                    dili daaad qabool karo aur khoob achchi achchi aur pyaari pyaari ghazlien humse share kerti raho :thmbup: :rose :rose
                    W'salaam!


                    Shukriya Khurram jee..yaqenan aapne ye ghazal paRhi hui hogi kyonki bahut puraani hai...shukriya ek dafaa phir dil khol ke meri hausla afzaayi farmaane ka :rose

                    EID MUBARAK :)

                    Shumaila

                    Comment


                    • #11
                      Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                      Originally posted by baykamal
                      Assalaam o alaikum
                      aaj kal makhan(maska) bohat sasta hua wa hay. hamm nay to kaha k aap best poestess ho pegham ki to baat khatam. laikin aap yahaaN baasi ghazals post karti ho. pegham ko pehla number q nahi daiti haiN aap. hamaiN yahaaN 1st yaani sabb say pehlay posted shayeri chahiyai hai aap ki. yai na ho k kaheen daikha daikha sa maloom ho. samjheeN aap
                      itni samajhdaar to haiN aap.
                      ALLAH hafiz
                      Ws BK ke bacche maarungi han :hathora


                      lolz PG mere liye nayi jagah hai aur yahan hai taqreeban sabhi members naye hain mere liye to yaqeenan unke liye meri puraani ghazlein bhi nayi hui na :D aur nayi gahzlein to post ki hi thi..tumne sab paRh li kya.... :fuming: jis beech nayi aamad nahi hoti to un dinon main apna koi puraana kalaam post kar deti hono kyonki yahan ke liye woh nayi hi hai..samjhe ya aur samjhaaon :a stick:

                      Comment


                      • #12
                        Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                        Shumaila aik baar phir sey aap ko daad diyey bghair nahin rah saktey :) bohat sadah aur sehal alfaaz mein bohat khoobsurat shairi ki hai aur yehi baat is ka saboot hai keh shairi karney key liye koi mushkil alfaaz istimaal karna zaroori nahin. Baat to dil ki hoti hai keh dil sey kya alfaaz kahey jatey hain. Aur masha'Allah alfaaz ka saheeh istimaal karti hain aap :) Bohat khush rahein aur isi tarha apney achhey achhey kalaam sey hamein nawazti rahein :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                          Originally posted by Masood
                          Shumaila aik baar phir sey aap ko daad diyey bghair nahin rah saktey :) bohat sadah aur sehal alfaaz mein bohat khoobsurat shairi ki hai aur yehi baat is ka saboot hai keh shairi karney key liye koi mushkil alfaaz istimaal karna zaroori nahin. Baat to dil ki hoti hai keh dil sey kya alfaaz kahey jatey hain. Aur masha'Allah alfaaz ka saheeh istimaal karti hain aap :) Bohat khush rahein aur isi tarha apney achhey achhey kalaam sey hamein nawazti rahein :)
                          bahut bahut shukriya Masood jee.aap mere har kalaam pe dil khol ke hausla kun reply dete hain..mujhe bahut bahut khushi hoti hai..jab tak aap jaise paRhne waale maujood rahenge ..hum bhi kuch na kuch likhte rahenge..shukriya :rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                            bohut khoobsorat:rose
                            Qaffas-e-hijr mein
                            saansoon ka amal
                            jarii tou hey magar
                            zindagii hey kahaan
                            dhoondh raha hoon
                            sagarkhan:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: saath beete hue din raat bahut yaad aaye

                              Shukriya Sagar jee :)

                              Comment

                              Working...
                              X