Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Meri ghazal meri aawaaz mein!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

    Aap ka andaz-e-bayan bohat khooooob hay .......alfaz ka utar churao se sahi maza aata hay ghazal ka.......jo ke aap ne kya hay :) Bohat umdah :)
    Allah

    Comment

    • #32
      Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

      Originally posted by hayaa_n
      Shumaila ji mujhay yeh jaan kar mazeed khushi hui kay aap voice chat software par parhti hain..bouhat khush rahiye.mujhay khushi hay k itni umda shaira ko main nay suna.:masha :)
      :embarasse thanx

      Comment

      • #33
        Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

        Originally posted by Masood
        Main bohat late ho geya hoon Shumaila. Ma'zrat chahoon ga.

        Kalaam mein woh zabtgi hai keh parhtey huwey aik kashish mehsoos hoti hai, phir ishtiyaaq pedah huwa keh suna jaey to aap ka andaaz-e-biyaan apni jaggah koi saani nahin rakhta. Aap ka lehja achha laga aur alfaaz ki adaeegi bhi pasand aaey go Muhabbat lafz ghalban aap ney sarhad mein jaa kar ada kiya hai :khi:. Bohat umdah khush rahiye aur isi tarha Pegham ki mehfil ko ronaq bakhshti rahiye. :rose
        Thanx a lot Massod jee.... :salam: sach kahoon to bahut din se aap ki raaye ka intizaar tha......aap aaye..na sirf ghazal paRhi..balki suni aur dil khol ke saaraahi bhi goya meri mehnat vusool ho gayi..... :rose Bahut bahut shukriya...........btw woh muhabbat waali baat palle nahi paRi..aap hanse kyoN :embarasse

        Comment

        • #34
          Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

          Originally posted by Adnan
          Aap ka andaz-e-bayan bohat khooooob hay .......alfaz ka utar churao se sahi maza aata hay ghazal ka.......jo ke aap ne kya hay :) Bohat umdah :)
          Shukriya ADNAN jee..bas koshish karti hoon ke dhang se paRh sakoon...kyonki jab tak ghazal ko sahi tarah paRha na jaaye waqaii mazaa utna nahi aata........ ghazal ki asl khoobsurati usko sahi tarah se paRhne se hi zaahir hoti hai ....:) mujhe khushi hui aap ko naacheez ka andaaz-e-bayaan pasand aaya..thanx :phool:

          Comment

          • #35
            Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

            Originally posted by shummu
            Thanx a lot Massod jee.... :salam: sach kahoon to bahut din se aap ki raaye ka intizaar tha......aap aaye..na sirf ghazal paRhi..balki suni aur dil khol ke saaraahi bhi goya meri mehnat vusool ho gayi..... :rose Bahut bahut shukriya...........btw woh muhabbat waali baat palle nahi paRi..aap hanse kyoN :embarasse
            Shumaila late honey ki ma'zrat chahoon ga magar der aayid drust aayid :) Mera mission hai keh "to get the best out of our friends". Ham log aksar apni salahiyaton ko bru-e-kaar nahin laatey aur under-achive rehtey hain. Aap ka kalaam perha to aala paya, suna to mazeed lutf aaya aur yaqin pukhta huwa keh hamarey darmiyan aik bohat achha zoq rakhney wali shaira mojood hain. Mujhey umeed hai keh aap aaindah bhi aisey hi mehnat karti rahein gi.

            Muhabbat wali baat per is liye hansa jo aap ko samajh nahin aai woh yeh tha keh talaffuz thora sa pathano jaisa laga isi liye kaha keh Muhabbat ko sarhad mein ada kiya hai :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #36
              Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

              lol masood jee.. mujhe waqaii is baat ka ehsaas na hua..lekin sachi main to lucknowi hoon...pathan nahi.. :embarasse

              Comment

              • #37
                Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                Lucknow sey aik lateefa yaad aata hai magar phir kahi sahi. Lucknow key logon ki Urdu to mashaAllah kya kehney hain unkey - kaash ham bhi kuchh hath paoun mar letey Urdu mein ...

                Achha aik baat btaein, kya aap key liye yeh aasan na ho ga keh aap apni yeh sound wali file direct Pegham per upload karein. Is tarha yeh hamarey paas hamesha key liye mehfooz ho jaey gi aur jaisey ko koi aap key sound waley thread tak rasaee hasil karey, ghazal autmatically shuru ho jaey...
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #38

                  arey nahi Lucknow mein to ab woh baat nahi rahi..urdu se zyaada hindi boli jaati hai ya ye samjhiye hindi urdu ka mixture lolz mujhe karachi waalon ki urdu bahut hi achchi lagti hai...perfect talaffuz..main to zyaada bahar hi rahi hoon..pehle mujhe urdu kuch khaas nahi aati thi magar shauq tha isliye khud se dheere dheere urdu seekhi aur seekh rahi hoon aise hi urdu forums pe jaa jaa ke ..aur sahi talaffuz bhi seekha ..pehle meri urdu bahut buri thi....badi meri class lagti thi lolz ab khair kaafi hadh tak durust ho gayi hai magar ab bhi kabhi kabhi bedhyaani mein ghalati kar jaati hoon talaffuz mein :D

                  maine bahut koshish ki thi pegham mein upload karne ki ghazal pehle hi magar size bahut bada tha..nahi hui.. isliye phir ise kahin aur upload kar ke pesh kiya aap sab ke saamne :D:

                  Comment

                  • #39

                    Waisey agar aap ko file ki upload mein problem thi to mujhey kehtin - main hoon na. Agar aap ki ijazat ho to aap ki yeh post edit kar doon?
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #40
                      Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                      Originally posted by Masood

                      Waisey agar aap ko file ki upload mein problem thi to mujhey kehtin - main hoon na. Agar aap ki ijazat ho to aap ki yeh post edit kar doon?
                      arey aapne 3 class tak paRhi hai..maine to bilkul bhi nahi paRhi thi urdu siwaaye iske ke Hafijji ne Quran-e-paak bachpoan mein paRhaate waqt qaayeda paRha diya tha ...magar ye tha mujhe urdu paRhni aati thi.....magar saqeel urdu nahi aati thi.....aur likha kabhi nahi..bas khud se inpage mein typing seekhi...abhi bhi aap mujhse aise likhne ko kahenge na to phir lolz.... :D

                      ok sure ..EDIT kar lein...aap yahan upload karne jaa rahe hain? waise us waqt aap gum the isliye aapki help na le saki..u were away ....

                      Comment

                      • #41
                        Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                        Thanx a lot Masood jee..meri ghazal yahan upload karne ke liye :rose

                        Comment

                        • #42
                          Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                          very nice,,,,
                          app gana bhi gati he???

                          Comment

                          • #43
                            Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                            thankoo thankoo.... rep. bhi de dete agar itna pasand aaya tha to :khi:

                            nope gaana nahi gaati bas ghazlein recite kar leti hun...mere homepage mein ek do aur ghazlein hain meri awaaz mein

                            Comment

                            • #44
                              Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                              acha de deta ho...buhat shauq he..reputation ka... :P : p :P

                              nahi mein abhi nahi sun sukta ....bcoz abhi kuch din pehle hi kaam saaf kie hein [:P][:P][:P]

                              Comment

                              • #45
                                Re: Meri ghazal meri aawaaz mein!

                                eror he...
                                mein kabhi de do ga

                                Comment

                                Working...
                                X