Salaam ahl-e-bazm ek aur nayi ghazal pesh-e-khidmat hai :rose
maiN ne kabhee jo dekhe haiN sapne bahaar ke
manzar nazar meN ghoom gaye Khaar-zaar ke
kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke
kitnii ujar gayi hoon maiN tere firaaq meiN
nazroN se dekh parda-e-nafrat utaar ke
aansoo bataa rahe haiN mujhe uske dil ka haal
'Woh jaa raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke'
dil ke udaas panchi khabar de rahe haiN ye
mausam badal rahe haiN dil-e-khushgawaar ke
dete haiN bhook meiN mujhe raahat wahi samar
toRaa tha jinko maine kabhii sang maar ke
saaya shadeed dhoop meiN dete haiN woh mujhe
kyoNkar na hoN azeez shajar kuu-e-yaar ke
dil ko saraaye samjhaa thaa shayad :Shumaa'ilah:
aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke
aap ki aara ki muntazir,
Shumaila :)

Comment