Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

    Salaam ahl-e-bazm ek aur nayi ghazal pesh-e-khidmat hai :rose

    maiN ne kabhee jo dekhe haiN sapne bahaar ke
    manzar nazar meN ghoom gaye Khaar-zaar ke

    kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
    dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke

    kitnii ujar gayi hoon maiN tere firaaq meiN
    nazroN se dekh parda-e-nafrat utaar ke

    aansoo bataa rahe haiN mujhe uske dil ka haal
    'Woh jaa raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke'

    dil ke udaas panchi khabar de rahe haiN ye
    mausam badal rahe haiN dil-e-khushgawaar ke

    dete haiN bhook meiN mujhe raahat wahi samar
    toRaa tha jinko maine kabhii sang maar ke

    saaya shadeed dhoop meiN dete haiN woh mujhe
    kyoNkar na hoN azeez shajar kuu-e-yaar ke

    dil ko saraaye samjhaa thaa shayad :Shumaa'ilah:
    aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke

    aap ki aara ki muntazir,
    Shumaila :)

  • #2
    Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

    Originally posted by shummu

    Shumaila ji no doubt kay aap aik umda shaaira hain..jo bhi kalaam read kiya hay us ka koi aik shair bhi aisa nahi k kahun yeh ziyada umda hay, yeh waala khaas nahi..aap ka sara kalaam mujhay bouhat pasand aaya hay jo k saaf zahir karta hay k :masha aik umda shaaira ko is waqt read kar rahi hun.Bouhat dili Daad qubool kijye.:thmbup:
    :roseENIGMA:rose

    Comment

    • #3
      Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

      Adaab Dear hayaa sis..aap ne baDi himmat baRhaayi hai meri ...jab ek banda bhi aap ke kalaam ko sahi maayne mein paRhke use mehsoos karke reply de to baDi khushi hoti hi aur aisa lagta hai jaise aap kimehnat wasool ho gayi..ap khud mashaAllah bahut achcha likhti hain.aap ki jaanib se daad paa ke aur bhi achcha lagta hai..thank u soo very much HAYAA sis... :rose :rose

      Comment

      • #4
        Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

        Assalaam o alekum,

        waaah bahot khoob bahoot hi umdeh kalaam likhaa aur share kiyaa shummu raani tumnien jaisa ke hayaa nien kahaa ke koee ek ashaar nahin balke pooori ke poori ghazal hi khobsoorat hai :thmbup: tumhien perhnien ki ab aadat se banti jaa rahi hai khoob likhoo aur aise hi sabki daad o tehseen qabool kerti raho khush raho sada
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment

        • #5
          Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

          Originally posted by khurram_shaikh
          Assalaam o alekum,

          waaah bahot khoob bahoot hi umdeh kalaam likhaa aur share kiyaa shummu raani tumnien jaisa ke hayaa nien kahaa ke koee ek ashaar nahin balke pooori ke poori ghazal hi khobsoorat hai :thmbup: tumhien perhnien ki ab aadat se banti jaa rahi hai khoob likhoo aur aise hi sabki daad o tehseen qabool kerti raho khush raho sada
          w'salaam!

          shukriya bahut bahut Khurram jee..aap ki jaanib se daad paa ke baDi apnaaiyat ka ehsaas hota hai..:) main aap ki mamnoon hoon keh aap hamesha meir hausla afzaayi farmaate rehte hain.....shukriya :rose

          Shumaila

          Comment

          • #6
            Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

            wah shummaila ............jee wah bohat umdah .....:) kamal likhti ho jab bhi likhti ho :)
            Allah

            Comment

            • #7
              Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

              Thanx a lot Adnan...aap ki be saakhta daad dene ka andaaz bahut pasand aaya...shukriya :)

              Comment

              • #8
                Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(wah wah)

                Assalaam o alaikum
                kya acha shair hay. aur kya acha shair hay.

                kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
                dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke

                bohat hi zabardast bhy bohat achay kya baat hay. kya baat hay ???
                hehehe. mazaq k ilawa kya baat hay bohat achay. tum zara aas paas hoti to kuch inaam waghaira daita.
                agar tum poestess of pegham k liay ummeed waar ho to maiN tumhaiN best poetess k liay vote b doon. agar tum achi shaaeri shuru kar do. hehehehe. tum waqaee bohat achi shaaera ho.

                tumharay liay dua hay k aisay hi shair likhti raho...
                khurram bhaee aap chat b aaya kijiay aur shu tum b aao guppaiN maaraiN gae...theek

                Wassalaam
                Raza Baykamal

                kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                Comment

                • #9
                  Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

                  Originally posted by shummu
                  Salaam ahl-e-bazm ek aur nayi ghazal pesh-e-khidmat hai :rose

                  maiN ne kabhee jo dekhe haiN sapne bahaar ke
                  manzar nazar meN ghoom gaye Khaar-zaar ke

                  kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
                  dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke

                  kitnii ujar gayi hoon maiN tere firaaq meiN
                  nazroN se dekh parda-e-nafrat utaar ke

                  aansoo bataa rahe haiN mujhe uske dil ka haal
                  'Woh jaa raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke'

                  dil ke udaas panchi khabar de rahe haiN ye
                  mausam badal rahe haiN dil-e-khushgawaar ke

                  dete haiN bhook meiN mujhe raahat wahi samar
                  toRaa tha jinko maine kabhii sang maar ke

                  saaya shadeed dhoop meiN dete haiN woh mujhe
                  kyoNkar na hoN azeez shajar kuu-e-yaar ke

                  dil ko saraaye samjhaa thaa shayad :Shumaa'ilah:
                  aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke

                  aap ki aara ki muntazir,
                  Shumaila :)
                  koon juda hoo gia main title deekh kay jaldi jaldi andar a gai deekhnay key leye :D

                  :thmbup: :rose
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(wah wah)

                    Originally posted by baykamal
                    Assalaam o alaikum
                    kya acha shair hay. aur kya acha shair hay.

                    kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
                    dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke

                    bohat hi zabardast bhy bohat achay kya baat hay. kya baat hay ???
                    hehehe. mazaq k ilawa kya baat hay bohat achay. tum zara aas paas hoti to kuch inaam waghaira daita.
                    agar tum poestess of pegham k liay ummeed waar ho to maiN tumhaiN best poetess k liay vote b doon. agar tum achi shaaeri shuru kar do. hehehehe. tum waqaee bohat achi shaaera ho.

                    tumharay liay dua hay k aisay hi shair likhti raho...
                    khurram bhaee aap chat b aaya kijiay aur shu tum b aao guppaiN maaraiN gae...theek

                    Wassalaam
                    Raza Baykamal

                    uffo ek to samajh nahi aata keh tum taareef kar rahe ho ya buraayi lolz....ajeeb dhang se daad dete ho :tomato:

                    waise thanxx ke tum aaye to...aur itniiiiiiiiiiiiiii daad se nwaaaza bhi....bahut hi achcha laga sacchi...:rose

                    Shumaila

                    Comment

                    • #11
                      Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

                      Originally posted by Aanchal
                      koon juda hoo gia main title deekh kay jaldi jaldi andar a gai deekhnay key leye :D

                      :thmbup: :rose
                      lolzzzzzzzzzzz:lol tum bhi na ...lol :tauba

                      Comment

                      • #12
                        Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

                        Such a nice poetry.:phool:

                        Comment

                        • #13
                          Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

                          Thanx SARAH jee....

                          Comment

                          • #14
                            Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

                            me ne kabhi jo dekhay hain sapnay behaar k,

                            Bilkul siutablity nhi hy janab
                            zraa ghor karen
                            haan
                            Dekhe thay agar ho tu kuch jamta hy

                            Filhaal tu isi ek shair pe he comment doonga
                            wese second or 1st line me me bhi mutabikat nhi bn rehi mere hisab se
                            Last edited by Mani16; 8 September 2009, 01:38.

                            Comment

                            • #15
                              Re: aakhir judaa wo ho gayaa kuch din guzaar ke(nayi ghazal)

                              very nice...
                              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                              :pr:

                              Comment

                              Working...
                              X