Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

    Salaam ahl-e-bazm!


    ek taaza tareen tarahi ghazal pesh-e-khidmat hai...ghazal ki tawaalat ke liye mu'aazrat khwaah hoon magar bas ye behr hi aisi hai ke apne aap se ashaar hote chale jaate hain....ummeed hai aap sab ko meri ye adna si koshish pasand aayegi :rose


    1.
    hunar aazmaane ke din aa rahe haiN
    use ab bhulaane ke din aa rahe haiN

    2.
    shamaa ko bujhaane ke din aa rahe haiN
    ya khud ko jalaane ke din aa rahe haiN?

    3.
    dukhoN ko ghaTaane ke din aa rahe haiN
    khushii ko baRhaane ke din aa rahe haiN



    4.
    guloN kii zubaanii sunaa kal ye maine
    'chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN '

    5.
    GhamoN ko bhulaakar chalo muskuraayeiN
    keh haNsne haNsaane ke din aa rahe haiN

    6.
    mirii shaa'irii ko jilaa baksh do tum
    Ghazal gungunaane ke din aa rahe haiN


    7.
    huwe aaj jalwaa numaa is qadar kyoN?
    tabaahii machaane ke din aa rahe haiN?

    8.
    sunaa aa rahii hai wo barq-e-tajallii
    nasheman bachaane ke din aa rahe haiN

    9.
    miraa haath choRaa jo tum ne qasam se
    lagaa daGmagaane ke din aa rahe haiN

    10.
    dil-e-bekhabar ko khabar ye nahin hai
    naye zakhm khaane ke din aa rahe haiN

    11.
    kabhi toR laaoo sitaare falak se
    keh aanchal sajaane ke din aa rahe haiN


    12.
    phir usko rulaayaa bahut aaj maine
    phir usko manaane ke din aa rahe haiN

    13.
    woh shabnam jo gir ke tire lab pe Thehrii
    wo shabnam churaane ke din aa rahe haiN

    14.
    aseeroN ko zulfoN se aazaad kar do
    rihaayii manaane ke din aa rahe haiN

    15.
    bahut sun liye Heer Raanjhe ke qisse
    kuch apnii sunaane ke din aa rahe haiN

    16.
    ikhaTTa karo kiRchiyaaN khwaab kii tum
    keh sapne sajaane ke din aa rahe haiN



    17.
    khule aam hai qatl-o-Ghaarat ka manzar
    ye kaise zamaane ke din aa rahe haiN?

    18.
    agar ho sake to ise aaj see lo
    girebaaN dikhaane ke din aa rahe haiN

    19.
    muqaddar ne diN haiN baDii mujh ko maateiN
    ab isko haraane ke din aa rahe haiN

    20.
    nayii soch ke deep aaoo jalaayeiN
    puraane bujhaane ke din aa rahe haiN
    ---------------------------------------------------------------


    Shumaila

    Last edited by shummu; 28 March 2007, 14:29.

  • #2
    Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

    buhat hee khoooooooooooob

    Comment


    • #3
      Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

      Shumaila aap key kalaam mein is qader rawangi hai keh parhtey hi chaley jaaney ko dil karta hai. Aik aik shair is ghazal ka kuchh kehney per majboor karta hai. Magar isi per iktifaa karta hoon....

      maikadey key mahol ki fiker karo saaqi
      mehfilein sajaney key din aa rahey hain
      hama'tan gosh ho jaein ahl-e-mehfil
      ba'zoq ghazal sunaney aa rahey hain
      (nuqta: maikadah, saaqi, mehfil, ba'zoq :) )


      Khush rahiyey aur khoob likhti rahiye Shumaila.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

        Originally posted by KHL
        buhat hee khoooooooooooob
        aap ki be saakhtaa daad bahut achchi lagi..shukriya :rose

        Comment


        • #5
          Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

          Originally posted by Masood
          Shumaila aap key kalaam mein is qader rawangi hai keh parhtey hi chaley jaaney ko dil karta hai. Aik aik shair is ghazal ka kuchh kehney per majboor karta hai. Magar isi per iktifaa karta hoon....

          maikadey key mahol ki fiker karo saaqi
          mehfilein sajaney key din aa rahey hain
          hama'tan gosh ho jaein ahl-e-mehfil
          ba'zoq ghazal sunaney aa rahey hain
          (nuqta: maikadah, saaqi, mehfil, ba'zoq :) )


          Khush rahiyey aur khoob likhti rahiye Shumaila.
          wah MASOOD sahab aap ke taareef karne ka andaaz baDa munfarid laga...shukriya shukriya shukriya naacheez ke kalaam ko is qadar pasand farmaane ka aur hausla afzaayi farmaane ka :)

          Comment


          • #6
            Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

            buhat achi ghazal likhi hai shummu :thmbup: buhat hi sada say khoobsurat say alfaaz main :)

            dukhoN ko ghaTaane ke din aa rahe haiN
            khushii ko baRhaane ke din aa rahe haiN :thmbup:
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

              zaberdasts

              Comment


              • #8
                Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                Originally posted by Aanchal
                buhat achi ghazal likhi hai shummu :thmbup: buhat hi sada say khoobsurat say alfaaz main :)

                dukhoN ko ghaTaane ke din aa rahe haiN
                khushii ko baRhaane ke din aa rahe haiN :thmbup:
                bahut shukriya Aanchal :rose

                Comment


                • #9
                  Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                  Originally posted by Rabi
                  zaberdasts
                  thanxxxxxxx:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                    Aap ka yeh kalaam jitni baar read kar rahi hun ziyada achcha lag raha hay:masha bala ki rawaani aur barjastigi hay.bouhat khoob.:)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                      Originally posted by hayaa_n
                      Aap ka yeh kalaam jitni baar read kar rahi hun ziyada achcha lag raha hay:masha bala ki rawaani aur barjastigi hay.bouhat khoob.:)
                      Shukriya hayaa sis ke aap ne mere dono kalaam pe apni itni khoobsurat daad di.. ye ghazal maine raaton raat kahi thi misra dekhte hain...aur ye ghazal jis jis urdu forum pe post ki sab hi ko bahut pasand aayi to kaafi himmat afzaayi hui hai meri..... mere liye aijaaz ki baat hai ki aap mere kalaam ko kayi baar paRh rahi hain... inshaALlah aur bhi kalaam share karti rahungi gaahe gaahe..shukriya ek dafaa phir :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                        Assalaam o alekum,


                        waaaah bahooot khooob phir se ek bahoot hi zabardast kalaam share kiyaa shuuuuu tumnien tumhaare sabhi kalaam bahoot hi khoob hoote hain dili daad qabool karoo aur haan yehaan sirf shayari forum hi nahin hai aur bhi bahoot se forums hain jahaan tum kam kam aati ho so be carefull iss baar sirf dandaa dikhaayaa hai :lol :lol
                        :tang: RISK IS MY BUSINESS

                        DANGER IS MY GAME

                        DONT PLAY WITH ME
                        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                        Comment


                        • #13
                          Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                          Originally posted by khurram_shaikh
                          Assalaam o alekum,


                          waaaah bahooot khooob phir se ek bahoot hi zabardast kalaam share kiyaa shuuuuu tumnien tumhaare sabhi kalaam bahoot hi khoob hoote hain dili daad qabool karoo aur haan yehaan sirf shayari forum hi nahin hai aur bhi bahoot se forums hain jahaan tum kam kam aati ho so be carefull iss baar sirf dandaa dikhaayaa hai :lol :lol
                          sab se pehle to behad shukriyaaaaaaaa :rose aur jaati to hoon KHWATEEN forum aur GENERAL EUCATION forum mein bhi :embarasse

                          Comment


                          • #14
                            Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                            Originally posted by shummu
                            Shukriya hayaa sis ke aap ne mere dono kalaam pe apni itni khoobsurat daad di.. ye ghazal maine raaton raat kahi thi misra dekhte hain...aur ye ghazal jis jis urdu forum pe post ki sab hi ko bahut pasand aayi to kaafi himmat afzaayi hui hai meri..... mere liye aijaaz ki baat hai ki aap mere kalaam ko kayi baar paRh rahi hain... inshaALlah aur bhi kalaam share karti rahungi gaahe gaahe..shukriya ek dafaa phir :rose
                            Aap is daad ki mustahiq bhi hain. jo kay main nay di hay aur bouhat dil say di hay.aap ki mazeed shaairi ka wait hay.apni is Khuda daad salaahiyat ko istimaal kijiye :insha: aap achi shaaira saabit hongi.:)
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

                              GhamoN ko bhulaakar chalo muskuraayeiN
                              keh haNsne haNsaane ke din aa rahe haiN


                              GREAT WORDS.... WOW khush rahye...
                              Visit My Early PS Work
                              You Are Welcome To Comment

                              Comment

                              Working...
                              X