Salam humne bhi mehfil-e-sukhan mein diye gaye tarahi misre pe kuch likhne ki jasarat ki hai..ghazal saada si hai....ummeed hai kisi laayaq lagegi.. aap sab ki aara ki muntazir
meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne
koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne!
'raat aayee hai mire Gham meiN izaafaa karne'
mujhko tanhaaiyoN meiN aur bhi tanhaa karne
bewafaayi ka tum aaye ho khulaasah karne?
ya ke aaye ho faqat koi tamashaa karne?!
phir chale uski wafaaoN pe bharosaa karne
Ghalatii jo kabhi kii thii wo dubaaraa karne
pehle to dil ko mire choRha tha zakhmi karke
aur ab aaya hai woh kaar-e-maseehaa karne!
abhi to khol ke rakh dete ho apne dil ko
hum na honge to kahaaN jaaoge aisaa karne?
tumse bujhtii hui ummeed ki lau kehti hai
kam se kam ab to chale aao ujaalaa karne!
shukriya,
shumaila

Comment