Salm ek bahut puraani ghazal pesh-e-khidmat hai...ummeed hai aap sab ko pasand aayegi!:rose
Arz kiya hai...
Arz kiya hai...
rukh-e-raushan ko aaNchal meiN chhupaaye kaun baiTha hai
shab-e-mehtaab yeh jaadoo jagaaye kaun baiTha hai
milaa hai chain barsoN ba'd phir kis kee duaaoN se
ba-chashm-e-nam yeh haathoN ko uThaaye kaun baiTha hai
duaeiN meray jeenay ki na jaanay kaun karta hai
merii marne kii khaahish ko bhulaaye kaun baitha hai
bachakar apni nazroN ko guzar jaatay thay sab pahlay
inhi nazroN se ab nazreiN milaaye kaun baitha hai
taras khaayaa hai tanhaaii pe merii aaj ye kis ne
ye merii raah meN aaNkheN bichhaye kaun baiThaa hai
ye kis kii anjuman hai, jo usse apnii sii lagtii hai
'Shumaila' ke liye meHfil sajaaye kaun baiThaa hai?!

Adaab,
Shumaila:salam:
Shumaila:salam:
Comment