Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dard say aashnayi mil gayi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dard say aashnayi mil gayi

    sakoot e shab e ghum ko dasht e tanhayi mil gayi
    dareecha e dil khula to zakhmon ko binayi mil gayi

    goonjti rehti hein ab ussi ki sadayein char soo
    be sout lafzon ko jub say quwat e goyyayi mil gayi

    lamhat e milan ke talabgaar thay magar aey gham e ishq
    soghat e muhabat mein umer bhar ki judayi mil gayi

    gulshan e zeest mein phoolon par qadam rakhte hi
    barahna pai ko kaanton ke dard say aashnayi mil gayi

    tujhko gale laga loon aey ghamzada muhabat e'' shehzadi''
    ye teri qismat ke, sila e wafa mein tujhe ruswayi mil gayi..
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: Dard say aashnayi mil gayi

    mere lafzon mein aab e joo ban ke behta hai
    woh mere dil mein mere rubaroo rehta hai

    phool chunti hoon gulshan e duya say mein
    woh mere aas pass ban ke khushboo rehta hai

    jo ghupp andheire zindagi mein aate hain to woh
    ban ke roshni ki lehar maanind e jugnoo rehta hai

    aik pal ko bhi tanha mein bhala kaise raha karoon
    ban ke ek pyar ka ehsas mere char soo rehta hai

    umar apni jub uss ke naam kar di hay to shehzadi''ab
    aayina e dil ki moorat ban ke hubahoo rehta hai..




    baat dil ki kehne mein to koi burayi nahi
    aag kiss nay apne daman mein lagayi nahi

    jism say rooh tak ki mushaqat hai ye to
    ye thakan dil ki kahe mout say aashnayi nahi

    apne iltafat ke sikke na yun uchalo mujh par
    ke ye mera dil hai koi kaasa e gadayi nahi

    ashq roz khwabon ko kafan pehna deite hain
    phir bhi tabeer ki talab say milti rihayi nahi

    band palkon mein bhi tu hi rubaroo rehta hai
    magar phir bhi mera dil tera soudayi nahi

    aarzoyon ki pamali huyi hay tere hathon ''mariam''
    ye baat woh samjha nahi tu nay bhi batayi nahi..




    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

    Comment


    • #3
      Re: Dard say aashnayi mil gayi

      zehan hai ya ki hai koi shabistaan ek khyaalon ka
      ki isme neend ka na guzar hisaab saare visaalon ka

      hain kitne ashq jo hain gumnaam jinhe dekha kisi ne nahi
      bane tanhaai me hisaa jo bas mere rumaalon ka

      likhe hain khat magar unka koi bhi lafz sachcha nahi
      nahi de paayega vo shakhs javaab mere savaalon ka

      badi bedard ye duniya bahut mushkil hai raah e sach
      hain kitne khoon ke dhabbe zikr ye un misaalon ka

      nahi hai koi bhi saathi ye kaisi raah pe chalte
      safar hai ye kamaalon ka aur saath hai bas khyaalon ka
      Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
      main hazaar jaano se mar gai....

      Comment


      • #4
        Re: Dard say aashnayi mil gayi

        zindagi tu nay
        kia diya
        ham nay khushiyon ki
        justajoo ki
        aur tum nay hamein kia diya
        bas ek dard!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

        raah e dard pay chalna seekh liya hai
        apni aag mein khud jalna seekh liya hai

        rang badalte rishton ki duniya mein
        ham nay chehra badalna seekh liya hai

        pahle to khud hi tadapte thay ham lekin
        ab auron ko bhi tadpana seekh liya hai

        yun daaman e dil ko aakhir ham nay ''shehzadi''
        ab ashkon say hi dhona seekh liya hai..
        Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
        main hazaar jaano se mar gai....

        Comment


        • #5
          Re: Dard say aashnayi mil gayi

          Waah bahot khoob shehzadi nice poetry Hamesha ki tarah bahot acha likha hai
          sigpic

          Comment

          Working...
          X