meri shayri ki pukar hai mujhe koi shaam udhar do
main fizaaon me hun bikher chuki mujhe phir zameen pe utaar do
kabhi is dagar kabhi uss dagar main bhatak ke khaak hun ban chuki
vo tumhaara hi to hunar raha mujhe phir se vaisa sanvaar do
kabhi raat aaye to chaand sa mere aahate mein guzar tera
kabhi dil pe apni adaaon se vo hi dastaken ji hazaar do
vo tamaam din jo guzar chuke mere dil naqsh hai aaj bhi
jo inhe zehan se mita sake vo aek chahaton ka ghubaar do
kai zakham dil ke dareechon pe koi khwaab palkon pe ashq sa
unhe rakh ke likhti hun ko main mujhe zakhm baar baar do
na vo sobaten na vasl hai ye to furqaton ka hi dour hai
vo khyaal tera hai aek bahaar mere dil ko bas vo bahaar do

Comment