Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mujhe phir se vaisa sanvaar do

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mujhe phir se vaisa sanvaar do

    meri shayri ki pukar hai mujhe koi shaam udhar do
    main fizaaon me hun bikher chuki mujhe phir zameen pe utaar do

    kabhi is dagar kabhi uss dagar main bhatak ke khaak hun ban chuki
    vo tumhaara hi to hunar raha mujhe phir se vaisa sanvaar do

    kabhi raat aaye to chaand sa mere aahate mein guzar tera
    kabhi dil pe apni adaaon se vo hi dastaken ji hazaar do

    vo tamaam din jo guzar chuke mere dil naqsh hai aaj bhi
    jo inhe zehan se mita sake vo aek chahaton ka ghubaar do

    kai zakham dil ke dareechon pe koi khwaab palkon pe ashq sa
    unhe rakh ke likhti hun ko main mujhe zakhm baar baar do

    na vo sobaten na vasl hai ye to furqaton ka hi dour hai
    vo khyaal tera hai aek bahaar mere dil ko bas vo bahaar do
    Wohh jo dekh ke mujhko yun mud gaya
    main hazaar jaano se mar gai....

  • #2
    Re: mujhe phir se vaisa sanvaar do

    Sab se pehle aap ko Pegham per welcome kehtay hain

    bahot khoobsurat Ghazal likhi hai aap ne
    likhti rahiye aur hamare sath share karti rahiye
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: mujhe phir se vaisa sanvaar do

      wah bahut umda ghazal hai..daad pesh hai! and welcome to pegham...:)

      Comment


      • #4
        Re: mujhe phir se vaisa sanvaar do

        buhat khoob

        Comment


        • #5
          Re: mujhe phir se vaisa sanvaar do

          nice ghazal

          Comment


          • #6
            Re: mujhe phir se vaisa sanvaar do

            Very nice

            Comment

            Working...
            X