Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

    kahe main hosLa na haar DoN...Tumhare Intizar ke Lamhe DiN ba DiN burhte jarahe hian...kahe Main NaumeedMi ke duLduL Main dhus Na jaoN...khuhsiou ki beshuMar ghariyaN tu kab ki guzar chuki...Aaa bhi jao ke iNtizar ki agg main jalte jalte waqt hai ke bhot he lamba hogaya hai...katey nahi kat`ta...Agar yeh Saza hai tu kis jurm ki ? Main MujriM hon tu Mera jurM kiya hai ?ShaYaD yeh Mera jurM hai ke Maine TuMhara iNtizar kiya hai ? TuMhe Apna Mana hai ?TuM se Mohabbat ki hai ?haa itNe sare jurM hain Mere tu...Ab inki Saza bhi tu bhugatne hai...ShaYaD ke kuch waqt ? ShaYaD ke Ta Umer...!



    Last edited by naz; 20 May 2006, 14:17.

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

  • #2
    Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

    Muhabbat mein intizaar hi to hota hai aur intizaar ki aag wohi mehsoos karta hai jis dil mein lagi ho. Aik aik lamha jal jata hai aur koi husn, husn nahin lagta chahey woh bahar ka ho, khizan ka ho, barish ka ho, badlon ka ho, titliyon ka ho, kirno ka ho... intizaar ki aag sag kuchh jala deti hai...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

      ... aur yeh baat drust hai keh jab tak is itnizaar ki aag bujhti nahin aik umeed rehti hai keh na'janey woh kab laut aaey. Isi liye hosla rakhna chahiye jab tak woh umeed ki kiran bujha nahin deta/deti.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

        hmm very good :x

        achi sharing hai

        keep it up :phool:

        Comment


        • #5
          Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

          wow bohot acha likha hai :rose
          sigpic


          Comment


          • #6
            Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

            Muhabbat hay hi aisi cheez....intezar to phir karna hi ho ga na .....Muhabbat karne wala mujrim hota hay keunke wo dil churata hay :)
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

              Assalaam-0-Alaikom:rose

              buht khobsorat :phool:
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

                Originally posted by Masood
                ... aur yeh baat drust hai keh jab tak is itnizaar ki aag bujhti nahin aik umeed rehti hai keh na'janey woh kab laut aaey. Isi liye hosla rakhna chahiye jab tak woh umeed ki kiran bujha nahin deta/deti.
                aur jab woh umeed ki kiran bujh jai tu.........kia hota hai/hona chahiye
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #9
                  Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

                  aur jab woh umeed ki kiran bujh jai tu.........kia hota hai/hona chahiye
                  is main qasoor app ka hee hoo gaa app kay rawaiyay see wo door chala gaya hoo gaaa yah chala jay gaaa ?????

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kahe Main hosLa Na Haar DoN...!

                    Very Nice Naz Apki Choice Kafi Achhi Hai

                    Comment

                    Working...
                    X